Thursday 5 September 2019

Karbala ka waqiya

RasoolAllah Sallallaho Alaihe Wasallam Karbala Mein Bhi Maujud The...
.
Hadees
Hazrat Umme Salma S.a Farmati Hain Ki Maine RasoolAllah Sallallaho Alaihe Wasallam Ko Khawaab Me Dekha Ki Aapke Baal Aur Daarhi Mubarak Gard -Aalood Hai To Pucha Yaa Rasoolallah Aapko Kya Huwa???
To Aapne Farmaya "May Maqtal E Husain Radiallahu Talaa Anhu Se Aa Raha Hoon "

( Mustadrak Al Haakim Jild-3, Hadeesh No.6843)
.
Allah Hu Akbar
Aur Ye Hadeesh Aam Hai Ki Jisne Khawaab Me RasoolAllah Alaihish salaam Ko Dekha Beshaq Usne Aapko Hi Dekha..
.
So Iska Koi Inkar Nahi Kar Sakta..
.
Is Riwayat Se Mere Aaqa Alaihisalaam Ke Haazir-O-Naazir Hone Kaa Saboot Bhi Milta Hai Ki Aap Jab Chahe Jahan Chahe Aa Sakte Hai...



RadiALLAHU anhu gair sahabi ke aage lagana kaisa?

*FIRQA AHLE HADEES KE 📚KITAABO MEIN GAIR E SAHABA KO “RADIALLAHU TA'ALA ANHU” (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) LIKHA HAIN.*

1⃣.Ibn Taymiyya ke naam ke aage radiAllaho Anhu (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) likha gaya hai,,,,,,,,,

📒(Fatawa Ibn Taymiyya J-3)

Aur ham Imam-e-Azam ke naam ke aage RadiAllaho Anhu (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) likhe to GM kehte hain ki ye sirf Sahaba (رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم) ke naam ke aage lagana jaez hai.

Aur khud apne Sheikhul Islam ke naam ke aage laga ke rakha hai :Dekho inko Sahaba (رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم) ka darja dete ho?

Ya fir tasleem karo ki Ghair Sahabi ke liye bhi RadiAllaho Anhu (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) lagana jaez hai.

📑Scan page

2⃣.Ahle Hadees Ki Mashoor Kitaab 📚Fatawa Sanaya Jild 01, Safa 102 Mein

Kahi Jaga Par Ahle Hadees Molvi Ismail Dehlvi Ko RadiAllaho Anhu ("رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه") Likha Hain.

📑Look All Scan Pages👇🏻





Monday 2 September 2019

Taweez latkana kaisa/taviz/tavij/tawiz



*🌟Kiya Taweez Gale me Dalna(Latkana) Shirk hai ??? 💫*

Mere Islami bhaiyo Bad-mazhab wahabi is Hadees ko bata ker Bhole Bhale Iman walon ko Dhoka deyne ki koshish karte hain k Taweez bandhna Shirk hai 👇

Hazrate Abdulah Raziallahu Taala Anhu ne farmaya mey ne Rasullullah Sallallahu Alyhi w Sallam ko farmate huwey suna "Beyshak jado,Ganda aur Totka Shirk hai". Hazrate Zainab Raziallahu Taala Anha ka bayan hai k mai arz guzar huwi k aap ye kis tarah farmate hain, jab k khuda ki Qasam mere aankh me shiddat ka dard hai tu mey fulaan Yahudi k pass Dam karwane jati, jub wo Dam karta tu mujhey Aaram wo Sukoon hojata.
Hazrate Abdullah Raziallahu Taala Anhu ne farmaya k ye tu Shaitan ki Kartut hai, kiyon ki jub jhad phonk ki jati tu Shaitan usey apne hath se Kam kiya karta.Tumhare liye wahi kahna kafi tha jo Rasullullah Sallallahualyhi w Sallam kaha karte :-
" AY LOGON K RAB BIMARI DOOR FARMA SHIFA DEYNE WALA TU HAI. SHIFA NAHI HAI MAGER TERI EYSI SHIFA JO BIMARI KO BAQI NAHI CHOODTI".

(Sunan Ibne Daud jild 3, Bab :- Taweez latkane ka Bayan, Hadees no :- 486)
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hadees k Alfaz hain "Jado, Ganda,Toka aur jhad phonk Shirk hai, aur Yahodiyon aur kafiron k pass jane se mana farmaya gaya es ki wajeh ye hai k wo Shaitano se madad lete hain aur us me Kufri Kalemat ka estemal karte hain.

ab aaeye us Hadees Shareef ko Mulahiza farmaeye k "jis Taweez ya Dam me Shirki Alfaz na ho uska Estemal Jaez hai 👇

🌹🌴🌹🌴🌹🌴🌹🌴🌹🌴
Hazrate Aof bin Malik Raziallahu Taala Anhu ne farmaya "Hum daor-e-Jahiliyat me DAM kiya karte they. Lihaza arz guzar huwey k ' Ya Rasool Allah Sallallahu Alyhi w Sallam es bare me kiya Ershad hai ? (Aap Sallallahualyhi W Sallam ne) farmaya jo kuch padh ker DAM karte they wo mere samne Bayan karo (Padh ker Sunao) kiyon k "US DAM KA KOI MAZAEQA (haraj) NAHI JIS ME SHIRK NA HO".

(Sunan Ibne Daud jild 3, Tib ka Bayan, Bab :- Dam karne ka Bayan, Hadees no :- 489)
🌴💐🌴💐🌴💐🌴💐🌴💐

ab Aaeye us Hadees Shareef ko bhi Mulahiza farmaeye jis se Sabit hota hai k Galey me Taweez bandhna jaez hai.👇

 Umro bin Shoib k walid Majid ne un k jadde Amjad se Riwayat ki hai k Rasullullah Sallahualyhi w Sallam pareshani k Waqt kahne k liye ye Kalimaat sikhaya karte " PANAH LEYTA HON MEY ALLAH TAALA K MUKAMMAL KALIMAT KI US K GHAZAB SE AUR US K BANDO KI BURAE SE AUR SHAITANO K WASWASON SE AUR US SE K WO MERE PASS AAYE ".
Chunanchey Hazrate Abdullah bin Umro ye Dua apne un Beytoon ko sikhaya karte jo Samajhdar hote aur jo an-samajh (Na-Samajh) hote un k Galoon me likh (Taweez bana) ker Latka diya karte.

(Sunan Ibne Daud jild 3, Tib ka Bayan, Bab :- Dam kis Tarah Lareen ?, Hadees no :- 496)


HADEES SHAREEF:

*Taweez Aur Sahaabi e Rasool*

_Hazrat Umar Bin Shuayb Apne Walid Se Riwaayat Karte Hai Ki Rasool Allah ﷺ Sahaba e Kiram Ko Ghabrahat Ke Wakat Ye Kalam Talimat Farmaya Karte_ *Urdu Tarjuma* _Me Panah Mangta Hu Allah Taa'la Ki Kalamat e Ta'amma Ke Saath Uske Ghazab Se Aur Uske Bando Ke Shar Se Aur Shaitan Ke Waswaso_

*_Yahi Kaleemaat Hazrat Abdullah Bin Umar Bin Khattab Radi'Allahu'Anhu Apne Samjh'dar Bachcho Ko Sikha Dete Aur Jo Abhi Samjh Na Rakhte Toh Likh Kar Unke Ghale Neck Me Latkaa Dete_*

*Pataa Chala Ki Allah ﷻ Ke Kalaam Ko Likh Kar Ghale Me Bandh'na Ya Haath Me Ya Makaan Dukan Me Likh Kar Tangna Sab Jaiz Hai*

*Reference Book*
Sunan Abi Dawood
Vol *3* Page *121+122*
Hadees *3395*
*Scan Page*
📗📄👇🏼






HADEES SHAREEF:


*Kya Qurani Aayat Wala Taweez Pahen'na Shirk Hai* *_??_*

_Ahle'hagis Gair Muqallid Wahabi Deobandi Taweez Ko Shirk Haraam Kehte Yani Jo Koi Musalman Quran Ki Aayat Ko Likh Kar Gale Neck Ya Bazu Me Baandh Le To Inke Najdeek Kafir Muahrik Ho'gaya_ *Astagfirullah*

*Hazrat Ibn e Abbas Radi'Allahu'Anhu Riwaayat Karte Hai Ki Rasool Allah ﷺ Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain Radi'Allahu'Anhuma Ko  Taweez Diya Karte Yani Unko Ba'dha Karte* *_Aur Phir Irshad Farmaate Isi Tarah Tunhare Baap Hazrat Ibrahim Alayhissalam Ne Apne Bete Hazrat Ismaeel Alayhissalam Aur Hazrat Is'haq Alayhissalam Ko Isi Ka Taweez Bandha Diya Karte The_*
_Allahu'Akbar_

*Pay Attention*
_Yani Taweez Dena Bandhna Huzoor ﷺ Ki Sunnat Hai Aur Ye Tarika Ambiyao Ka Hai Agar Taweez Shirk Haraam Hota Toh Huzoor ﷺ Kyun Hassnain Ko Bandhte_ *?*
*Point Bi Noted*
_Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Dekho Ki Huzoor ﷺ Abhi Duniya Me Tashreef Bhi Nahi Laye Hai Phir Bhi Hazrat Ibrahim Alayhissalam Apne Beto Ko Taweez Dete The Ye Bhi Huzoor ﷺ Jante Hai Aur Dekh Rahe Jabki Hazrat Ibrahim Alayhissalam Huzoor ﷺ Ki Wilaadat e Pak Se_ *Almost 5000 Years Saal Pehle Hue*

*Refrance Book*
Sunan Abi Dawood *Writer Imam Hafiz Abu Daud Sulaiman Al Mutawaffah 275 Hijjri*
Vol *3* Hadees *,4112*
*Scan Page*
📗📄👇🏼



*📿Taweez Ka Masla Aur Ghair Muqallideen Gadho 🐮 Ki Daleel Ka Ilmi Muhaasaba*

📌Ghair Muqallideen 
gadho 🐮 Ke Har Chhote Bade Maulwi Ka Kehna Hai Ke Taweez Shirk Hai , Apne Is Baat Ko Saabit Karne Ke Liye Un Hazraat Ki Daleel Darj E Zail Hai.👇🏻

✒️Uqba Bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke  Paas Ek Jamaat Aayi.Nabi ﷺ Ne Unme Se 9 Se Bait Leli Aur Ek Ko Chhor Diya.

Logo Ne Kaha Ke Aye Allah ﷻ Ke Rasool ﷺ Aap Ne 9 Se Bait Leli Aur Ek Ko Chhor Diya ?

Irshaad Farmaaya Ke Usse Isliye Bait Nahi Li Ke Wo Taweez Pahane Huwe Hai.Yeh Sunkar Un Sahaab Ne Haat Andar Daalkar Taweez Tord Daala.

Ab Nabi ﷺ Ne Unse Bait Leli Aur Farmaaya Ke Jisne Taweez Latkaaya Usne Shirk Kiya.

📕(Musnad  e Ahmed : 📚Jild 28 :
📑Safa 636-637)

*✅Al – Jawaab :*

📌Is Hadees ke Matan me *Tameemah* ke Alfaaz hai , Matan Mulaaheza Farmaaye :

عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ الْجُهَنِيِّ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَقْبَلَ إِلَيْهِ رَهْطٌ، فَبَايَعَ تِسْعَةً وَأَمْسَكَ عَنْ وَاحِدٍ، فَقَالُوا: يَا رَسُولَ اللهِ، بَايَعْتَ تِسْعَةً وَتَرَكْتَ هَذَا؟ قَالَ: ” إِنَّ عَلَيْهِ تَمِيمَةً ” فَأَدْخَلَ يَدَهُ فَقَطَعَهَا، فَبَايَعَهُ، وَقَالَ: ” مَنْ عَلَّقَ تَمِيمَةً فَقَدْ أَشْرَكَ

📔(Musnad  e Ahmed : Jild 28 :
📑Safa 636-637)

📑SCAN Page

*📿Tameemah ka Matlab aur Wazaahat :*

📝Imam Ibn Hajar Asqalaani رحمة الله عليه​ Farmaate hai ke

Tamaaim Tameemah Ki Jama’ Hai, Is Se Muraad Wo Daane Aur Maale Hai Jo Gale Me Latkaaye Jaate Hai, Ahle Arab Zamaana E Jaahiliyat Me Yeh Aqeedah Rakhte The  Ke Yeh Tamaaim Aafaat Ko Dafa Karte Hai. 

📘(Fathul Baari : Jild 10 :
📑Safa 196)

📑Scan Page

📝Imam e Lught Az-Zuhri رحمة الله عليه​ Kehte hai ke Tamaaim Tameema ki Jama’a hai aur Wo Munke (Maale aur Daane) hote hai Jo Arab log Bach-cho ke Gale me Latkate the ke Bad-Nazar se Mehfooz Rahe.

📒(Maghrib : Jild 1 :
📑Safa 107 , 

📕Tehzeeb ul Lughaat : Jild 14 :
📑Safa 260)

📝Imam Mulla Ali Qari رحمة الله عليه​ Farmaate hai ke

جَمْعُ تَمِيمَةٍ، وَالْمُرَادُ بِهَا التَّعَاوِيذُ الَّتِي تَحْتَوِي عَلَى رُقَى الْجَاهِلِيَّةِ مِنْ أَسْمَاءِ الشَّيَاطِينِ وَأَلْفَاظٍ لَا يُعْرَفُ.

Jiska Khulaasa aur Mafhoom yeh hai ke Tamaaim Tameemah ki jama hai aur uspar Log Zamaana e Jahiliyat me Shaitaan ke Naam aur Aise Alfaaz Likhte the ke Jiska Ma’ana Maloom Nahi tha.

📒(Mirqaat ul Mafaateh : Jild 8 :
📑Safa 255)

📑Scan Page

Toh Maloom huwa ke Tameemah ek Khaas Ta’aweez hai Jisko Log Qususan Ahle Arab Zamaana e Jahiliyat me Istemaal karte the.
Aur Yahi Baat Darj e Zail Muhaddiseen ne Kahi hai :

1 – Imam suyuti رحمة الله عليه​ (Haashiya Suyuti Alaa Sunan e Nasaai : 📚Jild 8 :📑 Safa 138, Sharah Sunan e Ibn Majah Lis Suyuti رحمة الله عليه​ Wagaira : 📚Jild 1 : 📑Safa 252)

2 – Imam Zainuddin Al Manaawi al Qaahiri رحمة الله عليه​ 1031 Hijri. 
📘(At-Taiseer Ba-Sharah Jamius Sagheer : 📚Jild 1 : 📑Safa 286)

3 – Imam Abul Hasan Nuruddin Sindhi 1038 Hijri.  
📒(Haashiya Sindhi Alaa Sunan e Nasaai : 📚Jild 8 : 📑Safa 141)

4 – Allama Shaukaani 
(Nail ul Autaar : Jild 8 : Safa 243)

5 – Ghair Muqallideen gadho 🐮 ke Mashoor Muhaddis Shamsul Haq Azeembadi  
📔(Aaun ul Ma’abood : 📚Jild 10 : 📑Safa 262)

*✒️ALGARZ MALOOM HUWA KE TAMEEMAH EK KHAAS DAANE KA NAAM JISKO LOG ZAMAANA E JAHILIYAT ME ISTEMAAL KARTE THE AUR USPAR SHAITAAN KE NAAM LIKHE HOTE THE.*

Aur Imam e Lughat Qa’anabi Farmaate hai ke
Baaz Logo ko Yeh Wahem hogaya ke Ta’aweez hi Tamaaim Halaanke Aisa Nahi hai Tameemah Toh ek Munka (Daana) hai , Lekin In Ta’awizaat ki Koi Mumaaniyat nahi jab ke un me koi aayaat e *quraani* aur allah ﷻ ke asmaa e giraami likhe ho aur
Az-Zuhri ne Farmaaye ke

*Jisne Ta’aweez ko Tameemah Kaha wo Ghalti par hai.*

📒(Maghrib : 📚Jild 1 : 📑Safa 107)

Mazeed Suniye ! Sayyidina Ayesha رضي الله تعالى عنها Ne Farmaaya ke

Aafaat Aane ke Baab Jo Cheez Latkaayi Jaaye wo TAMEEMAH NAHI. 

📓(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : 📚Jild 9 : 📑Safa 589)

📑Scan Page

Lehaaza Yeh Baat Saabit ho chuki hai ke Tameemah Ek Khaas Daana hai jisko Log Zamaana e Jahiliyat me Istemaal Karte the aur Uspar Shaitaan ke Naam Wagaira Likhe Hote the aur
Tameemah aur Cheez hai aur Taweez aur hai.

Mazeed Yeh ke Taweez par *Quraani Aayaat* aur Allah ﷻ ke Asma e husna Likhe Hote hai Jaisa ke Tafseel Upar Guzar chuki hai.

*📚Taaweez ke Jawaaz ke Dalaail :*

1 – Hazrat Abdullah Bin Umer رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ka Taweez Likh kar dena.

📓(Abu Dawud : 📚Jild 2 : 📑Safa 543)

2 – Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bach-che ki Padaish ke Liye 2 Aayaat e Quraani Likh kardete the ke Unko Dhokar Mareeza (Bimaar Aurat)  ko Pilaa do.

📗(Musanaaf Ibn Abi Shaiba : 📚Jild 8 : 📑Safa 24)

3 – Hazrat Ayesha Siddiqui  رضي الله تعالى عنها  usko Mana’a Nahi karti thi ke Paani me Taweez daalkar wo Paani Mareez par Chird ka Jaaye.

📓(Musannaf Ibn Abi Shaiba رحمة الله عليه​: 📚Jild 8 : 📑Safa 24)

4 – Hazrat Mujahid رحمة الله عليه​ Isme Koi Harj na Jaante the ke Quraani Aayaat Likh kar Darni Waale Mareez ko Pilaayi Jaaye.

📘(Musannaf Ibn Abi Shaiba رحمة الله عليه​ : 📚Jild 8 : 📑Safa 24)

5 – Hazrat Saeed Bin Jubair رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Jo Bhi Aata Usko Taweez Likh Dete the. 

📔(Musannaf Ibn Abi Shaiba : 📚Jild 8 : 📑Safa 24)

6 – Hajjaaj Ibn ul Aswad Kehte hai ke Maine Makkah Mukarramah  ke Mufti Hazrat Aata se Is Bare me Puchha Toh farmaaya ke Humne Toh Nahi Suna ke Koi Isko Makrooh Kehta ho.

7 – Abu asma Kehte hai ke Maine Hazrat Saeed Bin Musaiyib رحمة الله عليه​ se Taweez ke bare me Pucha  toh Farmaaya : Koi Harj Nahi Jab Chamde me ho.

📔(Musannaf Ibn Abi Shaiba رحمة الله عليه​: 📚Jild 8 : 📑Safa 31)

8 – Hazrat Aata Bin Abi Rabah رحمة الله عليه​ se Pucha Gaya ke Aurat ke Gale me Taweez hai , Jab Haiz Aaye Toh Kya Kare ? Farmaaya : Agar Chamde par Likha ho toh Usko Utaarde aur Agar Chaandi me Band ho Toh Chaahe Utaare Chaahe Na Utaare.

📙(Musannaf Ibn Abi Shaiba رحمة الله عليه​: 📚Jild 8 : 📑Safa 31)

9 – Madina e Munawwara ke Jaleel ul Qadr Taba’i Hazrat Mujahid رحمة الله عليه​ Taweez Likh kar Logo par Latkaate. 

(📕Musannaf Ibn Abi Shaiba رحمة الله عليه​: 📗Jild 8 : 📑Safa 32)

10 – Imam Baaqar رحمة الله عليه​ Isme koi Harj Nahi Samjhte the ke Chamde par Quran Likhkar Latka Liya Jaaye.

📔(Musannaf Ibn Abi Shaiba رحمة الله عليه​: 📚Jild 8 : 📑Safa 32)

11 – Hazrat Zahhaak رحمة الله عليه​ Allah ﷻ ki Kitaab se Likhkar Taweez Banaane me Koi Harj nahi Samajhte the Jabke Rafe-Hajaat aur Ghusul ke Waqt Utaarle.

📓(Musannaf Ibn Abi Shaiba ﷻ: 📚Jild 8 : 📑Safa 33)

12 – Imam Muhammed رحمة الله عليه​ Farmaate hai ke

Hum Is Masla ko Maante hai Jab ke wo Dam ya Taweez Allah ﷻ ke Zikr ya Allah ﷻ ki Kitaab se ho aur Yahi Imam Abu hanifa رحمة الله عليه​ ka Farmaan hai.

📙(Kitaab ul Aasaar : 377)

*✒️Taweez ke Jawaaz par Ummat ka Ijma hai :*

📝Imam Ibn Hajar رحمة الله عليه​ Farmaate hai ke

وَقَدْ أَجْمَعَ الْعُلَمَاءُ عَلَى جَوَازِ الرُّقَى عِنْدَ اجْتِمَاعِ ثَلَاثَةِ شُرُوطٍ أَنْ يَكُونَ بِكَلَامِ اللَّهِ تَعَالَى أَوْ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَبِاللِّسَانِ الْعَرَبِيِّ أَوْ بِمَا يُعْرَفُ مَعْنَاهُ مِنْ غَيْرِهِ وَأَنْ يُعْتَقَدَ أَنَّ الرُّقْيَةَ لَا تُؤَثِّرُ بِذَاتِهَا بَلْ بِذَاتِ اللَّهِ تَعَالَى

Ulama ka Ispar Ijma hai ke Dam aur Taweez 3 Sharto ke Saat Jayez hai :

1 – Allah ﷻbke Kalaam Yaani Quran se ho Ya Allah ﷻ ke Asmaa wa Sifaat se ho.

2 – Arabi me ho aur Kisi Ajmi Zubaan me ho Toh Uski Alfaaz ke Ma’ani Maloom ho.

3 – Dam Karna aur Karaane Waale ka Yeh Aiteqaad ke Dam aur Taweez me Ba-Zaatiya Koi Taseer Nahi Balke Mausar e Haqeeqi Sirf Allah ﷻ hai.

Yeh Dam aur Taweez Sirf Sabab hai.

📔(Fathul Baari : 📚Jild 10 : 📑Safa 195)

📑Scan Page

*✒️Salaf Bhi Taweez ke Jawaaz ke Qaayil hai :*

1 – Imam Abu Bakr Marwazi رحمة الله عليه​ Bayaan karte hai ke : Abu Abdullah (Imam Ahmed رحمة الله عليه​.) ki Khidmat me Ek Shaks Aakar Kehne Laga : Aye Abu Abdullah Ek Aurat 2 Rooz se Dard e Zada ki Takleef me Mubtelaa hai , Isliye Koi Taweez Likh Dijiye !

Aap رحمة الله عليه​. ne Farmaaya : Us Shaks Kaho ke Ek Chauda Piyaala aur Za’afraan Laaye.

Imam Abubakr Marwazi رحمة الله عليه​ Kehte hai ke Maine Aap رحمة الله عليه​ ko Kai Logo ke Liye Taweez Likhte Dekha. 

📙(Tibbe Nabawi : 📑Safa 277)

📑Scan Page

2 – Abdullah Bin Ahmed رحمة الله عليه​ Naql Karte hai ke Maine Waalid e Mohtaram ko Dekha , Dard Zada me Mubtela Aurat ke Liye Kisi Bade Safed Piyaale ya Kisi Paak Saaf Cheez par Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ki yeh Hadees Tehreer Farmaate :

لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمُ، سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ، الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ: كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَ مَا يُوعَدُونَ لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا ساعَةً مِنْ نَهارٍ بَلاغٌ  ، كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَها لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا عَشِيَّةً أَوْ ضُحاها

📕(Tibbe Nabawi : 📑Safa 277)

📑Scan Page

3 – Imam Marwazi رحمة الله عليه​ Farmaate hai ke Ek Martaba Mujhe Bukhaar Aagaya , Jab Imam Ahmed رحمة الله عليه​ ko Iski Khabar huwi , Toh Aap رحمة الله عليه​ ne Mere Waaste Bukhaar ki Taweez Likhi , Usme Likha tha :

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ، بِسْمِ اللَّهِ، وَبِاللَّهِ، مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ، قُلْنَا: يَا نَارُ كُونِي بَرْدًا وَسَلَامًا عَلَى إبراهيم، وأرادوا به كيدا، فجعلناهم الأخسرين، اللَّهُمَّ رَبَّ جَبْرَائِيلَ، وَمِيكَائِيلَ، وَإِسْرَافِيلَ، اشْفِ صَاحِبَ هَذَا الْكِتَابِ بِحَوْلِكَ وَقُوَّتِكَ وَجَبَرُوتِكَ، إِلَهَ الْحَقِّ آمين

📙(Tibbe Nabawi : 📑Safa 276)

📑Scan Page

4 – Imam Marwazi رحمة الله عليه​ se Yeh Bhi Manqool hai ke Imam Ahmed رحمة الله عليه​ ke Saamne Yeh Riwayat Padhi Gayi aur mai usko Sun Raha tha ,

Humse Abu Mundah Amr Bin Majmi رحمة الله عليه​. ne Bayaan kiya , Unse Yunus Bin Hibban Rh. ne Bayaan kiya ke Maine Abu Jafer Muhammed Bin Ali رحمة الله عليه​ se Gale me Taweez ke Mutalliq Sawaal Kiya , Toh Aap رحمة الله عليه​ ne Farmaaya : Aap Rh. ne Farmaaya : Agar Usme Quran ki Koi ayat ho Ya Koi Duaa e Maasoor ho toh Usko Daal do aur Ba-qadr Isteta’at Usse Shifa Haasil Karo.

Maine Kaha ke Bukhaar ke Shuru me ,Yeh Kalimaat

بسم اللَّهِ، وَبِاللَّهِ، وَمُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ

Se Aakheer Tak Likh Lu ?

Aap رحمة الله عليه​. ne Farmaaya : Haa ! Likh Lo.

📓(Tibbe Nabawi :📑 Safa 276)

📑Scan Page

5 – Imam Ahmed رحمة الله عليه​ se Taweezo ke bare me Pucha gaya : Toh Aap رحمة الله عليه​ ne Jawaab Diya , Balaa ke Naazil hone ke baad Latkaa Liya Jaasakta hai aur Farmaaya : Mujhe Umeed hai ke isme Koi gunah nahi hai , Abdullah Bin Ahmed رحمة الله عليه​ Bayaan karte hai ke Maine Waalid  e Mukarram ko Musibat me Giraftaar hone ke baad Gamraaye huwe shaks ke liye aur Bukhaar ke Liye Taweez Likhte huwe dekha.

📘(Tibbe Nabawi : 📑Safa 277)

📑Scan Page

6 - Gair Moqlid Gadho 🐮 ka Guru Ghantaal 🐷 Ibn Taimiya Nakseer ke Liye Nakseer Zada ki Peshaani par Tehreer Karte the.

Aur Chhota Ghantaal Gair Moqlid Gadho 🐮 ka Ibn Qayyim Likhta hai ke Ibn Taimiya ne Farmaaya : Maine Yeh Aayaat Kai Logo ke Liye Likhi aur Usko Is Marz se Najaat Milgayi.

📔(Tibbe Nabawi : 📑Safa 278)

📑Scan Page

7 –  Abdul Wahaab Apne Muallifaat me Tehreer karte hai :

Taweez Wo Shai hai Jo Nazr e Bad se Hifaazat ki Khaatir Bach-cho ke Gale me Latkaayi Jaati hai.Agar wo Quraan se ho toh Baaz Aslaaf ne Uski Ijaazat di hai. 

📒(Al Muallifaat : 📚Jild 1 : 📑Safa 29)

📑Scan Page

Ek Dusri Jagah Likhte hai : Maozateen ki Taweez aur Duaye Karna aur Dawaaye Istemaal Karna Jayez hai.

📓(Al Muallifaat : 📚Jild 1 : 📑Safa 79)

📑Scan Page

📑Look All Scan👇🏻



















DALIL AHLE HADEES WAHABIO KE GHAR SE.

Ibn taymiya 

Aaj ke gairmuqalid ab isse kaya kahainge ab iss pe koun sa fatwa lagainge jab ki Ibne Tayamia ne khud gandy pahn rakhain thai aur fir iss ko farokht bhi kar dea agar yahi kaam koi aur karta to iss pe shirk wa biddat bola jata. 







1] ibn Taymiya (Baani Ahle Hadees) 




Ibne Taumiya K Marne Baad Jab Use Nehlaya Jaa Raha Tha To Us K Gale (Neck) Se Paare Wala #Taweez Nikla Jo Usne Juwe (Lice) Se Bachne K Liye Bandh Rakha Tha

*Reference 
(Al Bidaya Wan Nihaya, Vol -14, Page -211)






1]FATWA SHANAIYA.[Sanaullah Amritsari,Ahle Hadees]


Jisko jama kiya moulana dawood Raaz ne.

Sawal hua:Aayat aur duaye jo hadees se sabit hai,inko likhkar taawiz banakar Aurat ya bachhe ke gale me baazu me latka sakte hain ya nahi?

Jawaab me likhte hai:Taaweez ke masle me ikhtelaf hai,magar raaze baat yahi hai taweez banana jayj hai balke hindu ko bhi likhkar de sakte hain.

{fatwa e shanaiya,jild:1,safa:349}

Scan:👇

With zoom



2]FATAWA NAZEERIYA [Nazeer hussain muhaddis dahelvi,Ahle hadees]


Yahi sawal miya nazeer hussain dahelvi se hua to janaab ne bhi jawaaz ka fatwa diya aur kaha ke "sahi yahi hai ke jayaz hai."

{Fatawa nazeeriya, jild:3, safa:298}

Scan👇





3]FATWA AHLE HADEES [Hafiz Abdullah Muhaddis Ropdi,Ahle hadees]


Likhte hai "Quraan ki Aayat ka Taaweez Likhkar dene Me Koi Harj Nahi."


{Fatwa Ahle Hadees, Safa:420}

Scan👇







Ab aap in ahle hadees wahabi hazraat se puchiye jinhone abhi abhi is firqe me dakhila liya hai agar Taaweez shirk hai to ek shirk wale kaam ko jayaz kahkar iske jawaaz ka fatwa dekar ye bechare aap ke aqabir kya huye? Ummid karta hu insaaf ke saath jawaab denge.





DALIL DEOBAND TABLIG JAMAAT KE GHAR SE:



*Radde Deoband.*

tablig jamat deobandio ka ulma Ashraf Ali Thanvi Likhta Hai:

*in ayato ko likh kar wiladat ki aasani k liye  bayi raan me bandh le*

 yani thanvi k najdik Quran Ki Ayato Ko Sharam Ghah Ke Niche Raan Par Bandna Jaiz h. 

(Maaz'Allah Summa Maaz'Allah) 


_Yeh Hai Deobandiyo Ke Nasdik Quran e Pak Ki Izzat o Azmat._

Hawala Note:

*📚(Amaal e Quraani (Hindi) Safa no:88)*

*Scan Page*

❌📄👇🏼



Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...