Friday 27 October 2023

15 shaban | shaaban | Shabe Barat | shab e baraat

DALIL HADEES SHAREEF SE:



POST:1


15vi Shaban [Shabe Baraat] Ki Raat Iba'dat Karna Aur Subha Roza Rakhna.

Hazrat Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain

"Jab Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Qayaam [Iba'dat] Karo Aur Din Me Roza Rakh'kho Beshaq ALLAH ﷻ Ghurob e Aftab Se Aasman e Duniya Par Khaas Tajalli Farmata Hai Aur Kehta Hai , Hai Koi Mujhse Magh'firat Talab Karne Wala Ki Usay Bakh'sh Doon.Hai Koi Rozi Talab Karne Wala Ki Usay Rozi Doon.Hai Koi Musibat Jada Ki Usay Aafiyat Rahat Ata Karon.Hai Koi Aisa ! Hai Koi Aisa.?Aur Ye Us Waqt Tak Farmata Hai Jab Tak Fazr Tuloh Na Ho Jaye."

{Sunan Ibn Majah,Vol :2,Hadees :1388}


हिंदी में:

हज़रत अली रदीअल्लाहु अन्हु फरमाते है "जब शाबान कि रात आये तो उसमे क़याम (ईबादत) करो, और दिन में रोज़ा रखो बेशख अल्लाह ﷻ गुरूब ए आफ्ताब से आसमान ए दुनिया पर खास तजल्ली फरमाता है और कहता है, है कोई मुझसे मग्फिरत तलब करने वाला कि उसे बक्श दुं, है कोई रोज़ी तलब करने वाला कि उसे रोज़ी दुं, है कोई मुसिबत जदा कि उसे आफियत राहत अता करुं, है कोई ऐसा! और ये उस वक्त तक फरमाता है जब तक फज़र तुलू न हो जाये। 

{Sunan Ibn Majah,Vol :2,Hadees :1388}


📑Scan Page👇🏻








POST:2


Hadees Shareef:

Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?

Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen ﷻ Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon. 

{Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2358}

📑Scan👇🏻




हिंदी पोस्ट:


*❤शाबान में रोजा रखना और ईबादत करना कैसा❤*

कुछ लोग शाबान मे 15 वी रात को ईबादत क्यो करते रोजा क्यो रहते इसपर ऐतराज करते है। पहली तो बात यह ईबादत फर्ज नही है मुस्तहब है। इसकि दलिल हदीस में मौजूद है👇

_“हज़रत उसामा बिन जैद रदीअल्लाहु अन्हु फरमाते है मैने अर्ज़ कि या रसूलुल्लाह मै देखता हुं जिस तरह आप शाबान में रोज़ा रखते है इस तरह किसी भी महीने में नही रखते? फरमाया रज्जब और रमज़ान के दरमियाँ मे महीना है लोग इस्से गाफिल है, इसमें लोगो के आमाल अल्लाह रब्बुल आलमिन कि तरफ उठाये जाते है और मुझे ये महबूब है के मेरे आमाल इस हाल में उठाये जाये कि मै रोजादार हुं।"_

{Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2358}




POST:3


(Sahi Hadis)

Hazrat Muaz Bin Jabal رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Nabi e Akram ﷺ Ka Ye Farman Naqal Karte Hai...

Nisf Shaban Ki Raat Allah عزوجل Apni Makhluk Ki Taraf Mutwajah Hota Hai Aur Shirq Karne Wale Aur Qatah Talluki Karnewale Ke Alawa Saari Makhluk Ki Mangfirat Kardeta Hai.


(Saheeh Ibn Hibban, Vol 6, Page 592, Hadis 5665)


Note:-Mohaddis Farmate Hai Ye Hadis Sahi Hai Iske Raavi Siqa Hai..


Scan:👇






POST:4


15 Shabaan Rat Me Ibadat Aur Din Me Roza Rakhna

Hadees:

“Hazrat Aliyul Murtazaa Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai *Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho* Beshak ALLAH Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Duniya Par Khas Tajalli Farmaataa Hai Aur Kehtaa Hai  Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Wala Ki Use Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Wala Ki Use Rozi Doon Hai koi Musibat Jadaa Ki Use Aafiyat Ataa Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmaataa Hai ki Fazr Tuloo Hojaye”

 {Sunan Ibn Majah : Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388}


 *Hazrat Ali Radiallahu Anhu*

*Ki Ahaadees Ko Mukhtalif Hadees Ki Kitabo Se Jamaa Kiya Phir Aakhir Me Apnaa Faislaa Sunaya Ke*


*To Yeh Ahaadees Majmooi Taur Par* *HUJJAT Hai, Unlogo Ke*

*KHILAAF Jo Ye Dawa Karte Hain Ke Koi Baat 15 Shabaan Ki Fazeelat Me Saabit Nahi, Wallahu Ta’ala Alam*

{Tohfatul Ahwazi}


*SCAN PAGE👇🏻*





 POST :5


11 wi Sharif or Shah Abdul Aziz Muhadis Dahelvi 

jo Hazrat Shah Waliullah K bete Bhi Hai Aur Wahabiyo k Aaka Aur Maula Shah Ismail Dahelvi k Chacha bhi 

Farmate Hai ki Hazrat Gaus Aazam رضی اللہ عنہ k Rauz E Mubarak Par 11wi Tareekh Ko Badhshah Wagaira Shaher k Aqabeerin Jama Hote Namaz  E Asr K Baad Magrib Tak Kalamullah k baad Sazzada Nasheen Darmiyan Me Tashrif Farma Hote Aur Unke Ird Gird Mureedin or Halka bagosh Baith Kar Jikr Jehar Karte Isi Halaat me baaj Par Wazdani Kaifiyat Taari Hojati Uske bad Tamam Shirni Jo Niyaz tayyar Ki Hoti Taksim Ki jaati Aur fatiha se faragt hokr Namaz E Isha padhke Log Rukhsat Hote”

or farmate hai  shaaban ki 15wi raat ko magrib ke waqt se subah Sadiq Tak asmane duniya PR Allah taala ki rahmat ka nuzool or tajalliyate ilahi ka wird hota rahta hai agar admi se ho sake to tamam raat warna nisf (adhi) rat Tak jarur jaage. 

or farmate hai ke ambeya or auliya ki Rooh or ahle bait ke arwaah se tawassul paida karna hai ye arwaahe alameen nehayat kawi taseer krti hai or kuwat ka istefaadah hamesha ke liye lazim hota hai jaisa ke alam me dekha jata hai haiwanat or jamadat ki tashkheer bhi isi se krte hai is istemdad me Pak Roohen hoti hai un or fatiha padhi jati hai unko sawab bakhsha jata hai ye sawab bakhsna or fatiha padhna akhir sab (raat) me hua to umdah hai kabhi ye istefadah Zinda admi se bhi hota hai or farmaya ke mujhko jin jin rooho se faizan hota hai wo 5 arwahe mubaraka hai 

1 Rasool allah ﷺ ki Rooh mubarak

2 hazrate Ali رضی اللہ عنہ ki 

3 hazrate gaushe azam رضی اللہ عنہ ki 

4 hazrate bahauddin naqsbandi رحۃاللہ ki

5  hazrate moinuddin chisti رحۃاللہ ki rooh Mubarak

or farmate hai 

shaaban ki 15wi raat ko magrib ke waqt se subah Sadiq Tak asmane duniya PR Allah taala ki rahmat ka nuzool or tajalliyate ilahi ka wird hota rahta hai agar admi se ho sake to tamam raat  warna nisf (adhi) rat Tak jarur jaage

isi kitab me ek jagah farmate hai 

ba tarkibe ursh molvi Abdul Qadir  sahab ke ursh e sarayi yani fatiha wagairah hua krti thi  apne Walid mazid or dada sahab ke qabro pr ۔ me meri buzurg or khandan or peer bhi hote the


hawala 

{malfujate Shah Abdul Aziz muhaddis safa Farsi 62,Urdu safa 57/65/87}

matlab Shah Abdul Aziz sahab ursh fatiha 11wi quran khowani in sab ke qayl the 









DALIL AHLE HADEESO KE GHAR SE. 


POST:1


*Shabe Barat Ki Raat Ko inadat Karna Jayaj Hai Ahle Hadees Ke  Ulma Ka fatwa*


Victorian  Ahle Hadees Molvi Ka Fatwa:- Shab e Barat ki Raat Ibadat karna Biddat nhi Sawab hai..

{Fatwa Sanaiya, Pg No.656}

Scan:



POST:2


KON KEHTA HAI KE HUM AHLE HADEES SHAB E BARAAT KE QAAYIL NAHI HAI ? 

Hamare Ahl-e-Hadeeso ke Muhaddis Shams ul Haq Azeembadi Farmaate hai ke Baaqi Raha Nisf e Shabaan ki shab ko Quraan e Shareef Tilaawat, Dua e Maasura, Azkaar e Saheeha Padhna, Nafil Namaz Awwal Shab ko Beghair Jamaat……aur Allah tala se Maghfirat Chahna, Rehmat ki Khuwaastagaar [Request] Karna aur Apne Liye Duaaye Maagna aur Dua me Girya-wazaari Karna bhi Biddat Nahi hai, Balke MAUJOOB E AJAR WA SAWAAB E AZEEM hai.

{Fataawa Maulana Shamshul Haq Azeembadi : Safa 181}





POST:3


Firka Ahle Hadees Ke Aalim Ubaidullah Mubaarakpuri Saahab Mishkaat Ki Sharah Me 15vi Shabaan Ki Fazilat Ke Silsiley Se Warid Ahadees Ka Zikr Karne Ke Baad Likhte Hain :

“Yeh Saari Hadeese Shaabaan Ki Darmiyaani Shab Ki Azmat Aur Uski Shaan-E-Jalaalat Par Dalaalat Karti Hai Aur Uspar Bhi Ke Yeh Raat DEEGAR AUR RAATO KI TARHAA NAHI Hai. Lihaaja Is se Gaflat Baratnaa Munaasib Nahi, Balke Ibaadat Aur Dua Aur Zikr Aur Fikr Ke Zariye Isme Jaagna MUSTAHAB Hai.”

{Miraat Sharah Mishkaat, Jild: 4, Safah: 341,342}

SCAN PAGE :





POST:4


Firka Ahle Hadees Ke Muhaddis Shamsul Haq Azeemabadi Farmaate Hai 

“Baaqi Raha Nisf-E-Shaabaan Ki Shab Ko Quraan-E-Shareef Tilaawat, Dua-E-Maasooraa, Azkaar-E-Saheeha Padhna, Nafil Namaaz Awwal Shab ko Beghair Jamaat…… Aur Allah Ta’alla Se Magfirat Chahna, Rehmat Ki Khuwaastagaar Karna aur Apne Liye Duaaye Maagnaa aur Dua me Girya-Wazaari Karnaa Bhi Biddat Nahi Hai, Balke MAUJOOB-E-AJAR WA SAWAAB-E-AZEEM Hai.

{Fataawa Maulana Shamshul Haq Azeembadi, Safah: 181}

SCAN PAGE






POST :5


Firka Ahle Hadees Ke Muhaqiq Ul-Asar Maulana Abdul Qaadir Hasaari Saahab Apni Kitaab Me 15 Shaaban Ke Fazeelat Ke Muttaliq Behas Karte Huye Farmatey Hain:

“Shabaan Ki 15vi Raat Ki Fazilat Ke Mutalliq Muta’adid Ahadees Aayi Hain. In Sab Ka Majmua Is Baat Par Dalaalat Karta Hai Ke Uski Koi Asal Hai.”

Aur Aghe Kehte Hai Ke:

15vi Shabaan Ki Raat Ki Fazilat Qiyaam Karne Ke Liye Musallam (Saabit) Hai. Mazeed Likhte Hain Ke Passh Yeh Maslaah Saabit Hogaya Ke*

*Shaabaan Ki 15vi Shab Ko Qiyaam Karnaa Aur Din Ko Roza Rakhnaa Mashroo (Shariyat Se Saabit Hai. 

{Fataawa Hasaariya, Jild: 5, Safah: 118}

SCAN PAGE :





POST:6


 
Ibn E Taimiya Apna Aqida Bayan Karte Huye Apne Fatwe Mai Likhta Hai:-

ومما نعتقد ان الله ينزل كل ليلة الى شماء الدنيا فى ثلث الاخير فيبسط يديه و يقول هل من ساعل الحديث وليلة النصف من شعبان و عشية عرفةوذكر الحديث 

"Hamare Aqaid Mai Se Hai Ke Be Shak ALLAH TALA Har Raat Ke Aakhri Tesre Pahr Mai Aasman E Dunia Par Nuzool Farmata Hai Aur Daste Karam Faila Kar Irshad Farmata Hai Ke Hai Koi Sawal Karne Wala Alhadees Aur Nisf Sabaan Ki Shab(Shab E Bara'at) Aur No(9)Zilhijj Ki Raat Aur Fhir Mukammal Hadees Bayan Ki.

{Al Aqida Tul Hamiya Ibn E Taimiya Safa.55}

{Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.5 Safa.77}

Fir Ibn E Taimiya Se Sab E Bara'at Ki Namaz Ke Bare Mai Pucha Gaya Uske Jawab Mai Likhta Hai:-

إذا صلَّى الإنسان ليلة النصف وحده أو في جماعة خاصة كما كان يفعل طوائف من المسلمين فهو : حَسَنْ ، وأما الاجتماع في المسجد على صلاة مقدرة كالاجتماع على مائه ركعة ، بقراءة ألف ((قل هو الله أحد)) دائماً، فهذه بدعة ،لم يستحبها أحد مِن الأئمة ، والله أعلم

Nisf Saban Ki Namaz Ke Bare Mai Poocha Gaya....*

↕Jawab:- 

Jab Koi Shaksh Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara'at) Mai Tanha Nafil Padhe Ya Makhsoos Jamat Mai Padhe Jaisa Ke Aslaf Ke Giroh Padhte Rahe Hai To Ye Amal Accha Hai Aur Ja'nha Tak Kisi Masjid Mai Muqarrah Namaz Ki Baat Jaisa Ke So(100) Rakat Par Ek Hazar(1000) Martabaقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
ٌPar Hamesha Ijtema Karna Hai To Bidat Hai Jis Ko Aimma E Kiram Mai Se Kisi Ne Pasand Nahi Kiya.
WALLAHU AALAM.

{Al-Fatwa Kubra Ibn E Taimiya Jild.2 Safa.262}

{Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.23 Safa.131}

Fir Ibn E Taimiya Apni Doosri Fatawa Al Kubra Mai Aslaf Ka Amal Wa Shab-E-Bara'at Ki Fazilat Ke Bare Mai Likhta Hai:-*

وأما ليلة النصف من شعبان ففيها فضل وكان ( في )السلف من يصلي فيها

Jaha Tak Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara'at) Ki Baat Hai Is Mai Bahut Fazilat Hai Aslaf Shab E Bara'at Mai Namaz Padhte Rahe Hai....

{Al Fatwa Kubra Ibn E Taimiya Jild.5 Safa.342}

{Ikhtiyarat E Al Ilmiya Safa.42 Makhtoota Matbooa Kurdistan Misr 1329Hijri}

Ibn E Taimiya Apni Ek Or Kitab Iqtida Sirat Al Mustaqeem Mai Shab E Bara'at Ke Mutallik Tafseeli Bayan Likhta Hai:-*

هذا الباب ليلة النصف من شعبان فقد روى في فضلها من الأحاديث المرفوعة والآثار ما يقتضي أنها ليلة مفضلة وأن من السلف من كان يخصها بالصلاة فيها وصوم شهر شعبان قد جاءت فيه أحاديث صحيحة ومن العلماء من السلف من أهل المدينة وغيرهم من الخلف من أنكر فضلها وطعن في الأحاديث الواردة فيها كحديث إن الله يغفر فيها لأكثر من عدد شعر غنم بني كلب وقال لا فرق بينها وبين غيرها 
لكن الذي عليه كثير من أهل العلم أو أكثرهم من أصحابنا وغيرهم على تفضيلها وعليه يدل نص أحمد لتعدد الأحاديث الواردة فيها وما يصدق ذلك من الآثار السلفية وقد روى بعض فضائلها في المسانيد والسنن وإن كان قد وضع فيها أشياء أخر

"Ye Baab Shaban Ki Nisf Raat Ka,
Shab E Bara'at Ki Fazilat Mai Bahuat Si Marfoo Ahadees Aur Aasaar E Sahaba Bhi Is Baat Ka Taqaza Karte Hai Ke Yaqinan Fazilat Wali Raat Hai Is Raat Ko Jis Ne Bhi Nawafil Aur Mahe Sabaan Ko Roze Ke Sath Khas Kiya To Us Mai Sahih Ahadees Warid Hai Amsar Mai Kuch Logo Ne Aur Un Ke Alawa Khalf Mai Se Bhi Kuch Ne Is Ki Fazilat Ka Inkar Kiya Hai Aur Warid Ki Gai Ahadees Mislan Beshak ALLAH TALA Is Raat Mai Qabila Bani Kalb Ki Bakriyon Ke Balo Se Jyada Logo Ki Magfirat Farma Deta Hai Kaha Hai In Mai Koi Bhi Farq Nahi Hai Lekin Bahut Se Ahle Ilm Ya Hamare Ashab Mai Se Bahut Se Ahle Ilm Is Raat Ki Fazilat Ke Qail Hai Jo Ke Tasdeeq Karti Hai Salaf Ke Asaar Ki Aur Shab Bara'at Ki Fazilat Mai Ahadees Masaneed Aur Sunan Kitabo Mai Mauzood Hai Agar Che Un Mai Kuch Digar Bayanat Bhi Shamil Kar Diye Gaye Hai...

{Iqtida Sirat Al Mustaqeem Safa.631}

Isse Milti Julti Ibarat Apne Fatawe Mai Naqal Ki,

{Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.23 Safa.132}

Scan page 👇🏻👇🏻






POST:7


Albani Wahabi

Jitni Bhi Hadees Riwayat 15vi Shaban Ke Talluk Se Aayi Hai Aur Riwayat Ki Gayi Hai Wo Sab Hadees Sahih Hai Aur Unke Raawi Bhi Sahih Hai. 

{Silsilat Sahiha,Vol -3, Page 138-139}


Scan:



Friday 13 October 2023

Shirk E Akbar Shirk E Azgar

 Huzoor ﷺ Ko Sirf Sahaba E kiram Rizwanullahim Azmayeen Ki Nahi Balki Ummat E Muslimah Kay Shirk E Akbar Me Mubtela Hone Ka Khauf Naa Tha

 Balke Shirk e Ashgar (Riya Kari) Mein Ummat e Mohammadiya Mubtela Hogi


Shirk E Asgar jo Riyakari hai us se bande Ka Amal Jaaya Hojata Hai lekin is se banda Islam Se Kharij Nahi hota Hai 

Ye Hamesha Yaad Rakhe bahot Bunyadi baatein Hai 


HADEES 1️⃣


Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya woh apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho

Unhone kaha Ubada suno 

Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu, 

Mene puchha woh hadees konsi hai 

Kaha, 

"Mein sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the, 

Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN  ghamgheen kyu hain ? 


To Aaqa ﷺ ne farmaya 

'Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai,  (Is wajah se ghamgheen hu )'

Meine Arz ki kis cheez ka khatra ?


SHIRK aur KHUFIYA SHAHWAT ka Khauf hai.

Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi ? 


Sarkaar ﷺ ne irshad farmaya, 

Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI. 

(Aye shaddad mene jise shirk kaha woh riyakari /dikhawe ke aamaal hain )

Mene arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke aamaal bhi shirk hai 

Farmaya, haan." 


References :


(Hakim  Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010)   


(Sunan Ibn Majah,Kitab Uz Zuhad, Hadees : 4204)


(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , Hadees : 17250)


(Imam Bayhaki Shoebul Imaan Vol : 5, pg :333, Hadees : 6830) 


(Hilyatul Aulia Vol 1 pg 466 Hadees : 899)


Scan Page 


HADEES 2️⃣


Hazrat Abu Saeed Khudri رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ se rivayat hai Farmate hai 

“Hum Log Dajjal k Muttalik Guftgu kar Rahe The Nabi E Karim ﷺ Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?

Humne Kaha Haan Rasool Allah ﷺ 

Farmaya CHHUPA SHIRK (Hidden Shirk), Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”


References :


(Sunan Ibn Majah, Pg : 698, kitab Uz Zuhd, Baab 21 : Hadees : 4204)


(Mishkal Al Masabih, Kitabur Riqak, Pg : 1466, Hadees : 5333)


Scan Page 


Is Se Maloom Huwa Kay Dikhawe ka amal Usko Shirk E Khafi Kaha gaya hai. 

Shahwat e khafiya aur Shirk E Khafi Pe ek aur hadees e paak mulahiza karen. 


HADEES 3️⃣


Hazrat Ubada bin Nusayi رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate Hai Mai Hazrat Sayyidna Shaddad bin Aws رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Unhe Rota Paa Kar Sabab E Girya Daryaft Kiya To Unhone Farmaya Mujhe Us Hadees Ne Rula Diya Jo Maine Huzoor Rehmat E Aalameen ﷺ Se Suni Thi Ki Aap Ne Irshad Farmaya Mujhe Apni Ummat Par Shirk Aur Khufya Shahwat Ka Khauf hai.

Khufya Shahwat Ye Hai Ki Aadmi Subah Roze Ki Halaat Me Karega Lekin Jab Nafs Ko Marghoob Chiz Uske Saamne Aaygi To WO Us Me Pad Jayga Aur Roza Chod Dega.

Aur Shirk (khafi) Ye Hai Ki Log Ne Patthar Ko Pujenge Na Butho Ko Lekin Dikhlawe Kay Liye Amal Karenge.


References : 


(Imam Abu Nuaym Ahmad Isfahani Hilyatul Awliya Wa Tabqatul Asfiya Vol : 01, Pg : 477, Hadees : 900) 


(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 341-42, Hadees : 7145)


Scan Page 


HADEES 4️⃣


وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ 

‎أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ

Hazrat Mahmud Bin Labid Se Rivayat Hai Rasulullah Ne Farmaya Jis Cheez Ka Mujhe Tum par sabse zyada Khauf hai Wo hai SHIRK E ASGAR jo dikhawe ka amal hai. 


References : 


(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulug Al Maram Pg : 544, Hadees : 1484)


(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 09, Pg : 154, Hadees : 6412)


Scan Page











Tuesday 10 October 2023

Ijma | ummat jama hogi

 Rasoolullah ﷺ  Ne  Farmaya Allah Tala Tumhe 3 Chizo Se Bacha Liya  Hai,


1-Tumhara Nabi Tumhare Liye Aisi Kabhi Badua Nahi Karege Jis Se Tum Sab Halak Ho Jaoge .


2- Ahle Baatil Ahle Haqq Par Kabhi Galib Nahii Honga 


3- Tum Kabhi Bhi Gumrahii Par Jama Nahi Hoge.

Reference Book 👇


{Abu Dawood Hadees No 4253}

{Jame Ul Usool 2760.}





Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...