Monday 26 June 2023

Kin waqto me namaz na padhe? Tuluh aftab aur gurub aftab

 Kin Waqto Par Namaz Padhna Mana Hai ?


Hazrat Abu Umama رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Tuluh Aftab Ke Waqt Koi Namaz Na Padha Karo Kyunke Suraj Shaitan 2 Singho Ke Darmiyan Tuluh Hota Hai Aur Us Waqt Har Kafir Usay Sajda Karta Hai Isi Tarah Gurub Aftab Ke Waqt Koi Namaz Na Pada Karo Kyunke Suraj Shaitan Ke 2 Singho Ke Darmiyan Gurub Hota Hai Aur Us Waqt Har Kafir Usay Sajda Karta Hai Isi Tarah Nifs Nahar Ke Waqt Koi Namaz Na Pada Karo Kyunke Us Waqt Jahennam Ko Bhadkaya Jata Hai.


(Musnad Ahmad, Vol 36, Hadees 22245)





Wednesday 21 June 2023

Hazrat ibrahim Alaihissalam Aur Ismail alaihissalam|Qurbani Waqiya | हज़रत ईब्राहिम अलैहीस्सलाम कुरबानी वाकिया


*हिन्दी/hinglish*                                   *Part-1*

         *हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम*

* आपका नाम इब्राहीम और लक़ब अबुज़्ज़ैफ यानि बहुत बड़े मेहमान नवाज़ और अबुल अम्बिया यानि नबियों के बाप है क्योंकि 8 अम्बिया इकराम यानि हज़रत आदम हज़रत शीश हज़रत इदरीस हज़रत नूह हज़रत हूद हज़रत सालेह हज़रत लूत और हज़रत यूनुस अलैहिस्सलातो वत्तस्लीम के अलावा बाकी सारे नबी आप ही की नस्ल से हुए,आपके 2 साहबज़ादे नबी हुए हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम जो कि हज़रते हाजरा रज़ियल्लाहु तआला अंहा के बेटे हैं और दूसरे हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम जो कि हज़रते सारा रज़ियल्लाहु तआला अंहा के बेटे हैं 

📕 नुज़हतुल कारी,जिल्द 6,सफह 501 
📕 तफसीरे अज़ीज़ी,जिल्द 1,सफह 373

* आपका नस्ब नामा ये है इब्राहीम बिन तारख बिन नाखूर बिन सारू बिन रऊ बिन तातेय बिन आमिर बिन सालेह बिन रफह बिन साम बिन हज़रत नूह अलैहिस्सलाम,और आज़र आपका चचा जो कि काफिर था कुछ लोग उसे हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम का बाप कहते हैं ये बे अस्ल है,क्योंकि किसी भी अम्बिया अलैहिस्सलातो वत्तस्लीम के आबा व अजदाद में कोई भी काफिर ना हुआ सब मोहिद मोमिन थे,चुंकि अरब क़ौम में चचा को भी बाप ही कहते हैं इसी लिए क़ुरान ने आज़र को आपका बाप यानि अबियह कहा जैसा कि खुद हदीसे पाक में है कि एक मर्तबा हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम ने युं फरमाया कि "मेरे बाप अब्बास को मुझ पर पेश करो" हालांकि वो आपके बाप नहीं बल्कि चचा हैं,आप तूफाने नूह के 1709 साल बाद और हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम से 2300 साल पहले अमवाज़ के इलाक़े मक़ामे सोस में पैदा हुए 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 810

* आपकी वालिदा के नाम मे इख्तिलाफ है सानी या नूफा या लेवसा या अमीलिया या बूना बिन्त करबन मज़कूर है

📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 186
📕 अलबिदाया,जिल्द 1,सफह 140

* नमरूद बिन कुंआन जाबिर बादशाह था जो कि लोगों से अपनी परशतिश करवाता,उसके दरबार के नुजूमियों ने उसे बताया कि एक बच्चा पैदा होने वाला है जो कि तेरी हलाक़त का बाइस होगा,उसने ये सुनकर फौरन ही जो बच्चे पैदा हुए थे सबको मरवा दिया और जो हमल में थे सबका हमल गिरवा दिया और मियां बीवी को मिलने पर भी पाबंदी लगवा दी,मगर तक़दीरे इलाही को कौन टाल सकता है आपकी वालिदा मोहतरमा हामिला हो गईं मगर उम्र कम थी सो हमल पहचान में ना आता था जब आपकी विलादत का वक़्त करीब आया तो आपके वालिद उन्हें शहर से दूर एक तहखाने में ले गए जो उन्होंने पहले ही खोद रखा था,वहीं आपकी विलादत हुई आपकी वालिदा आपको रोज़ाना उसी तहखाने में दूध पिला आती और आते हुये गार के मुंह को पत्थरों से ढ़क दिया करती,आप एक महीने में इतना बढते थे जितना एक आम बच्चा साल भर में बढ़ता था,आप तहखाने में कितनी मुद्दत रहे इसमें कई क़ौल हैं बाज़ ने 7 बरस बाज़ ने 13 और बाज़ ने 17 भी लिखा है 

📕 खज़ाएनुल इर्फान,पारा 7,रुकू 15

*ⓩ हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम की तरफ 3 झूठ की निस्बत की जाती है पहली बात आपका ये कहना कि मैं बीमार हूं हालांकि आप बीमार नहीं थे,दूसरा बुतों को तोड़कर इनकार करना,तीसरा अपनी बीवी को बहन कहना,मगर एक नबी हरगिज़ हरगिज़ हरगिज़ झूठ नहीं बोल सकता आईये उसकी पूरी तफसील देखते हैं*

हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने अपने चचा से कहा कि क्यों इन बुतों की पूजा करते हो जो ना सुन सकते हैं और ना बोल सकते हैं पर वो नहीं माने उधर क़ौम का एक सालाना मेला लगता था जिसे वो ईद कहते थे उन्होंने जब हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम से उस मेले में चलने को कहा तो आपने आसमान की तरफ देखा और फरमाया कि "मैं बीमार होने वाला हूं" इस पर वो समझें कि ये बीमार हैं और आपको छोड़कर मेले में चले गए इधर आपको हालात मुनासिब नज़र आये और आपने उन सब बुतों को तोड़ डाला और वो हथौड़ा एक बड़े बुत के कांधे पर रख दिया और उसे नहीं तोड़ा,उधर क़ौम को जब ये पता चला तो भागती हुई आई और कहा कि किसने हमारे खुदाओं का ये हाल किया इसपर आपका नाम आया कि आप ही उनकी मुखालिफत करते हैं और आज गांव में सिर्फ आप ही मौजूद थे,आपको बुलाकर जब पूछा गया कि इन बुतों को किसने तोडा तो आपने फरमाया "उनके इस बड़े ने किया होगा"

*पहला क़ौल ये कि मैं बीमार होने वाला हूँ* आपके कहने का ये मतलब हरगिज़ नहीं था कि मैं कल ही बीमार होने वाला हूं,आखिर ज़िन्दगी में आदमी कभी तो बीमार होगा ही इस कलाम को "तौरियह" कहते हैं यानि कहने वाला अपनी बात की मुराद दूर की ले अगर चे सुनने वाला क़रीब समझे और अगर इसको युं भी कहें कि मैं बीमार ही हूं तब आपके कहने का मतलब ये था कि तुमने एक अल्लाह को छोड़कर ना जाने कितने बातिल माबूद बना रखे हैं इसी वजह से मैं ज़हनी परेशानी में मुब्तेला हूं और मेरा क़ल्ब बीमार है अगर चे लोग इसका माने कुछ भी समझें 

*दूसरा क़ौल ये कि इस बड़े ने किया है* इसकी 7 शरहें हैं 

1. पहला ये कि आपने ये नहीं फरमाया कि ये काम इस बुत ने ही किया है बल्कि इससे आपने अपनी ज़ात ही मुराद ली इसको युं समझिये जैसे मेरा ये मश्ग आप पढ़ें और फिर मुझसे पूछें कि क्या इसे आपने लिखा है तो मैं कहुं कि नहीं तुमने लिखा है तो यहां ऐतराज़न कहा कि अरे भाई तुमने तो लिखा नहीं तो ज़रूर मैंने ही लिखा होगा इस कलाम को "तारीज़" कहते हैं,मतलब हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम से क़ौम ने पूछा कि क्या ये सब तुमने किया है तो आपका ये फरमान कि नहीं इस बड़े ने किया है दर असल उनको यही बताना था कि जब ये बोल नहीं सकता सुन नहीं सकता जवाब नहीं दे सकता तो बुतों को क्या खाक तोडेगा ज़ाहिर सी बात है मैंने ही किया है,मगर इस कलाम को वो नहीं समझें 

2. दूसरा ये कि कभी कभी काम करने की निस्बत भी करवाने वाले की तरफ की जाती है मसलन आप क़ुरान पढ़ रहे है अचानक आपका बेटा कमरे में दाखिल हुआ और आकर टी.वी चालू करके बैठ गया आप उठे और दो थप्पड़ रसीद कर दिए जब घर वालो ने पूछा तो आपने टी.वी को ही ज़िम्मेदार ठहराते हुए कहा कि सब इसी ने किया है बस उसी तरह क़ौम के लोग उन बुतों को माबूद समझते और उन्हें खूब सजाते और उस बड़े बुत को कुछ ज़्यादा ही तवज्जोह देते जिसकी वजह से आपको गुस्सा आया और सारे बुतों को तोड़कर उसी की तरफ निस्बत कर दी क्योंकि गुस्सा उसी की वजह से आया था

3. तीसरा ये कि जब क़ौम बुतों को माबूद मानती है तो फिर उसको क़ुदरत भी होनी चाहिए तो हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम का उसकी तरफ निस्बत करना कि इसने ये किया है फिर क़ौम का ये कहना कि ये तो कुछ हरकत नहीं कर सकता दर असल उनको समझाना मुराद था कि जब तुम खुद जानते हो कि वो ऐसा नहीं कर सकता तो क्यों उसको माबूद समझकर पूजा करते हो

4. चौथा ये कि आपका कलाम ये था कि जिसको करना था वो कर चुका अब अगर इसके अंदर बोलने की सलाहियत है तो इसी से पूछ लो कि किसने किया है

5.पांचवा ये कि "कबीरहुम" पर वक़्फ है और फिर कलाम की शुरुआत "हाज़ा" से है मतलब आपका ये कहना कि इनके बड़े ने किया है मतलब आपने बड़े से अपनी ही ज़ात मुराद ली कि मैं ही वो बड़ा हूं क्योंकि बुत कितना भी बड़ा हो पर इंसान से बड़ा नहीं हो सकता

6. फेअल की इज़ाफत बड़े बुत की तरफ मशरूत के तौर पर है मतलब ये कि अगर ये बोलता है तो इसने किया है और नहीं बोलता तो ज़ाहिर है कि नहीं बोलता तो इसने नहीं बल्कि मैंने किया है क्योंकि कलाम में तक़दीम व ताख़ीर है

7. एक क़िरात "फअलहु कबीरहुम" भी आई है मतलब ये कि शायद इनके बड़े ने किया हो

*तीसरा क़ौल आपका अपनी बीवी को बहन कहना* जब क़ौम आपकी बात नहीं मानी तो नमरूद के हुक्म से आपको आग में डाला गया आग आप पर गुलज़ार हो गयी,जब आप बाहर आये तो आप क़ौम से बहुत ना उम्मीद हो गए और सब कुछ छोड़कर आप अपने चचा हारान के पास चले गए,आपकी सदाक़त को देखकर आपके चचा ने अपनी बेटी हज़रते सारा का निकाह आपसे करा दिया मगर आपने वहां भी हक़ की सदा बुलंद करनी शुरू करदी जिस पर आपके चचा ने आपको वहां से चले जाने को कहा आप जब शहर फलस्तीन से गुज़रे तो वहां का बादशाह जो कि बहुत ज़ालिम था और हर आदमी की बीवी को अपने कब्ज़े में ले लेता था,जब उसको आपकी और हज़रत सारा के आने की खबर हुई तो दोनों को दरबार में बुलवाया और आपसे पूछा कि ये औरत कौन है चुंकि वो आपके चचा की बेटी थीं सो आपकी बहन भी थीं इसी निस्बत से आपने कहा कि ये मेरी बहन है,मगर उस बादशाह ने फिर भी उनको ना छोड़ा और बुरी नियत से उनकी तरफ बढ़ा तो अल्लाह ने उस पर अज़ाब मुसल्लत कर दिया वो गिड़गिड़ाने लगा और आपसे माफी चाही तो आपने उसे माफ कर दिया तब उस बादशाह ने एक कनीज़ यानि हज़रते हाजरा को दोनों को दिया और रुखसत किया

*अलहासिल कलाम आपका तीनो सच्चा था मगर लोगों ने उसके माने अपनी अक़्ल के हिसाब से तय किये और उसे झूठ समझा* 

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 82--85

* आपने 4 निकाह किये हज़रते सारा व हज़रते हाजरा इन दोनों के विसाल के बाद कन्तूरा बिन्त यक़तन और उनके इन्तेक़ाल के बाद हिजून बिन्त ज़हीर से,जिस तरह मर्दो में सबसे ज़्यादा हसीन हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम हुए हैं उसी तरह औरतों में सबसे ज़्यादा खूबसूरत हज़रते सारा रज़ियल्लाहु तआला अंहा हुईं हैं बल्कि हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम का हुस्न भी आपकी दादी हज़रते सारा का ही सदक़ा था

📕 अलकामिल फित्तारीख,जिल्द 1,सफह 50
📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 99

* आपने जिन बुतों को तोड़ा उनकी तादाद 72 थी 

📕 माअरेजुन नुबूवत,जिल्द 1,सफह 76

* जिस वक़्त आपको आग में डाला गया उस वक़्त आपकी उम्र 16 साल थी और आग में आप 7 दिन रहे 

📕 तफसीरे जमल,जिल्द 3,सफह 163

जारी रहेगा..........

-------------------------------------------------------

* Aapka naam ibraheem aur laqab abuzzaif yaani bahut bade mehman nawaz aur abul ambiya yaani nabiyon ke baap hai kyunki 8 ambiya ikraam yaani hazrat aadam hazrat sheesh hazrat idrees hazrat nooh hazrat hood hazrat saaleh hazrat loot aur hazrat yunus alaihissalato wattasleem ke alawa baaki saare nabi aap hi ki nasl se hue,aapke 2 saahab zaade nabi hue hazrat ismayeel alaihissalam jo ki hazrate haajra raziyallahu taala anha ke bete hain aur doosre hazrat ishaaq alaihissalam jo ki hazrate saara raziyallahu taala anha ke bete hain

📕 Nuzhatul qaari,jild 6,safah 501
📕 Tafseere azizi,jild 1,safah 373

* Aapka nasb naama ye hai ibraheem bin taarakh bin nakhoor bin saaroo bin raoo bin taatey bin aamir bin saaleh bin arfah bin saam bin hazrat nooh alaihissalam,aur aazar aapka chacha jo ki kaafir tha kuchh log use hazrat ibraheem alaihissalam ka baap kahte hain ye be asl hai,kyunki kisi bhi ambiya alaihissalato wattasleem ke aaba wa ajdaad me koi bhi kaafir na hua sab mohid momin the,chunki arab qaum me chacha ko bhi baap hi kahte hain isi liye quran ne aazar ko aapka baap yaani abiyah kaha jaisa ki khud hadise paak me hai ki ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne yun farmaya ki "mere baap abbas ko mujhpar pesh karo" halaanki wo aapke baap nahin balki chacha hain,aap toofane nooh ke 1709 saal baad aur hazrat eesa alaihissalam se 2300 saal pahle amwaaz ke ilaaqe maqame sous me paida hue

📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 810

* Aapki waalida ke naam me ikhtilaf hai saani ya noofa ya lewsa ya amiliya ya boona bint karban bhi mazkoor hai

📕 Alitqaan,jild 2,safah 186
📕 Albidaya,jild 1,safah 140

* Namrood bin kunaan jaabir baadshah tha jo ki logon se apni parashtish karwata,uske darbaar ke nujumiyon ne use bataya ki ek bachcha paida hone waala hai jo ki teri halaqat ka baayis hoga,usne ye sunkar fauran hi jo bachche paida hue the sabko marwa diya aur jo hamal me the sabka hamal girwa diya aur miyan biwi ko milne par bhi pabandi lagwa di,magar taqdeere ilaahi ko kaun taal sakta hai aapki waalida muhtarma haamila ho gayin magar umr kam thi so hamal pahchaan me na aata tha jab aapki wiladat ka waqt qareeb aaya to aapke waalid unhein shahar se door ek tah khaane me le gaye jo unhone pahle hi khod rakha tha,wahin aapki wiladat huyi aapki waalida aapko rozana usi tahkhaane me doodh pila aati aur aate gaar ke munh ko pattharo se dhak diya karti,aap ek mahine me itna badhte the jitna ek aam bachcha saal bhar me badhta tha,aap tahkhaane me kitni muddat rahe isme kayi qaul hain baaz ne 7 baras baaz ne 13 aur baaz ne 17 bhi likha hai

📕 Khazayenul irfan,para 7,ruku 15

*ⓩ hazrat ibraheem alaihissalam ki taraf 3 jhooth ki nisbat ki jaati hai pahli baat aapka ye kahna ki main beemar hoon,Doosra buto ko todkar inkaar karna,Teesra apni biwi ko bahan kahna,magar ek nabi hargiz hargiz hargiz jhooth nahin bol sakta aayiye uski poori tafseel dekhte hain
*

hazrat ibraheem alaihissalam ne apne chacha se kaha ki kyun in buto ki pooja karte ho jo na sun sakte hain aur na bol sakte hain par wo nahin maane udhar qaum ka ek salaana mela lagta tha jise wo eed kahte the unhone jab hazrat ibraheem alaihissalam se us mele me chalne ko kaha to aapne aasman ki taraf dekha aur farmaya ki "main beemaar hone waala hoon" ispar wo samjhen ki ye beemar hain aur aapko chhodkar mele me chale gaye idhar aapko haalat munasib nazar aaye aur aapne un sab buton ko tod daala aur wo hathauda ek bade but ke kaandhe par rakh diya aur use nahin toda,udhar qaum ko jab ye pata chala to bhaagti huyi aayi aur kaha ki kisne hamare khudaon ka ye haal kiya ispar aapka naam aaya ki aap hi unki mukhalifat karte hain aur aaj gaon me sirf aap hi maujood the,aapko bulakar jab poochha gaya ki in buto ko kisne toda to aapne farmaya "unke is bade ni kiya hoga" 

*Pahla qaul ye ki main beemar hone waala hoon* aapke kahne ka ye matlab hargiz nahin tha ki main kal hi beemar hone waala hoon,aakhir zindagi me aadmi kabhi to beemar hoga hi is maayne ko TAURIYAH kahte hain yaani kahne waala apni baat ki muraad door ki le agar che sunne waala qareeb samjhe aur agar isko yun bhi kahen ki main beemar hi hoon tab aapke kahne ka matlab ye tha ki tumne ek ALLAH ko chhodkar na jaane kitne baatil mabood bana rakhe hain isi wajah se main zahni pareshani me mubtela hoon aur mera qalb beemar hai agar che log iska maane kuchh bhi samjhen

*Doosra qaul ye ki is bade ne kiya hai* iski 7 sharahein hain 

1. Pahla ye ki apne ye nahin farmaya ki ye kaam is but ne hi kiya hai balki isse aapne zaat hi muraad li isko yun samajhiye jaise mera ye msg aap padhen aur phir mujhse poochhen ki kya ise aapne likha hai to main kahun ki nahin tumne likha hai to yahan aitrazan kaha ki are bhai tumne to likha nahin to zaroor maine hi likha hoga is kalaam ko TAAREEZ kahte hain,matlab hazrat ibraheem alaihissalam se qaum ne poochha ki kya ye sab tumne kiya hai to aapka ye farmana ki nahin is bade ne kiya hai dar asal unko yahi bataana tha ki jab ye bol nahin sakta sun nahin sakta jawab nahin de sakta to buto ko kya khaak todega zaahir si baat hai maine hi kiya hai,magar is kalaam ko wo nahin samjhen

2. Doosra ye ki kabhi kabhi kaam karne ki nisbat bhi karwane waale ki taraf ki jaati hai maslan aap quran padh rahe hai achanak aapka beta kamre me daakhil hua aur aakar t.v chaalu karke baith gaya aap uthe aur do thappad raseed kar diye jab ghar waalo ne poochha ki aisa kyun kiya to aapne t.v ko hi zimmedaar thahrate hue kaha ki sab isi ne kiya hai bas usi tarah qaum ke log un buton ko mabood samajhte aur unhein khoob sajaate aur us bade but ko kuchh zyada hi tawajjoh dete jiski wajah se aapko gussa aaya aur saare buton ko todkar usi ki taraf nisbat kardi kyunki gussa usi ki wajah se aaya tha

3. Teesra ye ki jab qaum buto ko mabood maanti hai to phir usko qudrat bhi honi chahiye to hazrat ibraheem alaihissalam ka uski taraf nisbat karna ki isne ye kiya hai phir qaum ka ye kahna ki ye to kuchh harqat nahin kar sakta dar asal unko samjhana muraad tha ki jab tum khud jaante ho ki wo aisa nahin kar sakta to kyun usko maabood samajhkar pooja karte ho

4. Chautha ye ki aapka kalaam ye tha ki jisko karna tha wo kar chuka ab agar iske andar bolne ki salahiyat hai to isi se poochh lo ki kisne kiya hai 

5.Paanchva ye ki KABIRAHUM par waqf hai aur phir kalaam ki shuruaat HAAZA se hai matlab aapka ye kahna ki inke bade ne kiya hai matlab aapne bade se apni zaat muraad li ki main hi wo bada hoon kyunki but kitna bhi bada ho par insaan se bada nahin ho sakta

6. fail ki izafat bade but ki taraf MASHROOT ke taur par hai matlab ye ki agar ye bolta hai to isne kiya hai aur nahin bolta to zaahir hai ki nahin bolta to isne nahin balki maine kiya hai kyunki kalaam me taqdeem wa takheer hai

7. Ek qerat FAALAHU KABIRAHUM bhi aayi hai matlab ye ki shayad inke bade ne kiya ho

*Teesra aapka apni biwi ko bahan kahna* Jab qaum aapki baat nahin maani to namrood ke hukm se aapko aag me daala gaya aag aap par gulzaar ho gayi,jab aap baahar aaye to to aap qaum se bahut na ummeed ho gaye aur sab kuchh chhodkar aap apne chacha haaran ke paas chale gaye,aapki sadaqat ko dekhkar aapke chacha ne apni beti hazrate saara ka nikah aapse kara diya magar aapne wahan bhi haq ki sada buland karni shuru kardi jis par aapke chacha ne aapko wahan se chale jaane ko kaha aap jab shahre falasteen se guzre to wahan ka baadshah jo ki bahut zaalim tha aur har aadmi ki biwi ko apne qabze me le leta tha,jab usko aapki aur hazrat saara ke aane ki khabar huyi to dono ko darbaar me bulwaya aur aapse poochha ki ye aurat kaun hai chunki wo aapke chacha ki beti thin so aapki bahan bhi huyin isi nisbat se aapne kaha ki ye meri bahan hai,magar us baadshah ne phir bhi unko na chhoda aur buri niyat se unki taraf badha to ALLAH ne us par azaab musallat kar diya wo gidgidane laga aur aapse maafi chahi to aapne use maaf kar diya tab us baadshah ne ek kaneez yaani hazrate haajra ko dono ko diya aur rukhsat kiya

*Alhaasil kalaam aapka teeno sachcha tha magar logon ne uske maane apni aql ki hisaab se tai kiye aur use jhooth samjha*

📕 Tazkiratul ambiya,safah 82--85

* Aapne 4 nikah kiye hazrate haajira wa hazrate saara in dono ke wisaal ke baad qantura bint yaqtan aur unke inteqaal ke baad hijoon bint zaheer se,magar sabse pahla nikah aapke chacha haaraan ki beti hazrate saara se hua,jis tarah mardo me sabse zyada haseen hazrat yusuf alaihissalam hue hain usi tarah aurton me sabse zyada khoobsurat hazrate saara raziyallahu taala anha huyin hain balki hazrat yusuf alaihissalam ka husn bhi apni daadi hazrate saara ka hi sadqa tha

📕 Alakaamil fittarikh,jild 1,safah 50
📕 Tazkiratul ambiya,safah 99

* Aapne jin buto ko toda unki taadad 72 thi

📕 Maarejun nubuwat,jild 1,safah 76

* Jis waqt aapko aag me daala gaya us waqt aapki umr 16 saal thi aur aag me aap 7 din rahe

📕 Tafseere jamal,jild 3,safah 163

To be continued..........



POST :2

             

* ये आतिशे नमरूद क़रियये कोस में धधकाई गई,ये पत्थर की चार दिवारी 90 फिट लंबी 60 फिट चौड़ी और 45 फिट ऊंची थी जिसमे एक महीने तक लकड़ियां जमा की गयी 

📕 खज़ाएनुल इर्फान,पारा 17,रुकू 5

* आग को 7 दिन तक दहकाया गया 

📕 तफसीरे सावी,जिल्द 3,सफह 96

* इस आग की बुलन्दी इतनी थी कि इसके शोले अहले शाम को दिखाई देते थे और इसकी आवाज़ 3 दिन की मुसाफत से सुनाई देती थी इसके ऊपर से भी कोई परिंदा उड़कर जा नहीं सकता था 

📕 माअरेजुन नुबूवत,जिल्द 1,सफह 98

* जब आग इस कदर भड़क गयी तो अब किसी को उसके पास जाने की हिम्मत ना होती थी तब इब्लीस लईन ने मुंजनीक़ बनाने का मशवरा दिया जिसे हैज़न नामी शख्स अमल में लाया,अल्लाह ने उसको ज़मीन में धंसा दिया और ये क़यामत तक धंसता ही रहेगा 

📕 तफसीरे जमल,जिल्द 3,सफह 163

* जिस वक़्त आपको आग में डाला गया तो हज़रत जिब्रील अलैहिस्सलाम जन्नत से एक कमीज़ लाये और आपको पहनाया 

📕 खज़ाएनुल इर्फान,पारा 12,रुकू 12

* जब आप आग की तरफ जा रहे थे तो हवा और पानी का फरिश्ता हाज़िर हुआ आपसे कहा कि आप कहें तो हम ये आग बुझा सकते हैं आपने उनसे मदद लेने का इंकार किया फिर आपके पास जिब्रील अलैहिस्सलाम आये और कहा कि किसी मदद की ज़रूरत हो तो कहिये इस पर भी आपने कहा कि मुझे रब के सिवा किसी की मदद की ज़रूरत नहीं फिर अर्ज़ किया कि आप कहें तो आपकी बात रब तक पहुंचा दूं तो आपने फरमाया कि वो मेरे कहे बग़ैर भी मेरी सुनता है तो जिब्रील अलैहिस्सलाम वहां से चले गए 

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 90

* एक मर्तबा हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम ने हज़रत जिब्रील अलैहिस्सलाम से पूछा कि ऐ जिब्रील क्या तुम्हे कभी ज़मीन पर आने के लिए मशक़्क़त भी उठानी पड़ी है इस पर वो फरमाते हैं कि या रसूल अल्लाह सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम बेशक 4 मर्तबा मुझे ज़मीन पर आने के लिए बहुत जल्दी करनी पड़ी है

1. पहला जब हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम को आग में डाला जा रहा था तो मौला का हुक्म हुआ कि ऐ जिब्रील मेरे खलील के आग में पहुंचने से पहले तुम उनके पास पहुंचे तो मैंने सिदरह छोड़ा और इससे पहले कि वो आग तक पहुंचते मैं पहुंच गया

2. दूसरा जब हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने हज़रत इस्माईल के गले पर छुरी चलाने का कसद किया तो मौला ने फरमाया कि ऐ जिब्रील इससे पहले कि इस्माईल के गले पर छुरी चले फौरन जन्नत से एक दुम्बा लेकर इस्माईल के लिए फिदिया बनाओ तो मैं सिदरह से जन्नत गया वहां से दुम्बा लिया फिर ज़मीन पर आकर इस्माईल को हटाकर वो दुम्बा लिटा दिया और वो ज़बह हो गया

3. तीसरा जब हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम को उनके भाइयों ने कुंअे में फेंक दिया और वो पानी की तरफ बढ़ रहे थे तो मौला ने मुझे हुक्म दिया तो इससे पहले कि वो पानी तक पहुंचते मैं एक तख्त लेकर पहुंच गया और उनको बा आसानी उस पर बिठाया

4. चौथा जब आपका दनदाने मुबारक शहीद हुआ और खून की बूंदें ज़मीन की तरफ बढ़ रही थी तो मुझे हुक्म मिला कि आपका खून ज़मीन पर गिरने से पहले अपने हाथों में ले लूं तो मैं सिदरह से ज़मीन पर आया हालांकि आपका खून जिस्म से जुदा होकर ज़मीन की तरफ बढ़ रहा था  मगर उसके ज़मीन तक पहुंचने से पहले मैं पहुंचा और उसको अपने हाथों में ले लिया 

📕 तफसीर रूहुल बयान,जिल्द 3,सफह 411

* सिदरतुल मुंतहा ज़मीन से 50000 साल की दूरी पर है,सोचिये कि 50000 साल की दूरी आन की आन में तय कर रहे हैं और ये ताक़त मेरे आक़ा के एक ग़ुलाम की है तो अंदाजा लगाइये कि जब एक ग़ुलाम की ताक़त का ये हाल है तो नबियों के नबी जनाब सय्यदुल अम्बिया सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम की ताक़त का क्या हाल होगा 

📕 अलमलफूज़,जिल्द 4,सफह 7

* जब आप आग में गए तो मेंढ़क हाज़िर हुआ और अपने आशिक़े रसूल होने की गवाही इस तरह दी कि अपने मुंह में पानी भरकर लाता और आग में डालकर उसे बुझाने की कोशिश करता,हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम ने इसे मारने के लिए मना फरमाया है,अगर ख्वाब में मेंढ़क देखे तो ये इबादते इलाही में मसरूफ होने की दलील है और अगर बहुत ज़्यादा मेंढ़क देखे तो ये किसी आने वाली मुसीबत की निशान देही है सदक़ा करे 

📕 हयातुल हैवान,जिल्द 2,सफह 68--86

* वहीं छिपकली या गिरगिट वो बदतरीन जानवर है जो नबी अलैहिस्सलाम की आग में फूंक मारकर उसे भड़काने की कोशिश कर रही थी,हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम ने इसे फासिक कहा है और मुस्लिम शरीफ की रिवायत है कि उसे पहली ही ज़र्ब में मारने पर 100 नेकी और दूसरे में उससे कम फिर उससे कम 

📕 खाज़िन,जिल्द 4,सफह 244 
📕 मुस्लिम,जिल्द 2,सफह 358

* जब आप आग में पहुंचे तो रब ने आग से फरमाया कि "ऐ आग ठंडी और सलामती वाली हो जा इब्राहीम पर" तो उस वक़्त ज़मीन पर जितनी भी आग थी सब के सब ठंडी हो गयी और उलेमा फरमाते हैं कि अगर मौला सलामती का लफ्ज़ ना फरमाता तो आग इतनी ठंडी हो जाती कि उसकी ठंडक इंसान को नुकसान पहुंचा देती 

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 10

* सबसे पहले आप पर ईमान लाने वाले हज़रत लूत अलैहिस्सलाम हैं जबकि आप आग से बाहर आये 

📕 जलालैन,हाशिया 8,सफह 337

* आपको 80 साल की उम्र में खतना करने का हुक्म दिया गया जिसे आपने अपने हाथों से अंजाम दिया 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 810

* जिस वक़्त हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम पैदा हुए उस वक़्त आपकी उम्र 106 साल की थी और जब हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम पैदा हुए तब आपकी उम्र 120 साल थी,यानि हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम से 14 साल बड़े हैं

📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 176

* आपकी कितनी औलाद है इसमें काफी इख्तेलाफ है,जलालैन में है कि आपके 4 बेटे थे इस्माईल-इस्हाक़-मदयन और मदायन,अलइतक़ान में अल्लाम जलाल उद्दीन सुयूती ने 12 लिखे इस्माईल-इस्हाक़-मान-ज़मरान-सराह-नफ्श-नफ्शान-अमीम-कीसान-सूरा-लूतान-नाफिश,तफसीरे नईमी में 8 का ज़िक्र है इस्माईल-इस्हाक़-मदयन-मदायन-ज़मरान-बक़्शान-यशबक़-नूह

📕 जलालैन,जिल्द 1,सफह 328
📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 185
📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 870

जारी रहेगा...........

  -------------------------------------------------------


* Ye aatishe namrudi qariyaye kous me dhahkayi gayi,ye patthar ki chaar diwaari 90 fitt lambi 60 fitt chaudi aur 45 fitt oonchi thi jisme ek mahine tak lakdiyan jama ki gayi

📕 Khzayenul irfan,para 17,ruku 5

* Aag ko 7 din tak dahkaya gaya

📕 Tafseere saavi,jild 3,safah 96

* Is aag ki bulandi itni thi ki iske shole ahle shaam ko dikhayi dete the aur iski aawaz 3 din ki musafat se sunayi deti thi iske oopar se bhi koi parinda udkar ja nahin sakta tha

📕 Maarejun nubuwat,jild 1,safah 98

* Jab aag is qadar bhadak gayi to ab kisi ko uske paas jaane ki himmat na hoti thi tab iblees layeen ne munjaneeq banane ka mashwara diya jise haizan naami shakhs amal me laaya,ALLAH ne usko zameen me dhansa diya aur ye qayamat tak dhnasta hi rahega

📕 Tafseere jamal,jild 3,safah 163

* Jis waqt aapko aag me daala gaya to hazrat jibreel alaihissalam jannat se ek kameez laaye aur aapko pahnaya

📕 Khzayenul irfan,para 12,ruku 12

* Jab aap aag ki taraf jaa rahe the to hawa aur paani ka farishta haazir hua aapse kaha ki aap kahen to hum ye aag bujha sakte hain aapne unse madad lene ka inkar kiya phir aapke paas jibeel alaihissalam aaye aur kaha ki kisi madad ki zarurat ho to kahiye ispar bhi aapne ikar kiya ki mujhe rub ke siwa ki madad ki zarurat nahin phir arz kiya ki aap kahne to aapki baat rub tak pahuncha doon to aapne farmaya ki wo mere kahe bagair bhi meri sunta hai to jibreel alaihissaam wahan se chale gaye

📕 Tazkiratul ambiya,safah 90

* Ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne hazrat jibreel alaihissalam se poochha ki ai jibreel kya tumhe kabhi zameen par aane ke liye mashaqqat bhi uthaani padi hai is par wo farmate hain ki ya rasool ALLAH sallallaho taala alaihi wasallam beshak 4 martaba mujhe zameen par aane ke liye bahut jaldi karni padi hai

1. Pahla Jab hazrat ibraheem alaihissalam ko aag me daala ja raha tha to maula ka hukm hua ki ai jibreel mere khaleel ke aag me pahunchne se pahle tum unke paas pahunche to maine sidrah chhoda aur isse pahle ki wo aag tak pahunchte maine pahunchkar ek par maara to wo aag gulzaar ho gayi

2. Doosra Jab hazrat ibraheem alaihissalam ne hazrat ismayeel ke gale par chhuri chalane ka kasad kiya to maula ne farmaya ki ai jibreel isse pahle ki ismayeel ke gale par chhuri chale fauran jannat se ek dumba lekar ismayeel ke liye fidiya banao to main sidrah se jannat gaya wahan se dumba liya phir zameen par aake ismayeel ko hatakar wo dumba lita diya aur wo zabah ho gaya

3. Teesra jab hazrat yusuf alaihissalam ko unke bhaiyon ne kunwe me fenk diya aur wo paani ki taraf badh rahe the to maula ne mujhe hukm diya to isse pahle ki wo paani tak pahunchte main ek takht lekar pahunch gaya aur unko ba aasani us par bithaya

4. Chautha Jab aapka dandane mubarak shaheed hua aur khoon ki boondein zameen ki taraf badh rahi thi to mujhe hukm mila ki aapka khoon zameen par girne se pahle apne haathon me le loon to main sidrah se zameen par aaya halaanki aapka khoon jism se juda hokar zameen ki taraf badh raha tha magar uske zameen tak pahunchne se pahe main pahuncha aur usko apne haathon me le liya

📕 Tafseer ruhul bayan,jild 3,safah 411

* Sidratul muntaha zameen se 50000 saal ki doori par hai,sochiye ki 50000 saal ki doori aan ki aan me tai kar rahe hain aur ye taaqat mere aaqa ke ghulam ki hai to andaaza lagaiye ki jab ek ghulam ki taaqat ka ye haal hai to nabiyon ke nabi janab sayyadul ambiya sallallaho taala alaihi wasallam ki taaqat ka kya haal hoga

📕 Almalfooz,jild 4,safah 7

* Jab aap aag me gaye to mendhak haazir hua aur apne aashiqe rasool hone ki gawahi is tarah di ki apne munh me paani bharkar laata aur aag me daalkar use bujhane ki koshish karta,huzoor sallalaho taala alaihi wasallam ne ise maarne ke liye mana farmaya hai,agar khwab me mendhak dekhe to ye ibadate ilaahi me masroof hone ki daleel hai aur agar bahut zyada mendhak dekhe to ye kisi aane waali musibat ki nishan dehi hai sadqa kare

📕 Hayatul haiwan,jild 2,safah 68--86

* wahin chhipkali ya girgit wo badtareen jaanwar hai jo nabi alaihissalam ki aag me phoonk maarkar use bhadkane ki koshish kar rahi thi,huzoor sallalaho taala alaihi wasallam ne ise faasik kaha hai aur muslim sharif ki riwayat hai ki use pahli hi zarb me maarne par 100 neki aur doosre me usse kam phir usse kam

📕 Khaazin,jild 4,safah 244
📕 Muslim,jild 2,safah 358

* Jab aap aag me pahunche to rub ne aag se farmaya ki "ai aag thandi aur salamati waali ho ja ibraheem par" to us waqt zameen par jitni bhi aag thi sab ke sab thandi ho gayi aur ulma farmate hain ki agar maula salamati ka lafz na farmata to aag itni thandi ho jaati ki uski thandak insaan ko nuksan pahuncha deti

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 10

* Sabse pahle aap par imaan laane waale hazrat loot alaihissalam hain Jabki aap aag se baahar aaye

📕 Jalalain,hashia 8,safah 337

* Aapko 80 saal ki umar me khatna karne ka hukm diya gaya jise aapne apne haathon se anjaam diya

📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 810

* Jis waqt hazrat ismayeel alaihissalam paida hue us waqt aapki umr 106 saal ki thi aur jab hazrat ishaaq alaihissalam paida hue tab aapki umr 120 saal thi,yaani hazrat ismayeel alaihissalam hazrat ishaaq alaihissalam se 14 saal bade hain

📕 Alitqaan,jild 2,safah 176

* Aapki kitni aulaad hai isme kaafi ikhtelaaf hai,jalalain me hai ki aapke 4 bete the ismayee-ishaaq-madyan aur madayan,Alitqaan me allama jala uddin suyuti ne 12 likhe ismayeel-ishaaq-maan-zamraan-sarah-nafsh-nafshan-ameem-keesan-soorah-lootan-naafish,tafseere nayimi me 8 ka zikr hai ismayeel-ishaaq-madyan madayan-zamraan-baqshan-yashbaq-nooh

📕 Jalalain,jild 1,safah 328
📕 Alitqaan,jild 2,safah 185
📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 870

To be continued..........

        

POST:3

* नसारा का एक फिरका है जिसका नाम सायबा है उसी क़बीले के बादशाहों का लक़ब नमरूद है,अब तक 6 ऐसे बादशाह गुज़रे हैं जिनका लक़ब नमरूद हुआ

1. नमरूद बिन कुंआन बिन हाम बिन नूह,यही हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के ज़माने का नमरूद है 

2. नमरूद बिन कोश बिन कुंआन

3. नमरूद बिन संजार बिन ग़रूर बिन कोश बिन कुंआन 

4. नमरूद बिन माश बिन कुंआन

5. नमरूद बिन सारोग़ बिन अरगू बिन मालिख

6. नमरूद बिन कुंआन बिन मसास बिन नुक़्ता 

📕 उम्दतुल क़ारी,जिल्द 1,सफह 93 
📕 हयातुल हैवान,जिल्द 1,सफह 98

* अब तक 4 ऐसे बादशाह गुज़रे हैं जिन्होंने पूरी दुनिया पर हुक़ूमत की है 2 मोमिन हज़रत सिकंदर ज़ुलक़रनैन और हज़रत सुलेमान अलैहिस्सलाम और 2 काफिर नमरूद और बख्ते नस्र,और अनक़रीब पांचवे बादशाह हज़रत इमाम मेंहदी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु होंगे जो पूरी दुनिया पर हुक़ूमत करेंगे

📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 178

* नमरूद ने 400 साल हुक़ूमत की,नमरूद के पास कुछ तिलिस्माती चीजें थी जिसकी बिना पर उसने खुदाई का दावा किया

! तांबे का एक बुत था,जब भी कोई चोर या जासूस शहर में दाखिल होता तो उस बुत से आवाज़ आती जिससे वो पकड़ा जाता

! एक नक़्क़ारा था,जब किसी की कोई चीज़ ग़ुम हो जाती तो उस पर चोब मारा जाता तो वो गुमशुदा चीज़ का पता बताती

! एक आईना था,अगर कोई शख्स ग़ुम हो जाता तो उसमे नज़र आ जाता कि इस वक़्त कहां पर है

! एक दरख़्त था,जिसके साए में लोग बैठते और उसका साया बढ़ता जाता यहां तक कि 1 लाख लोग बैठ जाते थे मगर जैसे ही 1 लाख से 1 भी ज़्यादा होता तो साया हट जाता और सब धूप में आ जाते

! एक हौज़ था,जिससे मुकदमे का फैसला होता युं कि मुद्दई और मुद्दआ अलैह दोनों को उस हौज़ में उतारा जाता जो सच्चा होता उसके नाफ से नीचे पानी रहता और झूठा उसमे डुबकी खाता 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 677

* नमरूद ने शहरे बाबुल में एक इमारत बनवाई जिसकी ऊंचाई 15000 फिट थी,उसने ये इमारत आसमान वालों से लड़ने के लिए बनवाई थी,मौला ने एक ऐसी हवा चलायी कि पूरी इमारत ज़मीन पर आ गयी और उसकी दहशत से लोग 73 ज़बान बोलने लगे उससे पहले तक सिर्फ एक ज़बान सुरयानी ही बोली जाती थी 

📕 तफसीरे खज़ायेनुल इरफान,पारा 14,रुकू 10

* नमरूद ने हज़रत इब्राहीम खलीलुल्लाह को आग में डालने के लिए जो आग जलवाई थी उसकी लपटें कई सौ फीट ऊपर तक जाती थी उसी आग की तपिश से एक मच्छर के पर व पैर जल गए,इस मच्छर ने रब की बारगाह में दुआ की तो मौला ने फरमाया कि ग़म ना कर मैं तेरे ज़रिये ही नमरूद को हलाक़ करवाऊंगा,ये मच्छर एक दिन नमरूद की नाक के जरिए उसके दिमाग में घुस गया और अंदर ही अंदर काटना शुरू किया,उस तक़लीफ से मौत हज़ार दर्जे बेहतर थी,जब वो काटता तो नमरूद अपने सर पर चप्पलों से मारा करता,दीवार में सर मारता और इसी तरह तड़प तड़प कर मरा 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 3,सफह 68 
📕 मलफूज़ाते निज़ामुद्दीन औलिया,स 162

* जब नमरूद ने आग को गुलज़ार होता देखा तो समझ गया की हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम का खुदा ही सच्चा खुदा है और उसने उसी वक़्त उसकी बारगाह में क़ुरबानी करने का फैसला किया,जब ये बात हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम को पता चली तो आपने फरमाया कि बगैर ईमान लाये तेरा कोई भी अमल क़ुबूल नहीं तो वो बोला कि बादशाहत तो मैं नहीं छोड़ सकता मगर क़ुरबानी की जो नज़्र मैंने मान ली है उसे तो पूरा करूंगा फिर उसने 4000 गाय अल्लाह की राह में कुर्बान की,आपकी सदाक़त को देखकर नमरूद ने आपको दरबार में मुनाज़रे के लिए बुलवाया,और आपसे कहने लगा कि तुम्हारा रब कौन है जिसकी मैं इबादत करूं तो आप बोले कि मेरा रब वो है जो मारता है और जिलाता है,इस बात का नमरूद ने गलत मतलब निकाला और कहने लगा कि ये तो मैं भी करता हूं और तब उसने दो कैदियों को बुलवाया एक को फांसी की सज़ा होने वाली थी और दूसरे को आज ही रिहाई मिलने वाली थी तो जिसको रिहाई मिलने वाली थी उसको सूली दे दी और जिसको मौत की सज़ा थी उसको रिहा कर दिया और बोला देखो मैं भी मारता हूं और जिलाता हूं,उसकी ये अहमकाना दलील सुनकर हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने कहा कि मेरा रब वो है जो मशरिक से सूरज निकालता है और मग़रिब में डुबोता है अगर तू खुदा है तो मग़रिब से सूरज को निकालकर दिखा,आपकी ये बात सुनकर वो उसके होश उड़ गए जब उससे इसका जवाब नहीं बन सका तो बोला कि मेरे पास तुम्हारे लिए कोई गल्ला नहीं है तुम उसी से मांगो जिसकी इबादत करते हो,घर लौटते हुए हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम अपने झोले में रेत भरकर ले आये सुबह को जब हज़रते सारा ने झोला खोला तो उसमें खुशबूदार गेंहू मौजूद था जिसे उन्होंने पीसकर रोटियां बनाई,जब आपने पूछा कि रोटी कहा से आयी तो कहने लगीं कि रात आप ही तो गेहूं लाये थे वो समझ गए कि ये मेरा रिज़्क़ है जो मेरे रब ने मुझे दिया है 

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 91--94

* सबसे पहले ताज नमरूद ने पहना,रियाया पर ज़ुल्म किया,खुदाई का दावा किया,इसकी उम्र 800 साल हुई 

📕 खाज़िन,जिल्द 2,सफह 124

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने कंघी बनवाई 

📕 आईनये तारीख,सफह 70

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने बालों में मांग निकाली,मेहमान खाना बनवाया,नालैन पहना,हज के दौरान बाल मुंडवाए,बुतों को तोड़ा,पेशानी पर बोसा दिया 

📕 महाज़िरातुल अवायिल,सफह 37--39

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने खतना किया आपसे पहले खतने का हुक्म नहीं था,मेहमान नवाज़ी की,सबसे पहले आपके बाल सफेद हुए 

📕 खाज़िन,जिल्द 1,सफह 89 

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने मूये ज़ेरे नाफ मूंडा 

📕 अलबिदाया वननिहाया,जिल्द 1,सफह 175

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने ही पैजामा पहना 

📕 फतावा रज़विया,जिल्द 10,सफह 84

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने ही हिजरत की 

📕 रूहुल बयान,जिल्द 2,सफह 973

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने ही नाखून काटे और मूंछो को हलकी किया 

📕 तफसीरे सावी,जिल्द 1,सफह 53

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने ही जिहाद किया और लश्करों की तरतीब दी,तलवार चलाई,मेंबर पर खुत्बा दिया और मेंहदी का खिज़ाब किया

📕 तफसीरे अज़ीज़ी,जिल्द 1,सफह 373 

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने ही पानी से इस्तिन्जा किया और मिस्वाक की 

📕 माअरेजुन नुबूवत,जिल्द 1,सफह 133

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने मुआनक़ा किया 

📕 फतावा रज़विया,जिल्द 10,सफह 10

* सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम को ही क़यामत के दिन लिबास पहनाया जायेगा 

📕 मिश्कात,जिल्द 2,सफह 483

* जब हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम मेराज शरीफ पर गए तो हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने आपके मारेफत आपकी उम्मत को सलाम कहलवाया

📕 मिश्कात,जिल्द 1,सफह 202

जारी रहेगा...........

  -------------------------------------------------------

* Nasaara ke ek firqa hai jiska naam saayba hai usi kabile ke baadshahon ka laqab namrood hai,ab tak 6 aise baadshah guzre hain jinka laqab namrood hua

1. namrood bin kunaan bin haam bin nooh,yahi hazrat ibraheem alaihissalam ke zamane ka namrood hai

2. namrood bin kosh bin kunaan bin haam

3. namrood bin sanjaar bin garoor bin kosh bin kunaan

4. namrood bin maash bin kunaan

5. namrood bin saarog bin argu bin malikh

6. namrood bin kunaan bin masaas bin nuqta

📕 Umtadul qaari,jild 1,safah 93
📕 Hayatul haiwan,jild 1,safah 98

* Ab tak 4 aise baadshah guzre hain jinhone poori duniya par huqumat ki hai 2 momin hazrat sikandar zulqarnain aur hazrat suleman alaihissalam aur 2 kaafir namrood aur bakhte nasr,aur anqareeb paanchwe baadshah hazrat imam menhdi raziyallahu taala anhu honge jo poori duniya par huqumat karenge

📕 Alitqaan,jild 2,safah 178

* Namrood ne 400 saal huqumat ki,namrood ke paas kuchh tilismati chizen thi jiski bina par usne khudayi ka daawa kiya

! taambe ka ek butt tha,jab bhi koi chor ya jasoos shahar me daakhil hota to us butt se aawaz aati jisse wo pakda jaata

! ek naqqarah tha,jab kisi ki koi cheez gum ho jaati to uspar chob maara jaata to wo gumshuda cheez ka pata batati

! ek aaina tha,agar koi shakhs gum ho jaata to usme nazar aa jaata ki kahan par is waqt hai

! ek darakht tha,jiske saaye me log baithte aur uska saaya badhta jaata yahan tak ki 1 laakh log baith jaate the magar jaise hi 1 laakh se 1 bhi zyada hota to saaya hat jaata aur sab dhoop me aa jaate

! ek hauz tha,jisse muqadme ka faisla hota yun ki muddayi aur muddaa alaih dono ko us hauz me utara jaata jo sachcha hota uske naaf se neeche paani rahta aur jhoota usme dubki khaata

📕 Tafsire nayimi,jild 1,safah 677

* Namrood ne shahre babul me ek imarat banwayi jiski unchayi 15000 fitt thi,usne ye imaarat aasman waalon se ladne ke liye banwayi thi,maula ne ek aisi hawa chalayi ki poori imaarat zameen par aa gayi aur uski dahshat se log 73 zabane bolne lage usse pahle tak sirf ek zabaan suryani hi boli jaati thi

📕 Tafsire khazaynul irfan,para 14,ruku 10

* Namrood ne hazrat ibraheem khalil ullah ko aag me daalne ke liye jo aag jalwayi thi uski laptein kayi sau fitt oopar tak jaati thi usi aag ki tapish se ek machchhar ke par wa pair jal gaye,is machchhar ne rub ki baargah me dua ki to maula ne farmaya ki ghum na kar main tere zariye hi namrood ko halaak karwaoonga,ye machchhar ek din namrood ki naak ke zariye uske dimaag me ghus gaya aur andar hi andar kaatna shuru kiya,us taqleef se maut hazaar darja behtar thi,jab wo kaatta to namrood apne sar par chappalon se maara karta,diwaar me sar maarta aur isi tarah tadap tadap kar mara

📕 Tafsire nayimi,jild 3,safah 68
📕 Malfuzat nizamuddin aulia,safah 162

* Jab namrood ne aag ko gulzaar hota dekha to samajh gaya ki hazrat ibraheem alaihissalam ka khuda hi sachcha khuda hai aur usne usi waqt uski baargah me qurbani karne ka faisla kiya,jab ye baat hazrat ibraheem alaihissalam ko pata chali to aapne farmaya ki bagair imaan laaye tera koi bhi amal qubool nahin to wo bola ki baadshahat to main nahin chhod sakta magar qurbani ki jo nazr maine maan li hai use to poora karunga phir usne 4000 gaaye ALLAH  raah me qurbaan ki,aapki sadaqat ko dekhkar namrood ne aapko darbaar me munaazre ke liye bulwaya,aur aapse kahne laga ki tumhara rub kaun hai jiski main ibadat karun to aap bole ki mera jab wo hai jo maarta hai aur jilaata hai,is baat ka namrood ne galat matlab nikala aur kahne laga ki ye to main bhi karta hoon aur tab usne do qaidiyon ko bulwaya ek ko phaansi ki saza hone waali thi aur doosre ko aaj hi rahayi milne waali thi to jisko rihayi milne waali thi usko sooli de di aur jisko maut ki saza thi usko riha kar diya aur bola dekho main bhi maarta hoon aur jilata hoon,uski ye ahmakana daleel sunkar hazrat ibraheem alaihissalam ne kaha ki mera rub wo hai jo mashrik se suraj nikaalta hai aur maghrib me dubota hai agar tu khuda hai to magrib se suraj ko nikaalkar dikha,aapki ye baat sunkar wo uske hosh ud gaye jab usse iska jawab nahin ban saka to bola ki mere paas tumhare liye koi galla nahin hai tum usi se maango jiski ibadat karte ho,ghar laute hue hazrat ibraheem alaihissalam ne apne jhole me reit bharkar le aaye subah ko jab hazrate saara ne jhola khola to usme khushbudar genhu maujood tha jise unhone peeskar rotiyan banayi,jab aapne poochha ki roti kaha ne aayi to kahne lagin ki raat aap hi to gehun laaye the wo samajh gaye ki ye mera rizk hai jo mere rub ne mujhe diya hai

📕 Tazkiratul ambiya,safah 91--94

* Sabse pahle taaj namrood ne pahna,riyaya par zulm kiya,khudayi ka daawa kiya,iski umr 800 saal huyi

📕 Khaazin,jild 2,safah 124

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne kanghi banwayi 

📕 Aayinaye tarikh,safah 70

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne baalon me maang nikali,mehman khaana banwaya,nalain pahni,haj ke dauran baal mundwaye,buton ko toda,peshani par bosa diya

📕 Mahaziratul awayil,safah 37--39

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne khatna kiya aapse pahle khatne ka hukm nahin tha,mehman nawazi ki,sabse pahle aapke baal safed hue

📕 Khaazin,jild 1,safah 89

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne mooye zere naaf moonda

📕 Albidaya wannihaya,jild 1,safah 175

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi paijama pahna

📕 Fatawa razviya,jild 10,safah 84

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi hijrat ki

📕 Ruhul bayan,jild 2,safah 973

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi nakhoon kaate aur munchho ko halki kiya

📕 Tafseere saavi,jild 1,safah 53

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi jihaad kiya aur lashkaro ki tarteeb di,talwar chalayi,member par khutba diya aur menhdi ka khizab kiya

📕 Tafseere azizi,jild 1,safah 373

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi paani se istinja kiya aur miswak ki

📕 Maarejun nubuwat,jild 1,safah 133

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne muanaqa kiya

📕 Fatawa razviya,jild 10,safah 10

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ko hi qayamat ke din libaas pahnaya jayega

📕 Mishkat,jild 2,safah 483

* Jab huzoor sallallaho taala alaihi wasallam meraj sharif par gaye to hazrat ibraheem alaihissalam ne aapke maarefat aapki ummat ko salaam kahalwaya

📕 Mishkat,jild 1,safah 202

To be continued..........

        


POST:4


             

* एक दिन आप ने समुन्दर के किनारे एक मरे हुए शख्स को देखा जिसकी लाश को मछलियां खा रही थीं फिर कुछ देर बाद उसी लाश पर कुछ परिंदे भी आ गए और उन्होंने भी उस लाश को खाना शुरू कर दिया फिर कुछ जंगली जानवर आये और उन्होंने भी कुछ खाया,जब आपने ये मंज़र देखा तो आपके दिल में ये शौक़ पैदा हुआ कि मैं अपनी आंख से देखना चाहता हूं कि मौला तआला किस तरह मुर्दो को ज़िन्दा फरमाएगा और आपने बारगाहे खुदावन्दी में अपनी आरज़ू पेश कर दी,ख्याल रहे कि आपको खुदा की कुदरत पर शक नहीं था क्योंकि आपने काफिरो से खुदा की यही सिफत बयान की थी "कि मेरा रब वो है जो मारता है और जिलाता है" अगर आपको इस बात में शक होता तो हरगिज़ आप ऐसा नहीं कहते बल्कि सिर्फ अपनी आंखों से रब की कुदरत का मुशाहद करना चाहते थे,और ये भी ख्याल रहे कि अगर आपको इस बात में शक होता तो यक़ीनन आप पर खुदा का इताब होता मगर हरगिज़ ऐसा नहीं हुआ बल्कि मौला फरमाता है "ऐ खलील तुम 4 परिंदो को मिलाकर अलग अलग पहाड़ो पर रख दो फिर उनको बुलाओ तो वो तुम्हारे पास दौड़ते हुए आयेंगे" हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने मोर-कबूतर-मुर्ग-कव्वा इन चारों को कीमा बनाकर सबको एक साथ मिला दिया फिर उन सब में से 4 हिस्से करके 4 अलग अलग पहाड़ियों पर रख दिए और सबका सर अपने पास रख लिया,अब जिस परिन्दे को आप आवाज़ देते तो उसके पूरे अज्ज़ा चारो पहाड़ियों में से उड़ते हुए आते आपकी आंखों के सामने सब इकठ्ठा होता आप उस पर जैसे ही सर का टुकड़ा लगते वो ज़िंदा होकर उड़ जाता 

📕 खज़ाएनुल इरफान,सफह 66

* मौला की क़ुदरत की बात चली तो ये रिवायत भी ज़हन में आ गयी पढ़ लीजिए,बुखारी व मुस्लिम शरीफ में है कि एक शख्स बहुत ही गुनाहगार था जब वो मरने लगा तो अपनी औलाद को वसीयत की कि मेरे मरने के बाद मुझे दफ्न ना करना बल्कि जला देना और मेरी राख के 2 हिस्से करना एक हिस्से को हवाओं में उड़ा देना और दूसरे हिस्से को पानी में बहा देना,उसकी औलाद ने ऐसा ही किया मौला ने हवा को हुक्म दिया कि इसके सारे ज़र्रात को मिला दो और पानी को हुक्म दिया कि इसके सारे ज़र्रात को मिला दो तो दोनों ने ऐसा ही किया,जब उसके जिस्म के दो हिस्से बन गए तो मौला ने दोनों के मिलाकर उसमें रूह लौटाई और फरमाया कि तेरी ऐसी वसीयत करने की क्या वजह थी हालांकि वो सब जानता है,तो बन्दा अर्ज़ करता है कि मौला मैं बहुत ही गुनहगार था मुझे यही खौफ था कि अगर मुझे अज़ाब दिया गया तो दुनिया का सबसे ज़्यादा अज़ाब मुझ पर होगा तो तेरे इसी खौफ से मैंने ऐसा फैसला किया तो मौला फरमाता है कि तेरे इसी खौफ ने आज तुझे बचा लिया और वो बख्शा गया क्योंकि खुदा से डरना ही तो सारी इबादत की अस्ल है 

📕 अहवाले बरज़ख,सफह 12

* इंसान के रीढ़ की हड्डी में कुछ ऐसे महीन अज्ज़ा यानि कण होते हैं जो किसी दूरबीन से भी नहीं दिखाई देते और ना ही उसे मिट्टी गला सकती है और ना आग उसे जला सकती है,इंसान का पूरा बदन खत्म हो जाता है मगर ये अज्ज़ा क़यामत तक सही सलामत रहते हैं इसको अज्बुज़ ज़ंब कहते हैं,रोज़े क़यामत यही अज्बुज़ ज़ंब अपने पूरे जिस्म को इकठ्ठा करके फिर से उसी सूरतो हैबत पर खड़ा हो जायेगा 

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 28

* हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम हिजरत करके अपनी दोनों बीवियों के साथ फिलिस्तीन में बस गए,वहां के लोगों ने आपकी खूब क़द्रो मंज़िलत की जब अल्लाह ने आपको खूब मालो दौलत से नवाज़ दिया तो आपका इम्तिहान लिया और आपकी ज़ौजा हज़रते हाजिरा रज़ियल्लाहु तआला अंहा व मासूम बेटे हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम को हरम की ज़मीन पर छोड़ने का हुक्म दिया,उस वक़्त वहां पर ना तो काबा था न ज़मज़म न हरियाली और न कोई इंसान,बियाबान रेगिस्तान था जहां कोसो दूर तक कोई नहीं दिखता था,आपने एक थैले में कुछ खजूरें और एक पानी का मशकीज़ा देकर उन्हें छोड़कर जाने लगे तो हज़रत बीबी हाजिरा आपके पीछे पीछे आती रहीं और यही पूछती थीं कि हमें यहां किसके भरोसे छोड़कर जाते हैं जब कोई जवाब नहीं मिला तो आप फरमातीं हैं कि क्या खुदा का यही हुक्म है इस पर आप फरमाते हैं कि हां तो आप वापस लौट जाती हैं,कुछ दिन तक तो वो खजूर और पानी साथ देते हैं फिर वो भी खत्म हो जाते हैं जब हज़रते हाजिरा का दूध बनना भी खत्म हो गया तो बच्चा भूख और प्यास से बिलबिलाने लगा,आप उसकी भूख और प्यास को बर्दाश्त ना कर सकीं तो क़रीब ही दो पहाड़ियां थी सफा और मरवा आप कभी सफा पर दौड़ कर जातीं कि कहीं से पानी दिख जाए जब कहीं कुछ ना दिखता फिर दौड़ कर मरवा पर जातीं कि शायद यहां से कुछ नज़र आ जाये इसी परेशानी के आलम में आपने सफा और मरवा के 7 चक्कर लगा लिए,अल्लाह को आपकी ये अदा इतनी पसंद आ गयी कि क़यामत तक के लिए उसे हाजियों का अरकान बना दिया,इधर जब प्यास से मासूम बच्चे हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम को परेशानी हुई तो वो अपनी एड़ियों को रगड़ने लगे अल्लाह की ऐसी क़ुदरत की जहां आपने अपनी एड़ियां रगड़ी वहां से पानी का चश्मा उबल पड़ा जब हज़रते हाजिरा वापस आईं तो देखा कि पानी पूरी वादी में फैल रहा है तो आपने अपनी ज़बान में जो कि सुरयानी थी पानी को फरमाया ज़म ज़म यानि ठहर जा तो पानी का निकलना बन्द हो गया,और पानी चश्मे में क़ैद हो गया हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि अल्लाह हज़रत इस्माईल की वालिदा पर रहम करे अगर आप उसे ठहरने का हुक्म ना देतीं तो ज़म ज़म का चश्मा नहर की तरह जारी हो जाता,जब वहां पानी का इंतज़ाम हो गया तो परिंदे भी आने लगे और राह से गुज़रने वाले भी वहां रुकने लगे फिर क़बीले दर क़बीले उसी ज़मीन पर बसना शुरू हो गए,सबसे पहला जो क़बीला वहां बसा उसका नाम जरहम था इसी क़बीले की एक लड़की से हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम का निकाह हुआ 

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 103

जारी रहेगा...........

  -------------------------------------------------------

* Ek din aap ne samundar ke kinare ek mare hue shakhs ko dekha jiski laash ko machhliyan kha rahi thi phir kuchh deir baad usi laash par kuchh parinde bhi aa gaye aur unhone bhi us laash ko khaana shuru kar diya phir kuchh jangli jaanwar aaye aur unhone kuchh khaaya,jab aapne ye manzar dekha to aapke dil me ye shauq paida hua ki main apni aankh se dekhna chahta hoon ki maula taala kis tarah murdo ko zinda farmayega aur aapne baargahe khudawandi me apni aarzu pesh kar di,khayal rahe ki aapko khuda ki qudrat par shaq nahin tha kyunki aapne kaafiro se khuda ki yahi sifat bayaan ki thi "ki mera rub wo hai jo maarta hai aur jilaata hai" agar aapko is baat me shaq hota to hargiz aap aisa nahin kahte balki sirf apni aankhon se rub ki qudrat ka mushahda karna chahte the,aur ye bhi khayal rahe ki agar aapko is baat me shaq hota to yaqinan aap par khuda ka etaab hota magar hargiz aisa nahin hua balki maula farmata hai "ai khaleel tum 4 parindo ko milakar alag alag pahado par rakh do phir unko bulao to wo tumhare paas daudte hue aayenge" hazrat ibraheem alaihissalam ne mor-kabutar-murg-kawwa in chaaro ko keema banakar sabko ek saath mila diya phir un sab me se 4 hisse karke 4 alag alag pahadiyon par rakh diye aur sabka sar apne paas rakh liya,ab jis parinde ko aap aawaz dete to uske poore ajza chaaro pahadiyon me se udte hue aate aapki aankhon ke saamne sab ikattha hota aap us par jaise hi sar ka tukda lagate wo zinda hokar ud jaata

📕 Khazayenul irfan,safah 66

* Maula ki qudrat ki baat chali to ye riwayat bhi zahan me aa gayi padh lijiye,bukhari wa muslim sharif me hai ki ek shakhs bahut hi gunahgar tha jab wo marne laga to apni aulaad ko wasiyat ki mere marne ke baad mujhe dafn na karna balki jala dena aur meri raakh ke 2 hisse karna ek hisse ko hawaon me uda dena aur doosre hisse ko paani me baha dena,uski aulaad ne aisa hi kiya maula ne hawa ko hukm diya ki iske saare zarrat ko mila do aur paani ko hukm diya ki iske saare zarrat ko mila do to dono ne aisa hi kiya,jab uske jism ke do hisse ban gaye to maula ne dono ke milakar usme rooh lautayi aur farmaya ki teri aisi wasiyat karne ki kya wajah thi halaanki wo sab jaanta hai,to banda arz karta hai ki maula main bahut hi gunahgar tha mujhe yahi khauf tha ki agar mujhe azaab diya gaya to duniya ka sabse zyada azaab mujhi par hoga to tere isi khauf se maine aisa faisla kiya to maula farmata hai ki tere isi khauf ne aaj tujhe bacha liya aur wo bakhsha gaya kyunki khuda se darna hi to saari ibadat ki asl hai

📕 Ahwaale barzakh,safah 12

* Insaan ke reedh ki haddi me kuchh aise maheen ajza yaani kan hote hain jo kisi doorbeen se bhi nahin dikhayi dete aur na hi use miiti gala sakti hai aur na aag use jala sakti hai,insaan ka poora badan khatm ho jaata hai magar ye ajza qayamat tak sahi salamat rahte hain isko AJABUZ ZANB kahte hain,roze qayamat yahi ajabuz zanb apne poore jism ko ikattha karke phir se usi surato haibat par khada ho jayega

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 28

* Hazrat ibraheem alaihissalam hijrat karke apni dono biwiyon ke saath filisteen me bas gaye,wahan ke logon ne aapki khoob kadro manzilat ki jab ALLAH ne aapko khoob maalo daulat se nawaz diya to aapka imtihan liya aur aapki zauja hazrate haajra raziyallahu taala anha wa masoom bete hazrat ismayeel alaihissalam ko haram ki zameen par chhodne ka hukm diya,us waqt wahan par na to kaaba tha na zamzam na hariyali aur na koi insaan biyabaan registan tha jahan koso door tak koi nahin dikhta tha,aapne ek thaile me kuchh khajurein aur ek paani ka mashkeeza dekar unhein chhodkar jaane lage to hazrat bibi haajira aapke peechhe peechhe aati rahin aur yahi poochhti thin ki hame yahan kiske bharose chhodkar jaate hain jab koi jawab nahin mila to aap farmatin hain ki kya khuda ka yahi hukm hai is par aap farmate hain ki haan to aap wapas laut jaati hain,kuch din tak to wo khajoor aur paani saath dete hain phir wo bhi khatm ho jaate hain jab hazrate haajira ka doodh banna bhi khatm ho gaya to bachcha bhook aur pyas se bilbilane laga,aap uski bhook aur pyas ko bardaasht na kar sakin to qareeb hi do pahadiyan thi safa aur marwa aap kabhi safa par daud kar jaatin ki kahin se paani dikh jaaye jab kahin kuchh nadikhta phir daud kar marwa par jaatin ki shayad yahan se kuchh nazar aa jaye isi pareshani ke aalam me aapne safa aur marwa ke 7 chakkar laga liye,ALLAH ko aapki ada itni pasand aa gayi ki qayamat tak ke liye use haajiyon ka arkaan bana diya,idhar jab pyas se masoom bachche hazrat ismayeel alaihissalam ko pareshani huyi to wo apni ediyon ko ragadne lage ALLAH ki aisi qudrat ki jahan aapne apni ediyan ragdi wahan se paani ka chashma ubal pada jab hazrate haajira wapas aayi to dekha ki paani se poori waadi gark huyi jaa rahi hai to aapne apni zabaan me jo ki suryani thi paani ko farmaya ZAM ZAM yaani thahar ja to paani ka nikalna bund ho gaya,aur paani chashme me qaid ho gaya huzoor salllalaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki ALLAH hazrat ismayeel ki waalida par raham kare agar aap use thaharne ka hukm na deti to zam zam ka chashma nahar ki tarah jaari ho jaata,jab wahan paani ka intezaam ho gaya to parinde bhi aane lage aur raah se guzarne waale bhi wahan rukne lage phir qabeele dar qabeele usi zameen par basna shuru ho gaye,sabse pahla jo qabeela wahan basa uska naam jarham tha isi qabeele ki ek ladki se hazrat ismayeel alaihissalam ka nikah hua

📕 Tazkiratul ambiya,safah 103

To be continued..........

        


POST:5

* हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम जब तक पैदा नहीं हुए थे तो हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम औलाद के लिए दुआ किया करते थे जब उनकी दुआ क़ुबूल हुई तो मौला फरमाता है कि "हमने उसे खुशखबरी सुनाई एक बुर्दबार लड़के की" चुंकि मौला ने उन्हें सब्र वाला फरमाया था सो उसकी मिसाल भी पेश करनी थी और दुनिया को दिखाना भी मक़सूद था,सो हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम को ज़िल्हज्ज की 8,9,10 तारीख को लगातार ख्वाब में आपके बेटे की क़ुरबानी करने का हुक्म दिया गया,चुंकि ये हुक्म ख्वाब में देखा था तो 8 को पूरा दिन सोचने में गुज़र गया तो इस दिन को यौमुल तरविया यानि सोच विचार का दिन कहा गया फिर 9 को ख्वाब देखा तो पहचान लिया कि ये सच्चा ख्वाब है तो इसे यौमुल अरफा यानि पहचानने का दिन फिर 10 को इरादा कर लिया क़ुरबानी पेश करने का इस लिए इस दिन को यौमुन नहर यानि क़ुरबानी का दिन कहा गया

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 2,सफह 296 

* क़ुरबानी के वक़्त हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम की उम्र कितनी थी इसमें 2 क़ौल है बाज़ ने 7 साल कही और बाज़ ने 13,मगर 13 ही राजेह है,10वीं ज़िल्हज्ज को आप अपने बेटे को लेकर मिना की जानिब निकल पड़े पहले तो शैतान ने दोस्त बनकर उन दोनों को रोकना चाहा मगर जब कामयाब ना हो सका तो उनको रोकने के लिए इतना बड़ा बन गया कि पूरा रास्ता ही बन्द कर दिया,एक फरिश्ता हाज़िर हुआ और आपसे फरमाया कि इसे 7 कंकरियां मारिये ये दफअ होगा आपने उसे मारा तो भाग गया फिर दूसरी जगह आया तो फिर आपने उसे मारकर भगाया फिर तीसरी बार भी आया और मार खाकर भागा,हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम को बताया कि वो यहां उन्हें किस लिए लाये हैं और साबिर बेटे ने जवाब दिया कि "आप अपने रब का हुक्म अदा करें इन शा अल्लाह आप मुझे साबिर ही पायेंगे" और अपने बाप को मशवरा दिया कि मुझे रस्सी से बांध दीजिए ताकि मैं तड़पुं नहीं और अपने कपड़ो को भी मेरे 
खून से बचाइयेगा और मेरी वालिदा को मेरा सलाम कहियेगा,फिर आपने उन्हें पेशानी के बल लिटाया ये भी हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम का मशवरा ही था कि कहीं आप मेरे चेहरे को देखकर मुहब्बते पिदरी में ना आ जाएं और उन्हें लिटाकर उन पर छुरी चला दी,रिवायत में आता है कि आपने 70 मर्तबा छुरी चलाई तो जब 70 मर्तबा भी चलने के बाद रग ना कटी तो आपने जलाल में आकर छुरी फेंक दी और कहा कि तू मेरा हुक्म क्यों नहीं मानती है तो छुरी बा ज़ुबान होकर बोलती है कि हुज़ूर आप गुस्सा ना करें आप काटने को कहते हैं और मेरा रब मुझे मना फरमाता है आप ही बतायें कि मैं क्या करूं तो आपने फरमाया कि तेरा काम काटना है तो तू काट तो छुरी बोलती है कि आग का काम भी तो जलाना होता है फिर क्यों आग ने आपको नहीं जलाया 

📕 नुज़हतुल मजालिस,5,सफह 24

* अल्लाह के हुक्म से हज़रत जिब्रील अलैहिस्सलाम जन्नत से एक मेंढा लाये जो हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम का फिदिया बना और आपकी जगह वो ज़बह हुआ,इसका नाम जरीर था और ये वही मेंढा था जिसे हज़रत हाबील पहले ही राहे खुदा में क़ुर्बान कर चुके थे और ये जन्नत में मज़े से रह रहा था,ये मेंढा रूए ज़मीन का इकलौता ऐसा जानवर है जो अल्लाह के नाम पर 2 बार ज़बह हुआ,आपने इसके गोश्त को परिंदों को खिलाया क्योंकि इस पर आग असर ना करती थी कि पकाया जाता 

📕 जलालैन,हाशिया 21,सफह 377

* जब अरब में कुछ आबादी बस गई तो मौला ने हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम को हुक्म दिया कि इस्माईल को साथ लेकर काबा शरीफ की तामीर करें,आपने खुदा की मर्ज़ी के मुताबिक़ काबे की तामीर वहीं की जहां पहले ही काबे की बुनियाद हज़रत आदम अलैहिस्सलाम डाल चुके थे,हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम एक पत्थर पर खड़े होकर काबे की तामीर करते और हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम उन्हें पत्थर व गारा लाकर देते,इस पत्थर की खासियत ये थी कि जैसे जैसे काबा ऊंचा होता जाता ये पत्थर भी उठता जाता और इस पर हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के क़दमों के निशान पड़ गए यही पत्थर मक़ामे इब्राहीम कहलाता है,जब काबा बनकर मुकम्मल हो गया तो मौला फरमाता है कि ऐ इब्राहीम लोगों को हज के लिए बुलाओ तो हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम कहते हैं कि मौला यहां तो दूर दूर तक कोई नहीं है मैं किसको आवाज़ दूं और कौन सुनेगा तो मौला फरमाता है कि तुम आवाज़ तो दो बुलाना तुम्हारा काम है सबको सुनाना ये हमारा काम है,फिर हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम जबले अबू कबीस पर खड़े होकर आवाज़ लगाते हैं कि "ऐ लोगों खुदा ने तुम्हारे लिए अपना एक घर बनाया है तो आओ उसकी ज़ियारत करने के लिए" आपका ये क़ौल अल्लाह ने तमाम इंसानों को सुना दिया जो बाप की पुश्त में था जो मां के शिकम में था हत्ता कि क़यामत तक पैदा होने वाली तमाम रूहों को जो आलमे अरवाह में थी सबको सुनाया,तो जिस जिसने उस आवाज़ पर लब्बैक कहा उसको हज की सआदत मिलेगी और जो खामोश रहा वो हरगिज़ वहां तक नहीं पहुंच सकता 

📕 खज़ाएनुल इर्फान,सफह 399

*ⓩ यहां एक मसला ये भी हल हुआ कि जब आम मुसलमान की रूहें मां-बाप की पुश्त में रहकर भी और आलमे अरवाह में भी आवाज़ें सुन सकती हैं तो हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम व उनके महबूबीन अपनी क़ब्रे अनवर से हम गुलामों की आवाज़ें क्यों नहीं सुन सकते,यक़ीनन सुन सकते हैं बल्कि सुनते हैं,काबे शरीफ की मुकम्मल मालूमात फिर कभी दूंगा इन शा अल्लाह*

* आपकी उम्र या तो 175 साल हुई या फिर 200 साल 

📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 176

* आपका मज़ार फिलिस्तीन के शहर हिबरून या जबरून में है 

📕 उम्दतुल क़ारी,जिल्द 7,सफह 345

..........खत्म

  -------------------------------------------------------

      *Hazrat Ibraheem Alaihissalam* 

* Hazrat ismayeel alaihissalam jab tak paida nahin hue the to hazrat ibraheem alaihissalam aulaad ke liye dua kiya karte the jab unki dua qubool huyi to maula farmata hai ki "humne use khushkhabri sunayi ek burdbaar ladke ki" chunki maula ne unhein sabr waala farmaya tha so uski misaal bhi pesh karni thi aur duniya ko dikhana bhi maqsood tha,so hazrat ibraheem alaihissalam ko zilhaj ki 8,9,10 taarikh ko lagataar khwab me apne bete ki kurbani karne ka hukm diya gaya,chunki ye hukm khwab me dekha tha to 8 ko poora din sochne me guzar gaya to si din ko yaumul tarviya yaani soch vichaar ka din kaha gaya phir 9 ko khwab dekha to pahchaan liya ki ye sachcha khwab hai to ise yaumul arfa yaani pahchaanne ka din phir 10 ko iraada kar liya qurbani pesh karne ka is liye is din ko yaumun nahar yaani qurbani ka din kaha gaya

📕 Tafseere nayimi,jild 2,safah 296

* Qurbani ke waqt hazrat ismayeel alaihissalam ki umr kitni thi isme 2 qaul hai baaz ne 7 saal kahi aur baaz ne 13,magar 13 hi raajeh hai,10wi zilhajj ko aap apne bete ko lekar mina ki jaanib nikal pade pahle to shaitan ne dost bankar un dono ko rokna chaha magar jab kaamyab na ho saka to unko rokne ke leye itna bada ban gaya ki poora raasta hi bund kar diya,ek farishta haazir hua aur aapse farmaya ki ise 7 kankariyan maariye ye dafa hoga aapne use maara to bhaag gaya phir doosri jagah aaya to phir aapne use maarkar bhagaya phir teesri baar bhi aaya aur maar khakar bhaaga,hazrat ibraheem alaihissalam ne hazrat ismayeel alaihissalam ko bataya ki wo yahan unhein kis liye laaye hain aur saabir bete ne jawab diya ki "aap apne rub ka hukm ada karen in sha ALLAH aap mujhe saabir hi payenge" aur apne baap ko mashwara diya ki mujhe rassi se baandh dijiye taaki main tadpu nahin aur apne kapdo ko bhi mere khoon se bachaiyega aur meri waalida ko mera salaam kahiyega,phir aapne unhein peshani ke bal litaya ye bhi hazrat ismayeel alaihissalam ka mashwara hi tha ki kahin aap mere chehre ko dekhkar muhabbate pidri me na aa jayen aur unhein litakar unpar chhuri chala di,riwayat me aata hai ki aapne 70 martaba chhuri chalayi to jab 70 martaba bhi chalne ke baad rag na kati to aapne jalaal me aakar chhuri phenk di aur kaha ki tu mera hukm kyun nahin maanti hai to chhuri ba zubaan hokar bolti hai ki huzoor aap gussa na karen aap kaatne ko kahte hain aur mera rub mujhe mana farmata hai aap hi bataein ki main kya karun to aapne farmaya ki tera kaam kaatna hai to tu kaat to chhuri bolti hai ki aag ka kaam bhi to jalaana hota hai phir kyun aag ne aapko nahin jalaaya

📕 Nuzhatul majalis,5,safah 24

* Allah ke hukm se hazrat jibreel alaihissalam jannat se ek mendha laaye jo hazrat ismayeel alaihissalam ka fidiya bana aur aapki jagah wo zabah hua,iska naam jareer tha aur ye wahin mendha tha jise hazrat haabeel pahle hi raahe khuda me qurban kar chuke the aur ye jannat me maze se rah raha tha,ye mendha rooye zameen ka iklauta aisa jaanwar hai jo ALLAH ke naam par 2 baar zabah hua,aapne iske gosht ko parindo ko khilaya kyunki is par aag asar na karti thi ki pakaya jaata

📕 Jalalain,hashia 21,safah 377

* Jab arab me kuchh aabadi bas gayi to maula ne hazrat ibraheem alaihissalam ko hukm diya ki ismayeel ko saath lekar kaaba sharif ki tameer karen,aapne khuda ki marzi ke mutabiq kaabe ki taameer wahin ki jahan pahle hi kaabe ki buniyaad hazrat aadam alaihissalam daal chuke the,hazrat ibraheem alaihissalam ek patthar par khade hokar kaabe ke tameer karte aur hazrat ismayeel alaihissalam unhe patthar wa gaara laakar dete,is patthar ki khasiyat ye thi ki jaise jaise kaaba ooncha hota jaata ye patthar bhi uthta jaata aur ispar hazrat ibraheem alaihissalam ke qadmo ke nishan pad gaye yahi patthar maqame ibraheem kahlata hai,jab kaaba bankar mukammal ho gaya to maula farmata hai ki ai ibraheem logon ko hajj ke liye bulao to hazrat ibraheem alaihissalam kahte hain ki maula yahan to door door tak koi nahin hai main kisko aawaz doon aur kaun sunega to maula farmata hai ki tum aawaz to do bulaana tumhara kaam hai sabko sunana ye hamara kaam hai,phir hazrat ibraheem alaihissalam jable abu qabees par khade hokar aawaz lagate hain ki "ai logon khuda ne tumhare liye apna ek ghar banaya hai to aao uski ziyarat karne ke liye" aapka ye qaul ALLAH ne tamam insano ko suna diya jo baap ki pusht me tha jo maa ke shikam me tha hatta ki qayamat tak paida hone waali tamam rooho ko jo aalame arwaah me thi sabko sunaya,to jis jisne us aawaz par labbaik kaha usko hajj ki sa'adat milegi aur jo khamosh raha wo hargiz wahan tak nahin pahunch sakta

📕 Khazayenul irfan,safah 399

*ⓩ Yahan ek masla ye bhi hal hua ki jab aam musalman ki roohein maa-baap ki pusht me rahkar bhi aur aalame arwaah me bhi aawazen sun sakti hain to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam wa unke mahbubeen apni qabre anwar se hum gulamo ki aawazein kyun nahin sun sakte,yaqinan sun sakte hain balki sunte hain,kaabe sharif ki mukammal maalumat phir kabhi doonga in sha ALLAH*

* Aapki umr ya to 175 saal huyi ya phir 200 saal

📕 Alitqaan,jild 2,safah 176

* Aapka mazaar philisteen ke shahar hibroon ya jabroon me hai

📕 Umdatul qaari,jild 7,safah 345


..........END

        


           
*हिन्दी/hinglish*  *हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम*

* आपका नाम इस्माईल इस लिए पड़ा कि बहुत साल तक हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम को औलाद न हुई थी और वो हमेशा दुआ करते रहते थे और अपनी ज़बान में "इसमअ" यानि सुन ले "ईल" इबरानी ज़बान में खुदा का नाम है यानि ऐ खुदा मेरी सुन ले,जब आप पैदा हुए तो इसी दुआ की यादगार में आपने उनका नाम इस्माईल रख दिया 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 820

* एक मर्तबा हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम आपसे मिलने के लिए आपके घर पहुंचे उस वक़्त आप घर पर नहीं थे,बहू से मुलाक़ात हुई तो आपने घर का हाल पूछा तो कहने लगी कि गुज़ारा अच्छा नहीं होता है तंगदस्ती है,आप जब जाने लगे तो 
उससे कहा कि अपने शौहर को मेरा सलाम कहना और कहना कि उसके घर की चौखट अच्छी नहीं है उसे बदल दे,जब हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम वापस आये तो उन्हें अपने बाप की खुशबु मिली पूछा कि अब्बा हुज़ूर कहां हैं तो बीवी ने कहा कि वो तो चले गए आपको सलाम कहा है और कहा है कि अपने घर की चौखट को बदल दें तो आप फरमाते हैं कि वो तुझे तलाक़ देने को कह गए हैं मैं तुझे अभी तलाक़ देता हूं,ये बीवी क़ौमे जहम के सरदार की बेटी अम्माराह बिन्त सअद बिन ओसामा थी बाद में आपने बिन्ते मदाद बिन उमर से निकाह किया

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 113 

* आपकी उम्र 130 साल हुई 

📕 तफसीरे सावी,जिल्द 2,सफह 27

* आपका मज़ार शरीफ ऐन खानये काबा में मीज़ाबे रहमत के नीचे है 

📕 फतावा रज़वियह,जिल्द 2,सफह 453

           *हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम*

* आपका लक़ब अबुल अजम यानि गैर अरबी है 

📕 तफसीरे सावी,जिल्द 1,सफह 225 

* आपकी उम्र 180 साल हुई 

📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 176

* आपकी मज़ार आपके वालिद के बगल में बताई जाती है मगर कुछ रिवायतों में बैतुल मुक़द्दस भी आया है 

📕 उम्दतुल क़ारी,जिल्द 7,सफह 373
📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 871

*एक मर्तबा हज़रते सारह व हज़रते हाजिरा में किसी बात पर लड़ाई हो गयी और हज़रते सारह ने ये कसम खा ली कि अगर मैं क़ाबू पाऊंगी तो तुम्हारा कोई उज़ू यानि हिस्सा काट दूंगी,मौला ने हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम पर वही भेजी कि दोनों में सुलह करा दो आपने सुलह तो करा दी पर हज़रते सारह फरमाती हैं कि मैंने जो खुदा की कसम खाई उसका क्या,तब मौला ने हज़रते सारह को हज़रते हाजिरा के कान छेदने का हुक्म दिया कि ऐसा कर लो तो तुम्हारी कसम पूरी हो जाएगी,आपने ऐसा ही किया औरतों के कान छेदने की यही दलील है और हीला शरई भी,अब हीला शरई क्या होता है इसका बयान फिर कभी इन शा अल्लाह 

📕 जाअल हक़,हिस्सा 1,सफह 366

..........खत्म 

  -------------------------------------------------------

      *Hazrat Ismayeel Alaihissalam* 

* Aapka naam ismayeel is liye pada ki bahut saal tak hazrat ibraheem alaihissalam ko aulaad na huyi thi aur wo hamesha dua karte rahte the aur apni zabaan me "isma" yaani sun le "eel" ibraani zabaan me khuda ka naam hai yaani ai khuda meri sun le,jab aap paida hue to isi dua ki yaadgar me aapne unka naam ismayeel rakh diya

📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 820

* Ek martaba hazrat ibraheem alaihissalam aapse milne ke liye aapke ghar pahunche us waqt aap ghar par nahin,bahu se mulaqat huyi to aapne ghar ka haal poochha to kahne lagi ki guzara achchha nahin hota hai tangdasti hai,aap jab jaane lage to usse kaha ki apne shauhar ko mera salaam kahna aur kahna ki uske ghar ki chaukhat achchhi nahin hai use badal de,jab hazrat ismayeel alaihissalam wapas aaye to unhein apne baap ki khushbu mili poochha ki abba huzoor kahan hain to biwi ne kaha ki wo to chale gaye aapko salaam kaha hai aur kaha hai ki apne ghar ki chaukhat ko badal dein to aap farmate hain ki wo tujhe talaaq dene ko kah gaye hain main tujhe abhi talaaq deta hoon,ye biwi qaume jarham ke sardaar ki beti ammarah bint sa'ad bin osama thi baad me aapne binte madaad bin umar se nikah kiya

📕 Tazkiratul ambiya,safah 113

* Aapki umr 130 saal huyi

📕 Tafseere saavi,jild 2,safah 27

* Aapka mazaar sharif ain khaanaye kaaba me meezabe rahmat ke neeche hai

📕 Fatawa razviyah,jild 2,safah 453

           *हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम*

* Aapka laqab abul ajam yaani gair arbi hai

📕 Tafseere saavi,jild 1,safah 225

* Aapki umr 180 saal huyi

📕 Alitqaan,jild 2,safah 176

* Aapki mazaar aapke waalid ke bagal me batayi jaati hai magar kuchh riwayton me baitul muqaddas bhi aaya hai

📕 Umdatul qaari,jild 7,safah 373
📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 871

*Ek martaba hazrate saarah wa hazrate haajira me kisi baat par ladaayi ho gayi aur hazrate saarah ne ye kasam khaa li ki agar main qaabu paungi to tumhara koi uzu yaani hissa kaat doongi,maula ne hazrat ibraheem alaihissalam par wahi bheji ki dono me sulah kara do aapne sulah to kara di par hazrate saarah farmatin hain ki maine jo khuda ki kasam khaayi uska kya tab maula ne hazrate saarah ko hazrate haajira ke kaan chhedne ka hukm diya ki aisa karlo to tumhari kasam poori ho jayegi,aapne aisa hi kiya aurton ke kaan chhedne ki yahi daleel hai aur heela sharayi bhi,ab heela sharayi kya hota hai iska bayaan phir kabhi in sha ALLAH

📕 Ja'al haq,hissa 1,safah 366

..........END





















        





Tuesday 20 June 2023

ALLAH PAAK KE NEK BANDE/BUJURG. / Nek Bando Ke Mazaar /Mazarat



The maqām of Osman Gazi earlier today. 
Bursa, Türkiye 🇹🇷 2023




2]Shaikh Abdul Qadeer Jilani Rahmatullah alaihi. 


The resting place of Shaykh ‘Abdul Qādir Gīlānī, Baghdad, Ottoman Empire, c. 1881. 

The dome was built by Ottoman Sultān, Suleyman the Magnificent, after his conquest of Baghdad in 1534.














#Hazrat_Mujadid_e_Alf_Sani_ 

Mazhabe Ahlesunnat Wa Jamat Ki HAQQANIYAT Uspe Isteqamat Usse Katne Ke NUQSANAT Tafseel Se Janne Ke Liye Imame Rabbani Shaikhe La'sani Hazrat Mujaddide Alf Saani Shaikh Ahmad Sarhindi رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki "MAKTUBATE IMAM RABBANI" Ka Mutala Zaroor Karen Insha'Allah Dil O Dimagh Roshan Ho Jayega.

Usme Se Chand Khutoot Nasi'hat Aur Barkat Ke Liye Hum NAQL Karte Hain Magar Usse Pehle Hazrat Ki Mubarak Zindagi Ka Ijmali Khaka Pesh Karte Hain.?

WILADAT-
Aapki Wiladat Baroz Juma 14/10/971 Hijri Ba'mutabiq 26/May (5 Jun) /1564-Esvi Ko Aadhi Rat Ke Bad Sarhind Sharif Hindustan Me Hui,
Aap Amirul Momineen Sayyedna Umar Farooq رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki Auladon Me Se Hain, Aapke Walid Shaikh Abdul Ahad Apne WAQT Ke Jayyed Aalime Deen The.

BAI'AT-
Aap Hazrat Khwaja BAQI BILLAH Se SILSILAYE NAQSHBANDIYAH Me Murid Huye.

ILMI KAMAAL-
Aapke ilm O Buzurgi Ke Charche Room Sham Hijaze MUQADDAS Afghanistan Aur Tamam Alame islam Me Phail Gaye.

MUJADDID KA LAQAB-
Aapko Mujaddide Alf Sani Kaha Gaya Yani 1000 Saala Mujaddid Sab Se Pehle Mujaddid Hazrat Umar Bin Abdul Azeez The Aur unke Bad Har Sadi Me Huye Magar Islami 10vi Sadi Hijri Ke Mujaddid Aap Hain, Aap Ko Mujaddide Alf Sani Ka LAQAB Hazrat Mulla Abdul Hakeem Siyalkoti Ne Diya.

KARNAMAH-
Mughal Badshah Akbar Ne Gair Muslimo Ko Khush Karne Ke Liye Hindustan Me Eik Naye Dharam Ki Bunyad Rakhi Jiska Naam DEENE ILAHI Rakha, Jo Kufr O Shirk Ka Majoone Murakkab Tha, Jisme Subah Subah Suraj Ki Puja Karna Badshah Ko Sajdah Karna Mathe Par Tika Lagana Zaroori Tha, Aur Gaye (Cows) Ki Qurbani Ko Haram Qarar Diya, Garz Ki Usne Islam Ki Surat Bigadni Chahi, Magar Us WAQT Hazrat Mujaddid Alf Sani Hi Wo Zaat Thi Jinho Ne Badshah Ke Khilaf Alame JIHAD Baland Kiya, Aur Khullam Khulla Badshah Ki Takfeer Ki, Akbar Ke Marne Ke Bad Uske Bete Jahangeer Ne Uske Mazhab Ko Aage Badhana Chaha Magar Uske Raste Ki Sab Se Badi Rukawat Hazrat Mujaddid Sahab Ki Zaat Thi, Usne Apne Darbar Me Hazrat Ko Talab Kiya Use Pata Tha Ki Hazrat Badshah Ko Sajdah Nahi Karege Chunki Aap Sajdahe Tazeemi Ke Haram Hone Ka Fatwa De Chuke The, Usne Apne Darbar Me Aane Ke Liye Eik Choti Si Khidki Banwai Taki Jab Hazrat Uske Darbar Me Aayen To Khidki Se Sar Jhuka Kar Andar Dakhil Hon, Magar Hazrat Jab Badshah Ke Darbar Me Gaye To Dekha Wahan Jane Ke Liye Eik Hi Choti Si Khidki Hai, To Aapne Us Khidki Me Pehle Apna Eik Pair Phir Dusra Pair Dakhil Kiya aur Ulte Ho Kar is Tarah Ki Sar Piche Ki Taraf Tha Dakhil Huye, Badshah Aapki Zahanat Dekh Dang Reh Gaya,
Aap Ne Badshah Ke Samne Bid'at O Khurafat Par Aur Sajdahe Tazimi Ke Haram Hone Par Eik Jame TAQREER Ki Jis Bina Par Badshah Ne Aapko Gawaliyar Ke Qile Me Qaid Kar Diya.

Dr. IQBAL Inhi Khidmaat Ko Yaad Kar Likhte Hain.?

"Gardan Na Jhuki Jiski Jahangeer Ke Aage-
Jiske Nafse Garm Se Hai Garmiye Ahraar.

"Wo Hind Me Sarma E Millat Ka Nigehban,
Allah Ne Bar'WAQT Kiya Jisko Khabardar.!!!!
(Kulliyat E IQBAL)

AAP Tamam Umr Deen E HAQ Mazhabe Ahlesunnat Wa Jamat Ki Hifazat O TAQWIYAT Me Lage Rahe Aap Mazhaban Sunni Hanafi Aur Mashraban NAQSHBANDI The,

INTEQAL-
ISLAMI TARIKH 14/10/971 Hijri, Ko Hindustan Me Tuloo Hone Wala Ye Suraj Hamesha Hamesha Ke Liye Ba'roz Mangal 28/02/1034-Hijri, Ko Ba'mutabiq 10/12/1624 Ko Guroob Ho Gaya.
Muddate Hayat 62-Saal 4-Maah 14-Din Thi, Mazar Pak Sarhind Sharif Panjab Hindustan Me Hai.!!!!

"JAAN KAR MIN'JUMLA AHLE KHANA MUJHE,
MUDATTON ROYA KARENGE JAMO PAIMANA MUJHE.!!!!

Hazrat Mujaddid Alf Sani Shaikh Ahmad Sarhindi رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki Hayate Pak Ki Mukhtasar Si Jankari Ke Bad Aapki Nasihaten Padhen, Hazrat Ne Apne Murideen Motaqideen Muta'wassileen & Shagirdon Ko Jo Khutoot Likhe Unhe MAKTUBATE IMAM RABBANI Ke Naam Se Chapa Gaya Hai, Usme Se Kuch Khaton Ki Ibarten Padhen.

Eik Khat Me Apne Mureed Ko Likhte Hain.

"Huzoor ﷺ Ne Farmaya Bani Isra'eel 72 Firqon Me Bat Gaye The Jinme 1 Ke Siwa Sab Jahannami The, Qareeb Hai Ki Meri Ummat 73 Firqon Me Bat Jaye, Jinme Se Eik Jannati Hoga BAQYA Sab Jahanami, Sahaba Ne Arz Ki Ya Rasulallah ﷺ Wo Eik NAJAT Pane Wala Giroh Kaunsa Hoga?
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Wo Usi Tariqe Par Hoga Jis Par Mein Aur Mere Sahaba Hain, Aur Usi Najat Pane Wale Firqe Ka Naam Ahlesunnat Wa Jamat Hai, Aur Wo Log (Ahlesunnat) Huzoor ﷺ Ki Ita'at Ko Aur Aapke Sahaba Ki Pairawi Ko Zaroori Qarar Dete Hain, Aye Allah Hame Ahlesunnat wa Jamat Ke AQIDE Par Qa'im Rakhna Isi Jamat Par Hame Maut Dena Aur Un Hazraat Me Hi Hamara Hashr O Nashr Farmana.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat No-67}

Eik Mureed Ke Naam Maktoob (Khat) Me Nasihat Farmate Huye Likhte Hain.?

"MAKTOOB"
Pas Chahiye Ki Ahlesunnat Wa Jamat Ke Mutabiq Apne AQA'ID Rakhe, Aur Ayre Gaire Ki Baton Par Kaan Na Lagaye, Dusron Ki Laffazi Aur Charbe Zabani Par Aitemad Karna Apne Deen Ko Barbaad Karna Hai, Firqah Najiyah Ki TAQLEED Zaroori Hai, Taki Najat Ki Ummid Ho Warna Saari Mehnat Bekar Jayegi.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat No-251}

Eik Khat Me Najat Pani Wali Jamat Ki Nishan Dahi Karte Huye Farmate Hain.?

"MAKTOOB"
Jaan Le Najat Aur Faoze Darain (Deen O Dunya Ki Kamyabi) Faqat Ahlesunnat Wa Jamat Ki Itteba Me Hai, Allah Subha'nahu Wa Tala Ahlesunnat Ke AQWAL O AF'AAL Aur Usool O Furoo Me Barkaten Marhamat Farmaye, Kyu Ki Naaji To Yahi Hai BAQYA Sab Naari Aur Sababe Kharabi, Aur Unki Halakat Ka ILM Aaj Nahi To Kal Baroze Qayamat Sab Par Khul Jayega Lekin Fayedah Nahi Hoga.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-69}

Eik Jagah Hazrat Ahlesunnat Ke 4 Mazahib Me Se Kisi Eik Ki TAQLEED Ki Takeed Karte Huye Tehreer Farmate Hain.?

"MAKTOOB"
Allah Jalla Shanahu Ke SHUKR Ada Karne Ka Tariqah Ye Hai Ki Sab Se Pehle AQA'ID Ko FIRQA E NAJIYAH Ahlesunnat Wa Jamat Ke MUTABIQ Durust Kiya Jaye, Uske Bad Is Giroh Ke Aimmae Mujtahideen (Imame Azam Abu Hanifah, Imame Shafai, Imame Malik, Imame Ahmad Bin Hambal رحمهم الله تعالى عليهم) Ki TEHQIQAAT Ki TAQLEED Karte Huye Ahkame Shar'aiyyah Par Amal Kare.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-71}






.


Tuesday 13 June 2023

Nek Bando Ki Qabar Banana

 Dalil Ahle Hadeeso Ke Ghar Se. 


uncha or baland qabr banana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

wahabiyo ke imam Abul Hasan siyalkoti 


ek hadish nakal krta hai


kharza bin zaid ne kaha ke Maine apne apko dekha or ham naujawan the hazrate ushman رضی اللہ عنہ ki khilafat me  ham sab me jada tar sakht koodne (jump) me  wo sakhsh tha Jo ushman bin maz'oon ki qabr ko kood kr aage badh Jaye yani unki qabr bahot baland thi jise har koi nhi kood sakta tha 

👇👇👇👇👇👇👇👇

faizul bari Sarah bukhari para 5 safa 577


or aage Sarah me likhte hai ke is hadish se maloom hua ke qabr ko zameen se uncha or baland karna durust hai


or fir age qabr pr baithna mana kyo hai iski ouri tafseel scan me padhe


ab bolo wahabdo itna uncha or baland tha to ise kisi sahaba ne gira kr zameen ke barabr kyo nhi Kiya


apne baap siyalkoti or kya fatwa lagaoge





Monday 12 June 2023

Mayyat ke Liye istemayi Dua Karna Karna

Murde ko Dafan Karne Ke Baad Qabar Per ijtami Dua karan Sahaba ki sunnat hai. 

{Sunan Kubara Lil behaqi 7066}





Sunday 11 June 2023

Sord of hazrat aurangzeb rahmatullah alaihi

 Mujaddid E Islam Hafiz E Qur'an

Sultan Aurangzeb Aalamgir رحمتہ اللہ علیہ ♥️ ki Talwar

Par Likha hua Hai Ya Allahﷻ Ya Muhammad ﷺ Ya Ali رضي الله عنهم






Saturday 10 June 2023

Deoband tablig Qabar Pujari.

 Post :1


جنید جمشید کا بیٹا اپنے ابا کی مڑھی پر سپورٹس شرٹ چڑھا رہا ہے (ممکن ہے ٹراؤزر بھی چڑھایا ہو گا) 😜🤣🤣🤣

اپنا دل چاہے تو دیو بندی اپنے "مہاتماؤں" کو شرٹ چڑھائیں یا بانس چڑھائیں کوئی فتویٰ نہیں لگاتا ۔

کسی نے کیا خوب کہا:

اللّٰہ رے خود ساختہ نیرنگی قانون

جو بات کہیں شرک وہی کہیں دین




Wednesday 7 June 2023

Badaqeeda ki burayi bayan karo @/bure ko bura kaho

 *Kya bad aqido Ki Burai Karna Ghibat Hai??*


Aaj Kuch Aise Jath Jahil Sulehkulli Types Log Hai Jo Kehte Hai Kisi Ki Bhi Burai Na Karo Chahe Koi Ho


¹ Hazrat Imam Harb Bin *Isma'eel al-Hanzali al-Kirmani* Al Mutawaffah *280* Hijri

&

² Hazrat Imam *Ibn e Abi Duniya* Al Mutawaffah *281* Hijri 


*Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Kya Fajir* (Fasiq) *Ka Zikr Karne Se Roktay Ho? Uska Parda Fash Karo Taki Log Usay Pehchane Aur Usme Maujud Burai Ke Saath Usko Bayan Karo Taki Log Usse Bachay*


✺ Sanad *Hasan* Rijaal *Siqah*


References Books

¹ *Kitab al-Sunnah*

Vol *1* Hadees *659*

&

*Mawsueat Ibn Abi al-Dunia*

Vol *5* Hadees *6332*

📗📄👇





Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...