Saturday 24 September 2022

Shaikh Abdul Qadeer Jilani Ka aqeeda | Gous E Azam

 Post No :1 


#ambiyazindahai 


Jab chahe jaha chahe aa jaa sakte hai 


Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Ka Aqeedah Har yaum-e-Arafat Mein Tamaam Ambiya Tashrif Laate Hain Aur Hadees Ki Sanad Bhi Bayan Ki 👍 


Book :- Guniyatul Talibeen 

Writter:- Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma 

Published:-[Darul Ilm Mumbai]

Urdu translate:- by Gairmuqallid Hafiz Mubashir hussain Lahori

Safa :- 426


Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Hadees ki sanad bayaan kar rahe hain 


farmatey hain;-

Sanad


Ibn Hibatullah  — >Ahmed Bin Hassan — >Hussain Bin Imran  — >Abu Qasim — >Abu Ali — >Ammar Bin Ahmed 

— >Muhammad Bin Mahdi  — >Ibn Jari— >Ibn Atta  — > Ibne Abbas RadiAllahu Anhum 


Rasool Allah sallallaho Alahi wasallam ka Irshad Hain 

"Hazrate ilyas aur Hazrate khidr Alaihisalaam Har saal Makka Mein Jama Hote Hain Aur wo Ek Dusre Se Kehte Hain "Bismillahi Mashallah" kaho Bhalaayi Allah ki Tarf Se Hain


Usi Ghunyat al Talibeen

Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma

dusri sanad bayaan karte hain


Sanad :-


 Hibatullah  — >Hassan Bin Ahmed   — >Abu Talib — > Ismail — > Ibne Abbas   — >Ibn Ishaq  — >Abdulla Bin Hassan Wo  — >Apne Walid se, unhone ne  — >Apne Dad se Wo— >Hazrat Ali Radiallahutala Se Farmate Hain


"Har yaum-e-Arafat Mein Hazrate jibril Alaihisalaam,Hazrate Mikael Alaihisalaam,Hazrate Israfil Alaihisalaam aur khidr Alaihisalaam Jama Hote Hain Aur jibril Alaihisalaam Farmatey Hain Allah k Marzi Ke Bagair Kuch Nahi Kiya ja Sakta

Khidr Alaihisalaam Jawab Dete Hain" 

Jo Allah ko Manzoor Hain Wahi Hota Hain 


📚Scan page






Sunday 18 September 2022

Taburrukat ko chumna kaisa? Nalain paak ko vhumna kaisa?

 Nabi ﷺ k #nalain Sharif ko chumna jaiz

Bais e ajar wagairahum 


Dayabana k ghar se

Moulvi Taki ali usmani, Deoband. 

....


Scan👇




Tuesday 13 September 2022

ALLAH KE BARE JAANE |AQEEDA E TOUHID

 Kya ALLAH Ta'ala Har Jagah Hai ?


Bachpan Se Sunte Aur Pade Aaye Hai Ke Allah Ta'ala Har Jagah Maujood Hai, Halake Yeh Jumla Aur Aisa Aqeedah Kufr Hai.

Kyonke Kisi Bhi Zaat Ke Liye Jagah Sabit Karne Ke Liye Uska Jism Hona Zaroori Hai, Jabke Allah Ta'ala Jism Se Paak Hai, 


Lihaja Wo Daye Baye, Uper  Niche, Aagey Pichhe Tamaam Jehaton Se Bhi Munza Hai. Pas Yun Na Kahein Ke Wo Har Jagah Maujood Hai, 


Balke Yeh Kaha Jaye Ke "Wo Maujood Hai Ya Yun Kahein Ke "Uska Ilm Aur Uski Qudrat Har Shaye Ko Muhit Hai" 

Ya Phir Yeh Kah Lein Ke "Usne Apne Ilm Aur Qudrat Ke Aitbaar Se Har Chiz Ka Ihata Kiya Huwa Hai"


Ya'ani Kainaat Ka Har Zarra Uske Ilm Me Hai Aur Har Zarre Me Tasrruf Par Wo Qadir Hai, Wo Jaisa Chahe Banaye, Jaise Chahe Karde Uski Marzi.


▪️(Khulasa Fatawa E Razwiyah  Jild 14 Safah 618_622)

Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...