Saturday, 25 April 2020

Roze ka bayan/Roze ke masail/Roza detail


*Ramzan Special Part-1*


_Roze Ka Bayan_


يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ كُتِبَ عَلَيْكُمُ ٱلصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ أَيَّامًا مَّعْدُودَٰتٍ ۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ أَيَّامٍ أُخَرَ ۚ وَعَلَى ٱلَّذِينَ يُطِيقُونَهُۥ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ ۖ فَمَن تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَّهُۥ ۚ وَأَن تَصُومُوا۟ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ.....


Aye Imam Walon Tum Par Roza Farz Kiya Gaya, Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye,Taki Tum Gunaho Se Bacho, Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Baad Roza Rakhe), Aur Jo Taqat Nahi Rakhte (Boodha Admi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone Ki Ummid Na Ho) Wo Fidya Den, Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.

{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187, ترجمہ، کنزالایمان، از-اعلی حضرت علیہ الرحمہ}


Roze Ki Fazilat Me Ba-Kasrat Hadeesen Aai Hain, Huzoor Sarkare Do Aalam Janabe Muhammadur Rasulullah صلی اللہ علیہ والہ وسلم Ke Muqaddas Irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain,


*Hadees* ✍

Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain, Aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain.

{صحيح مسلم، كتاب الصيام، باب فضل شهر رمضان، الحديث-1079}


*Hadees* ✍

Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Se Riwayat Hai Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate.

{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}


To Be Continued=>


Kaleem Hanfi Razvi

📱0091-9820672770





*Ramzan Special Part-2*


*Hadees* ✍

Hazrat Salman Farsi رضی اللہ تعالٰی عنہ Kehte Hain Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Shaban Ke Akhri Din Bayan Farmaya, Farmaya Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme Eik Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai, Iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye, Aur Iski Raton Me Qayam (Namaz Padhna) Aur Jo Isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai Jaise Kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya, Aur Isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye, Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai, Aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, Is Mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya Jata Hai, Aur Jo Isme Roza Dar Ko Aftar Karaye Uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai, Aur Uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi, Aur Aftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega, Hum Ne (Sahaba Ne) Pucha Ya Rasulullah صلى الله عليه وسلم Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Nahi Paata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Allah Pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo Eik Ghunt Doodh Ya Eik Khajoor Ya Eik Ghunt Pani Se Roza Aftar Karwaye, Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Haoz (Haoze Kausar) Se Pilayega Aisa Ki Kabhi Piyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga, Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 Din) Rehmat, Jiska Awsat (11 Se 20 Din) Magfirat, Jiska Aakhir {21 Se Akhri Tak) Jahannam Se Azadi Hai, Jo Is Mahine Me Apne Gulam (Kaam Karne Wale Nokar Chakar Mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (Kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahannam Se Azad Farmayega.

{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}


Allahu Akbar Kabeera, Is Mahine Ki Ahmiyat Ka Andaza Lagaye Ki Iske Aane Se Qabal Hi Huzoor Iski Barkato Aur Rehmaton Ko Zikr Farma Rahe Hain Aur Isme Kiye Jane Wale Sawab Ke Kaam Irshad Farma Rahe Hain.


Subhan'allah Isse Badh Kar Ramzan Ki Azmat Aur Kya Hogi Ki Iske Ahtemam Ko Allah Ke Mehboob Paigambar Hamare Aaqa O Maola صلى الله عليه وسلم Bayan Farma Rahe Hain.


To Be Continued=>


Kaleem Hanfi Razvi

📱0091-9820672770





*Ramzan Special Part-3*


*Hadees* ✍

Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, Us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain


📚 _صحيح البخارى، كتاب بدء الخلق، باب صفةابواب الجنة، ج-1، ص-394، الحديث-3257_


*Hadees* ✍

Roza Aur Quran Bande Ki Shafa'at Karenge, Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se Ise Din Me Rok Diya, Meri Shafa'at Iske Haq Me Qubool Farma, Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz Rakha Meri Shafa'at Iske Haq Me Qubool Farma Dono Ki Shafa'aten Qubool Hogi


📚 _المسند، للإمام أحمد بن حنبل، ج-2، ص-586_


*Hadees* ✍

Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai, Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Uski Jaza Dunga, Banda Apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai, Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik Iftar Ke Waqt Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke Waqt Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo Allah Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai, Aur Roza Dhaal Hai (Admi Ke Liye Bachao Ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-Hudah Na Bake Na Chillaye, Aur Jab Koi Rozadar Se Gali Galoch Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun


📚 _مشكاة المصابيح، كتاب الصوم، الفصل الأول، جلد-1، صفحہ-541، الحديث-1959_


To Be Continued=>


Kaleem Hanfi Razvi

📱0091-9820672770







*Ramzan Special Part-4*


*Hadees* ✍

Jisne Allah Ki Riza (Khushi) Ke Liye Eik Din Ka Roza Rakha Allah Paak Use Jahannam Se Itna Door Kar Dega Jaise Kawwa Jab Bachcha Tha Us Waqt Se Udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara.

📚 _المسند، للإمام أحمد بن حنبل، الحديث-619_


Kawwa Bahot Lambi Umr Paata Hai 100 Saal Tak Ya Usse Ziyadah, To Wo Apni Umr Me Jitna Udta Hai Bachpan Se Budhape Tak Utne Fasle Par Allah Pak Rozedar Se Jhannam Ko Door Farma Dega.


*Hadees* ✍

Agar Kisi Ne Eik Din Ka Nafli Roza (Ramzan Ke Ilawa) Rakha Aur Zameen Bhar Use Sona (Gold) Diya Jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hua, Uska Sawab (Sahi Badla) To Qayamat Ke Din Hi Milega.


📚 _مسند أبي يعلي. الحديث-6104_


Subhan'allah Hum Gunehgaron Ki Bakhshish Ke Kaise Kaise Saman Diye Gaye Aur Ab Bhi Hum Ise Pura Na Karen To Kaisi Mehroomi Hogi, Ye Sab Farman Allah Ke Mehboob Malike Kaunain Sultane Darain صلى الله عليه وسلم Ki Zubane Aqdas Se Jaari Huye Hain, Inki Sachchai Pe Musalman Ko Pura Yaqeen Rakhte Huye Ramzane Kareem Me Apne Rozon Ko Pura Karna Hai,,,,

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*

📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-5*

*Hadees* ✍
Ibne Khuzaimah Ne Abu Masood Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain,
Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Cheez Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho.

📚 _صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان......إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886_

*Roze Ki Tareef*

Shariat Ki Istelah Me Roza Kehte Hain Musalman Ka Ibadat Ki Niyyat Se Subhe Sadiq Se Suraj Doobne Tak Apne Aapko Qasdan (Jante Huye) Khane Peene Aur Jima (Sohbat) Se Baaz Rakhna, Aurat Ko Roze Ke Liye Haiz O Nifas (M.C & Bachcha Paida Hone Ke Baad Jo Khoon 40 Din Tak Ata Hai) Se Pak Hona Shart Hai.

*Mas'ala* ✍
Roze Ke 3 Darje Hain,
1- Aam Logo Ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur Jima Se Rokna.

2- Khas Logo Ka Roza Kaan Aankh Zuban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna.

3- Khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa Apne Ko Sab Se Juda Karna Aur Apni Tamam Tawajjoh Ko Sirf Allah Ki Taraf Lagana

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-966_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-6*

*Mas'ala*
Aurat Haiz O Nifas Wali Thi Usne Raat Me Niyyat Ki Aur Subhe Sadiq Se Pehle Haiz O Nifas Se Paak Ho Gai To Roza Sahi Ho Gaya

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-969_

*Mas'ala* ✍
Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe Kubra (Suraj Jab Theek Sar Pe Aajaye Aur Admi Ka Saya Uske Pairon Me Aajaye Use Zawal Ya Zahwe Kubra Aur Nisfun"Nahare Shari Kehte Hain) Se Pehle Niyyat Kar Le, Zahwe Kubra Niyyat Ka Waqt Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke Waqt Niyyat Ki To Roza Na Hua.

📚 _Durre Mukhtar, Volume-3, Page-394_

*Mas'ala* ✍
Jis Tarah Aur Jagah Bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zuban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai, Magar Zaban Se Keh Lena Mustahab (Achcha) Hai, Agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe "Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye Is Ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga" Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe "Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga" Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe.

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-968_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770





*Ramzan Special Part-7*

*Mas'ala* ✍
Din Me Niyyat Karte Waqt Ye Kahe Ki Mai Subah Se Rozedar Hun Agar Ye Niyyat Kare Ki Ab Se Hun To Roza Na Hua.

📚 _Bahar-E-Shariat, Volume-5, Page-968_

*Mas'ala* ✍
Raat Me Niyyat Ki Aur Kha Pee Liya To Niyyat Khatm Na Hui Pehli Niyyat Hi Kafi Hai, Phir Se Niyyat Zaroori Nahi, Bas Subhe Sadiq Se Guroobe Afatab Tak Na Khaye To Roza Bhi Ho Gaya.

📚 _Alamgiri, Jild-1, Page-195_

*Mas'ala* ✍
Jis Tarah Namaz Me Baat Karne Ki Niyyat Kee Magar Baat Na Ki To Namaz Nahi Tooti, Isi Tarah Roze Me Roza Todne Ki Niyyat Se Roza Nahi Tootega Jab Tak Roza Todne Wali Chiz Na Kare.

📚 _Bahar-E-Shariat , Volume-5, Page-969_

*Mas'ala* ✍
Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (New) Niyyat Zaroori Hai, Pehli Ya Kisi Tarikh Me Poore Ramzan Ki Niyyat Ki To Ye Niyyat Sirf Usi Eik Din Ke Haq Me Hai Baqi Dino Ke Liye Nahi.

📚 _Bahr-E-Shariat Volume-5, Page-969_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-8*

_Jin Chizon Se Roza Nahi Toot'ta Unka Bayan_

*Hadees* ✍
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya, Jis Rozedar Ne Bhool Kar Khaya Ya Piya Wo Apna Roza Pura Kare, Use Allah Ne Khilaya Aur Pilaya

📚 _Sahi Muslim, Hadees No-1155_

*Hadees* ✍
_3 Chizo Se Roza Nahi Toot'ta,
1- Pachhna (Badan Se Fasid Khoon Nikalwana Jise Hijama Bhi Kehte Hai}

2- Qaye (Ulti, Jo Khud Se Ho Qasdan Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya)

3- Ehtelam (Sote Me Mani Ka Nikalna, Ya Bemari Ya Boojh Uthate Waqt Nikal Jaye To Roza Nahi Toota Apne Haton Nikala To Toot Gaya)

📚 _Tirmizi, Jild-2, Page-177, 719_

Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot'ta Wo Zail Me Hain 👇👇

*Mas'ala* ✍
Bhool Kar Khaya Piya Ya Jima (Sex) Kiya To Roza Nahi Toota, Chahe Roza Nafl Ho Ya Wajib Ya Farz.

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-981_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-9*

*Mas'ala* ✍
Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (Dhool Mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot'ta Chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho, Ya Galle Ka Gubar Ho, Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi Agarche Rozadar Hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota, Agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho Phir Chahe Jis Chiz Ka Dhuwan Ho, Yahan Tak Ki Agarbatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak Se Dhuwa'n Khicha To Roza Toot Gaya.
Yun Hi Huqqa Peene Se Bhi Roza Toot Gaya, Aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir Huqqa Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega (61 Roze Rakhne Honge)

📚 _Bahar-E-Shariat, Volume-5_

*Mas'ala* ✍
Pachhna Alagwaya Ya Tel (Oil) Ya Surma Lagaya To Roza Na Gaya, Agar Che Tel Ya Surma Ka Maza Halaq Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta Ho Jab Bhi Nahi Tootega.

📚 _Bahar-E-Shariat Hissa-5_

Albatta Surma Roza Ya Gaire Roza Ki Halat Me Mard Ko Zinat Ke Liye Lagana Makrooh Hai

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770



*Ramzan Special Part 10*

*Mas'ala* ✍

Bosa (Kiss) Liya Magar Inzal Na Hua (Mani Nahi Nikli) To Roza Nahi Toota, Yun Hi Aurat Ki Sharmgah Ki Taraf Nazar Ki Magar Hath Na Lagaya Aur Inzal Ho Gaya Agarche Bar Bar Nazar Karne & Jima Karne Ke Khayal Se Inzal Hua Agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa Hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota.

📚 _Bahar-E-Shariat Hissa-5_

*Mas'ala* ✍
Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya.

📚 _Alamgiri, Jild-1, Page-203_

*Mas'ala* ✍
Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya, Magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza Hon Gunah O Haram Hai.

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-984_

*Roza Todne Wali Chizon Ka Bayan*

*Mas'ala* ✍
Huqqa Cigarette Se Roza Toot Jata Hai Agar Che Iska Dhuwan Halaq Tak Nahi Pahochta Hai... Isi Tarah Tambaku Pan In Sab Chizon Se Roza Toot Jata Hai Agar Che Iski Peek Thook Dee Jati Hai

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-986_

To Be Continued =>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part 11*

*Mas'ala* ✍
Aisi Chiz Jo Muh Me Rakhne Se Ghul Jati Ho Muh Me Rakh Ke Thook Nigal Gaya To Roza Toot Gaya Jaise Shakar Wagera, Yun Hi Danton Me Koi Cheez Chane Barabar Ya Zayadah Thi Use Kha Gaya To Roza Toot Gaya Yun Hi Danton Se Khoon Nikal Kar Halaq Se Niche Utra Aur Khoon Thook Se Ziyadah Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Me Mahsoos Hua To In Sab Surton Me Roza Toot Gaya, Aur Agar Khoon Thook Se Kam Tha Aur Uska Maza Nahi Maloom Hua To Roza Nahi Toota

📚 _الدرالمختار، كتاب الصوم، باب ما يفسد وما لا يفسد، ج-1، ص-424_

*Mas'ala* ✍
Naak Ke Nathnon Se Dawa Chadhai Ya Kaan Me Tel Dala Ya Tel Chala Gaya To Roza Toot Gaya Aur Pani Kan Me Dala To Nahi Toota.

📚 _الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب الرابع فيما يفسد، ج-1، ص-203_

*Mas'ala* ✍
Kulli Kar Raha Tha Aur Pani Halaq Se Utar Gaya Ya Nak Me Pani Chadhaya Aur Dimagh Me Chadh Gaya Roza Toot Gaya, Agar Rozadar Hona Yad Nahi Tha To Nahi Toota, Kisi Ne Rozadar Ki Taraf Koi Chiz Phenki Aur Wo Uske Halaq Me Chali Gai To Roza Toot Gaya.
📚 _المر جع السابق_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770



*Ramzan Special Part 12*

*Mas'ala* ✍
Neend Me Pani Pee Liya Ya Kuch Kha Liya Ya Muh Khula Tha Aur Pani Ka Qatra Ya Baraf Halaq Me Chala Gaya To Roza Toot Gaya.

📚 _المرجع السابق_

*Mas'ala*
Muh Me Rangeen Dhaga Rakha Tha Jisse Thook Rangeen Hua Phir Thook Nigal Liya To Roza Toot Gaya.
📚 _المرجع السابق_

*Mas'ala* ✍
Aansu Ya Pasina Muh Me Gaya Agar Qatra 2 Qatra Tha To Roza Nahi Toota... Agar Ziyadah Tha Jiski Namkeeni Pure Muh Me Mahsoos Hui To Toot Gaya.
📚 _المرجع السابق_

*Roze Ke Makruhaat (Jisse Roze Me Kaharat Aur Sawab Me Kami Hoti Hai)*

*HADEES* ✍
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jo Roze Me Buri Baat Kehna Aur Uspe Amal Karna Na Chhode To Allah Pak Ko Uski Koi Parwa Nahi Ki Usne Khana Peena Chhod Diya Hai.
📚 _صحیح البخاري، كتاب الصوم، باب من لم يدع قول الزور والعمل به في الصوم، ج-1، ص-228، الحديث-628_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part 13*

#HADEES ✍
Farmaya Allah Ke Pyare Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Roza Iska Naam Nahi Ki Khane Peene Se Baaz Rahe, Roze Me To Lagu (Bekar) Aur Behudah (Gandi) Baton Se Bacha Jaye.

📚 _المستدرك، للحاكم، ج-2، ص-68، الحديث-1611_

MAS'ALA ✍
Jhoot, Geebat, Chugli, Gali, Dena, Gandi Baat, Kisi Ko Takleef Dena, Ye Chizen Waise Bhi Na-Jayez O Haram Hai, Roze Me Aur Ziyadah Haram Hai Iski Wajah Se Roza Makrooh Hota Hai

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-996_

MAS'ALA ✍
Roze Me Aurat Ka Bosa (Kiss) Lena Gale Lagana Aur Badan Chhuna Makrooh Hai Jab Ki Is Baat Kar Dar Ho Inzal (Mani) Ho Jayega, Ya Jima (Sex) Me Mubtela Hoga, Hont Aur Zaban Chusna Roze Me MUTLAQAN Makrooh Hai.

📚 _ردالمحتار، كتاب الصوم، باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده، مطلب: فيما يكره للصائم، ج-3، ص-454_

MAS'ALA ✍
Mooh Me Thook Jama Kar Ke Nigal Jana Bina Roze Ke Bhi Achchi Baat Nahi Aur Roze Me Kare To Makrooh Hai

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-998_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part 14*

*MAS'ALA*✍
Sehri Khane Me Der Karna Aur Aftar Me Jaldi Karna Mustahab (Achcha) Hai Lekin Sehri Me Itni Der Karna Ki Subah Hone Ka Ka Shak Ho Makrooh Hai, Aur Aftar Us WAQT Kare Jab Guroob Ka Guman Ho (Suraj Doob Jane Ka Yaqeen Ho) Jab Tak Gumane Galib Na Ho Aftar Na Kare, Agarche Mo'azzan Ne Azan Keh Dee Ho, Aur Abar Ke Dino Me Aftar Me Jaldi Na Kare.

📚 _Raddul Mohtar, Volume-3, Page-459_

*MAS'ALA*
Rozedar Ko Kisi Chiz Ka Chakhna Aur Chabana Makrooh Hai, Chakhne Ke Liye Uzr (Majboori) Ye Hai Ki Kisi Aurat Ka Shohar Bad-Mizaj Ho Namak Kam O Besh Hoga To Naraz Hoga Is Wajah Se Chakhne Me Harj Nahi, Aur Chabane Ka Uzr Ye Hai Ki Itna Chota Bachcha Jo Ki Roti Nahi Kha Sakta Aur Koi Narm Giza Nahi Jo Use Khilai Ja Sake Aur Wahan Koi Be-Roza Nahi Jo Chaba Kar De To Us Bachche Ko Khilane Ke Liye Chaba Kar De Sakte Hain Isse Na Roza Tootega Na Makrooh Hoga

📚 _Durre Mukhtar, Volume-3, Page-453_

Aaj Kal Chakhna Is Tarah Samjha Jata Hai Ki Kisi Chiz Ka Maza Maloom Karne Ke Liye Thoda Sa Kha Liya Isse Roza Makrooh Nahi Balki Toot Hi Jayega. Chakhne Ka Ye Maana Hai Ki Zaban Pe Rakh Ke Maza Malum Kiya Aur Thook Diya Usme Ka Kuch Bhi HALAQ Me Na Jane Paye.

*MAS'ALA* ✍
Koi Chiz Kharidi Aur Uska Chakhna Zaroori Hai Agar Nahi Chakhega To NUQSAN Hoga To Chakhne Me Harj Nahi, Warna Bila Zarurat Chakhna Makrooh Hai.

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-997_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770

No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post