Thursday 20 February 2020

Tarq rafayden/rafeden/rafaiden nh kiya

Do Sajdo Ke bich Rafaiden. 


WAHABIYO KA SAJDO WALI RAFAIDAN KI HADEES MEIN RADD O BADAL 



Gairmuqallid Khud Badalte Nahi Kitabo Ko Badal Dalte Hain

Ji Haan Sajdo  Wali Rafaidan Ki Hadees Mein Wahabiyo Ki Tehreef 

Sunan Nasayi Ki Hadees Sajdo Wali Sahih Sanad Se Hain

Malik Bin Huweris Radiallahu Talaa Anhu 
Se Marwi Saheeh Ahadees Me Sajdo Ki Rafe-Yadain Ka Saboot Bhi Nabi E Karim ﷺ Se Sabit Hain 

Sanad Yuh Hain
👇🏻👇🏻
Imam Nasai—Mohammed bin Al Mushni—-Ibn Abi Ady—SHOEB—-Qatadah—-nsar bin Aasim—Malik Bin Huweris Radiallahu Talaa Anhu  — Nabi (sal allahu alayhi wa sallam)

Is Hadees Mein Siqah (Authentic) Raavi 👤Shoaib Hain 

Toh Gairmuqallido Ne New Nuqse Se English Or Urdu Chaapa Kitaab Sunan Nasayi Ki Daru Salaam Zubair Ali Zaai Ke Tehqeeq Se Shayi Hui Us Kitaab Mein 

👤Shoaib Raavi Ko Hatake 👤 Saeed Zaaef (Week) Raavi Add Kiya 

Tha Ke Logo Ko Bataye Ke Ham Jo Sajdo Wali Rafaidan Isliye Nahi Karte Kyu Ki Wo Hadees zaeef Hain 

👉Halaanke Yeh Hadees sahih Hain 

Shaik Naasir Uddin Albaani. (Sifatus Salaah : Safa 602 – 607) Mein Is Hadees Ko Sahih Kaha Aur Bhi Muhadeesin Ne Is Hadees Ko Sahih Kaha

Scan:👇

Sahi riwayat👇


Kitabo me chori👇







Hadees Shareef:

Kya Baat Hai Ke Mai Tumhe Haat Utaaye🙌 Dekhta Hu Jaisa Ke Shareer Ghodo Ki Dume ( Halti Hai) USKUNU FIS SALAH Namaz Me Sukoon Ikhtiyaar Karo.

Yaha Imam  Muslim ibn al-Hajjaj Rehmatullahi Alahi Ne 2 Hadees Laayi Hain

Ek Hadees (Salaam Waali) :
Dusri Hadees (Tark E Rafe-Yadain Waali):

Aur In 2 Hadees Ko Sanad Bhi Alag Alag Hain

1️⃣Jo Hadees Salaam Ke Mutalliq Hai Wo Yeh Hai Ke

Hazrat Jaabir Bin Samurah Rdh. Se Riwaayat Hai Ke Jis Waqt Hum Rasoolullah ﷺ 
Ke Saat Namaz Padhte Toh Hum Asalamualaikum Warahatullah Kehte Aur Apne Haat Se Dono Taraf Ishaara Karte.
Rasoolullah ﷺ 
Ne Farmaaya Apne Haato Se Kya Ishaara Karte Ho Jaisa Ke Sharer Ghodo Ki Dume ( Halti Hai) , Tumhe Haat Ho Apni Raan Par Rakhna Kaafi Hai Aur Phir Daaye Baaye Apne Bhai Par Salaam Karna.

(Saheeh Muslim : Jild 1 : Safa 181)

Pehli Hadees Ki Sanad (Salaam Waali) :

Abu Bakr Bin Abi Shaiba  , Abu Kuraib  –> Wakii , Ibn Abi Zyaada   –> Mis’ar –> Ubaidullah Ibn Qibtiyaa (Rahmiullahu Alaihim) –> Jabir Bin Samurah Rdh.

📚Scan Page :

2️⃣Jo Hadees Rafaidaa Ke Mutalliq Hai Wo Yeh Hai Ke

Hazrat Jaabir Bin Samurah Rdh. Farmaate Hai Ke Rasoolullah ﷺ 
Hamaare Paas Tashreef Laaye Aur Farmaaya Ke Kya Baat Hai Ke Mai Tumhe Haat Utaaye Dekhta Hu Jaisa Ke Shareer Ghodo Ki Dume ( Halti Hai) , Namaz Me Sukoon Ikhtiyaar Karo.

((Saheeh Muslim : Jild 1 : Safa 181))

Dusri Hadees Ki Sanad (Tark E Rafe-Yadain Waali):

Abu Bakr Bin Abi Shaiba –> Abu Kuraib –> Abu Muawiya –> A’mash –> Musaiyib Bin Raafe –> Tameem Ibn Taraafa (Rahmiullahu Alaihim) –> Jabir Bin Samurah Rdh.

📚Scan Page :

Wazaahat : Is Hadees Se Saaf Maloom Huwa Ke Namaz Me Rafe-Yadain Karne Se Aap ﷺ  Ne Khud Mana’a Farmaaya Hai.

2 – Yeh Do Hadeeso Ki Kaifiyat Juda Juda Hai. Aur Sanad Bhii 

Pehli Hadees Me Jabir Bin Samurah Rdh. Tanhaa Padhne Ka Zikr Kar Rahe Hai Aur Dusri Hadees Me Jamaat Ke Saat Namaz Padhne Ka Zikr Hai.

3 – Yeh Dono Hadees Me Huzur ﷺ Ka Hokum Alag Alag Hai.
Pehli Hadees Me Huzur ﷺ Namaz Me Sukoon Ikhtiyaar Karne Ka Hukum Derahe Hai Aur Dusri Hadees Me Yeh Irshaad Farmaa Rahe Hai Ke Tum Apne Haato Ko Apne Raan Par Rakhkar Daaye Baaye Apne Bhai Par Salaam Karo.
Lehaaza 2 Alag Alag Hadeese Hai Aur Inko Khalat Malat Karke Ek Karna Bahut Ghalat Hai.

Scan:











*Huzoor ﷺ Namaz Me Rafayadain Na Karte*

*_Hazrat Imam Ḥumaydi Al Makki Al Mutawaffah 219 Hijri Hadith Code Karte Hain_*

_Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Bayaan Farmate Hai Ke Maine Rasool Allah ﷺ Ko Namaz Shuro Karte Dekha Ke Jab_ *Huzoor ﷺ Ne Namaz Shuru Farmaayi Toh Haatho Ko Kaandho (Shoulders) Tak Utaaye Aur Jab Ruku Me Tashreef Le Jaate Waqt Aur Ruku Se Uth'te Waqt Huzoor ﷺ Rafayadain Na Kiya Aur Na Hi Huzoor ﷺ Ne Dono Sajdo Ke Darmiyaan Rafayadain Kiya.*

_Alhamdulilah Aaj Hum Hanfi Barelvi Musalman Bhi Apne Nabi ﷺ Ke Tarike Par Hi Namaze Ada Karte Hai._
 *Aur Aap Kiske Tarike Par Padhte Hai* _Yahudiyo Yani Ahle'hageeso Saudi Najdiyo Ke?_ *Ya Jinke Sadqay Namaz Mili Unke?*

*Reference Book*
Musnad Humaidi
Vol *1* Page *288* Hadees *614*
*Scan Page*

📗📄👇🏼



JO BHI AHLE HADEES AAP KO RAFAIDEN KYU NAHI KARTE AAP YE SAWAAL KARE TO AAP USE DO SAJDO K BICH RAFAIDEN AAP KYU NAHI YAH SAWAAL AAP UNSE KARE DEKHNA BHAG JAYEGA.


DO SAJDO KE DARMIYAN RAFAIDEN.

Do sajdo k bich rafaiden..

Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. ki Sajdo me Rafe-yadain Karne Waali Riwayat ka Tehqiqi Jayeza.

Sayyidina Wayl Bin Hujr Rdh. Se Toh Har Takbeer Ke Saat Aur Sajdo Ki Rafe-Yadain Ka Saboot Bhi Saheeh Hadees Me Hai Masalan,

Sayyidina Wayl Bin Hujr Rdh. Se Riwayat Hai Ke Anhazrat ﷺ Jab Sajdo Se Sar Mubarak Utaate Toh Rafe-Yadain Karte Hatta Ke Aap Namaz Se Faarigh Hojaate The , Ek Riwayat Hai Me Hai Ke Aap ﷺ 
Jab Ruku Karte Aur Sajda Karta Toh Rafe-Yadain Karte The Ek Aur Riwayat Hai Ke Aap Saw Namaz Ki Har Takbeer Ke Saat Rafe-Yadain Karte The.

Sunan E Abu Dawud : Jild 1 : Safa 112

📚Scan Page : Sunan E Abu Dawud

Al Ahaadul Masaani Li Ibn Abi Aasim : 
Jild 1 : Safa 519 , Hadees no 2619

Mu-ajjam Ul Kabeer Lil Tabraani : Jild 9 : Safa 150 , Hadees No 17529

At-Tamheed Li Ibn Abdul Barr : Jild 4 : Safa 194

Al Muhalla Bil Aasaar : Jild 3 : Safa 8

Juz E Rafe-Yadain Lil Bukhari : Safa 48 , Hadees No 71

Sunan E Tahawi : Jild 1 : Safa 144

Sunan E Daruqtni : Jild 1 : Safa 293 , Hadees No 1108

Mu-ajjam Ul Kabeer Lil Tabraani : Jild 9 : Safa 152 , Hadees No 17542

Isbaat E Rafe-Yadain Li Khalid Girjaaghi : Safa 113 , 140 , Hadees No 210 , 269

✅Sayyidina Wayl Bin Hujr Rdh. Ki Sajdo Waali Ahadees Ko Saheeh Kehne Waale Aimma

Imam Bukhari Rh. 
(Juz E Rafe-Yadain Lil Bukhari : Safa 45 , 58)

Imam Abu Dawud Rh. 
 (Abu Dawud : Jild 1 : Safa 112)

Imam Ibn Hazm Rh. 
(Al Muhalla : Jild 4 : Safa 8-10)

Imam Ibn Hibban Rh. 
(Saheeh Ibn Hibban : Jild 3 : Safa 168)

Imam Ibn Mundah Rh.
 (Zubur Rabi Lil Suyuti : Safa 3)

Imam Abu Taahir Salfi
. (Zubur Rabi Lil Suyuti : Safa 3)

Imam Ibn Abdul Barr Rh. ne Aitejaaj Kiya.(Tamheed : Jild 4 : Safa 198-199)

Imam Ibn Qattan Faasi Rh. ne Aitejaaj Kiya. (Bayaan Ul Wahem : Jild 5 : Safa 611-612)

Imam Abdul Haq Al Shabeeli Rh. Aitejaaj Kiya.
(Al Ahkaam Ul Wasti Li Abdul Haq : Jild 1 : Safa 365)

Imam Wali Uddin Iraaqi Rh. 
(Tar Ul Tashreeb Lil Iraaqi : Jild 2 : Safa 253 , 261)

📚Scan Page : Zubur Rabi Lil Suyuti

📚Scan Page : Bayaan Ul Wahem

Ghari Muqallideen Ulama Ne Bhi Is Hadees Ko Saheeh Qaraar Diya Hai.

Shaik Naasir Uddin Albaani.
 (Sifatus Salaah : Safa 607)

Qazi Shaukaani (Nail Ul Autaar : Jild 1 : Safa 385)

Maulana Abu Hafs. (Fazlul Wadood Fii Tehqeeq Rafe-Yadain Lis Sujood : Safa 23-24)

Maulana Abdul Haq (Fathul Wadood Fii Tehqeeq Rafe-Yadain Indas Sujood : Safa 74-75)

Maulana Muhammed Rayees Nadwi. (Rasool E Akram ﷺ Ka Saheeh Tariqa E Namaz : Safa 352-353)

📚Scan Page : Rasool E Akram ﷺ Ka Saheeh Tariqa E Namaz

Ghair Muqallideen Hazraat Mazkoor Wayl Bin Hujr Rdh. Ki Is Hadees Par Amal Nahi Karte Na Hi Isse Istedlaal Karte Hai ? Aakhir Kyun ?

Note:scan moujud nahi.


Shaik Nasiruddin Albaani Ne Sajdo Ki Rafe-Yadain Ko Saheeh Ahadees Jo Ke 10 Sahaba Rdh. Se Marwi Hai Se Saabit Aur Aimma Se Ispar Amal Aur Uske Sunnat Hone Ko Naql Kiya Hai. 

(Sifaatus Salaah : Safa 606-613)

Scan Page 👇🏻👇🏻




Sajdo Ki Rafe-Yadain Ke Mutalliq 
Aimma E Muhaddiseen Aur Ghair Muqallideen Ulama Ki Raai

Imam Bukhari Rh. Ne Imam Ibn Mehdi Rh. Ke Hawaale Se Bilaa Nakeer Use Sunnat Naql Kiya Hai.  

(Juz E Rafe-Yadain Lil Bukhari : Safa 55 , Raqm Ul Hadees : 69)

Scan Page 👇🏻👇🏻





Maujuda Daur Ka Gairmuqallid Wahabi Khatakar Aur Ghaflaat Mein Hain 😀

Ji Haan Ham Nahi....Yeh Khud Unke 👤Ullama Ka Kehna Hain

Ahle Hadees Ki Mashoor Kitab  📖 Fatawa Ahle Hadees

Sawal Hua
Sajdo Mein Rafaidan Karne Wala Sahih Hain Ya Na karne wala ❓❓

Jawab
Sajde Mein jate waqt Aur Sajdo Ke Darmiyan Rafaidan Karne Wala Sahih Hain Aur Na Karne Wala Khata kar Hain

Dusra Sawal Kya Yeh Sajdo Wali Rafaidan Ki Hadees Sahih Hain❓❓

Jawab
Bil Shak wa Shubh Sahih Hain

Kya Yeh Sajdo Wali Rafaidan Mansookh Ho Chuki Hain❓❓❓

Jawab

Nahi Hain Balke Yeh Nabi ﷺ
Ka Akhri Umar Ka Amal Hain Kyu Ki Iska Raavi Malik Bin Hurrais Radiallahu Hain Madeena Mein Akhri Umar Tak The

Logo Ne Maiz Ghaflaat Ke Wajah Se Sajdo Wali Rafaidan Ko Chod Raka Hain Aur Sajdo Wali Rafaidan Hadees Mansookh Nahi Hain Isliye Ke Yeh Nabi ﷺ Ki Akhri Amal Hain Aur Abdula Ibn Umar Radiallahu Ka Bhi Amal Hain Iske Baad Koi Aise Sahih Hadees Nahi Jis Se Sajdo Wali Rafaidan Ki Nafi Sabit Ho

Fatawa Ullama E Ahle Hadees jild 4 Safa 300-306

📚Scan Pages









ALBAANI

#Namaz E nabvi ﷺ  nasiruddin albani
Sajde me rasool Allahﷺ #rafayadain karte the sahi sanad ke sath 

Wavy iske khilaf Amal nahi karta

kitab ke mutarjim Maulana sadiq khaleel 
.












#Rafayadain

Bukhari Sharif me hadees milti hai ki aakri fail par amal hoga 

Aur rafayadain par Gair muqallidin k ghar se gawahi aakhri fail tarq e rafayadain hai 

نبی پاک صلی اللہ علیہ و سلم کا آخری فعل مبارک ترک رفع یدین ہے۔۔۔۔نواب صدیق حسن خان بھوپالی۔








IMAM SHAFAI KE NAJDIK RAFAIDEN. 







Wednesday 12 February 2020

Qabre Rasool ﷺ Sab Se Afzal Hissah

*🌹๏• ﷽‎ •๏❤*
*❤๏• ‎ﷺ •๏🌹*

*❤●♡❝→Qabre Rasool ﷺ Sab Se Afzal Hissah←❞❥●🌹*

Mere Aaqa Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Turbat (Rauza) Kaaba Se Bhi Afzal Hai

*╰◇•☆📚[●Jazbul Quloob Ila Diyaril Mehbub Lil Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Pg.14★•◆╮*

Note: Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Aise Jaleelul Qadr Muhaddis Hain Jinhe Deobandi Wa Ahlehadees Sabhi Firqe Ke Log Bhi Mante Hain. Kyunki Hindustan Me Ilm-e-hadees Ko Aam Karne Wale Yehi Hain.

*•░▒▓Scanned Pages👇🏻📖📄▓▒░•*


Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...