POST:1
Taraveh aur tahajud ek hi namaz nahi balke alag alag hai .
Sahih Hadees 👇🏼
Sanad :
Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Abul Ahwas Rh. — > Mughera Rh. — > Ibrahim Nakh’ii Rh.
Matan :
Imam Ibrahim Nakh’ii Rh. Al Mutawaffa 96 Hij. ka Irshaad Mulaaheza Farmaaye :
Imam Ibrahim Nakh’ii Rh. Al Mutawaffa 96 Hij. Farmaate hai ke ‘Kuch Log Imam ke saat Masjid me Namaz (e Taraveh) Pard rahe the, aur Kuch Log Masjid ke Ek Koone me Tahajjud Pard rahe the’.
(Musannaf Ibn Abi Shayba :Jild 5 : Safa 233-234, Hadees no 2063 SAHEEH SANAD)
Note:-
Algarz Yeh riwayat Saheeh hai, Jisse Maloom hota hai ke Hazrat Ibrahim Nakh’ii Rh. Al Mutawaffa 96 Hij. ke Zamaane me bhi Taraveh ke alaawa Tahajjud ka Ahtemaam tha.
Scan Page 👇🏻
POST:2
20 rakat taraveh huzur se sabit.
👇🏻
Imam IBNE HAJAR ASQALANI rahematullahalye Imam Raafa’i rahematullahalye se Naql Karte hai :
حَدِيثُ أَنَّهُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَلَّى بِالنَّاسِ عِشْرِينَ رَكْعَةً لَيْلَتَيْنِ فَلَمَّا كَانَ فِي اللَّيْلَةِ الثَّالِثَةِ اجْتَمَعَ النَّاسُ فَلَمْ يَخْرُجْ إلَيْهِمْ ثُمَّ قَالَ مِنْ الْغَدِ خَشِيت أَنْ تُفْرَضَ عَلَيْكُمْ فَلَا تُطِيقُوهَا
Nabi sallallahualyehiwasallam ne Sahaba Ikraam ridwanallahiajmain . Ko (Ramzaan ul Mubarak ki) 2 Raato me 20 20 Rakaate (Taraveh ki) Padhaayi.
Jab Teesri Raat aayi Toh Sahaba Ikraam Phir Jama’a Huwe Lekin Nabi e karim sallallahualyehiwasallam Tashreef Nahi Laaye.
Phir Dusre Din Farmaaya ke Mujhe Yeh Khatra Mehsoos huwa ke Yeh Namaz Tum par Farz na Hojaaye aur Phir Tum iski Taaqat Na Rakh Sako.
Talkhees ul Habeer : Jild 2 : Safa 45 , Hadees no 541.
👇🏾👇🏾👇🏾scan page.
POST:3
*20 Rakaat Taraaweeh Hazrat Umar radiallaho anho Se Sahi Hadees Se Sabit Hai.*
*Aaiye Dekhe Jinhone Sabse Pehle Taraaweeh Ki Namaaz Ba'jamat Shuru Karwai Unhone Kitni Rakaat Padhne Ka Hukam Diya*?
_Hazrat Imam Abu Jafer Ahmed Bin Manii Al Mutawaffah *244* Hijri Likhte Hai_
*أَنا الْحَسَنُ بْنُ مُوسَى نَا أَبُو جَعْفَرٍ الرَّازِيُّ عَنِ الرَّبِيعِ بْنِ أَنَسٍ عَنْ أَبِي الْعَالِيَةِ عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ أَنَّ عُمَرَ أَمَرَ أُبَيًّا أَنْ يُصَلِّيَ بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ فَقَالَ إِنَّ النَّاسَ يَصُومُونَ النَّهَار وَلَا يحسنون أَن (يقرؤا) فَلَوْ قَرَأْتَ الْقُرْآنَ عَلَيْهِمْ بِاللَّيْلِ فَقَالَ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ هَذَا (شَيْءٌ) لَمْ يَكُنْ فَقَالَ قَدْ عَلِمْتُ وَلَكِنَّهُ أَحْسَنُ فَصَلَّى بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَة*
_Hazrat Ubai Bin Ka’ab رضي الله عنه Farmaate Hai_ *Hazrat Umar bin Khattab رضي الله عنه. Ne Mujhe Hukam Diya Ke Me Ramzaan Ki Raat Me Namaaz e Taraaweeh Padhaaun To Hazrat Ubai Bin Ka’ab رضي الله عنه. Ne Logo Ko Ramzaan Me 20 Rakaat Taraaweeh Padhaai.*
*Reference Book*
Musnad e Ahmed Bin Manii, Bahawala Al Hadees ul Mukhtaara : Hadees *1161*
Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees Ka Usool:
Chunanchah Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: “Ziya’ Al-Maqdasi (rahimahullah) ne Ye Asar Apni AL-MUKHTAARAH me laa kar Apne Nazdeek Is ka SAHEEH hona saabit kar diya hai.”
[Te’daad Raka’t Qiyaam-e-Ramazan, Page: 23]
Hamaari Peish kardah Hadees Ziya’ Maqdasi (rahimahullah) ke nazdeek Sahih hai.
*&*
Ittehaaful Khairatul Mahrah Lil Busairi Vol *2* Page *384*
*Scan Page*
📗📄👇🏼
POST:4
*➡️20 rakat taraveh imam bukhari رحمة الله عليه se sabit. .👇🏻*
*🌹Imam ul Muhaddiseen Imam Bukhari رحمة الله عليه Al Mutawaffa 256 Hij. ka Amal*
Imam Bukhari رحمة الله عليه Jab Ramzaan ki Pehli raat hoti, Toh Log Unke paas Jama hote, wo Namaz e Taraveh Pardhaate the aur Har Rakaat me 20 Aayate Pardhte, yaha tak ke Quraan Khatam Karte, Phir Saher ko (Namaz e Tahajjud me) Nisf se lekar, Tanhaayi Quraan tak Pardte aur 3 Raato me Khatam Karte aur Din me Quraan Khatam karte (Jo) Iftaar ke waqt Khatam hota tha aur (Imam Bukhari رحمة الله عليه) Saher ke waqt 13 Rakaate (Tahajjud ki) Pardte aur Ek Rakaat Witr ki hoti.
📙(Taisirul Baari : Jild 1 : Safa 11, Hadiyus Saari Li Ibn Hajar رحمة الله عليه: Safa 505)
📑Look Scan Page👇🏻
WAHABI AHLE HAGISO KE GHAR SE DALIL.
POST:1
20 Rikat Taraveeh or Ahle Hadeeso ke Shaikhul Islam Ibne Tamia ki tahkeek*
Yeh Saabit hochuki hai ke Hazrat Ubai Bin Ka’ab Radiallahu Talaa Anhu Logo ko 20 Rakaat Taraveh aur 3 Witr Padhaate The Aur Kisi Ek ne Bhi na Uska Inkaar kiya hai aur Na ispar Koi Nakeer Ki 👍
Imam Ibn Taimiya 728 Hij Farmaate hai Ke
فَلَمَّا جَمَعَهُمْ عُمَرُ عَلَى أبي بْنِ كَعْبٍ كَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً ثُمَّ يُوتِرُ بِثَلَاثِ
Jab Hazrat Umar Radiallahu Talaa Anhu
Ne Sahaba Ikraam Rdh. Ko Hazrat Ubai Bin Ka’ab Radiallahu Talaa Anhu Ki Iqtedaa me Jama’a Kiya toh wo Unhe 20 Rakaat Taraveh aur Phir 3 Witr Padhaate the.
(Majmua Al Fatawa : Jild 22 : Safa 272)
Mazeed Farmaate hai ke
Yeh Saabit hochuki hai ke Hazrat Ubai Bin Ka’ab Radiallahu Talaa Anhu Logo ko 20 Rakaat Taraveh aur 3 Witr Padhaate the Isiliye Jamhoor Ulama ka Mazhab yeh hai ke Yahi Tariqa Sunnat hai Kyunke Ubai Bin Ka’ab Radiallahu Talaa Anhu Ne Muhaajireen aur Ansaar ke Darmiyaan Ispar Amal kiya hai aur Kisi Ek ne Bhi na Uska Inkaar kiya hai aur Na ispar Koi Nakeer ki.
(Majmua Al Fatawa : Jild 23 : Safa 112)
Scan
POST:2
*📝20 RAKAAT TARAAWEEH PAR IJMA*
*📚WAHABIO KE GHAR KI DALIL📚*
GAIR MUQALLIDO KE MASHHOOR AALIM NAWAAB SIDDIQ HASAN KHAN BHOPALI LIKHTE HAI...✍🏻 *JAMHOOR KE NAZDEEK TARAAWEEH 20 RAKAAT HAI AUR SUNAN BAIHAQI ME SAHI SANAD SE BAYAAN HUVA HAI* IBNE ARAQI NE SHARH TAQREEB ME LIKHTE HAI *SAIB BIN YAZEED رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه SE RIWAAYAT HAI KE HUM HAZRAT UMAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KE AHAD E MUBAARAK ME RAMZAAN KE MAHEENE ME 20 RAKAAT TARAAWEEH PADTE THE* AAGE LIKHTE HAI *HAZRAT UMAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KE ZAMAANE ME IS PAR IJMAA HUVA*
*Nawab Siddque Hasan Khan Ko Gair Muqallideen Ahle Hadees Ne Apni jamaat Me Se Mana Hai Mulaheza Farmayen👇🏻*
1️⃣ Zubair Ali Zai Ne Kaha
Nawab Siddique Hasan Khan Salafi Ulama Me Se The.
📔[Fatawa-E-Ilmiyya-JIld-1-Page-211 ]
📑Scan Page
2️⃣Ek Jagah Or Zubair Ali Zai Ne
Nawab Siddique Hasan Khan Ko Salfi Ulama Me Shumar Kiya Hain.
📔[ Mahnama Al Hadees-Jild-06-Shumara-04-April-2009-Page-18 ]
📑Scan Page
3️⃣Gairmuqallid Ke Aalim Is’haaq Bhatti Ne
Nawab Siddique Hasan Khan Ko Ahle Hadees Me Shumar Kiya Hai.
📑[ Barre Sagheer Me Ahle Hadees Ki Aamad-Page-237 ]
📑Scan Page
4️⃣Gairmuqallid Ke Irshadul Haq Asri Ne Nawab Siddique Hasan Khan Ko Ahle Hadees Me Shumar Kiya Hai.
📔[ Paak Wa Hind Me Ulama-E-Ahle Hadees Ki Khidmaat-E-Hadees-Page-74 ]
📑Scan Page
5️⃣Or Gher Muqallideen Ka Bada Muhaqqiq MUHAMMAD DAWOOD ARSHAD
Ne Kaha Hai
“ Nawab Siddique Hasan Khan Bhopali Ka Naam Likh Kar Neeche Likhte Hain Bila Shub’ha Hamare Aslaaf Thai. ”
📔[ Hadees Or Ahle Taqleed-JIld-1-Page-162 ]
📑Look All Scan Pages👇🏻
20 RAKAAT TARAVIH DETAIL ME NICHE POST PADHE👇
*Ramzan Special Part 1*
8 Aur 20 Rakat Taraveeh Par Nafees Bahes
Ramzan Ka MUQADDAS Mahina Aalame Ruhaniyat Aur Meraje Insaniyat Ka Maosame Bahar Hai, Iski Khas Ibadaton Me Din Ka Roza Aur Raat Ka Qayam (Yani Namaze Taraveeh) Badi Ahmiyat Ki Hamil Hai, Is Mahine Ki Barkaton Ka Ye Aalam Hai Ki Isme Eik Nafl Ka Sawab Farz Ke Barabar Aur Eik Farz Ka Sawab 70 Farz Ke Barabar Kar Diya Jata Hai,,,
Huzoor Kahtamul Ambiya, Awwalul Ambiya, Afzal Ambiya, Imamul Ambiya, Nabiyul Ambiya Yani Hamare AAQA O MAOLA Janabe Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Is MUBARAK Mahine Me Kasrat Se Ibadat Farmate Is Mahine Ki Aamad Se Pehle Iski Fazilat O Ahmiyat Ko Sahaba Se Batate (Jaisa Ki Piche Hazrat Salman Farsi Ki Riwayat Me Guzra) Huzoor Alaihissalam Khud Bahot Ibadat Farmate Aur Apne As'haab Ko Iski Sakht Talqeen Farmate,,,,,
Chunanche Hazrat Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa رضی اللہ تعالی عنھا Farmati Hain. 👇
*HADEES* ✍
Jab Ramzan Ka MAHINA Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Kamar (Himmat) Kass Lete, Aur Apne Bistar Par Tashrif Na Late, Yahan Tak Ki Ramzan Guzar Jata.
📚 _شعب الایمان للبيهقي، فضائل شهر رمضان، جلد-3، صفحہ-310_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Razman Special Part 2*
Aur Aakhri Ashre Ke Bare Me Farmati Hain,
#HADEES ✍
Huzoor صلى الله عليه وسلم Akhri 10 Dino Me Jo Koshish Farmate (Ibadat Ke Silsile Me) Wo BAQI Dino Me Nahi Farmate
📚 _صحيح مسلم، باب الاجتهاد في العشر الأواخر......إلخ، جلد-1، صفحہ-382_
Bhala Sochiye Allah Ke Mehboobe Azam صلى الله عليه وسلم Jinke Sadqa O Taufail Allah Ne Sab Kuch Banaya Jinki Riza Aur Khushi Allah Ki Riza Aur Khushi Hai Wo To Is Maahe Kareem Me Mahina Bhar Raat O Din Apne Rabbe Kareem Ki Ibadat Karen Aur Hum Gunaho Ke Pahad Aur Paap Ke Putle Is Mahine Ki Qadr Na Kare ?
Is Maah Me Digar Mahino Se Ibadato Ke Silsile Badha Diye Jate Hain, Jaise Roza Taraveeh Sehro Iftar Sadqaat O Khairat Shabe Qadr Ka Inaam Ye Pura Mahina Hi Aisa Hai Ki Isme Kasrat Se Ibadat Kee Jaye.
Magar Afsos Musalmano Me Eik Aisi Jamat Bhi Paida Hui Jo Amal Me Kotaah Deen Ke Usool O Zawabit Aur Nizam Ke Badalne Pe Tuli Hai.......
Wo Deen Ko Aasan Kar Rahe Hai, Quran O Hadees Ka Naam Lekar Logo Ko Mazhab Ki Pabandiyon Se Azad Kiya Ja Raha Hai Apne Ko Ahlehadees (Hadees Wala) Kehte Hain Magar Sach Ye Hai Ki Ye Log Ahlehugees (Har Waqt Gandagi Karne Wale) Hain.
Jis Chiz Pe Amal Na Karna Ho Uske Bare Me Kehte Hain Ki Ye Sahi Hadees Se Sabit Nahi Aur Isi Tarah Hadis O Ka Sunnato Ka Ijmae Ummat Ka Aur Buzrugane Deen Ke Mamulaat Ka Inkar Kiya Ja Raha Hai....
Bina Topi Ke Namaz Padh Lee, Kehte Hain Topi Zaroori Nahi, Sunnat O Nafl Ko Chhod Diya Kehte Hain Sahi Hadees Se Sabit Nahi, Hawa Bina Awaz Ke Nikle To Kehte Hain Wazu Nahi Toot'ta, Aurat Ko 3 Talaq Dene Par Aurat Mard Pe Haram Ho Gai Bina Halala Kiye Usse Mard Ka Rishta Nahi Ho Sakta Magar Ye Saheban Kehte Hain 3 Talaq Eik Hi Hai Aurat Naikah Me Baqi Hai, Itni Azadi Itni Chhoot Ke Shaitan Bhi Piche Reh Gaya Ab To Had Hi Kar Dee Taraveeh Jiski 20 Rakat Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ada Farmai Hazraate Khulafe Rashedeen Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman Aur Hazrat Ali Aur Tamam Sahaba O Tabaeen O Aimmah Mujtahideen O Awliyae Kamileen O Salaf Saleheen Isi 20 Rakat Ke Qayel The Aur Har Islami Mulk Me 1400 Saalon Se 20 Hi Rakat Hote Aai Hai, Isi Par Kul Ummate MUSLEMAH Ka Ijamae Qattai Mun'aqid Hai Jo Kasrat Se Ahadees Aur Fuqhaye Ummat Ki Tas'rihaat Se Sabit Hai Is 20 Rakat Ko In Angrezi Paidawar Ne 8 Kar Diya.
Aur Khud To 8 Padhte Hi Hain Magar Afsos Bhole Bhale Musalmano Ko 8 Padhne Ki Galat Salat Be-Bunyad Riwayaat Dikha Kar 8 Padhne Par Majboor Kar Rahe Hain Aur Aise Oot Patang Messages Ka Silsila Social Networking Sites Par Phaila Diya Goya Ibleese Azam Ne Apne In Beton Ko Theka De Rakha Hai Ummat Ko Gumrah Karne Ka....
20 Rakat Taraveeh Par Qaahir Dalayel Diye Ja Rahen Hain, Jis Kisi Gair Muqallid Ahlehugees Me Dam Ho Hamari Pesh Kar'Dah Riwayat Ko Galat Sabit Kare Aur Muh Manga Inam Leta Jaye....
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part 3*
_LAFZ TARAVEEH KI LUGHWI (Dictionary) TAREEF_
Grammar Ke Lihaz Se Arbi Dunya Ki Digar Zubano Me Sab Se Alag Hai, Isi Liye Mamooli Arbi Janne Wale Ya Saal 6 Maah Ka Arbic Speaking Course Karne Wale Ko Hargiz Ye HAQ Hasil Nahi Ki Wo Quran O Sunnat Ke Pechidah Masayel Ki Tashreeh Kare Ya Apni Taraf Se Uska Koi Matlab Bayan Kare, Naam Hihad Ahlehadees Yani Gair Muqallideen Jinme Aksaryat Jahilon Ki Hain Aur Jinho Ne Thodi Bahot Taleem Pet Paalne Ke Liye Hasil Bhi Ki Hai To Wo Bhi Mauqe Mauqe Par Apne Johla Se Badh Jate Hain Jaise Ramzan Kareem Me Taraveeh Ka Masala Isme Kya Aalim Kya Jahil Sabhi Barsati Mendkon Ki Tarah Uchalne Lagte Hain Aur Musalmano Ko Kasrat Se IBADAT Karta Dekh IBLEES Ke In Chelon Ke Pet Me Dard Shuru Hota Hai Aur Shirk O Bid'at Ka Raag Alapne Lagte Hain, Aur Chahte Hain Ki Musalman Kam Se Kam Namaz Padhe,,,
*QA'IDAH*
Arbi Me Agar Eik Ko Khitab Ho Ya Koi Eik Chiz Muraad Ho To Uske Liye Sega Wahid (Singular) Istemal Karte Hain, Masalan MUREED (Ek Murid) Aur 2 Ko Kehna Ho To Tasniyah Hoga Yani Muridain (2 Mureed) Aur Arbi Me Jama (Plural) 3 Se Kam Par Nahi Bola Jata, Jaise Murideen (3 Ya Usse Ziyadh Mureed) Arbi Ke Ilawah Dunya Ki Kisi Dusri ZUBAN Me Bhi Ye Qaidah Nahi Hai, Har Zuban Me Sirf WAHID (Singular) Aur Jama (Plural) Hi Hai Eik Ke Liye Wahid Aur Eik Se Ziyadh Ke Liye Jama Jab Ki Arbi Me 1 Ke Liye Wahid, 2 Ke Liye Tasniyah, 3 Ya Usse Ziydah Ke Liye Jama, Isi Liye Arbi Dunya Ki Sab Se Wasee (Badi) Mushkil (Taff) Aur Achchi Zuban Hai Chunki Isme Har Baat Ki Aasani Aur Gunja'ish Maujood Hai, Har Zuban Ke Alfaz Ka Sahi Maana Wa Mafhoom O ITLAQ Samajhne Ke Liye Us Zuban Ki Lughat Aur Iske Udaba Ka Kalaam Uske Istemalaat Wa Muhaweraat Ko Dekhna Zaroori Hai, Ab Aaiye Hum Lafz Taraveeh Ka Maana Janen, Taraveeh (تراویح) Arbi Ka Lafz Hai Aur Ye Lafz Tarveeha (ترویحہ) Ki Jama Hai, Aur Tarveeha Us Baithne Ko Kehte Hain Jisme Kuch Sukoon Mile..........
Chunki Taraveeh Me 4 Rakaten Puri Hone Ke Baad Kuch Der Baith Kar Dua Padhte Hain Jisse Namaziyon Ko Kuch Aaram Mil Jata Hai, Is Tarah Taraveeh Me 4 Rakat Ko 1 Tarveeha Kaha Jane Laga,
Aur Chunki Puri Taraveeh Me 5 Tarviha Hote Hain Is Liye 5 Tarveeha Ko Mila Jaye Tab Ja Kar Eik Taraveeh Puri Hoti Hai, Aap Khud Sochiye Jo 8 Padhega Wo Kitni Baar Baithega? 2 Baar Baithega, Phir Ye Lughat Ke Aitebar Se Bhi Taraveeh Nahi Hui Balki Tarveeha Hua, Ajeeb Baat Hai Jo Taraveeh Padhte Hi Nahi Hai (Chunki 8 Rakat Padhna Taraveeh Hai Hi Nahi) Wo Taraveeh Ke Masle Me Ahlesunnat Wa Jamat Ahnaaf Se Ulajhte Hi Kyun Hain??
Gair Muqallideen Ko Mera Khula Hua Challenge Hai Ki Wo Quran O Hadees Ki Gehri Bahes Me Na Ja Kar (Chunki Ye Un Jaise Be AQLON Ke Samajhne Ki Cheez Hai Bhi Nahi Aur Na Wahan Se 8 Rakat Taveeh Sabit Hai) Sirf Arbi Zuban Ki Lughat Se Hi 8 Rakat Par Taraveeh Ka ITLAQ Sabit Karen Aur Mujh Faqeer-E-Hanfi (Sufi) Kaleem Razvi Se Muh Manga Inaam Lete Jayen, LUGHWI Tareef Samajhne Ke Baad Aaiye Namaze Taraveeh Ki Fazilat Aur Uski Tadade Rakaat Neez Gair MUQALLIDEEN Ki Pesh Kardah Dalayel Ka ILMI WA FANNI Jayezah Len.
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part 4*
FAZA'ILE TARAVEEH
Taraveeh Wo Namaz Hai Jo Ramzane Pak Ke Mahine Me Isha Ki Namaz Ke Baad Ba-Jamat Padhi Jati Hai. Chunanche Sharahe Bukhari Hazrat Hafiz Hajar Asqalani Shafa'ie رحمه الله تعالى Farmate Hain 👇
سميت الصلوة فی الجماعة فی لیالی رمضان التراويح
*Tarjamah*
Ramzan Ki Raton Me Namaz Ba Jamat Ka Naam Taraveeh Hai.
📚 _فتح الباري شرح صحيح البخاري، جلد-4، صفحہ-250_
*HADEES* ✍
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Riwayat Karte Hain
كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يرغب فى قيام رمضان من غير ان يامرهم فيه بعزيمة فيقول من قام رمضان ايمانا واحتسابا غفرله ما تقدم من ذنبه فتوفى رسول الله صلى الله عليه وسلم والامر على ذلك ثم كان الامر على ذلك فى خلافة ابى بكر وصدرا من خلافة على عمر من ذلك
*Tarjamah*
Rasulullah صلى الله عليه وسلم Qayame Ramzan (Taraveeh) Par Ubharte The, Bagair Uski Had Aur Takeed Ka Hukm Diye, Chunanche Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate The, Jisne Ramzan Ki Raton Me Imaan O Ehtesab Ke Sath Namaz (Taraveeh) Padhi Uske Agle Gunah (Sagerah) Muaaf Kar Diye Jayenge, Pas Rasulullah صلى الله عليه وسلم Is Dunya Se Tashreef Le Gaye Aur Ye Mamla Chalta Raha Phir Hazrat Abu Bakar Ki Khilafat Aur Hazrat Umar Ki Ibtedai Aimmaye Khilafat Me Bhi Isi Tarah Raha
📚 _صحیح بخاری، ج-1، ص-269، صحیح مسلم، ج-1، ص-259، سنن ابی داؤد، ج-1، ص-210_
Is Hadees E Pak Se Jahan Namaze Taraveeh Ki Fazilat Sabit Hui Wahi Yeh Bhi Pata Chala Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ramzan Me Taraveeh Ka Shaoq Dilaya Magar Uski Koi Tadad Rakato Ki Fix Nahi Farmai.
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-5*
"TADADE RAKAT TARAVEEH"
Dunya Ke Sare Gair Muqallideen Bhi Agar Jama Ho Jayen Tab Bhi In'sha Allah 8 Rakat Taraveeh Ba'hisabe Lughat Aur Ahadees Ki Roshni Me Sabit Kar Hi Nahi Sakte, 8 Rakat Ke Silsile Me Gair Muqallideen Jo Hadees Pesh Karte Hain Wo Sahi Bukhari Ki Ye Riwayat Hai,
عن ابی سلمة بن عبد الرحمن انه سأل عائشة كيف كانت صلوة رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان فقالت ما كان يزيد فى رمضان ولا فى غيره على احدى عشرة ركعة يصلى اربعافلا تسأل عن حسنهن وطولهن ثم يصلى ثلاثا
*Tarjamah*
Abu Salma Bin Abdur Rehman Ne Hazrat Aishah Se Daryaft Kiya Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ramzanul Mubarak Me Namaz Kaisi Hoti Thi?
Aap Farmati Hain, Aap Ramzan Aur Gaire Ramzan Me 11 Rak'aton Se Ziydah Nahi Padhte The, Pehle 4 Rakat Padhte (Ek Salam Se) Phir Kuch Na Pucho Wo Kitni Haseen Aur Taveel Hoti, Phir 4 Padhte Aur Uske Bhi Husn O Tawalat Ka Haal Na Pucho, Phir 3 Rakat (Witr) Padhte The.
📚 _صحيح بخارى. ج-١، ص-١٥٤، صحيح مسلم، ج-١،ص-٢٥٤_
Ye Hai Gair Muqallideen Ki Sab Se Badi Daleel Aap Khud Dekhen Kya Is Hadees Se Sarahat Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Ho Rahi Hai?
1= Hazrat Aisha Siddiqah رضى الله تعالى عنها Farma Rahi'n Hain Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ramzan Aur Gair Ramzan Me Hamesha Mamool Tha 11 Rakat Padhne Ka, Kya Taraveeh Saal Bhar Padhi Jati Hai??
2= Is Hadees Me 4+4 Rakaton Ko Eik Salam Se Padhne Ka Zikr Hai Jab Ki Taraveeh Me 2+2 Rakat Par Salam Phera Jata Hai, Phir Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Kaise Hui?
3= Aur Is Hadees Me Huzoor Ka Tanha 11 Rakaten Padhna Sabit Hai Jab Ki Huzoor Ne 3 Din Taraveeh Jamat Se Ada Farmai Iski Hadees Aage Aarahi Hai.
4= Ye Hadees Taraveeh Ke Muta'alliq Nahi Balki Tahajjud Se Muta'alliq Hai Chunki Tahajjud Hi Ramzan Wa Gair E Ramzan Me Padhi Jati Hai, Aur Jise Tahajjud Padhni Ho Uske Liye Afzal Ye Hai Ki Wo Witr Ko Tahajjud Se Milaye Huzoor Ne 8 Tahajjud Aur 3 Witr Is Tarah 11 Rakat Ada Farmai.
5=Agar Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Hi Hai To Gair Muqallideen Batayen Sahi Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Nisai, Sahi Ibne Khuzaimah Motta Imam Malik Me Ye Hadees Taraveeh Ke Bayan Me Kyun Nahi NAQL Ki Gai??
Khud Gair Muqallideen Ke Imam O Peshwa Ibne Qaiyyim Hambali Ne Apni Mash'hoor Kitab Zadul Mee'aad Ke Volume-1, Page-86 Me Ye Hadees Tahajjud Ke Bab Me NAQL Kee Hai.
Sharahe Bukhari Allama Hafiz Ibne Hajar Asqlani رحمه الله تعالى Is Hadees Ke Hawale Se Farmate Hai,
قال القرطبي اشكلت روايات عائشة على كثير من اهل العلم حتى نسب بعضهم حديثها الى الاضطراب
Imam Qartabi Ne Farmaya Hazrat Aisha Ki Riwayat Se Bahot Se Ahle Ilm Ko Mushkilen Aai, Yahan Tak Ki Unme Se Baaz Ne Use IZTERAB Ki Taraf Mansoob Kar Diya.
(فتح الباری، ج-3، ص-21)
Jab Hadees Hi Muztarib Ho To Usse Gair Muqallideen Kaise 8 Rakat Ko Finally Adad Qarar De Rahe Hain?
Iske Ilawah Jo 8 Rakat Taraveeh Ki Riwayaten Hain Wo Sab Zaeef Aur Na Qabile Istedlal Hain Is Liye Unka Zikr Aur Tafseel Zaruri Nahi Gair Muqallideen Ki Sab Se Mazboot Daleel Yahi Hadees Hai.
Aaj Kal Gair Muqallideen Kehne Lage Hain Sahab Taraveeh Aur Tahajjud Ek Hi Namaz Hai. Ajeeb Baat Hai Jo Tahajjud Ki Namaz 11 Maah Nafl Rahi, Jo Ghar Me Padhi Jati Rahi, Raat Ke Akhri Hisse Me Padhi Jati Rahi, Aur Akele Padhi Jati Rahi, Wo Achanak Ramzan Me Pahoch Kar Sunnate Mo'akkeda Ho Gai?
Ba Jamat Padhi Jane Lagi Aur Uska Naam 11 Maah Tahajjud Tha Aur Ramzan Me Taraveeh Ho Gaya?
Koi Apni Biwi Ko 11 Maah Biwi Kahe 1 Maah Amma Kahe To Chalega?
Inke Insano Wali Khopdi Me AQAL To Gadhon Wali Hai Aur Dawa Hai Quran Fehmi Aur Hadees Daani Ka.
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-6*
Eik Aur Riwayat Gair Muqallideen Sahi Ibne Khuzaima Aur Sahi Ibne Hibban Se 8 Rakat Taraveeh Par Pesh Karte Hain. 👇
*HADEES* ✍
Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Marwi Hai 👇
صلى بنا رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان ثمان ركعات الوتر
Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ne Hame Ramzan Me 8 Rakaten Aur 3 Witr Padhai.
Hazrat Jabir Ki Is Riwayat Me Sirf Ek Raat Padhane Ka Zikr Hai Jaisa Ki Isi Riwayat Me Aage Hai.
فلما کانت الليلة القابلة اجتمعنا فى المسجد رجونا ان يخرج فيصلى بنا فاقمنافيه حتى اصبحنا فقلنا يا رسو الله رجونا ان تخرج فتصلى بنا فقال انى كرهت او خشيت ان يكتب عليكم الوتر
Pas Jab Agli Raat Hui To Hum Sab Phir Jama Huye Is Ummid Par Ki Huzoor Niklenge Aur Hame (Kal Ki Tarah) Namaz Padhayenge Pas Hum Subah Tak Wahin Rahe Hum Ne Arz Ki (Subah Ke WAQT) Aye Allah Ke Rasool Hame Ummid Thi Ki Aap Niklenge Aur Hame Namaz Padhyenge Aapne Farmaya Mujhe Khauf Hua Ki Kahi'n Tum Par Witr Farz Na Ho Jaye.
📚 _صحيح ابن خزيمة، ج-٢، ص-١٣٨_
Awwal To Ye Hadees Ek Raat Namaz Ki Hai Jab Ki Taraveeh Pure Maah Padhi Jati Hai, Dusri Baat Is Riwayat Me 3-3 Rawi Za'eef Hain, Ye Hadees Hazrat Jabir Bin Abdullah Se 2 Sanadon Se Aati Hai.
1= Is'haaq, Abu Rabee, Yaqoob Qummi, Esa Bin Jariyah Hazrat Jabir Bin Abdullah.
2= Muhammad Bin Humaid Razi, Yaqoob Qummi, Esa Bin Jariyah, Hazrat Jabir Bin Abdullah Ye Hadees Gair Muqallideen Kisi Bhi Kitab Se Dikhayen Uska Silsilae Sanad Inhi 2 TARIQON Se Milega....
Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Is Hadees Ko Riyawat Karne Ka Dawa Karne Wale Esa Bin Jariyah Hai Aur Esa Ke Bare Me Khud Ibne Khuzaima Ke Hashiye Par Hai,
عيسى بن جاريه فيه لين
Esa Bin Jariyah Me Kamzori Hai.
📚 _صحيح ابن خزيمة، ج-٢، ص-١٣٨_
Jab Esa Bin Jariyah Kamzoor Nikla To Puri Riwayar Hi Kamzor Hui Aur Is Hadees Ki Dono Sanado Me Esa Aata Hai, Aur Padhiye Digar Aimmae Hadees Is Esa Ke Bare Me Kehte Hain,,
Hazrat Yahya Bin Ma'een رحمه الله تعالى Farmate Hain,
ليس بذاك عنده مناكير
Wo (Esa) Qawi Nahi Hai Uske Pas Aksar Munkar Riwayaten Hain....
Hazard Imam Abu Dawood O Nasai Kehte Hain,
منكر الحديث
Wo Mukarul Hadees Hai.
Imame Nasai رحمه الله تعالى Farmate Hain متروك Wo Matrukul Hadees Hai Yani Uski Hadison Ko Tark Kiya Jata Hai, Imam Saaji Aur Aqeel رحمهم الله تعالى Farmate Hain Wo ضعفاء Kamzor Logon Me Shamil Hain.
Imam Adi رحمه الله تعالى Kehte Hain Uski Hadees Mehfooz Nahi Hain.
📚 _تهذيب التهذيب، ج-٨، ص-٢٠٧،، ميزان الاعتدال، ج-٢،ص-٣١١_
Ye Kul 6 Aimmahe Hadees Hain Jinho Ne Esa Bin Jariyah Par Sakht Jarhen Ki Hain, Itna Hi Nahi Balki Imam Zahbi Allama Hajar Asqalani Ne Bhi Ise Munkarul Hadees Kaha Hai.
Is Riwayat Ke Dusre Rawi Yaqoob Qummin Ko Bhi Aimmahe Hadees Ne Zaeef Jhuta Munkarul Hadees Kaha Hai Tafseel Ki Yahan Gunja'ish Nahi Hai.
Ajeeb Baat Hai Quran Aur Sahi Hadees Par Chalne Ke Dawedar Khud Zaeef Aur Mardood Riwayaton Se Kaam Chalate Hain??
Gair Muqallideen Ke Bade Aalim Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Likhte Hain 👇
"Munkarul Hadees Hona Aadmi Ka Aisa Wasf Hai Jiski Bina Par Uski Hadees Qabile Tark Ho Jati Hai"
📚 _ابكار المنن، صفحه-١٩١_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-7*
_TARAVEEH KI MUTA'AIYYAN RAK'ATEN_
Is Baat Ko Achche Se Zahen Nasheen Kar Le'n Ki Sarkare 2 Aalam صلى الله عليه وسلم Se Tarveeh Ki Na 8 Sarahat Se Sabit Hai Aur Na 20 Jo 2no Qism Ki Riwayaat Hain Wo Zo'af Aur Ehtemaal Se Khali Nahi.......
Imam Jalaluddin Suyuti رحمه الله تعالى Farmate Hain 👇
ان العلماء اختلفوافى عددها ولو ثبت ذالك من فعل النبى صلى الله عليه وسلم لم يختلف فيه
Ulama Ne Taraveeh Ki Rak'aat Me Ikhtelaf Kiya Hai, Aur Agar Ye (Taraveeh Ki Fixed Rakaten) Huzoor Ke Amal Se Sabit Hoti To Ye Ikhtelaf Na Hota.
📚 _تحفة الاخيار ص-٤٢_
Allama Tajuddin Subki Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain 👇
اعلم انه لم ينقل كم صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فى تلك الليالى هل هو عشرون اوأقل
Tum Ko Maloom Hona Chahiye Ki Rasulullah صلى الله عليه وسلم Se Ye MANQOOL Nahi Ki In Raton Me Kitni Rakaten Padhe'n 20 Ya Kam
📚 _تحفة الاخيار، ص-١٩٦_
Ab Raha Hum 20 Kyun Padhte Hain?
To Beshak 20 Wali Hadees Bhi Zaiful Isnaad Hai Magar Is Amal Ko TAQAT Milti Hai Ijamaye Sahaba Se, Tawatur Se, Ummat Ki 1400 Sala Tareekh Me 20 Hi Par Amal Hota Aaya Hai, Aur Sahaba 20 Hi Rakat Ke Qayel The Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Dekhne Wale Sahaba Hain, Unki Sannaton Par Chalne Wale Sahaba Hain, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ke Shareh Sahaba Hain, Islam Ke Awwaleen Mukhatib Sahaba Hain, Aur Deen Me Mujtahid Sahaba Ka Amal Bhi Hujjat Hai, Ab Aaiye 20 Rakat Taraveeh Ki Ahdees Aur Amale Sahaba Wa Taba'een Salf O Saleheen Aur Puri 1400 Sala Tareekhe Islam Par Eik Sar Sari Nazar Dalen......
*HADEES* ✍
عن ابن عباس ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلى فى رمضان عشرين ركعة والوتر انتهى
*Tarjamah*
Hazrat ABDULLAH BIN ABBAS Farmate Hain Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ramzanul Mubark Me 20 Rakate Aur Witr Padha Karte The.
📚 _بحوالہ--- مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-2،صفحہ-394،،،،! بيهقی، جلد-2، صفحہ-496،،،،! المعجم الكبير الطبراني، جلد-3، صفحہ-148،،، منتخب مسند حميد بن حميد، جلد-1، صفحہ-73،،،! وغيره_
Note-Iske Silsilae Sanad Me Bhi Eik Zaeef Rawi Ibraheem Bin Usman Maujood Hai. Jabki 8 Wali Hadees Me 2 Zaeef Rawi Hain....
Khulasa Ye Ki Huzoor صلى الله عليه Se Taraveeh Ki 20 Ya 8 Rakat Sarahat Ke Saath Kisi Sahi Hadees Me Maujood Nahi Hai.....
Aur 20 Rakat Padhna Sahaba Wa Tabaeen Aur Jumla Ulamae Mohaqqiqeen Se Sabit Hai Aur Jamhoor Ka Yahi Mazhab Hai Ki Taraveeh 20 Rakat Hai.
Aur 20 Rakat Padhne Ka Saboot Sahi Sanado Se Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali Aur Jumla Sahaba Ke Amal Se Maujood Hai. Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ummat Ko Hukm Farmaya Ki Meri Aur Mere Khulafae Rashideen Ki Sunnat Par Chalo.
📚 _جامع الترمذي، أبواب العلم، باب ماجاء في الأخذ بالسنة......إلخ، جلد-4، صفحہ-308، الحديث-2658_
*Challenge* 🤛
Naam Ke Ahlehadees Hame 8 Rakat Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Kar Dikhayen Aur Eik Marfoo Hadees Is Silsile Me Pesh Karen Aur Is Faqeer Kaleem Hanfi Razvi Se Muh Manga Inam Lete Jayen.....
In-sha-Allah Qayamat To Aajyegi Magar Wo Din Kabhi Nahi Aayega Ki Hadees Hadees Ki Ratt Lagane Wale Gair Muqallideen Is Silsile Me Eik Bhi Sahi Sareeh Marfoo Hadees Me Huzoor Ke Amal Se Ramzan Me 8 Rakat Taraveeh Padhne Ki Hadees Pesh Kar Payen.
Kyu Ki Inke Shaikhul Islam IBNE TAIMIYAH Hambali Ne Khud Iska IQRAR Kiya Hai,
من ظن ان قيام رمضان فيه عدد معين مؤقت عن النبي صلى الله عليه وسلم لا يزاد عليه ولا ينقص فقد أخطأ
*TARJAMAH*
Jo Ye Samjhe Ki Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Silsile Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Koi Muta'aiyyan (Fixed) Adad Manqool Hai Jisme Na Kuch Kam Ho Sakta Hai Na Ziyadah Wo Galti Par Hai.
📚 _مرقات، ج-٢، ص-١٧٥_
Inke Ek Aur Bade Allama Qazi Shokani Likhte Hain,
والحاصل الذين دلت عليه احاديث الباب وما يشابهما هو مشروعية القيام فى رمضان والصلوة فى جماعة وفرادى فقصر الصلوة المسماة با لتراويح على عدد معين وتخصيصها بقرأة مخصوصه لم ترد به سنة
*TARJAMAH*
Ramzan Ka Qayam (Taraveeh) Mashroo Hai, Aur Namaz Jamat Se Padhi Jayegi Aur Tanha Bhi, Pas Taraveeh Ko Kisi Muta'aiyyan Adad Ke Sath Khas Karne Aur Kisi Bhi Qirat Se Khas Karne Ki Koi Hadees Maujood Nahi.
📚 _نيل الاوطار، ج-٣،، ص-٥٣_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-8*
_TARAVEEH AUR AMALE SAHABA رضوان الله عليهم أجمعين_
TARAVEEH Ke Silsile Me Chand Baten Jise Zahen Me Khas Taur Se Rakhna Chahiye Taki Aap Gumrahon Ke Fareb Me Na Aa Sake.
1= Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Bhi Padhi Magar Rakaton Ki Had Aur Takeed Sanade Sahi Se Sabit Nahi.
2= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Bhi Taraveeh Padhte The Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ise Dekh Kar Pasand Farmaya.
3= Ye Taraveeh Ba'jamat Bhi Hoti Thi Magar Eik Hi Imam Ke Piche Nahi Balki Kai Kai Jamaten Hoti Thi.
4= Taraveeh Ki Ye Jamaten Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Bhi Hoti Rahi Aur Aapke Baad Bhi, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Hone Ki Riwayat Hazrat Abu Hurairah رضى الله عنه Aur Hazrat Solab Bin Abi Malik Qarzi رضى الله عنه Ki Sunane Behaqi Me Maujood Hai, Aur Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه Ke Zamane Me Hone Ka Zikr Hazrat Abdur Rehman Bin Abdul Qari رحمه الله تعالى Ki Riwayat Sahi Bukhari Volume-1, Page-269 Me Aur Hazrat Nofil Bin Ayas Hazli رحمه الله تعالى Ki Asarus Sunan Me Maujood Hai.
5= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Se Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Zamane Tak Taraveeh Ki Jo Jamat Alag Alag Hoti Thi Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Taman Logon Ko Jama Farma Kar Eik Imam Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضى الله عنه Ke Piche Kar Diya Jinke Hawale Se Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ye Irshad Maujood Hai,
أقراكم ابى بن كعب
Tum Me Sab Se Achcha Quran Padhne Wala Ubai Bin Ka'ab Hai.
6= Haan Tamam Riwayaat Par Nazar Dalne Se Ye Nahi Pata Chalta Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba Kitni Rak'at Taraveeh Padhte The??
Magar 8 To Hargiz Nahi Padhte The Is Liye Ki Hazrat Dawood Bin Haseen رضى الله عنه Ki Moatta Imam Malik Me Ye Riwayat Maujood Hai.
عن داؤد بن الحصين انه سمع الاعرج يقول ما ادركت الناس الاوهم يلعون الكفرة فى رمضان وكان القارى يقرأ سورة البقرة فى ثمان ركعات فاذا قام بها فى اثنى عشرة ركعة رأى الناس انه قد خفف
Dawood Bin Haseen Se Marwi Hai Ki Hunho Ne Hazrat A'raj Ko Kehte Suna Ki Mein Ne Logon Ko (Sahaba Ko) Paya Ki Wo Ramzan Me Kuffar Par Lanat Bhejte The Aur Imam 8 Rakaton Me Surah BAQRAH Padh Dalta Phir Jab 12wi Ra'kat Me Khada Hota To Logon Ko Lagta Ki Ab Usne Qirat Me Kami Ki.
📚 _موطا امام مالك، ص-٤٣_
Is Hadees Ki Sanad Me Kisi Ko Kalaam Nahi Iski Sanad Sahi Hai Aur Isme Sahaba Ka 8 Se Ziydah Padhna Maloom Hua Kyu Ki 8 Tak To Sure BAQRAH Imam Padhta Aur 12 Wi Rakat Me Kuch Kam Karta, Dhiyan Dijiye 12 Ke Aage Padhna Is Me Mana Bhi Nahi Hai Yani 12wi Rakat Me Qirat Kam Hoti Yani Sahaba Isse Bhi Ziydah 20 Padhte The.
7= Taraveeh Ke Silsile Me Ye Point Sab Se Ziydah Important Hai Ki Hazrat Umar رضى الله عنه Se Pehle Jo Hua So Hua Lekin Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضى الله عنه Ko 20 Hi Rakat Padhane Ka Hukm Diya (Aur Iski Riwayaat Aage Aarahi Hai)
Ajeeb Baat Hai Jab Hazrat Umar 20 Rakat Padhane Ka Hukm De Rahe Hain To Us WAQT AJALLA SAHABA HAYAT The Kisi Ne Bhi Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Faisle Ki Mukhalifat Kyun Nahi Ki Agar Taraveeh 8 Hi Rakat Thi To???
Khud Ummul Momineen Sayyedah Aisha رضي الله عنها Hayat Thi'n Jinki Tahajjud Wali 8 Ko Gair Muqallideen Taraveeh Ki Riwayat Samajhte Hain Unho Ne Hazrat Umar رضى الله عنه Ko Roka Kyun Nahi Toka Kyun Nahi Ki Aap Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ki Mukhalifat Kar Rahe Hain Iska Matlab Yahi Hai Ki Ummul Momineen Ke Nazdeek Bhi Taraveeh 20 Hi Rakat Sunnat Thi, Khalifae WAQT Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Baad Tamam Sahaba Ne Unki TAQLEED Karte Huye 20 Hi Rakat Taraveeh Ba Jamat Padhi Aur Is Tarah Maslaye Taraveeh Ijam Sahaba Se Sabit Hua Aur Ab Jo Iski Mukhalifat Karta Hai Wo Gumrah Hai Bedeen Hai.
Kya Hazrat Umar رضى الله عنه Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Marzi Ke Khilaf Kar Sakte The? Aur Kya Sahaba رضوان الله عليهم أجمعين Hazrat Umar Ko Khilafe Amale Rasool صلى الله عليه وسلم Karte Paa Kar Apna Khalifa Maan Lete?
Taraveeh Ko Bid'ate Farooqi Kehne Walon Hosh Ke Nakhun Lo Kaun Umar?
Jinke Hawale Se Hadees Me Aya Hai Ki Quran Hazat Umar رضى الله عنه Ki Raye Ke Mutabiq Nazil Hota, Umar Wo Hain Jinke Bare Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate Hain,
لو كان بعدى نبى لكان عمر
Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hote.
Aur Farmaya Allah Ke Rasool Ne,
ان الله جعل الحق على لسانه عمر وقلبه
Allah Ne HAQ Ki Boli Umar Ke Dil Aur Zuban Par Jari Farma Diya Hai.
Eik Jagah Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate Hain,
ان الشيطان يخاف منك يا عمر
Aye Umar Tujh Se Shaitan Bhi Darta Hai.
(مشكوة المصابيح، ج-٢، ص-٥٥٦)
Sach Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Shaitan Kal Bhi Umar Ke Raste Se Bhagta Tha Aur Aaj Ka Gair Muqallid Shaitan Bhi Umar Ke Raste Se Bhagta Hai...
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-9*
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Se Agar-Che Taraveeh Ki Tadade Rakat Ka Sanade Sahi Se Koi Pukhta Saboot Nahi Magar Tamam Sahaba Ke Amal Aur Ijma Se Sabit Ho Gaya Ki Huzoor 20 Hi Padhte The Aur Ab Hazrat Abdulullah Bin Abbas Wali Riwayat Bhi Qabile Istedlal Ho Gai Aur Suniye Imam Abu Dawood Sijtani Farmate Hai,
ان تنازع الخبران عن النبى صلى الله عليه وسلم ينظر بما اخذبه أصحابه
Hamare Samne Jo 2 Hadisen Takraye To Dekha Jayega Ki Sahaba Ka Amal Kis Ke MUTABIQ Tha.
📚 _ابو داؤد شريف، ج-١، ص-٢٦٣_
8 Wali Hazrat Jabir Bin Abdulullah رضى الله عنه Ki Riwayat Par Kisi Sahabi Ka Amal Nahi Tha Aur Hazrat Abdulullah Bin Abbas Ki 20 Wali Hadees Par Tamam Sahaba Ka Amal Tha....
Na Sirf Sahaba 4ro Imam Tamam Muhaddiseen Fuqha Wa Mujtahideen Wa Jamla Muslimeen Ka Amal Hai Aur Ab Angrezi Paidawar Shariat Bezar Nafs Aur Shaitan Ke Pairokar Gair Muqallideen Ka Inkar Hai........
Chaliye Eik Aasan Nukta Aapko Samjha Den.
Waise To 8 Rakat TARAVEEH Hai Hi Nahi Magar Khuda Na Khawsta TARAVEEH 8 Ho Jaye Aur Ba'roze Mehshar Jab Allah Ki Bargah Me Namazon Ka Hisab Hoga To 8 Walon Aap Khush Ho Jana Kyun Ki Aap Ki Baat Sahi Thi Magar Sach Batao 20 Wale Kaunse Ghate Me Rahege?
Hum To 20 Lekar Gaye Hain Kya 8 Rakat 20 Ke Andar Nahi Aati? Aur 20 Hi Nikli To Aapki Ruswai Kitni Buri Hogi Zara To Socho......
_"TARAVEEH 20 PAR SAHABA KA AMAL AUR IJMA"_
20 Rakat Taraveeh Ko Bid'ate Farooqi Keh Kar Manne Se Inkar Karne Wale Gair Muqallideen 8 Rakat To Sabit Kar Hi Nahi Sakte Bas Wo Hame Ye Batayen Ki 8 Ho Ya 20 Ramzan Ke Pure Mahine Me Taraveeh Jamat Se Padhna Ye Kis Ki Sunnat Hai ????????
Ye Bhi To Hazrat Umar Hi Ki Sunnat Hai, Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Ek Maah Ba Jamat Taraveeh Padhna Gair Muqallideen Sabit Kar Sakte Hain.??????
Ajeeb Baat Hai Ek Sunnat Me Ita'at Ek Me Mukhalifat.
20 Rakat Taraveeh Padhna Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Hai Jaisa Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas Hain Ki Riwayat Se Sabit Hua, Is Par Tamam Sahaba Ka Amal Aur Ijma Hai Aur Tawatur Se Yahi Chala Aaraha Hai....
Hazrat Umar, Hazrat Usman, Aur Hazrat Ali رضى الله عنهم Ke Ahde Khilafat Me Taraveeh Ka 20 Rakat Hona Darj Za'il Riwayaton Se Sabit Hai Jo Sab Ki Sab Sanad Ke Lihaz Se Sahi Hai.
1= Daure Hazrat Amirul Momineen Sayyedna Umar Farooq رضى الله عنه Aur 20-Rakat Taraveeh.
Hazrat YAHYA Bin Sa'eed رحمه الله تعالى Se Marwi Hai,
ان عمر بن الخطاب امر رجلاً يصلى بهم عشرين ركعة
Hazrat Umar Bin Khattab رضى الله عنه Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ki Wo Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko 20 Rakat Taraveeh Padhayen
📚 _مصنف ابن ابى شيبه، ج-٢، ص-٣٩٣_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-10*
Hazrat Yazeed Bin Roman رحمه الله تعالى Kehte Hai,
عن يزيد بن رومان انه قال كان الناس يقومون فى زمان عمر بن الخطاب فى رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yazeed Bin Roman Kehte Hain Log (Sahaba Wa Taba'een) Hazrat Umar Ke Zamane Me 23 Rakat Padhte The (20-Taraveeh 3-Vitr)
📚 _مؤطا امام مالك، ص-٤٣_
Hazrat Abdul Azeez Bin Rafee Kehte Hain,
عن عبد العزيز بن رفيع قال كان ابى بن كعب يصلى بالناس فى رمضان باالمدينة عشرين ركعة ويوتر بثلاث
Abdul Azeez Bin Rafee Kehte Hain Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Logon Ko Ramzan Me Madinah Me 20 Rakat Taraveeh Aur 3 Witr Padhate The.
📚 _مصنف ابن ابى شيبه،، ج-٢، ص-٣٩٣_
2= Daure Hazrat Amirul Momineen Sayyedna Usman Bin Affan رضى الله عنه Aur 20-Rakat Taraveeh.
عن السائب بن يزيد قال كانو يقومون على عهد عمر بن الخطاب فى شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانو يقرون باالمئين وكانو يتوكون على عصيهم فى عهد عثمان بن عفان من شدة القيام
Hazrat Sayeb Bin Yazeed Farmate Hain Ki Hazrat Umar Aur Hazrat Usman رضى الله عنهما Ke Zamane Me (Sahaba E Kiram) Ba'jamat 20 Rakat Taraveeh Padhte The, Aur (Imam) 100-100 Aayaat Wali Surten Padhte The, Aur Log Lambe Qayam Ki Wajah Se Hazrat Usman Ke Daur Me Lathiyon Ka Sahara Lete The.
📚 _السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٤٩٦، باب- ماروى فى عدد ركعات القيام فى شهر رمضان_
3= DAURE Amirul Momineen Sayyedna Hazrat Ali رضى الله عنه Aur 20 Rakat Taraveeh,
حدثنى زيد بن على عن أبيه عن جده عن على انه امر الذى يصلى بالناس صلاة القيام فى شهر رمضان أن يصلى بهم عشرين ركعة يسلم فى كل ركعتين ويراوح ما بين كل اربع ركعات فيرجع ذوالحاجة ويتوضأ الرجل وأن يوتر بهم من آخر الليل حين الإنصراف
Imam Zaid Apne Walid Hazrat Imam Zainul Abideen Se Wo Apne Walid Saiyyedna Imam Husain Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali Ne Jisko Ramzan Me Taraveeh Ka Imam Banaya Use Hukm Diya Ki Wo Logon Ko 20-Rakat Padhaye Aur Har 2 Rakat Pe Salam Phere, Aur Har 4 Rakat Me Itna Aaram Kare Ki Kisi Ko Hajat Ho To Wo Farig Ho Le Aur Sab Se Akhir Me Witr Padhaye.
📚 _مسند الامام زيد، ص-١٥٨، باب القيام فى شهر رمضان_
عن أبى الحسناء أن عليا أمر رجلا يصلى بهم فى رمضان عشرين ركعة
Hazrat Abul Hasna Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali Ne Eik Shakhs Ko Hukm Diya Ki Wo Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Padhaye.
📚 _مصنف ابن ابى شيبه، ج-٥، ص-٢٢٣، كم يصلى فى رمضان من ركعة؟ رقم الحدیث-٧٧٦٣_
TARAVEEH Ki Jo Namaz Huzoor Se Hazrat Amirul Momineem Sayyeda Abu Bakar Siddiq Ke Zamane Tak Akele Ya Kai Kai Jamaton Ki Shakl Me Hoti Thi Wo Hazrat Umar Ke Zamane Se Ba'qaidah Ba'jamat Ek Imam Ke Piche Hone Lagi, Aur Tab Se Ab Tak 20 Hi Ka Mamool Ban Gaya.
Khulafa E Rashideen (Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali رضى الله عنهم) Ke Ilawah Bhi Digar Sahaba Se 20 Hi Rakat Taraveeh Manqool Hai, Chand Mash'hoor Sahaba Wa Taba'een Ka Amal Ikhtesar Se Pesh Kiya Jata Hai.
Sahabiye Rasool صلى الله عليه وسلم Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنه Ka Amal,
Hazrat Zaid Bin Wahab (زيد بن وهب) Farmate Hain,
كان ابن مسعود يصلى بنا فى شهر رمضان فينصرف وعليه ليل قال الاعمش كان يصلى عشرين ركعة ويوتر بثلاث
Tarjamah-
Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Ramzanul Mubarak Me Hame Taraveeh Padhate The Aur Ghar Laot Jate To Raat Abhi Baqi Hoti Thi, Hadees Ke Rawi Imame Aa'mash Farmate Hain Aap 20 Rakat Aur 3witr Padhate The.
📚 _قيام الليل للمروزى، ص-١٥٧_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-11*
Hazrat Ataa Bin Abi Ribah رحمه الله تعالى Jalilul Qadr Taba'ee Hain 200 Sahaba Ki Ziyarat Ki Hai Aap Farmate Hain,
ادركت الناس وهم يصلون ثلاثا وعشرين ركعة بالوتر
Mein Ne Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko 20 Rakat Taraveeh Aur 3 Witr Padhte Paya.
📚 _مصنف ابن ابى شيبه، ج-٥، ص-٢٢٤، رقم الحدیث ٧٧٧٠_
Hazrat Shutair Bin Shakl رحمه الله تعالى Mash'hoor Taba'ee Hain Hazrat Ali رضى الله عنه Ke Shagird Hain Aapke Bare Me Riwayat Hai,
عن شتير بن شكل وكان من اصحاب على انه كان يو مهم فى شهر رمضان بعشرين ركعة ويوتر بثلاث
Tarjamah-
Hazrat Shutair Bin Shakl Jo Ki Hazrat Ali Ke Shagirdon Me Hain, Logon Ko Ramzan Me 20-Rakat Taraveeh Aur 3-Vitr Padhate The.
📚 _السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٩٦_
Hazrat Suwed Bin Gaflah رحمه الله تعالى Bade Taba'ee Hain Aapne Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنهم Ki Ziyarat Ki Hai Aur Unse Riwayat Lee Hai Aapke Bare Me Hazrat Abul Khaseeb Farmate Hain,
كان يومنا سويد بن غفلة فى رمضان فيصلى خمس ترويحات عشرين ركعة
Tarjamah-
Hazrat Suwed Bin Gaflah Hame Ramzan Me 5 Tarvihe Yani 20-Rakat Taraveeh Padhate The.
📚 _السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٤٩٦_
Hazrat Sa'eed Bin Jubair (سعید بن جبیر) رحمه الله تعالى Bade Taba'een Me Shumar Hote Hain, Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Ibne Zubair, Hazrat Ibne Umar, Hazrat Adi Bin Hatim رضى الله عنهم Ki Ziyarat Ki Aur Unse Riwayat Lee, Aapko Hajjaj Bin Yusuf Ne Zulman Qatl Kiya Tha, Aapke Muta'alliq Isma'eel Bin Abdul Malik رحمه الله تعالى Farmte Hain,
كان سعيد بن جبير يومنا فى شهر رمضان فكان يقرء بقرائتين جميعا، يقرءليلة بقراءةابن مسعود فكان يصلى خمس ترويحات
Tarjamah-
Hazrat Sa'eed Bin Jubair Ramzanul Mubarak Me Hamari Imamat Farmate The, Aap Dono Qir'aten Padhte The, Ek Raat Ibne Masood Ki Qirat Padhte (Aur Dusri Raat Hazrat Usman Wali Qirat) Aap 5-Tarvihe Yani 20-Rakat Taraveeh Padhte The.
📚 _مصنف عبد الرزاق، ج-٤، ص-٢٠٤، رقم الحدیث-٧٧٧٩_
Amale Sahaba Wa Taba'een Se Bhi Taraveeh Ka 20-Rakat Hi Hona Sabit Ho Gaya,
*"20-Rakat Taraveeh Aur 4 Imam"*
Sawade Azam Ahlesunnat Wa Jamat Ke 4 FIQHI Mazahib Jinki TAQLEED 12 Sadyon Se Ummat Karti Aarahi Hai Aur In 4 Mazahib Ke Aimmah Imame Azam Abu Hanifah, Imame Malik, Imame Shafai, Imame Ahmad Bin Hambal رضى الله عنهم Jinko Bil Ijma Puri Ummat Ne Apna Imam O Peshwa Qubool Kiya Hai Aur Ab Qaymat Tak Tamam Musalmano Par Inme Se Kisi Eik Ki TAQLEED Karni Wajib Hai, Aur Jo Inme Se Kisi Ek Ki TAQLEED Na Kare Aur Gair Muqallid Bane Wo Aalim Ho Ya Jahil Muhaqqiq Ho Ya MUDAQQIQ Beshak Wo Gumrah Aur Gumrah Gar Hai, In 4ron Imamo Ke Nazdeek Bhi Taraveeh 20 Rakat Hai, Haan FAQAT Imame Malik Ke Bare Me 2 Riwayate Hain Ek 20 Ki Aur Ek 36 Rakat Ki, Aur 36 Rakat Wo Is Liye Ki Makka Sharif Wale Har 8 Rakat Ke Baad 7 Martaba Khanae Kaba Ka Taawaf Karte The Aur Madine Ke Rehne Wale Is Par Qadir Na The To Ahle Madina Ne Iska Badal Ye Nikala Ki Har Tawaf Ke Badle 4 Rakat Ka Izafa Kiya Imame Malik Ne Bhi Isi Ko Ikhteyar Kiya Yani 16 Za'id Nawafil.
Hazrat Ibne Qudamah Muqaddasi Hambali رحمه الله تعالى Farmate Hain,
انما فعل هذا اهل المدينة لانهم ارادوامساواة اهل مكة فان اهل مكة يطوفون سبعا بين كل ترويحتين فجعل اهل المدينة مكان كل سبع اربع ركعات
Tarjamah-
Ahle Madinah Ne Ye Is Liye Kiya Tha Taki Ahle Makkah Se Barabari Ho Jaye Kyun Ki Ahle Makkah Har 2 Tarvihon Ke Darmiyan 7 Martaba Baitullah Ka Tawaf Karte The, Lihaza Ahle Madina Ne Har 7 Tawaf Ki Jagah 4 Rakaten Badha Dee.
Phir Ibne Qudamah Likhte Hain,
Lekin Chunki Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Se 20 Hi Rakat Marwi Hai Is Liye Hame Isi Ki Itteba Karni Chahiye Khawah Kisi Jagah Bhi Rahen, Kyu Ki As'haabe Rasool صلى الله عليه وسلم Hi Sab Se Behtar Hain Aur Itteba Ke Ziydah HAQDAR Hain.
📚 _المغنى، ج-٢، ص-١٦٧_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Razman Special Part-12*
Gair Muqallideen Ki Baat To Yahan Aur Bhi Bigdegi Kyun Ki Imame Malik 20 Aur 36 Dono Ke Qayel Hain, Magar 8 Ke To Hargiz Nahi Hain, Balki 20 Aur 36 Ke Hain Aur Gair Muqallideen Nafs Parast Log Deen Me Aasani Paida Karne Wale Ise Kab Qubool Karenege??
In 4 Aimmahe Haq Me Sab Se Afzal O Aala Baland O Baala, Buzurg O Bartar, Girton Ko Uthane Wale, Doobton Ko Bachane Wale, Raahe Hidayat Dikhane Wale, 72 Sahaba Ki Ziyarat Farmane Wale, Huzoor Pur'noor Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Bin Zoota Kufi رضى الله عنهم Ke Mazhabe HAQ Me Bhi Taraveeh 20-Hi Rakat Hai.....
Imam Fakhruddin رحمه الله تعالى Fatawa Qazi Khan Me Likhte Hain,
عن ابى حنيفة قال القيام فى شهر رمضان سنة..... كل ليلة سوى الوتر عشرين ركعة خمس ترويحات
Tarjamah-
Imame Azam Abu Hanifah رضى الله عنه Farmate Hain Ki Ramzan Me Har Raat Me 5 Tarvihe (20-Rakat Taraveeh) Padhna Sunnat Hai 3 Witr Ke Ilawah.
📚 _فتاوى قاضى خان، ج-١، ص-١١٢_
Malki Mazhab Ke Imam O Peshwa Rehbare Ahlesunnat Wa Jamat Ashiqe Sadiq Rasool E Pak صلى الله عليه وسلم Imame Darul Hijrat Huzoor Saiyyedna Imam Malik Bin Anas رضى الله عنه Ka Amal Bhi 20 Rakat Taraveeh Par Hai,
Allam Ibne Rushd Malki رحمه الله تعالى Farmate Hain,
واختار مالك فى أحد قوليه....... القيام بعشرين ركعة
Imam Malik Ne Ek Qaul Me 20 Rakat Taraveeh Ko Pasand Farmaya Hai. Dusra Qaul 36 Ka Hai Jisme 20 Taraveeh Aur 16 Za'id Nawafil
📚 _بداية المجتهد،،، ج-١، ص-٢١٤_
Shafai Mazhab Ke Imam O Peshwa Ataye Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Huzoor Saiyyedna Imam Muhammad Bin Idrees Shafai رضى الله عنه Farmate Hai....
وهكذا ادركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة
Mein Ne Apne Shaher Makka Sharif Me Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Padhte Paya Hai.
📚 _جامع الترمذي،،، ج-١، ص-١٦٦_
Imam Ibne Qudamah Hambali رحمه الله تعالى Apne Mazhab Ke Imam O Peshwa Imame Ahlesunnat Wa Jamat Saiyyedna Imam Ahmad Bin Hambal رضى الله عنه Ke Hawale Se Likhte Hain,
والمختار عندأبى عبدالله فيها عشرون ركعة وبهذا قال الثورى وأبو حنيفة والشافعى
Tarjamah-
Imam Abu Abdullah (Ahmad Bin Hambal) Ke Nazdeek Mukhtar Aur Rajeh 20-Rakat Hi Hai, Aur Imam Sufyan Soori, Imame Azam Abu Hanifah, Aur Imam Shafai Bhi 20 Hi Ke Qayel Hain.
📚 _المعنى لابن قدامه، ج-٢، ص-٣٦٦، مسئله-٢٤٧_
Sahabe Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Wa Taba'eene Izam رحمهم الله تعالى Wa Mujtahidine Kiram Auliyae Islam Sab 20 Ya Usse Za'id Ke Qayel Hain 8 Rakat Ke Qayel Wala Hame Door Door Tak Mash'hoor Islami Shaksiyaton Me Koi Nazar Nahi Aata......
20 Par Ijma Wa Tawatur Hai Magar Kuch Ulma Isse Bhi Ziyadah Ke Qayel Hain Jaisa Ki Tirmizi Sharif Ki Is Riwayat Se Pata Chalta Hai,
واختلف اهل العلم فى قيام رمضان فرأى بعضهم ان يصلى احدى واربعين ركعة مع الوتر وهو قول اهل المدينة والعمل على هذا عندهم بالمدينة وأكثر اهل العلم على ما روى عن على وعمر وغيرهما من اصحاب النبى صلى الله عليه وسلم عشرين ركعة وهو قول الثورى وابن المبارك والشافعى وقال الشافعى وهكذا ادركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة
Tarjamah-
Ahle Ilm Ne Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Bare Me Ikhtelaf Kiya Hai, Unme Se Baaz Vitr Samet 41 Ra'akton Ke Qayel Hain, Yani Ahle Madinah Ka Qaul Hai Aur Isi Par Unka Amal Hai, Aur Ziydah Tar Ahle Ilm 20 Rakaton Ke Qayel Hain Jo Hazrat Ali, Hazrat Umar In Dono Ke Ilawah Digar As'habe Nabi صلى الله عليه وسلم Se Manqool Hai, Yahi Sufyan Soori Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Shafai Ka Qaul Hai, Aur Imam Shafai Ne Farmaya Mein Ne Apne Shaher Makka Me Paya Hai Ki Wo 20 Rakat Taraveeh Padhte Hain.
📚 _ترمذى شريف، ج-١، ص-٩٩_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-13*
Ahle Madinah 36 Rakat Taraveeh Aur 5 Rakat Vitr Ke Qayel The, Piche Jo Ahle Madinah Ki Taraf 36 Rakat Taraveeh Ke Qayel Hone Ka Qaul Guzra Wo Vitr Ko Chhod Kar Tha, 5 Rakat Vitr Mila Kar Wo 41 Rakaton Ke Qayel The Pehli Aur Is Riwayat Me Koi Tazad Nahi Hai.
📚 _فتح البارى، ج-٤، ص-٢٥٣_
Gaur Kijiye Imam Tirmizi رحمه الله تعالى Ne Kai Hazraat Ke Naam Ginwa Diye, Inme Se Koi Bhi 8 Ka Qayel Nahi Sab 20 Ya Usse Ziydah Hi Ke Qayel Hain.....
Gair Muqallideen Aur Deobandiyon Ke Shaikhul Islam Ibne Taiymiyah Hambali Ne Bhi 20 Rakat Hi Ko Sunnat Aur Sahi Qarar Diya Hai Wo Likhte Hain,
فانه قد ثبت ان ابى بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة فى قيام رمضان ويوتر بثلاث فرأى كثير من العلماء ان ذالك هوالسنة لانه اقامه بين المهاجرين والأنصار ولم ينكره منكر
Tarjamah-
Ye Baat Sanade Sahi Se Sabit Hai Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko Ramzanul Mubarak Me 20-Rakat Taraveeh Aur 3 Vitr Padhate The, Lihaza Bahot Saare Ulma Isi Ko Sunnat Qarar Dete Hain, Kyu Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Ne 20 Rakat Taraveeh Hazraate Muhajireen O Ansaar Ki Maojudgi Me Padhai Thi'n Aur Kisi Ne Bhi Inkar Nahi Kiya.
📚 _فتاوى ابن تيمية، ج-٢٣،، ص-١١٢_
Garaz Ki Jo Mamool Hazrat Umar رضی اللہ تعالی عنہ Ke Daur Se Chala Wo Hunooz Chala Aaraha Hai Ummat Ke Sabhi Auliya Ulma Muhaddiseen Mujtahideen Mufassireen Ne Is Par Amal Kiya Hai, Aur Ye Masla Ijama'ee Ho Gaya Hai, Ab Isse Farar Ki Koi Surat Nahi.
Hujjatul Islam Sayyedna Imam Muhammad Gazaali رضى الله عنه Ko Kaun Nahi Janta Hai, Aap Farmate Hain,
التراويح وهى عشرون ركعة وكيفيتها مشهورة وهى سنة مكدة
Taraveeh 20 Rakaten Hain Jinka Tariqah Mash'hoor O Maroof Hai, Aur Yahi Sunnate Mo'akkedah Hai.
📚 _احياءالعلوم، ج-١، ص-٢٤٣_
Piron Ke Peer Roshan Zameer Huzoore Gausul Azam Dastageer Sayyedna Shaikh Abdul Qadir Jilani رضی اللہ تعالٰی عنہ Jinko Musalmano Ka Bachcha Bachcha Bade Peer Ke Naam Se Janta Hai Aap Farmate Hain,
صلوة التراويح سنة النبى صلى الله عليه وسلم وهى عشرون ركعة
Taraveeh Ki Namaz Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sunnat Hai, Aur Yeh 20 Hi Rakat Hai.
📚 _غنية الطالبين،،، ص-٢٧٨_
Mazeed Dekhiye Ahde Risalat Se Aaj Tak Tamam Bilaade Islamiyah (Islami Shehron) Me Isi Par Amal Hota Aaya Hai, Harmain Sharifain (Makka Aur Madinah) Me Bhi Isi Par Aaj Tak Amal Ho Raha Hai.
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-14*
_"20-RAKAT TAVEEH KI 1400-SALA TAREEKH"_
Gair Muqallideen Ki Maali Madad Saudi Se Hoti Hai Aur Hind O Pak Me Wahabi Deobandi Ahlesunnat Wa Jamat Ko Amaale Khair (Niyaz Fatihah, Durudo Salam, Milad Etc) Se Rokne Ke Liya Makka Aur Madinah Sharif Ki Dhons Jamate Hain, Aisa To Saudi Me Nahi Hota Jo Saudi Me Hota Hai Wahi Mano Islam To Saudi Se Aya Hai Etc.....
Magar Kya Aapko Pata Hai Namaze Taraveeh Makka Aur Madinah Sharif Me Kitni Rakat Hoti Hai?
Masjide Nabwi صلى الله عليه وسلم Ke Mudarris Madinah Sharif Ke Qazi Saudi Arab Ke Mash'hoor O Maroof Aalim Shaikh Atiya Saalim Ne Arbi Me Ek Kitab Likhi Hai,
*التراويح اكثر من الف عام*
Taraveeh Ki Hazar Saal Se Ziydah Tareekh (Ye Kitab Aasani Se Hujjaj Ke Zarye Saudi Se Mangwa Sakte Hain, Ya Mumbai Delhi Se Urdu Tarjame Wali Kharidi Ja Sakti Hai) Is Kitab Me Unho Ne Bataya Ki Masjide Nabwi Aur Harame Kaba Me SAHABA E KIRAM رضوان الله عليهم أجمعين Ke Zamane Se Aaj Tak Kitni Rakat Taraveeh Ho Rahi Hai, Wo Kitab Ke Muqadme Me Likhte Hain,
"Masjide Nabwi Me Taraveeh Ho Rahi Hoti Hai To Kuch Log 8 Padh Kar Bhag Jate Hain, Unka Khayal Hai Ki 8 Padhna Behtar Hai, Aur Isse Ziydah Jayez Nahi, Is Tarah Ye Log Masjide Nabwi Me Baqya Taraveeh Ke Sawab Se Mehroom Hote Hain, Unki Is Mehroomi Ko Dekh Kar Afsos Hota Hai Lihaza Ye Kitab Likh Raha Hun Taaki Un Logon Ke Shukook O Shubhaat Khatm Hon, Aur Unhe Bhi 20 Hi Rakat Padhne Ki Taufeeq Mil Jaye"
📚 _التراويح اكثر من الف عام،، ص-٦_
Phir Uske Baad Atiya Saalim Ne Pehli Sadi Hijri Se 14wi Sadi Tak Ka Mamool Bataya Hai, Wo Likhte Hain,
"Pehli Dusri Tisri Sadi Hijri Me Taraveeh Vitr Ke Sath Masjide Nabwi Me 23 Aur 39 Tak Hui Hai"
4thi 5wi 6thi Hijri Ke Bare Me Likhte Hain,
عادت التراويح فى تلك الفترة كلهاالى عشرين ركعة فقط بدلا من ست وثلا ثين فى السابق
Tarjamah-
In 3 Sadiyon Me Taraveeh 36 Ke Bajaye Hasbe Sabiq (Purane Tariqe Par) Phir 20-Rakat Padhi Jane Lagi.
_التراويح اكثر من الف عام، ص-٤٢_
Phir 7wi Se 13wi Sadi Tak Yani 600—Saal Tak Ke Bare Me Likhte Hain,
فكان يصلى التراويح اول الليل بعشرين ركعة على المعتاد ثم يقوم آخر الليل فى مسجد بست عشرين ركعة
Tarjamah-
Shuru Raat Me Hasbe Dastoor 20-Rakat Taraveeh Padhi Jati Thi, Phir Raat Ke Aakhri Hisse Me 16 Rakaten Nafl Padhi Jati Thi.
_التراويح اكثر من الف عام،،، ص-٤٧_
Phir 14sadi Hijri Ke Shuru 50 Saal Ke Bare Me Likhte Hain,
"14wi Sadi Ke Pehle 50 Saal Tak Masjide Nabwi Me Taraveeh Ka Yahi Silsila Qa'im Raha, Pehle 20 Rakat Taraveeh Padhi Jati Thi, Phir Raat Ke Akhri Hisse Me Mazeed 16 Rakaten Padhi Jati Thi, Phir 14wi Sadi Ke Akhri 50-Saal Me Aale Saud Ki Hukumat (Maujudah Najdi Hukumat) Qaim Hui To Makka Sharif Aur Madinah Sharif Dono Jaghon Ki Masjidon Me 5 WAQT Ki Namaz Aur Jamat Aur Taraveeh Ke Nizam Ko Ziydah Behtar TARIQE Se Intezam Kiya Gaya.
اما عدد الركعات وكيفية الصلوة فكانت عشرين ركعة بعد العشاء وثلاث وتر وذالك طيلة الشهر
TARJAMAH-
Rakaat Ki Aur Namaz Ki Kaifiyat Ka Haal Ye Hai Ki Namaze Isha Ke Baad 20-Rakat Taraveeh Aur 3-Vitr Padhi Jati Hain, Pure Ramzan Aisa Hi Rehta Hai.
📚 _أيضاً،، ص-٥٤_
Natijatan Atyah Saalim Likhte Hain,
فتكون التراويح قد استقر على عشرين ركعة على ما يدل عليه العمل فى جميع البلاد
TARJAMAH-
Is Tarah Taraveeh Ka 20-Rakat Padhna Bilkul Pukhta Aur Mazboot Ho Gaya Jaisa Ki Ab Tamam Mulkon Aur Shehron Me Isi Par Amal Hai
📚 _أيضاً،، ص-٦٥_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-15*
Maojudah 15wi Sadi Me Bhi Harmain Sharifain Me 20 Hi Rakat Taraveeh Hoti Hai, Aur Ise Dunya Bhar Ke Lakhon Karodon Hujjaj Wa Za'ireen Apni Aakhon Se Dekhte Hain Kaba Sharif Me 2 Hafiz Hote Hain Ek 10 Padha Kar Piche Aata Hai Aur Dusra 10 Padhata Hai Aur Pehla Dusre Ke Piche Apni BAQYA 10 Padhta Hai......
Garaz Ki Ahde Sahaba Se Aaj Tak In MUQADDAS SHERON Me Kabhi 20 Rakat Se Kam Taraveeh Hui Hi Nahi....
Agar Hui Bhi Thi To Ziyadh Kam Nahi, NASLAN BADA NASLIN QARNAN BADA QARNIN Tawatur Se 20 Rakat Muntaqil Hoti Aarahi Hai Aur Tawature NAQL Khud Hujjate Shari Hai.
1400 Saala Tarikhe Taraveeh Likhne Ke Baad Atiya Saalim Ne Jo Tabserah Aur Nasihat Kee Hai Wo Padhne Se TA'ALLUQ Rakhta Hai, Wo Kehte Hain,
Arbi Ka Tarjamah-
"Iske Tarikhi Tafsili Tajziyah Ke Baad Hum Qari'een Se Puchna Chahte Hain Ki Masjide Nabwi Me Taraveeh Ke Aagaz Se Ab Tak 1400 Saala Tareekh Me Kya Taraveeh 8 Rakat Padhna Sabit Hai Ya 8 Na Sahi 20 Se Kam Padhna Sabit Hai, Balki Sabit To Yahi Ho Raha Hai Ki In Puri 14 Sadiyon Me Jo Taraveeh Padhi Gai Wo 20 Hai Ya Usse Ziyadh 40 Tak.
Is Tarah Hum Qari'een Se Puchna Chahte Hain Maazi Me Kisi Sahabi Ya Aalim Ne Ye Fatwa Diya Hai Ki 8 Se Ziydah Taraveeh Jayez Nahi, Aur Usne Hazrat Aishah Siddiqah رضى الله عنها Wali Hadees Ko Apne Fatwe Ki Bunyad Banaya Hai?
Algaraz In 14 Sadiyon Me Koi Aisa Qabile Zikr Shakhs Hame Nahi Milta Jo Kahe Taraveeh 8 Se Ziyadh Jayez Nahi, Aur Naahi Yeh Sabit Hota Hai Ki Masjide Nabwi Me Ba'jamat Sirf 8 Rakat Taraveeh Padhi Gai Ho, Phir Jo Log 8 Par Zidd Karte Hain Aur Dusron Ko 8 Padhne Ki Dawat Dete Hain, Hum Unse Bas Itna Arz Karenge Ki KHULAFA E RASHIDEEN Ke Zamane Se Aaj Tak Musalmano Ke Marakiz (Makka Aur Madina) Me Jo 20 Rakat Taraveeh Hoti Aarahi Hai Usi Par Chale'n Aur Sabeele Momineen (Musalmano Ke Raste) Se Juda Na Ho'n Aur Unki Mukhalifat Se Bachen"
📚 _التراويح اكثر من الف عام،،، ص- ١٠٨،١٠٩_
Ye Kitab Kisi Sunni Hanfi Barelvi Aalim Ki Nahi Balki Hambali Najdi Saudi Aalim Ki Hai Jahan Ke Rupye Paise Se Gair Muqallideen Ki Dukane Chal Rahi Hai, Gair Muqallideen Saudi Ja Kar Salfi (Buzurgon Ke Raste Par Chalne Wala) Bante Hain Lekin Hum Sab Jante Hain Ki Inka Imamo Waliyon Hatta Ki Sahaba Se Tak Ikhtelaf Hai Ye Dogle Log Jo Bholi Bhali Awam Ko Quran O Sunnat Ke Naam Se Dhoka De Rahe Hain Ye Angrezi Fitna Hai Musalman Inke Fareb Me Na Aayen Aur Inki HAQIQAT Ko Pehchane'n.
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-16*
"MASLAE TARAVEEH ME SANAD KI TEHQEEQ"
Grammer Aur Ahadees O AMALE Sahaba Wa Taba'een Se Taraveeh Ka 20 Rakat Sunnate Moakkedah Hona Sabit Hua, Aur Gair Muqallideen Ki Pesh Kardah Ahadees Par Bhi Bit'tafseel Bahes Ki Gai Aur 1400 Saala Islami Tareekh Najdi Aalim Ke Qalam Se Humne Aapke Samne Rakh Dee.....
Aaj Kal Gair Muqallideen Ki Ye Sazish Hai Ki Fuqhae Ahnaaf Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Karte Hain Unke AQWAL Ko Tod Marod Kar Apne Mizaj Ke Mutabiq Banate Hain, Hum Uska Bharpur Jayezah Apni KITAB
*"ULMAE E AHNAAF AUR RAKATE TARAVEEH"* Me Lenge.
Ab Akheer Me Ye Baat Samjhen Jo Hasile Guftagu Ke Taur Par Pesh Ho Rahi Hai, 8 Ko Sunnat Aur 20 Ko Gair Sunnat Kehne Wale, Hazrat Abdullah Bin Abbas رضى الله عنهما Ki 20 Rakat Taraveeh Wali Hadees Ko Sirf Ek Rawi Ki Wajah Se Za'eef Qarar Dete Hain, Jab Ki Wo Ye Qaidah Bhool Jate Hain Ki Sanad Dekhne Ki Zarurat Kis Hadees Ke Silsile Me Pesh Aati Hai.
Chaliye Ye Bhi Hum Hi Bata Kar Aap Par Aur Aapke Ullu'ma Par Ehsane Azeem Kar Den....
Qaidah-
Eik Hadees Wo Hai Jo Ummat Ke Beech Bil Ittefaq Qubool Ki Gai (Jaise Abdullah Bin Abbas Ki 20 Rakat Wali Hadees) Sahaba Ne Taba'een Ne Aimmah Arbah Ne Aur Ulmae Muqqiqeen Ne Qubool Kiya Aur Inme Se Har Ek Ka Amal Bhi Isi Ke MUTABIQ Hai Aur Dusri Hadees Wo Hai Jo MUKHTALAF FEEH Hai (Jisme Ikhtelaf Hai) Aur Usse Nikalne Wale Hukm Par Na Sahaba Ne Ittefaq Kiya Na Amal Aur Na Baad Walon Ne (Jaise 8 Rakat Taraveeh Wali Hadees) Zahir Hai Sanad Dekhne Ki Zarurat Is Hadees Me Hogi Na Ki Pehli Qism Ki Hadees Me.
Sanad Ki Zarurat Wahan Hoti Hai Jahan Ikhtelaf Ho, Maslan Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Namaz Me Hath Kahan Bandhe, Aameen Ahista Kahi Ya Zor Se, In Jaise Masayel Me Zamanae Sahaba Se Aaj Tak Ikhtelaf Hota Aaraha Hai Jo Jispar Aitemad Karta Hai Uske Qaul Ko Leta Hai, Aur Jahan Ekhtelaf Ki Habba Barabar Bhi Gunjaish Na Ho Hazraate Sahaba Ke MUQADDAS Daur Se Aaj Tak JUMLA MUHADDISEEN AIMMAHE MUJTAHIDEEN Aur FUQHAE KIRAM Ka Ittefaq Ho Ye ITTEFAQ Ye Amli Tawatur Aur "TULAQQI BIL QUBOOL" Khud Sanad Hai Aur Nihayat Qabile Wasooq Sanad Hai.
Gair Muqallideen Ke Motamad Hafiz Ibne Qaiyyim Hambali Ne Wassiyat Taharat Wagerah Ki Chand Hadisen Likhne Ke Baad Jo Ibarat Likhi Hai Wo Padhne Se Ta'alluq Rakhti Hai Wo Kehte Hain,
وان كانت هذه الاحاديث لا تثبت من جهة الاسناد، ولكن لما تلقتها الكافة عن الكافة غنو بصحتها عندهم عن طلب الاسنادلها
Tarjamah-
Ye Ahadees Agarche Sanad Ke Aitebar Se Sabit Nahi Hain, Lekin Jab Sab Logon Ne Sab Logon Se Riwayat Karte Huye Ise TULAQQI BIL QUBOOL (تلقى بالقبول) Ka Darjah De Diya, To Ab Sehte Hadees Ko Janchne Ke Liye Sanad Talab Karne Ki Zarurat Nahi Rahi.
📚 _اعلام الموقعين،،، ج-١،، ص-٢٠٢_
Ab Aap Samajh Gaye Honge Naqle Tawatur Ummat Ke Tamam Logon Ka Amal Ye Khud Hujjate Shari Hai Aur 20-Rakat Ijmaye Ummat Se Sabit Ho Gai Aur Ab Iska Inkar Ya Isse Farar Na Karega Magar Gumrah.
Akheer Me Eik Dilchasp Aur Kaar'amad Baat Batata Chalun, 8 Rakat Tahajjud Wali Hadees Ko Taraveeh Samajhne Wale Munkire Hadees Firqah Ahle Quran Aur Qaydani Jamat Ke Log Hain Magar Afsos Ki Ab Gair Muqallideen Ki Samajh Daani Bhi Baanjh Ho Gai, Aur Wo Mukireene Hadees Wa Munkireene Khatme Nubuwwat Ki Raah Chalne Lage Ab Zaroori Maloom Hota Hai Ki Gair Muqallideen Ko Unhi Ke Shaikhul Islam Mualana Sana'ullah Amratsari Ki Eik Ibarat Dikhai Jaye, Unse Eik Sawal Hua Jo Ramzan Me Taraveeh Padh Le Phir Wo Tahajjud Padhe Ya Nahi, Jiska Jawab Wo Yun Dete Hain,
Jawab-
Padh Sakta Hai Kyun Ki Tahajjud Ka Waqt Subah Se Pehle Ka Hai Shuru Shab (Raat) Ka Nahi.
📚 _فتاوی ثنائیہ،، جلد-١،، صفحہ-٢٨٢_
Lijiye Aaphi Ke Shaikhul Islam Taraveeh Aur Tahajjud Ko Alag Alag Namaz Tasleem Kar Rahe Hain.
Ek MAQAM Par Yahi Shaikhul Islam Munkire Hadees MOLVI ABDULLAH CHAKDALWI Ke Dawa "TAHAJJUD AUR TARAVEEH EIK HI HAI" Ka Rad Karte Huye Likhte Hain,
"Aise Saaf Aur Wazeh Jawab Ko Paa Kar Bhi In CHAKDALWI Sahab Ne Qubool Nahi Kiya, Aur Puri Koshish Ki Ke Taraveeh Aur Tahajjud Ko Eik Hi Kahen, Yaani Jo Namaz Shuru WAQT Me Padhi Jati Hai (Isha Ke Faoran Baad Taraveeh) Usi Ko Akhri WAQT Ki Namaz Tahajjud Kahen, To Jawab Iska Ye Hai Ki Is Dawa (Ki Taraveeh Aur Tahajjud Eik Hi Hai) Par Koi Daleel Nahi, Balki Iske Khilaf Daleel Hai, Kyun Ki Tahajjud Ke Maana Hai Neend Se Uth Kar Namaz Padhna Jaisa Ki Qamoos Me Hai تهجد Ta'hajjada, (Jabki Taraveeh Sone Se Pehle Padhi Jati Hai) Aur Hazrat Aishah Siddiqah رضى الله عنها Ki Hadees Se Bhi Sabit Nahi Hota Ki Shuru Raat Aur Akhri Raat Ki Namaz Eik Hi Hai Usse Agar Kuch Sabit Bhi Hota Hai To Bas Yahi Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم 11 Rakaten Padhte The.
📚 _اہل حدیث کا مذہب، صفحہ-٩٣_
Tamam Gair Muqallideen Ko Chahiye Ki Apne Shaikhul Islam Ki Maane, Aur Har Saal RAMZAN Me Musalmano Ko Kasrate Ibadat Se Rok Kar Ibleese La'een Ka Sath Na Den Aur Is Puri Bahes Ko Ba'nazre Insaf Padhen Aur Akhirat Ki Fikr Karte Huye La'mazhabiyat Se Tauba Karen Aur Ahle HAQ AHLESUNNAT WA JAMAT Ke Mazahibe HAQQA Me Se Kisi Eik Ki TAQLIDI NISBAT IKHTERYAR Karen......
Allah Pak Hum Sab Ko Islam Par Zindah Rakhe Islam Par Uthaye Aur Aslaf Ke TARIQE Par Chalaye, Aur Tamam Sunni Mardo O Zann Ko Hamesha 20 Hi Rakat Taraveeh Maahe Ramzan Me Padhne Ki Taufiqe Rafeeq Ata Farmaye.