Sunday 28 April 2024

Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh Karke Kaha  As Salamu Alaikum_ Ya Ahlul Qubur. 

(Sunan Tirmizi, Vol :2,Hadees:1055)

Scan:




Thursday 4 April 2024

Shabe qadar |shab e qadr | शबे कद्र

 POST :1


*Shabe qadar me Gunahon Ka Maaf Ho Jana*


Hadees/हदीस:


“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Is raat me Imaan Aur Ikhlaas Kay saath Kiyaam Kiya To uske Umr Bhar kay gujashta gunaah Maaf kar diye jaate hai” 


_हज़रत अबु हुरैरह् रदीअल्लाहु अन्हु से रीवायत है नबी ए करीम सल्लल्लाहु अलैही व सल्लम ने ईरशाद फरमाया जिसने इस रात मे ईमान और ईखलास के साथ क़ियाम किया तो उसके उम्र भर के गुजस्ता गुनाह माफ कर दिए जाते है।_

(Sahih Bukhari, Vol : 01, Pg : 660, #2014)

(Sahih Bukhari, Kitabul Iman, #35, Kitab Al Sawm, #1901)

Scan:





Thursday 21 March 2024

Aala Hazrat Par Aitraj Ka Jawab | ala hazrat par aitraaj ka jawaab.

 Aitraaj No1:

Zameen Wa Asmaan Ka Nizaam Qayam Hain Inhi Auliya Abdaal Ke Wajah Se. Yah ala hazrat ne apne mafuzat me likha. Wahabi isko ALLAH ta'ala ki gustaqi Kahte Hai. 


Jawaab:

Yaha Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alhy Ne Apne "Malfuzat " Mein Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Ke Hawale Se Likha Hain

Kya Maujuda Daur Ke Firqa Ahle Hadees Keh Sakta Hain Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Ne Allah Ki Shaan Mein Itna Bada Zulm Kiya?? 

Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Apne kitaab "Futuh-Al-Ghaib" 

Is Kitaab Ki Ibne Temiya Ne Sharah Ki Hain" Haashiya Likhi Hain

Ibne Temiya Al-Harrani Likhta Hain Shaykh Abdul Qadir Jilani rehmatullahi 

Farmatey Hain 

Auliya Allah Ke Dam Se Zameen WA Aasman Ka Nizaam Qayam Hain AUR Inhi Awliya Abdal Se Zinda AUR Murde Ko Bhi Qarar Haasil Hain Kyu Ki Allah Ne Inhe Logo Ke Liye Maalik Banaya Hain In Awliya Ki Misaal Aisi Hain Jaise Zameen Mein Pahad Dafan Kiye Gaye Goya Aise Hi Zameen Ke Nizam Ke Liye Inhe Dafan Kiya Gaya Hain. 

{Sharah E Futuh-Al-Ghaib" Jild 02, Safa 111}

📚Scan Page








AITRAJ NO - 2

Ala hazrat ne kawwe ko kya jayj kaha? 

Jawaab-

Fatawa Razviya Par Wahabi Deobandiyo Ka Bhotan Kawwa Halaal Hain Ka Jawab 


Mas'ala (Suwal):-155


Jo Kawwa Ki Dana Khata Hai Aur Rang Me Bilkul Siyah (Kala) Hota Hai Us Ka Kiya Hukm Hai?

Aur Jo Kawwa Ki Dana Aur Najasat Dono Khata Hai Us Ka Kiya Hukm Hai?


Aljawab -

1-Dana Khor (Dana Khane Wala) Kawwa Ki Sirf Dana Khata Aur Najasat Ke Pas Nahi Jata Jise Gurab-E-Zara Yant Kheti Ka Kawwa Kahte Hain, Chhota Sa Siyan Rang Hota Hai Aur Chonch (Beak) Aur Panje Galiban Surkh Wo Bilitifaq Jayz Hai.


2-Aur Murdar Khaar (Murdar Khane Wala) Kawa Jise Gurab-O-Abga Bhi Kahte Hain Ki Us Ke Rang Me Sapedi (Safedi) Bhi Siyahi Ke Sath Hoti Hai Bilitifaq Naja Iz Hai, Aur Isi Hukm Me Pahadi Kawwa Bhi Dakhil Ki 


3-Bada Aur Ek Rang Siyah Hota Aur Mausam-E-Garma Me Aata Hai. Aur Khalt Kare Wala Jise Gurab e Aq'ag Kahte Hain Ki Us Ke Bolne Me Yahi Aawaz Aq'aq Paida Hoti Ha Is Me Ikhtlaf Hai


Mas'ala (Suwal):-156 


Ala Hazrat Se Sawal Hua Kawwa Haram Hain Ya Nahi? Ullu (owl) haram Hain ya nahi??


Jawab:-


Yeh Kawwe Humare Diar Mein Paye Jate Hain Sab Haram Hain,Aur Ullu (owl) bhi Haram Hain


Scan Page


Note 📝 

AAP Yaha Dek Saktey Ho Scan Bhi Pad Saktey Ho Ala Hazrat Ne Kis Gurab Ko Halaal Kaha Hain….

Kawwa Jo Sirf Dana Khata Aur Najasat Ke Pas Nahi Jata Jise Gurab-E-Zara Kehtey Hain. Balke Desi Kawwa Jise Gurab-O-Abga Kehte Hai Usko 

Bilitifaq Najaiz Aur Haraam Likha Hain 


Deobandiyo Ke Kitab Se Sabit Hota Hain Ke Unhone (Guraab Al Abga) Aam Kawwa Desi Jo Bastiyo Mein Paaye Jaate Hain Jo Murdar ,Gandagi,Najasat Bhi Khata Hoon. Aur Panje Se Shikar Karta Hoon.Usko Halal Balke Sawab Bhi Likha Hain.


Scan Ke Liye Is Link Ko Open Kare…

https://www.facebook.com/100021465736501/posts/134505260608331/?mibextid=WC7FNe


Anware E Shariyat Par Wahabiyo Deobandiyo Ka Bhotan Kawwa Halaal Hain Ka Jawab 


https://www.facebook.com/story.php?story_fbid=1400570317335146&id=100021465736501&mibextid=WC7FNe


A'la Hadrat, Azeemul Barkat, Imaam-E-Ahle Sunnat, Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaadiri Muhaddith Bareilwi (Alaihir Rahmah) Nay Aik Risala Dafy E Zaygh E Zāgh "دفع زیغ زاغ" Kay Naam Say Likh Aur Uss Main Rashid Gandgohi Se Desi Kawway Ke Halaal Hone Say Mutaliq 40 Sawaal Kiye


Fatawa Razviya Par Wahabi Deobandiyo Ka Bhotan Kawwa Halaal Hain Ka Jawab 


Mas'ala (Suwal):-155


Jo Kawwa Ki Dana Khata Hai Aur Rang Me Bilkul Siyah (Kala) Hota Hai Us Ka Kiya Hukm Hai?

Aur Jo Kawwa Ki Dana Aur Najasat Dono Khata Hai Us Ka Kiya Hukm Hai?


Aljawab -

1-Dana Khor (Dana Khane Wala) Kawwa Ki Sirf Dana Khata Aur Najasat Ke Pas Nahi Jata Jise Gurab-E-Zara Yant Kheti Ka Kawwa Kahte Hain, Chhota Sa Siyan Rang Hota Hai Aur Chonch (Beak) Aur Panje Galiban Surkh Wo Bilitifaq Jayz Hai.


2-Aur Murdar Khaar (Murdar Khane Wala) Kawa Jise Gurab-O-Abga Bhi Kahte Hain Ki Us Ke Rang Me Sapedi (Safedi) Bhi Siyahi Ke Sath Hoti Hai Bilitifaq Naja Iz Hai, Aur Isi Hukm Me Pahadi Kawwa Bhi Dakhil Ki 


3-Bada Aur Ek Rang Siyah Hota Aur Mausam-E-Garma Me Aata Hai. Aur Khalt Kare Wala Jise Gurab e Aq'ag Kahte Hain Ki Us Ke Bolne Me Yahi Aawaz Aq'aq Paida Hoti Ha Is Me Ikhtlaf Hai


Mas'ala (Suwal):-156 


Ala Hazrat Se Sawal Hua Kawwa Haram Hain Ya Nahi? Ullu (owl) haram Hain ya nahi??


Jawab:-


Yeh Kawwe Humare Diar Mein Paye Jate Hain Sab Haram Hain,Aur Ullu (owl) bhi Haram Hain


Scan Page


Note 📝 

AAP Yaha Dek Saktey Ho Scan Bhi Pad Saktey Ho Ala Hazrat Ne Kis Gurab Ko Halaal Kaha Hain….

Kawwa Jo Sirf Dana Khata Aur Najasat Ke Pas Nahi Jata Jise Gurab-E-Zara Kehtey Hain. Balke Desi Kawwa Jise Gurab-O-Abga Kehte Hai Usko 

Bilitifaq Najaiz Aur Haraam Likha Hain 


Deobandiyo Ke Kitab Se Sabit Hota Hain Ke Unhone (Guraab Al Abga) Aam Kawwa Desi Jo Bastiyo Mein Paaye Jaate Hain Jo Murdar ,Gandagi,Najasat Bhi Khata Hoon. Aur Panje Se Shikar Karta Hoon.Usko Halal Balke Sawab Bhi Likha Hain.


Scan Ke Liye Is Link Ko Open Kare…

https://www.facebook.com/100021465736501/posts/134505260608331/?mibextid=WC7FNe


Anware E Shariyat Par Wahabiyo Deobandiyo Ka Bhotan Kawwa Halaal Hain Ka Jawab 


https://www.facebook.com/story.php?story_fbid=1400570317335146&id=100021465736501&mibextid=WC7FNe


A'la Hadrat, Azeemul Barkat, Imaam-E-Ahle Sunnat, Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaadiri Muhaddith Bareilwi (Alaihir Rahmah) Nay Aik Risala Dafy E Zaygh E Zāgh "دفع زیغ زاغ" Kay Naam Say Likh Aur Uss Main Rashid Gandgohi Se Desi Kawway Ke Halaal Hone Say Mutaliq 40 Sawaal Kiye


https://www.facebook.com/story.php?story_fbid=1400087574050087&id=100021465736501&mibextid=WC7FNe




Tuesday 19 March 2024

Roze ke masail | रोज़े के मसाईल |roja |roza | raje ke masail |

 रोज़े के मसाईल


सवाल - रोज़े के हालत में सुरमा लगाना कैसा? 


जवाब- रोज़े के हालत मे सुरमा लगा सकते है।लेकिन दिखावा के लिए लगाना मना है। 



सवाल- रोजे के हालत मे विक्स, बाल्म लगाना कैसा? 


जवाब- रोज़े के हालत मे बाल्म विक्स लगाना जायज है। 




सवाल- रोज़े के हालत मे नाखुन , बाल काटना कैसा? 


जवाब- रोज़े के हालत मे नाखुन और बाल काट सकते है। 



सवाल- रोज़े के हालत मे मिस्वाक करना कैसा? 


जवाब- रोज़े के हालत मे मिस्वाक करना जायज है, हां ये खयाल रहे के रेशे हलक मे न जाये। 



सवाल- रोज़े के हालत में दांत निकालना कैसा? 


जवाब- रोज़े के हालत मे दांत न निकलवाये के अगर खुन हलक के अंदर चला गया तो रोज़ा टुट जायेगा। बहारे शरीयत में है "रोज़े मे दांत निकाला और खुन निकल कर हलक से नीचे उतरा अगरचे सोते में ऐसा हुआ तो इस रोज़े कि कज़ा वाजिब है। 


-मुफ्ती ईमरानुल कादरी,सुन्नी तबलिगी मिशन मुंबई.



मसला :

_एहतेलाम यानि नाइट फाल हुआ तो रोज़ा नहीं टूटा मगर बीवी को चूमा और इंजाल हो गया तो रोज़ा टूट गया युंहि हाथ से मनी निकालने से भी रोज़ा टूट जायेगा।_


{बहारे शरीअत,हिस्सा 5,सफह 117}




*➡MASLA-*


Roze ki haalat me khushbu sungna, tel maalish karna aur surma lagana Jayaz Hai. 

Magar mardo ko zinat(numaais/dekhawa) Ke liye Na lagaye. 


*मसला-* रोज़े कि हालत में खुशबू लगाना, तेल मालिश करना, सुरमा लगाना जायज़ है, लेकिन मर्द सुरमा देखावा के लिए न लगाये। 


*➡MASLA-*


Roze me miswaq karna  jaise aur dino me miswak karna sunnat hai waise he roze me bhi masnoon (sunnat) hai.


*मसला-* रोज़े में मिसवाक करना जैसे और दिनों मे सुन्नत है वैसे ही रोज़े में भी सुन्नत है। मिस्वाक कर सकते। 


*Reference:*

*📚[Anware shariat urdu, page:130]*



*👑SUNNI AQAID👑*

Saturday 16 March 2024

Radde Shiyat |Radde shiat |Radde rafziat |shia |rafzi| shiao Ka Radd.

 POST:1


*Aaima e Ahle'bayt Rasool Allah ﷺ Jaise Hain Aur Jo Fazilate Aur Khususiyate Huzoor ﷺ Ko Di Gai Hai Wahi Fazilat Aur Khususiyat Aima e Ahle'bayt Ko Bhi Hai* (Maaz'Allah Summa Maaz'Allah) Shia Ki Buniyadi Book Jo Qur'an Ke Baad Sabse Afzal Mani Jati Hai Inke Dharam Me. 


Scan👇




Tuesday 12 March 2024

Raze ki fazilat with scan hadees | roza

 Post :1


रोज़ेदार की फ़ज़ीलत


नबी ऐ करीम ﷺ का इरशाद है के

रोज़ेदार का सोना भी इबादत है,

इसकी खामोशी तस्बीह है,

इसके अमल का सवाब दुगना है,

इसकी दुआ क़ुबूल की जाती है,

और इसके गुनाह बख्स दिये जाते है.


📚...हदीस नक़ल...✍🏻इमाम बैहक़ी رحمة الله عليه ने शोबुल ईमान में हज़रत अब्दुल्लाह बिन औफि رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه से रिवायत किया है...


(कंज़ुल उम्माल, ज़िल्द 4, सफ़हा 599, हदीस 23562)





Monday 11 March 2024

Pant Fold Karna Kaisa? | kapde fold Karna Kaisa?

 POST :1

Bahot Saare Log Namaz Ke Liye Khade Hote Hai To Apne Pant ko Fold Karte yani pant ko upar chadate Hai, Aisa Na Kare, Behtar Hai Apni Pant Takno Tak Silaye.. Har waqt musalman Ko Apna Paijama Takno Ke Upar He Rakhna Chahiye. 

محمد بن بشار، محمد بن جعفر، شعبہ، عمرو بن دینار، طاؤس، حضرت ابن عباس ؓ سے روایت ہے کہ نبی کریم ﷺ کو سات ہڈیوں پر سجدہ کرنے کا حکم دیا گیا۔ اور یہ کہ کپڑوں اور بالوں کو نہ سمیٹوں۔

Hazrat ibn Abbas RadiALLAHU Anhu se Riwayat Hai Ki Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ko Saath Haddiyo ParSajdah Karne Ka Huqm Diya Gaya, Aur Ye Ke Kapde Aur Baalo Ko Na Samitho. 

{Sahi Muslim ,Hadees No:1096}


Scan :👇












Sunday 10 March 2024

Qawwali sunna kaisa?

 POST :1

Ham sunni is khurafat ka radd khulkar karte hai... Log in nakli Peero K chakkar me islam ka mazaak bana rahe hai.. 

*Dhol Baja Haram Hai* By Fatawa Alamgir


*Gana wa Qawwali wa Rasq Jo Hamare Zamane Ke Sufi Log Karte Hain Wo Haram Hai Aur Iski Taraf Qasd Karke* (क़व्वाली की महफ़िल) *Me Jana Wahan Baithna Jaiz Nahi Hai Aur Ye Gana wa Mazameer* (ढोल बाजे) *Dono Ek Hi Hai*


╰┈➤ _Yani Sirf Wo Ibarat Dikhai Di Jisse Apni Nafs Parasti Se Galat Qayas Karke Jawaz Nikal Kar Sunniyat Ke Andar Fitna Paida Ho Aur Jo Bilkul Clear Ibarat Hai Wo Chupa Kar Hajm Kar Gaye Wah Molvi Sanabil Sahab Kuch Tu Sharm Kariye Kitni Dogly Policy Kabhi Fatawa Razwiya Se Galat Taassur Ab Fatawa Alamgiri Se Batil Qayas Apna Nahi Sarkar Hashmat Ali wa Mushahid e Millat Ki Haya Tu Kariye? Ki Apne Batil Nazariyat Wa Ajeeb o Gharib Usool Ke Aage Sab Bhool Chuke Hai_


Reference Book

*Fatawa Alamgiri*

Jild *9* *78-79*

📗📄👇🏻




Friday 8 March 2024

Raze ki fazilat |ramzan ke Roze | roza

 *HADEES* 

ALLAH Ke Pyare Habeeb صلی الله عليه وسلم Farmate Hain Jo Halal Rozi Se Kisi Musalman Ko iftar Karaye Ramzan Ke Dino Me Farishte Aur Shabe Qadr Me Hazrat Jibra'eel علیہ السلام uske Liye Istigfaar (Bakhshish Ki Dua) Karte Hain...

📚 *Mojam Kabeer Hadees No-6162*

Friday 1 March 2024

Halwa khana kaisa?

 DALIL TABLIG JAMAAT SE. 


𝐑𝐚𝐚𝐡𝐢𝐝 𝐀𝐡𝐦𝐞𝐝 𝐆𝐚𝐧𝐠𝐨𝐢 𝐇𝐚𝐥𝐰𝐚-𝐊𝐡𝐨𝐫 


Ashraf Ali Thanvi Likhta Hai

Farmaya Ke Hazrat Maulana Gangoi Ke Daant 🦷 Na Rahe The . Magar Quran Sharif Padne Ke Waqt Yeh Na Malum Hota Ke Hazrat Ke Daant Nahi Hain ..Akhir (Jami) Ne Daryaft Kiya Ke Hazrat Gangoi Ki Umar Kya Thi? , Farmaya Taqreeban 80 Saal Ki Thi, Ek Sahib Ne Hazrat Gangoi Se Arz Kiya Tha Ke Hazrat Daant Banwa Lein, Farmaya Kya Hoga, ? Daant Banwa Kar Phir Bootiyan Chabani Padi Gi, Daant Na Hone Ki Wajah Se Logon Ko Raham Aata Hai, Naram Naram Halwa Khane Ko Milta Hain


(Qasas-Ul-Akabir · Safa 142 )


Scan Page







Wednesday 28 February 2024

Wahabi kise kahte hai?

 POAT:1


Wavy ki tareef unhi k ulluma se

Wavy Ibn Abdul Wahab najdi k pairu ko kehte hai 

(فتاویٰ ثنائیہ جلد اول صفحہ 414)


Scan:




Friday 16 February 2024

Hazrat aameer muaviya radiALLAHU Anhu Ala hazrat ki Nazar me.

 POST:1


Hume Ameer Muaviya Se Kya Rishta


Janab Sanabil Raza Khan Sahib Ki Ek Clip Sunne Mila Jisme Janab Wird o Wazaif Ki Tarah Ye Padh Rahe The... Hume Ameer Muaviya Se Kya Rishta


Janab Ko Aala Hazrat Ki Ye Ibarat To Dikhi Magar Wahi Fatawa e Razviyah Ki Jild 10 Ki Ibarat Shyd Nahi Dikhi Jismein Aala Hazrat Farmate Hain

Magar Muaviya Bhi Hamare Sardar

Janab Ko Iska Bhi Wird Karna Chahiye...,  

Shyd Hazrat Ke Kadam Bhi Tafzeeliyat Ki Taraf Jaa Rahe Hai Kyunki Aala Hazrat Farmate Hain

Jo Ali Ki Muhabbat Mein Muaviya Ki Sahabiyat Aur Nisbat e Bargah Bhula Dein Wo Shi'ai Zaidi Hain Toh Kahi Janab Aala Hazrat Ke Is Ibarat Ke Misdaaq Toh Nahi??


Aur Jaha Takk Aala Hazrat Ki Baat Hai 

Hume Ameer Muaviya Se Kya Rishta Is Ka Sahi Mafhoom Ye Hai Ki 

Tum Kehte Ho Ameer Muaviya Se Hamara Kya Rishta ? 

Toh Suno 

Hum Unki Himayat Aise Hi Nahi Karte Hai Magar Apne Sarkar Yani Imam Hasan Ki Taraf Daari Krte Hain Kyuki Jab Imam Ne Ameer Muaviya Se Sulah Aur Bait Kar Li To Hum Kaun Hote Hai Unko Bura Kehne Wale?? 

Ye Rishta Hain Hamara Ameer Muaviya Se

Ek Jagah Alaa Hazrat Likhte Hai 

Magar Muaviya Bhi Hamare Sardar Taan Unpar Kaare Fujjar

Ye Rishta Hai Hamara Ameer Muaviya Se Alhamdulillah





Saturday 10 February 2024

Hazrat Ameer Muaviya RadiALLAHU anhu par aitraj ka jawaab / hazrat Aameer muaviya

 Baghi Wali Hadees e Ammar Aur Hazrat Ameer Muawiya


Rafzi Aur Unki Mutah Aulade Tafzili Munafiq Log Hadees e Ammar رضي الله عنه Ki Apko Ek Baghi Giroh Qatl Karega Ko معاذ اللہ Hazrat Sayyidina Ameer Muawiya رضي الله عنه Par Fit Karte Hai Halake Ye Hadees Ka Asli Misdaq Khawarij Hai Na Ke Lashkar e Ameer Muawiya رضي الله عنه


Hazrat Imam Abu al-Hasan Muslim Al-Aajli al-Kufi رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 261 Hijri Me Likhte Hain Ke...


Hazrat Imam Dahim رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 245 Hijri Ka Baghdad Shareef Me ikhtilaf Ho Gaya Pas Baghi Giroh Wali Riwayat Se Logon Ne Ahle Sham (Yani Sayyedna Ameer Muawiya رضي الله عنه) Ko Murad Liye Is Par Hazrat Imam Dahim رحمة الله عليه​ Ne Farmaya Ke Jo Aisa Kahe Ki Is Riwayat Me Baghi Giroh Se Murad Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Hain Wo Fahasha Ki Aulad Hai”


📚✍🏻Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ke Khilaf Bakwas Karne Wale Sab Fahasha Ki Aulade Hai Yani Sare Shia Rafzi Aur Unki Mutah Aulade Minhaji ul Padri Wagera Sab...


(Tareekh al-Siqaat, Raqam no 928, Page no 287)





Friday 9 February 2024

Radde wahabiat screen shots | radde deoband sreen shots

 No1

Pahle ye Log Bidat Ke Fatwe dete Hai, Lekin Jab Ham Sawaal Karte Hai To ye Kaise Farar Hote Hai Aap Log Khud Dekhe. 👇



Monday 5 February 2024

Angute chumna

 DALIL DEOBAND TABLIG JAMAAT SE


POST:1

Allama Abdul hayy Lucknawi ka fatwa Rasulﷺ ka nam Mubarak sun kar ankho ko nakhun lagana baz Fuqaha ne mustahab kharar diya pg no 118 tarjama deokhaniyo ne hi Kiya hai. 







POST:2


𝐌𝐮𝐥𝐥𝐚 '𝐀𝐥𝐢 𝐀𝐥-𝐐𝐚𝐫𝐢 (𝐑𝐞𝐡𝐦𝐚𝐭𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡𝐢 𝐀𝐥𝐞𝐡) 𝐀𝐮𝐫 𝐑𝐀𝐒𝐎𝐎𝐋𝐔𝐋𝐋𝐀𝐇 ﷺ 𝐊𝐚 𝐍𝐚𝐚𝐦 𝐒𝐮𝐧𝐤𝐚𝐫 #𝐀𝐧𝐠𝐨𝐨𝐭𝐡𝐞_𝐂𝐡𝐮𝐦𝐧𝐚

Mulla 'Ali Al-Qari (Rehmatullahi Aleh)
Riwayat Naqal Kartę Hain
Azaan Me Sarkar صلی الله علیہ وسلم Ka Naam Sun Ker Angoothy Choom Kar Aankho Par Laagne Par….!!

Is Ke Baad Mulla 'Ali Al-Qari'  (Rehmatullahi Aleh) Farmatey Hain

قلت : وإذا ثبت رفعه على (۲) الصديق فيكفي العمل به لقوله عليه الصلاة والسلام : «عليكم بسنتي وسنة الخلفاء الراشدين».

Main Kehta Hoon : Agar Yeh Riwayat Abu Bakr Al-Siddiq (Radi Allahu Anhu) Se Sabit Ho Jata Hai Toh Amal Ke Liye Yeh Kaafi Hain  Kyun Ke Nabi ( Sallallahu Alayhi Wa Sallam) Ne Farmaya:
عليكم بسنتي وسنة الخلفاء الراشدين
Tum Par Laazim Hai Meri Aur Khulafa-E- Rashideen Ki Sunnat Par Amal Karo.

(Al-Asrar Al-Marfu'ah Fi Al-Akhbar Al-Mawdu'ah, Safa 306)

Scan:






Friday 26 January 2024

 Sawal. Qabar par azan dena kaisa he, iski tafsil farma dain?


Al jawab 


Masla Qabar par Azan dena.


Musalman maiyat ko qabr main dafan ker k

azaan deina ahl-e-sunnat k nazdeek jaiz hai, es

k bohat sey dalail hain:-Mishkaat shareef main

hai:"Apny murdoon ko sikhao ﮧﻟﺍﻻ ﻪﻠﻟﺍﻻﺍ "

(Mishkaat Shareef, Kitaab Al-Janaiz, Page:140)

(Sanan Abi Daood, V:2, Page:88)

Dunyawi zindagi khatam honey per insan k liay 2

khaternak waqt hain, aik roh qabz honey ka aur

dosra qabr main sawal jawab ka, ager eman per

khatma na hua tou duniya main jo kia sub zaya

gaya aur ager Qabr k imtehan main nakaam ho

gai tou tou aainda ki zindagi berbaad ho jai gi, es

liay zindon ko chahiyay k merny waly ki madad

karain aur merty waqt es ko kalima perh perh k

sunaian k jo kalima perh ker duniya sey jai ga wo

kamyab hoga.

Fatawa Shami main hai:"Dafan k baad talkeen

kerny sey mana nahi kerna chahiyay kyun k es

main koi nuksan tou hai nahi, bal k nafa he nafa

hai.

(Fatawa Shami, V:1, Page:628)

Jeisa k ahadees main aaya hai tou in ibaraton

sey maloom hota hai k dafnany k baad murdey

ko kalima-e-tayyaba ki talkeen kerna

MUSTAHAB hai, azaan main bhi kalima he hai,

es liay azaan bhi talqeen-e-maiyat hai bal k

MUSTAHAB hai kyun k azaan main mukamal

talkeen hai, kyun k qabr main 3 sawal hoty hain,

pehla tera RUB kon? dosa tera deen kya? aur

teesra yeh k Es Sunehri Jaali waly AAQA ko tu

kya kehta hai? Azaan main in teeno ka jawab

hai, pehly ka jawab k main gawahi deita hon k

ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ aik hai, dosrey ka jawab bhi azaan

main hai, yaani mera deen wo hai jis main 5

namazain FARZ hain(siwai Islam k kisi bhi deen

main 5 namazain na theen), teesrey ka jawab

hua Main gawahi deita hon k Muhammad ﯽﻠﺻ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ

ﻢﻠﺳﻭ ALLAH k Rasool hain.

Namaz k illawa bhi azaan deina baaz makamaat

per SUNNAT hai, jeisy bachy ki peidaish k waqt,

mirgi waaly k kaan main, ghussa waly k kaan

main, lashkaroon ki jung k waqt, maiyat ko qabr

main utarty waqt.

(Rad-ul-Mukhtar, Baab-al-Azaan, V:1,

Page:283)

Sahi Muslim shareef main mojood hai:"Jub

Namaz ki azaan hoti hai tou SHETAN gooz

lagata hua bhagta hai yahan tak k azaan nahi

sunta".(Sahi Muslim, V:1, Page:291,

Hadees:389)

Tou sabit hua k SHETAN azaan sun ker bhagta

hai, insan ki moat k waqt bhi SHETAN ki yeh

koshish hoti hai k kisi terhaan eska eman cheen

lon, yahan tak k qabr k sawalon k bary main bhi

wuswasy dilata hai k mujhy KHUDA keh ta k

qabr k imtehan main yeh fail ho jai. Tou jub

azaan sey SHETAN bhagta hai tou es sey achi

aur kya baat ho sakti hai k SHETAN ko qabr

main bhi azaan k zariyay bhagaya jai.

Hadees-e-Pak main aata hai:

"Huzoor ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ney perha ﻥﺎﺤﺒﺳ ﮧﻠﻟﺍ , phir perha ﮧﻠﻟﺍ

ﺮﺒﮐﺍ , deegar hazraat ney bhi perha, logon ney arz

ki aisa kyun kia, fermaya aik saleh bandey per

qabr tang ho gai thi, ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ ney eski berkat

sey qabr ko kushada ker dia".

(Musnid Imam Ahmed Bin Hunbal, V:3,

Page:360)

Es Hadees ki sharah main Allama Taibi fermaty

hain:"Hum loog tasbeeh-o-takbeer kehty rehty

hain, yahan tak ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ qabr ko kushada

ferma deita hai".

(Merkaat Al-Mafateeh, V:1, Page:211)

Tou azaan main bhi zikr hai aur zikr kerny sey

rehmat ka nazool hota hai, aur maiyat ko rehmat

ki bohat zaroorat hoti hai.

Es k illawa baat yeh hai k na he ahl-e-sunnat es

aml ko FARZ kehty han na he WAJIB, yeh aik

MUSTAHAB aml hai, aur Mustahab aml wo hota

hai jissy Huzoor ﯽﻠﺻ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﻢﻠﺳﻭ ney kabhi kia aur

kabhi nahi kia, aur wo bhi MUSTAHAB aml hai

jisko guzishta musalman acha janty hain.(Rad-

ul-Mukhtar, V:1, page:92)



Wednesday 24 January 2024

Haram Kamai, Haraam Kamayi | हराम कमाई

 ⚠️ ह़लाल और ह़राम की परवाह नहीं करना ⚠️


हमारे मुआ़शरे में, जो गुनाह बहुत ज़ियादा आ़म हैं उन में एक गुनाह है: रिज़्क़ की फ़िक्र न करना के वो ह़राम है या ह़लाल है; लोगों को बस माल चाहिए चाहे ह़लाल हो या ह़राम। ये वही दौर है जिसके बारे में ह़दीसे पाक में इरशाद हुआ। चुनान्चे, ह़ज़रते अबु हुरैरा रद़ियल्लाहु तआ़ला अ़न्हु से मरवी है: दोनों जहां के मालिक, ह़ुज़ूरे अक़्दस (ﷺ 💚) इरशाद फ़रमाते हैं: "लोगों पर एक ज़माना ऐसा आएगा, कि आदमी परवाह भी न करेगा के इस चीज़ को कहां से ह़ासिल किया है, ह़लाल से या ह़राम से।" इस फ़रमाने पाक को पढ़ें और देखें: क्या ये वही दौर नहीं? ये ह़दीस शैत़ान की औलाद का भी रद्द करती है जो, नबी (ﷺ) के इ़ल्मे ग़ैब को नहीं मानती।

📚 (बहारे शरीअ़त ह़िस्सा 11, सफ़ह़ा 610)


ह़राम माल कमाते हैं, फिर रोना रोते हैं कि बरकत नहीं होती, ज़िन्दगी में सुकून नहीं मिलता, इ़बादत में लुत़्फ़ नहीं आता, हमारी दुआ़ क़ुबूल नहीं होती है। अफ़सोस सद अफ़सोस! काश रोना रोने से पहले अपने आ'माल पर भी ग़ौर किया होता। वो कैसे सुकून पाएगा जिसके अंदर ह़राम दौड़ता हो? उस की दुआ़ कैसे क़ुबूल होगी जिस का खाना, पीना, पहनना सब ह़राम का हो? हम ने लोगों को समझाने की कोशिश की, तो उनकी त़रफ़ से ऐ'तराज़ आए के जो ह़लाल कमाएगा उसके हाथ में कटोरा आ जाएगा। जबकि ये लोग ख़ुद ही कटोरे वाले भिकारी की त़रह़ हैं; जैसे वो ह़राम खाता है, ऐसे ही ये खाते हैं। मस्जिद के इमाम की तनख़्वाह, काफी जगह 3-7 हज़ार है, उसे देखा कहीं मांगते हुए?


बिल्फ़र्ज़ आप 5 हज़ार कमाते हैं और जाइज़ कमाते हैं तो कमाते रहें उसी में अल्लाह बरकत देगा कम कमाएं मगर जाइज़ कमाएं। ये दुनिया कोई चीज़ नहीं, है कोई चीज़ तो फ़क़त आख़िरत। कुछ वक़्त पहले एक शख्स ने मुझे 3 लाख माहाना देने को बोला था मगर मैंने उस पर कोई तवज्जो नहीं दी, क्योंकि वो जाइज़ काम नहीं था। ऐसा नहीं कि मेरा ता'ल्लुक़ बहुत अमीर घर से है; बिना आ़जिज़ी के अ़र्ज़ कर रहा हूं के: मेरा शुमार आ़म लोगों में ही होता है, जो काम मैं कर सकता हूं वो आप नहीं कर सकते? नहीं कर सकते तो ये याद रखो! यहां तो तक्लीफ़ में मददगार मिल जाते हैं लेकिन मेरी जान की क़सम! आख़िरत में अल्लाह के सिवा न तो अपना कोई मददगार पाओगे न ही कोई दोस्त।

______________


Tuesday 23 January 2024

Bad mazhab ki baat sunna

 Bad mazhab ki baat sunna


Kya Har Kisi Se Deen Sikhna Quran Sun na Sahih Hai aaj har gumraah firqa yehi kah rah hai dawa hai haath me Quran hone kah aur yehi kaam Daur E Sahaba me tabai me bhi huwa karta tha Magar Salaf ka amal kya tha wo badhmazhab ko sunte hi nahi they


Imam Abu Baqr Muhammad Ibn Sirin Tabai Radi Allahu Anhu (Al Mutwaffa 110 Hizri) ka Kaul Jo Imam Darmi ne Apni Sunan Me Nakl Kiya Hai 

“Ek Aadmi Imam Ibn Sirin kay paas aaya aur kaha Mai Aapko kuch hadees bayan karoon, Ibn Sirin Ne Kaha ‘Nahi’ 

Us aadmi ne kaha kya mai aapke saamne kuch kitabullah ki aayate padhoon, Ibn Sirin ne kaha Nahi

Imam Ibn Sirin ne kaha Tum hamare pass se uth jao yaa hum uth jaate hai, wo chala gaya to kisi ne Imam Ibn Sirin se puchu Aye Abu Baqr Usne Quran ki aayat padhne kaha Aapne kyun mana kar diya.

Arz Kiya Mujhe khauf Hai kay mere pass koi aayat padhte aur usme tehreef karde jo mere dil me utar jaaye”

References : 

(Sunan Darmi Pg : 63, Kitabul Muqaddamah, # 411)

(Imam Lalakai, Shara Fi Usool E Aiteqaad E Ahle Sunnat, #642)





Azaan Ke Baad Ki Dua.

 *Bismillahirahmanirrahim*


*★ Azan ke baad jo ye dua padhega usko Qayamat ke din Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki shafaat milegi*

-----------

★ Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo shaksh Azan sunkar ye kahe usey Qayamat ke din meri shafaat milegi


*اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،*

*آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ*


Allahumma Rabba hazihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, waba'ashu maqaman mahmudan-Al-lazi wa'adtah.


(Tarjumh: Eh mere Allah jo is sari pukar ka RABB hai, aur Qayam rahne wali namaz ka bhi RABB hai , Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Qayamat ke din waseela (sabse aala muqam) ata farma, aur Maqam e Mahmood par unko qaayam farma, jiska tuney un se wada kiya hai)

Sahih Bukhari, Vol 1, 614

-----------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص اذان سن کر یہ کہے اسے قیامت کے دن میری شفاعت ملے گی ۔


*اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،*

*آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ*


اے میرے اللہ جو اس ساری پکار کا رب ہے اورقائم رہنے و الی نماز کا بھی رب ہے، محمد صلی اللہ علیہ وسلم کو قیامت کے دن وسیلہ نصیب فرمانا اور بڑے مرتبہ اورمقام محمود پر ان کا قیام فرمائیو، جس کا تونے ان سے وعدہ کیاہواہے۔ اسے قیامت کے دن میری شفاعت ملے گی ۔

-----------

★ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी-अल्लाहू-अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की जो शख्स अज़ान सुनकर ये कहे उसे क़यामत के दिन मेरी शफात मिलेगी


*اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،*

*آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ*

Saturday 20 January 2024

Inadat kise kahte hai?

 #Ibadat Kise Kehte Hain ? Iski Kya Paribhasha Hai ?


Jawab:


Ibadat Ke Maana Bandagi Aur Taa’At Ke Hain.

Ibadat Sirf Kalima, Namaz, Roza, Hajj Aur Zakaat Ka Naam Nahi.

Balke Har Wo Khair Ka Kaam Aur Mubaah Amal Bhi Ibadat Mein Dakhil Hai Jo Khalis Allah Ta’ala Ke Liye Kiya Jaaye Aur Shariat Ke Mutabiq Kiya Jaayein.

Lehaza Sunnat Par Amal Karna Bhi Ibadat Hai.

Jaise Khana Peena Uthna Baithna Walidain Ki Khidmat Aur Tijarat Wagaira Karna Bhi Ibadat Ban Sakta Hai.

Jab Ke Sunnat O Shariat Ke Mutabiq Kiya Jaayein.

Isi Tarah Durood Shareef, Zikr Wagaira Bhi Ibadat Hai.


○●●●●●●●●●●●●○

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah

Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi

Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

○●●●●●●●●●●●●○

Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...