Thursday 28 December 2023

Baag E Fidaq बागे फिदक का मसला

 बागे फिदक के मसले पर #अशरफ_आसिफ़_जलाली साहब किब्ला ने राफ्जीयो से दौराने बहस  हज़रते फातिमा ज़हरा रदीअल्लाहु ताअला अंन्हा के तरफ़ खता ए इज़तेहादी  का जिक्र किया तो  , आज सभी तफजीली मवाली  राफ्जीयो के टुकड़े खाने वाले,  उन्हें गुस्ताखे अहेले कहकर गालियाँ देते हैं,,  और यही  बागे फिदक के मसले पर #ताहिरूल पादरी अपने किताब में हज़रते फातिमा ज़हरा रदीअल्लाहु ताअला अंन्हा को #गलतफहमी  होने की बात तीन तीन जगह लिखा है  जबकि गलतफहमी ऐब है उससे गुनाह सादिर होता है  और #खता_ए_इज्तेहादी  पर एक नेकी मिलती है  ,  मगर ये तफजीली मवालियों राफ्जीयो के टूकड़े खाने वाले  हनीफ मवेशी जैसे लोग और नाम निहाद सय्यद  आज तक ताहिरूल पादरी की रद्द नहीं किया ना उसे गुस्ताखे अहेले बैत कहते हैं  ,  और ऐसे ही मक्कार लोग ताहिरूल पादरी की हिमायत भी करते हैं,,

Scan:




Saturday 16 December 2023

Deobandio tabligi jamat ke najdi kawwa khana jayaj

 POST :1


Deobandiyo Ki Kitaab

Kitab : Fatawa Qasimya

Safa 121

Sawal : kaunsa kawwa khana halal hai ??

Jawab : Woh kawwa jo Daana khata hai lekin kabhi kabhi gandagi b khata hai woh kawwa halal hai.

Deoband ki nikal padi , ab kaala kawwa b jayaz hogaya inke nazdeek.

#radde_deoband
#kawwa_khana_jayaj tabgio ke najdik.



Thursday 14 December 2023

Hanfi Namaz | Naaf Ke Niche Hath Bandhana|

 POST:1


*NAMAZ ME HAATH KAHAA BANDHE JAYE* 



HADIS

IMAM TIRMIZI REHMTULLAH ALAIH FARMATE HAI IS PAR AMAL HAI SAHABA KA TABAEEN KA AUR UNKE BAD KE AHLE ILM KA KE DAYA HAATH BAYE HAATH PAR RAKHAA JAYE BAZ AHLE ILM KEHTE HAI KE HAATH KO NAAF KE UPAR RAKHAA JAYE *BAZ KEHTE HAI NAAF KE NEECHE BAANDHE*

{JAMA E TIRMIZIJ,ILD NO:1,PAGE NO.182}


Scan:




POST:2


*Naaf Ke Neechay Haath Baandhne Ki Hadees Saheeh Hai*


Hazrat Ali (raziallahu anhu) ne farmaaya: “Be-shakk.! Farz Namaaz ki SUNNAT me se (Ye bhi) hai ke *Haath ko Haath per Naaf Ke Neechay rakha Jaaye."*” 


Ahaadees Al-Mukhtaarah, Raqam# 772


Scan:




Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees Ka Usool:


Firqa Ahl-e-Hadees ke mutaabiq Ziya’ Al-Maqdasi (rahimahullah) ka kisi hadees ki Takhreej karna Un ke nazdeek Tasheeh ki daleel hai.


Chunanchah Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: “Ziya’ Al-Maqdasi (rahimahullah) ne Ye Asar Apni AL-MUKHTAARAH me laa kar Apne Nazdeek Is ka SAHEEH hona saabit kar diya hai.”


 [Te’daad Raka’t Qiyaam-e-Ramazan, Page: 23]


Scan:




Pas Hamaari Peish kardah Hadees Ziya’ Maqdasi (rahimahullah) ke nazdeek Sahih hai.


Isi tarah Haafiz Ibne Qayyim likhte hain:

“Hazrat Ali (raziallahu anhu) se marwi hai ke *Hatheiliyo’n par Hatheliyon ko Naaf ke Neeche rakhna SUNNAT* *hai Amr bin Malik* *ne ba-rivayat Abul Jauza Hazrat Ibne Abbas* *raziallahu anhu se* *Hazrat Ali (raziallahu anhu) ki Tafseer ki* *maanind (Seene Per Haath bandhne ki) rivaayat ki hai magar Ye SAHEEH NAHI hai* *SAHEEH Hazrat Ali* *raziallahu anhu ki Hadees hai*


[Al-Badaa’i Al-Fawaa’id]

Scan:





Ghair-Muqallideen ke Usool se bhi humne is Hadees ko Saheeh saabit kar diya hai aur Sareeh Alfaaz me Ibne Qayyim ke Qoul se is hadees ko Sahih saabit kar diya hai. (Alhamdulillah)

Tuesday 12 December 2023

#नकली_बाल (मसनुई बाल ) लगाना कैसा? Nakli baal lagana kaisa?

 #नकली_बाल (मसनुई बाल ) लगाना कैसा? 



#नकली_बाल (मसनुई बाल )

यानी आर्टीफिशियल जुङा ,या बालो कि चोटी या
गंजे मर्द जो लगाते है उसका नाम याद नही आ रहा है

ये तमाम मसनुई बाल लगाना और लगवाना हराम है
अल्लाह के रसूल सल्लल्लाहु अलैह व सल्लम कि इस बारे मे कसरत से हदीस मौजुद है जो इसकी हुरमत साबित करती है और उस पर लानत फरमाई है हदीस देखे 👇👇
 
यानी सनद के बाद - हुजुर नबी ए करीम सल्लल्लाहु अलैह व सल्लम ने मसनुई बाल जोङने वाली और जुङवाने वाली गोदने वाली और गुदवाने वाली पर लानत भेजी है

( सही बुखारी हदीस नम्बर 5940)


Monday 13 November 2023

Qabar Par Phul Dalna Tablig Jamaat Ke Najdik.

 POST:1


Ye Qabr Hai Pakistan Ke Tableeghi Jamat Ke Ameer Haji Abdul Wahab Ki


Wahabi Deobandi Dharam Me Qabr Par Takhti (Name Plate) Lagana Phool Dalna Fatiha Padhna Hazri Dena Sab Na-jayez Ho Haram Hai, Lekin Qabr Agar inke Molvi Mulla Ki Ho To Sab Jayez Hai....


itni Dogla Panti Late Kaha'n Se Ho Be. 😕


*S_J_A_TEAM_MUMBAI*




Friday 27 October 2023

15 shaban | shaaban | Shabe Barat | shab e baraat

DALIL HADEES SHAREEF SE:



POST:1


15vi Shaban [Shabe Baraat] Ki Raat Iba'dat Karna Aur Subha Roza Rakhna.

Hazrat Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain

"Jab Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Qayaam [Iba'dat] Karo Aur Din Me Roza Rakh'kho Beshaq ALLAH ﷻ Ghurob e Aftab Se Aasman e Duniya Par Khaas Tajalli Farmata Hai Aur Kehta Hai , Hai Koi Mujhse Magh'firat Talab Karne Wala Ki Usay Bakh'sh Doon.Hai Koi Rozi Talab Karne Wala Ki Usay Rozi Doon.Hai Koi Musibat Jada Ki Usay Aafiyat Rahat Ata Karon.Hai Koi Aisa ! Hai Koi Aisa.?Aur Ye Us Waqt Tak Farmata Hai Jab Tak Fazr Tuloh Na Ho Jaye."

{Sunan Ibn Majah,Vol :2,Hadees :1388}


हिंदी में:

हज़रत अली रदीअल्लाहु अन्हु फरमाते है "जब शाबान कि रात आये तो उसमे क़याम (ईबादत) करो, और दिन में रोज़ा रखो बेशख अल्लाह ﷻ गुरूब ए आफ्ताब से आसमान ए दुनिया पर खास तजल्ली फरमाता है और कहता है, है कोई मुझसे मग्फिरत तलब करने वाला कि उसे बक्श दुं, है कोई रोज़ी तलब करने वाला कि उसे रोज़ी दुं, है कोई मुसिबत जदा कि उसे आफियत राहत अता करुं, है कोई ऐसा! और ये उस वक्त तक फरमाता है जब तक फज़र तुलू न हो जाये। 

{Sunan Ibn Majah,Vol :2,Hadees :1388}


📑Scan Page👇🏻








POST:2


Hadees Shareef:

Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?

Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen ﷻ Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon. 

{Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2358}

📑Scan👇🏻




हिंदी पोस्ट:


*❤शाबान में रोजा रखना और ईबादत करना कैसा❤*

कुछ लोग शाबान मे 15 वी रात को ईबादत क्यो करते रोजा क्यो रहते इसपर ऐतराज करते है। पहली तो बात यह ईबादत फर्ज नही है मुस्तहब है। इसकि दलिल हदीस में मौजूद है👇

_“हज़रत उसामा बिन जैद रदीअल्लाहु अन्हु फरमाते है मैने अर्ज़ कि या रसूलुल्लाह मै देखता हुं जिस तरह आप शाबान में रोज़ा रखते है इस तरह किसी भी महीने में नही रखते? फरमाया रज्जब और रमज़ान के दरमियाँ मे महीना है लोग इस्से गाफिल है, इसमें लोगो के आमाल अल्लाह रब्बुल आलमिन कि तरफ उठाये जाते है और मुझे ये महबूब है के मेरे आमाल इस हाल में उठाये जाये कि मै रोजादार हुं।"_

{Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2358}




POST:3


(Sahi Hadis)

Hazrat Muaz Bin Jabal رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Nabi e Akram ﷺ Ka Ye Farman Naqal Karte Hai...

Nisf Shaban Ki Raat Allah عزوجل Apni Makhluk Ki Taraf Mutwajah Hota Hai Aur Shirq Karne Wale Aur Qatah Talluki Karnewale Ke Alawa Saari Makhluk Ki Mangfirat Kardeta Hai.


(Saheeh Ibn Hibban, Vol 6, Page 592, Hadis 5665)


Note:-Mohaddis Farmate Hai Ye Hadis Sahi Hai Iske Raavi Siqa Hai..


Scan:👇






POST:4


15 Shabaan Rat Me Ibadat Aur Din Me Roza Rakhna

Hadees:

“Hazrat Aliyul Murtazaa Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai *Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho* Beshak ALLAH Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Duniya Par Khas Tajalli Farmaataa Hai Aur Kehtaa Hai  Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Wala Ki Use Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Wala Ki Use Rozi Doon Hai koi Musibat Jadaa Ki Use Aafiyat Ataa Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmaataa Hai ki Fazr Tuloo Hojaye”

 {Sunan Ibn Majah : Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388}


 *Hazrat Ali Radiallahu Anhu*

*Ki Ahaadees Ko Mukhtalif Hadees Ki Kitabo Se Jamaa Kiya Phir Aakhir Me Apnaa Faislaa Sunaya Ke*


*To Yeh Ahaadees Majmooi Taur Par* *HUJJAT Hai, Unlogo Ke*

*KHILAAF Jo Ye Dawa Karte Hain Ke Koi Baat 15 Shabaan Ki Fazeelat Me Saabit Nahi, Wallahu Ta’ala Alam*

{Tohfatul Ahwazi}


*SCAN PAGE👇🏻*





 POST :5


11 wi Sharif or Shah Abdul Aziz Muhadis Dahelvi 

jo Hazrat Shah Waliullah K bete Bhi Hai Aur Wahabiyo k Aaka Aur Maula Shah Ismail Dahelvi k Chacha bhi 

Farmate Hai ki Hazrat Gaus Aazam رضی اللہ عنہ k Rauz E Mubarak Par 11wi Tareekh Ko Badhshah Wagaira Shaher k Aqabeerin Jama Hote Namaz  E Asr K Baad Magrib Tak Kalamullah k baad Sazzada Nasheen Darmiyan Me Tashrif Farma Hote Aur Unke Ird Gird Mureedin or Halka bagosh Baith Kar Jikr Jehar Karte Isi Halaat me baaj Par Wazdani Kaifiyat Taari Hojati Uske bad Tamam Shirni Jo Niyaz tayyar Ki Hoti Taksim Ki jaati Aur fatiha se faragt hokr Namaz E Isha padhke Log Rukhsat Hote”

or farmate hai  shaaban ki 15wi raat ko magrib ke waqt se subah Sadiq Tak asmane duniya PR Allah taala ki rahmat ka nuzool or tajalliyate ilahi ka wird hota rahta hai agar admi se ho sake to tamam raat warna nisf (adhi) rat Tak jarur jaage. 

or farmate hai ke ambeya or auliya ki Rooh or ahle bait ke arwaah se tawassul paida karna hai ye arwaahe alameen nehayat kawi taseer krti hai or kuwat ka istefaadah hamesha ke liye lazim hota hai jaisa ke alam me dekha jata hai haiwanat or jamadat ki tashkheer bhi isi se krte hai is istemdad me Pak Roohen hoti hai un or fatiha padhi jati hai unko sawab bakhsha jata hai ye sawab bakhsna or fatiha padhna akhir sab (raat) me hua to umdah hai kabhi ye istefadah Zinda admi se bhi hota hai or farmaya ke mujhko jin jin rooho se faizan hota hai wo 5 arwahe mubaraka hai 

1 Rasool allah ﷺ ki Rooh mubarak

2 hazrate Ali رضی اللہ عنہ ki 

3 hazrate gaushe azam رضی اللہ عنہ ki 

4 hazrate bahauddin naqsbandi رحۃاللہ ki

5  hazrate moinuddin chisti رحۃاللہ ki rooh Mubarak

or farmate hai 

shaaban ki 15wi raat ko magrib ke waqt se subah Sadiq Tak asmane duniya PR Allah taala ki rahmat ka nuzool or tajalliyate ilahi ka wird hota rahta hai agar admi se ho sake to tamam raat  warna nisf (adhi) rat Tak jarur jaage

isi kitab me ek jagah farmate hai 

ba tarkibe ursh molvi Abdul Qadir  sahab ke ursh e sarayi yani fatiha wagairah hua krti thi  apne Walid mazid or dada sahab ke qabro pr ۔ me meri buzurg or khandan or peer bhi hote the


hawala 

{malfujate Shah Abdul Aziz muhaddis safa Farsi 62,Urdu safa 57/65/87}

matlab Shah Abdul Aziz sahab ursh fatiha 11wi quran khowani in sab ke qayl the 









DALIL AHLE HADEESO KE GHAR SE. 


POST:1


*Shabe Barat Ki Raat Ko inadat Karna Jayaj Hai Ahle Hadees Ke  Ulma Ka fatwa*


Victorian  Ahle Hadees Molvi Ka Fatwa:- Shab e Barat ki Raat Ibadat karna Biddat nhi Sawab hai..

{Fatwa Sanaiya, Pg No.656}

Scan:



POST:2


KON KEHTA HAI KE HUM AHLE HADEES SHAB E BARAAT KE QAAYIL NAHI HAI ? 

Hamare Ahl-e-Hadeeso ke Muhaddis Shams ul Haq Azeembadi Farmaate hai ke Baaqi Raha Nisf e Shabaan ki shab ko Quraan e Shareef Tilaawat, Dua e Maasura, Azkaar e Saheeha Padhna, Nafil Namaz Awwal Shab ko Beghair Jamaat……aur Allah tala se Maghfirat Chahna, Rehmat ki Khuwaastagaar [Request] Karna aur Apne Liye Duaaye Maagna aur Dua me Girya-wazaari Karna bhi Biddat Nahi hai, Balke MAUJOOB E AJAR WA SAWAAB E AZEEM hai.

{Fataawa Maulana Shamshul Haq Azeembadi : Safa 181}





POST:3


Firka Ahle Hadees Ke Aalim Ubaidullah Mubaarakpuri Saahab Mishkaat Ki Sharah Me 15vi Shabaan Ki Fazilat Ke Silsiley Se Warid Ahadees Ka Zikr Karne Ke Baad Likhte Hain :

“Yeh Saari Hadeese Shaabaan Ki Darmiyaani Shab Ki Azmat Aur Uski Shaan-E-Jalaalat Par Dalaalat Karti Hai Aur Uspar Bhi Ke Yeh Raat DEEGAR AUR RAATO KI TARHAA NAHI Hai. Lihaaja Is se Gaflat Baratnaa Munaasib Nahi, Balke Ibaadat Aur Dua Aur Zikr Aur Fikr Ke Zariye Isme Jaagna MUSTAHAB Hai.”

{Miraat Sharah Mishkaat, Jild: 4, Safah: 341,342}

SCAN PAGE :





POST:4


Firka Ahle Hadees Ke Muhaddis Shamsul Haq Azeemabadi Farmaate Hai 

“Baaqi Raha Nisf-E-Shaabaan Ki Shab Ko Quraan-E-Shareef Tilaawat, Dua-E-Maasooraa, Azkaar-E-Saheeha Padhna, Nafil Namaaz Awwal Shab ko Beghair Jamaat…… Aur Allah Ta’alla Se Magfirat Chahna, Rehmat Ki Khuwaastagaar Karna aur Apne Liye Duaaye Maagnaa aur Dua me Girya-Wazaari Karnaa Bhi Biddat Nahi Hai, Balke MAUJOOB-E-AJAR WA SAWAAB-E-AZEEM Hai.

{Fataawa Maulana Shamshul Haq Azeembadi, Safah: 181}

SCAN PAGE






POST :5


Firka Ahle Hadees Ke Muhaqiq Ul-Asar Maulana Abdul Qaadir Hasaari Saahab Apni Kitaab Me 15 Shaaban Ke Fazeelat Ke Muttaliq Behas Karte Huye Farmatey Hain:

“Shabaan Ki 15vi Raat Ki Fazilat Ke Mutalliq Muta’adid Ahadees Aayi Hain. In Sab Ka Majmua Is Baat Par Dalaalat Karta Hai Ke Uski Koi Asal Hai.”

Aur Aghe Kehte Hai Ke:

15vi Shabaan Ki Raat Ki Fazilat Qiyaam Karne Ke Liye Musallam (Saabit) Hai. Mazeed Likhte Hain Ke Passh Yeh Maslaah Saabit Hogaya Ke*

*Shaabaan Ki 15vi Shab Ko Qiyaam Karnaa Aur Din Ko Roza Rakhnaa Mashroo (Shariyat Se Saabit Hai. 

{Fataawa Hasaariya, Jild: 5, Safah: 118}

SCAN PAGE :





POST:6


 
Ibn E Taimiya Apna Aqida Bayan Karte Huye Apne Fatwe Mai Likhta Hai:-

ومما نعتقد ان الله ينزل كل ليلة الى شماء الدنيا فى ثلث الاخير فيبسط يديه و يقول هل من ساعل الحديث وليلة النصف من شعبان و عشية عرفةوذكر الحديث 

"Hamare Aqaid Mai Se Hai Ke Be Shak ALLAH TALA Har Raat Ke Aakhri Tesre Pahr Mai Aasman E Dunia Par Nuzool Farmata Hai Aur Daste Karam Faila Kar Irshad Farmata Hai Ke Hai Koi Sawal Karne Wala Alhadees Aur Nisf Sabaan Ki Shab(Shab E Bara'at) Aur No(9)Zilhijj Ki Raat Aur Fhir Mukammal Hadees Bayan Ki.

{Al Aqida Tul Hamiya Ibn E Taimiya Safa.55}

{Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.5 Safa.77}

Fir Ibn E Taimiya Se Sab E Bara'at Ki Namaz Ke Bare Mai Pucha Gaya Uske Jawab Mai Likhta Hai:-

إذا صلَّى الإنسان ليلة النصف وحده أو في جماعة خاصة كما كان يفعل طوائف من المسلمين فهو : حَسَنْ ، وأما الاجتماع في المسجد على صلاة مقدرة كالاجتماع على مائه ركعة ، بقراءة ألف ((قل هو الله أحد)) دائماً، فهذه بدعة ،لم يستحبها أحد مِن الأئمة ، والله أعلم

Nisf Saban Ki Namaz Ke Bare Mai Poocha Gaya....*

↕Jawab:- 

Jab Koi Shaksh Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara'at) Mai Tanha Nafil Padhe Ya Makhsoos Jamat Mai Padhe Jaisa Ke Aslaf Ke Giroh Padhte Rahe Hai To Ye Amal Accha Hai Aur Ja'nha Tak Kisi Masjid Mai Muqarrah Namaz Ki Baat Jaisa Ke So(100) Rakat Par Ek Hazar(1000) Martabaقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
ٌPar Hamesha Ijtema Karna Hai To Bidat Hai Jis Ko Aimma E Kiram Mai Se Kisi Ne Pasand Nahi Kiya.
WALLAHU AALAM.

{Al-Fatwa Kubra Ibn E Taimiya Jild.2 Safa.262}

{Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.23 Safa.131}

Fir Ibn E Taimiya Apni Doosri Fatawa Al Kubra Mai Aslaf Ka Amal Wa Shab-E-Bara'at Ki Fazilat Ke Bare Mai Likhta Hai:-*

وأما ليلة النصف من شعبان ففيها فضل وكان ( في )السلف من يصلي فيها

Jaha Tak Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara'at) Ki Baat Hai Is Mai Bahut Fazilat Hai Aslaf Shab E Bara'at Mai Namaz Padhte Rahe Hai....

{Al Fatwa Kubra Ibn E Taimiya Jild.5 Safa.342}

{Ikhtiyarat E Al Ilmiya Safa.42 Makhtoota Matbooa Kurdistan Misr 1329Hijri}

Ibn E Taimiya Apni Ek Or Kitab Iqtida Sirat Al Mustaqeem Mai Shab E Bara'at Ke Mutallik Tafseeli Bayan Likhta Hai:-*

هذا الباب ليلة النصف من شعبان فقد روى في فضلها من الأحاديث المرفوعة والآثار ما يقتضي أنها ليلة مفضلة وأن من السلف من كان يخصها بالصلاة فيها وصوم شهر شعبان قد جاءت فيه أحاديث صحيحة ومن العلماء من السلف من أهل المدينة وغيرهم من الخلف من أنكر فضلها وطعن في الأحاديث الواردة فيها كحديث إن الله يغفر فيها لأكثر من عدد شعر غنم بني كلب وقال لا فرق بينها وبين غيرها 
لكن الذي عليه كثير من أهل العلم أو أكثرهم من أصحابنا وغيرهم على تفضيلها وعليه يدل نص أحمد لتعدد الأحاديث الواردة فيها وما يصدق ذلك من الآثار السلفية وقد روى بعض فضائلها في المسانيد والسنن وإن كان قد وضع فيها أشياء أخر

"Ye Baab Shaban Ki Nisf Raat Ka,
Shab E Bara'at Ki Fazilat Mai Bahuat Si Marfoo Ahadees Aur Aasaar E Sahaba Bhi Is Baat Ka Taqaza Karte Hai Ke Yaqinan Fazilat Wali Raat Hai Is Raat Ko Jis Ne Bhi Nawafil Aur Mahe Sabaan Ko Roze Ke Sath Khas Kiya To Us Mai Sahih Ahadees Warid Hai Amsar Mai Kuch Logo Ne Aur Un Ke Alawa Khalf Mai Se Bhi Kuch Ne Is Ki Fazilat Ka Inkar Kiya Hai Aur Warid Ki Gai Ahadees Mislan Beshak ALLAH TALA Is Raat Mai Qabila Bani Kalb Ki Bakriyon Ke Balo Se Jyada Logo Ki Magfirat Farma Deta Hai Kaha Hai In Mai Koi Bhi Farq Nahi Hai Lekin Bahut Se Ahle Ilm Ya Hamare Ashab Mai Se Bahut Se Ahle Ilm Is Raat Ki Fazilat Ke Qail Hai Jo Ke Tasdeeq Karti Hai Salaf Ke Asaar Ki Aur Shab Bara'at Ki Fazilat Mai Ahadees Masaneed Aur Sunan Kitabo Mai Mauzood Hai Agar Che Un Mai Kuch Digar Bayanat Bhi Shamil Kar Diye Gaye Hai...

{Iqtida Sirat Al Mustaqeem Safa.631}

Isse Milti Julti Ibarat Apne Fatawe Mai Naqal Ki,

{Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.23 Safa.132}

Scan page 👇🏻👇🏻






POST:7


Albani Wahabi

Jitni Bhi Hadees Riwayat 15vi Shaban Ke Talluk Se Aayi Hai Aur Riwayat Ki Gayi Hai Wo Sab Hadees Sahih Hai Aur Unke Raawi Bhi Sahih Hai. 

{Silsilat Sahiha,Vol -3, Page 138-139}


Scan:



Friday 13 October 2023

Shirk E Akbar Shirk E Azgar

 Huzoor ﷺ Ko Sirf Sahaba E kiram Rizwanullahim Azmayeen Ki Nahi Balki Ummat E Muslimah Kay Shirk E Akbar Me Mubtela Hone Ka Khauf Naa Tha

 Balke Shirk e Ashgar (Riya Kari) Mein Ummat e Mohammadiya Mubtela Hogi


Shirk E Asgar jo Riyakari hai us se bande Ka Amal Jaaya Hojata Hai lekin is se banda Islam Se Kharij Nahi hota Hai 

Ye Hamesha Yaad Rakhe bahot Bunyadi baatein Hai 


HADEES 1️⃣


Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya woh apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho

Unhone kaha Ubada suno 

Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu, 

Mene puchha woh hadees konsi hai 

Kaha, 

"Mein sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the, 

Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN  ghamgheen kyu hain ? 


To Aaqa ﷺ ne farmaya 

'Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai,  (Is wajah se ghamgheen hu )'

Meine Arz ki kis cheez ka khatra ?


SHIRK aur KHUFIYA SHAHWAT ka Khauf hai.

Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi ? 


Sarkaar ﷺ ne irshad farmaya, 

Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI. 

(Aye shaddad mene jise shirk kaha woh riyakari /dikhawe ke aamaal hain )

Mene arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke aamaal bhi shirk hai 

Farmaya, haan." 


References :


(Hakim  Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010)   


(Sunan Ibn Majah,Kitab Uz Zuhad, Hadees : 4204)


(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , Hadees : 17250)


(Imam Bayhaki Shoebul Imaan Vol : 5, pg :333, Hadees : 6830) 


(Hilyatul Aulia Vol 1 pg 466 Hadees : 899)


Scan Page 


HADEES 2️⃣


Hazrat Abu Saeed Khudri رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ se rivayat hai Farmate hai 

“Hum Log Dajjal k Muttalik Guftgu kar Rahe The Nabi E Karim ﷺ Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?

Humne Kaha Haan Rasool Allah ﷺ 

Farmaya CHHUPA SHIRK (Hidden Shirk), Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”


References :


(Sunan Ibn Majah, Pg : 698, kitab Uz Zuhd, Baab 21 : Hadees : 4204)


(Mishkal Al Masabih, Kitabur Riqak, Pg : 1466, Hadees : 5333)


Scan Page 


Is Se Maloom Huwa Kay Dikhawe ka amal Usko Shirk E Khafi Kaha gaya hai. 

Shahwat e khafiya aur Shirk E Khafi Pe ek aur hadees e paak mulahiza karen. 


HADEES 3️⃣


Hazrat Ubada bin Nusayi رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate Hai Mai Hazrat Sayyidna Shaddad bin Aws رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Unhe Rota Paa Kar Sabab E Girya Daryaft Kiya To Unhone Farmaya Mujhe Us Hadees Ne Rula Diya Jo Maine Huzoor Rehmat E Aalameen ﷺ Se Suni Thi Ki Aap Ne Irshad Farmaya Mujhe Apni Ummat Par Shirk Aur Khufya Shahwat Ka Khauf hai.

Khufya Shahwat Ye Hai Ki Aadmi Subah Roze Ki Halaat Me Karega Lekin Jab Nafs Ko Marghoob Chiz Uske Saamne Aaygi To WO Us Me Pad Jayga Aur Roza Chod Dega.

Aur Shirk (khafi) Ye Hai Ki Log Ne Patthar Ko Pujenge Na Butho Ko Lekin Dikhlawe Kay Liye Amal Karenge.


References : 


(Imam Abu Nuaym Ahmad Isfahani Hilyatul Awliya Wa Tabqatul Asfiya Vol : 01, Pg : 477, Hadees : 900) 


(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 341-42, Hadees : 7145)


Scan Page 


HADEES 4️⃣


وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ 

‎أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ

Hazrat Mahmud Bin Labid Se Rivayat Hai Rasulullah Ne Farmaya Jis Cheez Ka Mujhe Tum par sabse zyada Khauf hai Wo hai SHIRK E ASGAR jo dikhawe ka amal hai. 


References : 


(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulug Al Maram Pg : 544, Hadees : 1484)


(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 09, Pg : 154, Hadees : 6412)


Scan Page











Tuesday 10 October 2023

Ijma | ummat jama hogi

 Rasoolullah ﷺ  Ne  Farmaya Allah Tala Tumhe 3 Chizo Se Bacha Liya  Hai,


1-Tumhara Nabi Tumhare Liye Aisi Kabhi Badua Nahi Karege Jis Se Tum Sab Halak Ho Jaoge .


2- Ahle Baatil Ahle Haqq Par Kabhi Galib Nahii Honga 


3- Tum Kabhi Bhi Gumrahii Par Jama Nahi Hoge.

Reference Book 👇


{Abu Dawood Hadees No 4253}

{Jame Ul Usool 2760.}





Monday 18 September 2023

Achhi Bidat

 POST:1


Kya Jo Kam Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Na Kiya Wo Najais Hai. 


Hazrat Imam Ibn e *Hajar Asqalani* رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 852 Hijri *Bid'at* Ki Definition Karte Hue Likhte Hain...✒


Kisi Kaam Ke Jais Hone Ke Liye Itna Hi Kafi Hai Ki Wo Kam Jais Hai Bhale Hi Wo Kam Nabi e Kareem ﷺ Aur Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Na Kiya Ho Aur Kisi Kam Ke Najais Hone Ki Ye Daleel Nahi Hoti Ki Wo Kam Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Nahi Kiya Balke Najais Jab Hoga Jab Uski Mumaniyat Sabit Ho.

Note: Lijiye Sara Masla Clear Ho Gaya. Ki Jo Accha Jais Nek Kaam Hai Wo Bhale Hi Majmuee Taur Par Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Ne Na Kiya Ho Lekin Wo Kam Na'jais Nahi Hoga Jab Tak Us Kam Ke Najais Hone Ki Daleel Na Mile.

Reference Book:

{Fathul Bari fi Sharah Sahih al Bukhari,Vol:10,Page:164 }[Printed by Prince Sultan Bin Abdul Aziz Al Saud]


Scan:



POST :2


Namaz e Chasht Padha Bid'at hai. 

Deen me acchi bidat b hoti hai 

Sahabi e Rasool ka farman ke Chasht ki namaz padhna bid'at h or bahut acchi bid'at hai. 👇🏻

“Hazrat Eiraj Se Riwayat Hai Wo Farmate Hain Main Ne Hazrat ibne Omer Se Namaz e Chasht Ke Baare Mein Pocha Jab Wo Nabi Karim Ke Hujra Sharif Ke Sath Apni Posht Lagaye Baithe Thy ,Hazrat ibne Omer Ne Farmaya Bidat Hai Aur Bahut Achi Bidat Hai..

{Musannaf ibne abi shaiba,age no:254}


Is Riwyat Ne Tamam Najdio Wahabion ka Moon Kala Kar Ke Rakh Diya Hai Hazrat Abdullah ibne Omer Ne Bidat Kaha Magar Achi Bidat Farmaya Pata Chala Ke Nabi Karim Ke Zamana Zahir Ke Baad Aagar Muslaman Koi Acha Kaam Shuro karte Hain Aur jis Kaam Se Koi Sunnat Ke Zaya nahi Hoti Tu Wo Kaam Jayaz Hai 

isi jayaz Kaam Ko Ahlesunnat Wa Jamat Mein Bidat e Hasna Kaha Jata Hai. 


Scan:




Monday 28 August 2023

Angrejo ke wafadar deoband | Angrej Aur Deoband

 POST :1


*Deoband Me Deobandio Ke Akabir Ki Angrez Ki Mehman Nawazi*


Deobandio Ka *Sheikh Saeed Khan* Deobandi Likhta Hai


*Suba Muttahida Ke British Governor Sahab Ko Phir Dubara Se Darul Uloom Maduh* (आमंत्रित) *Kiya Jaye Phir Se Unke Samne Apne Masail Ko Unke Samne Rakha Jaye Is Martaba Suba Muttahida Ke Governor Sir Sir James Muston Thay Wo 1st March 1915 Ko Darul Uloom Deoband Aaye Aur Yahan Ke Nizam Taleem Akabireen Ke Istagna Aur Mehman Nawazi Se Bahut Mutasir* (प्रभावित) *Hue*


Hawala Deobandi Book

*Qayam Darul Uloom Deoband*

Safa *35-&-36*

📔📄⬇️




Thursday 24 August 2023

Aalim Ki Taarif. | Aaleem Ki Taareef.

 Aalim ki tareef


Aalim Ki Tareef Ye Hai Ke Aqaid Se Pure Taur Par Aagah Ho Aur Mustaqil Ho Aur Apni Zaruriyat Ko Kitab Se Nikal Sake Bagair Kisi Ki Madad Ke...


{Malfuzat E Aala Hazrat رحمة الله عليه/Hissa:-01/Page No:-58}




Sunday 13 August 2023

Andh bhakt

 POST NO:1


अल नूर Beef एक्सपोर्ट्स के मालिक Sunil Sood हैं. इस कंपनी का दफ़्तर दिल्ली में है. लेकिन इसका बूचड़खाना उत्तर प्रदेश के शेरनगर गांव में 600 एकड़ के तीन  बूचड़खाने हैं। Ajay Sood इस कंपनी में पार्टनर हैं।यह 35 देशों को बीफ़ निर्यात करती है. यहां गोरक्षकों को जाना सख्त मना है Soni Sanni




Tuesday 25 July 2023

Ashura Ke Roze | Muharram Ke Roze |Ashua Ka Roza

ASHURA KE ROZE KI FAZILAT|MUHARRAM KE ROZE KI FAZILAT. 


Maahe Ramzan Ke Roze Ke Baad Sabse Zyada Sawab Muharram Ke Rozo Ka Bhi Hai. Is Post Me Muharram Ke Rozo Ki Fazilat Hadees Ke Hawalo Se Bayan Ki Gayi Hai. Muharram Ki 9vi Aur 10vi Tarikh Ke Roze Rakhne Ki Koshish Kare Aur Sawab E Daarain Hasil Kare.


Hadees 01:-

Hazrate Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Jab RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Madinah Al Munawwara Me Jalwa Afroz Hue To Yahudiyon Ko Dekha Ki Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Hai Logo Ne Un Se Poocha Ki Kyu Roza Rakhte Hai ?

To Unhone Kaha Ki:

“Yeh Wo Din Hai Jab ALLAH Ta’ala Ne Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba(Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hai, Iski Taazeem Ke Liye”

To RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:

“Hum Tum Se Zyada Dost Hai Aur Kareeb Hai Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ke, Phir AAP صلى الله عليه وسلم Ne Huqm Diya Iss (10 Muharram) KE Roze Ka”.


{Jamia Al Tirmizi – Hadees: 70, Book: 8, Hadees :59, Vol: 2, Book: 3, Hadees: 740}


{Sunan Ibn Majah – Jild:1, Book:7, Hadees: 1738. Book: 7, Hadees: 1810}


{Sahih Bukhari, Hadees: 3943, Book: 63, Hadees: 168. Vol: 58, Hadees: 279}



Hadees:02

Hazrat E Abu Hurairah رضي الله عنه Riwayat Farmate Hai Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم Irshaad Farmate Hai Tamaam Rozo Mei Afzal Ramzan Ke Baad Muharram Ke Roze Hai Aur Baad Namaz E Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai.

{Muslim Shareef - Jild: 3, Hadees: 2755}


Hadees:03

Hadees E Mubarak Ka Mafhoom Hai ke Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya: “Moharram Ke Har Din Ka Roza Ek Mahine Ke Barabar Hai.”

{Tabraani Fissageer – Jild: 2, Safa: 158}


HADES:04

Hadees E Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibn Abbas رضي الله عنه Farmate Hai “Maine Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ko Kisi Din Ke Roze Ka Aur Din Ki Fazilat De Kar Justuju Farmate Na Dekha Magar Yeh Ki Ashura Ka Din Aur Yeh Ki Ramzan Ka Mahina.

{Sahih Bukhari – Jild:1, Safa: 657, Hadees: 2006}











Friday 21 July 2023

Islamic Naye Saal Ki Mubaraq Baad Dena Kaisa?

 SAWAL:-

Islamic Naye Saal Ki Mubarak Baad Dena Kesa ?kuchh Log Kahte He Ki Isme Imamse Husain Radiallahu Anhu Ki Shahadat He To Gam Manana Chahiye Mubarak Baad Nahi Deni Chahiye. Is Ki Kya Asl He ?


JAWAB:-


Islamic Naya Saal Muharramul Haram Se Shuru'a Hota He, Or Ye Mahina Sog W Gam Manane Ka Nahi He. Balki Barkato Or Rahemato Ka Mahina He. Or Islami Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Agar Koi Sunni Dusre Sunni Ko Mubarak Baad Deta He To Ma'azAllah Imame Husain Ki Shahdat Par Nahi Balki Naye Mahine Ke Aamad Ki Khushi Me Deta He.


Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota He Ki Allah Ne Hame Zindagi Ka Ek Or Saal Bhi Dikha Diya He Jisme Hame Tauba Or Nek Amal Kamane Ki Mazeed Mauqa Mayassar Aa Sakta He. Is Liye Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Ek Musalman Par Dusre Musalman Ke Jo 6 Huquq He Unme Se Ek Ye He Ki Jab Use Khushi Pahunche To Use Mubarak Baad De.


Hazrat Abdullah Bin Hussham Radiallahu Allahu Anhu Ki Riwayat Jise Imam Tabrani Ne Al-awsat Me Darj Kiya Usme Vo Farmate He.


Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Pe Sahaba E Kiram Radiallahu Allahu Anhum Ek Dusre Ko Ye Duaa Sikhate The. Ay Allah Hame Is Mahine Me Aman, Eman Salamati, Or Islam Ke Satb Dakhil Farma. Shaytan Ke Hamlo De Bacha Or Rahman Ki Raza Mandi Ata Farma.

▪️(Al-Tibrani, Al-Awsat : 6241)


Or Jo Log Kahte He Ki Is Mahine Me Imam Husain Radiallahu Anhu Ko Yazeed Paleed Ne Zulmo Sitam Kiye Or Shaheed Kiya Is Liye Mubarak Baad Nahi Dena Chahiye. Vo Log Zara Ise Bhi Padhe.


Allah Rabbul Izzat Qurane Majeed Me Irshad Farmata He Ki,

Jo Khuda Ki Raah Me Maare Jae Unhe Murda Na Kaho Balki Vo Zinda He Haan Tumhe Khabar Nahi.

▪️(SURA E BAQAR, AAYAT-154)


Or Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Hargiz Unhe Murda Na Khayal Karna Balki Vo Apne Rab Ke Paas Zinda He Rozi Pate He.

▪️(SURA E AALE IMRAN, AAYAT-169)


Is Aayat Se Awwal Tou Ye Hi Sabit Ho Gaya Ki Jo Shaheed Huwe Woh Isi Tarah ALLAH Ke Yaha Zinda Hai, Bas Is Duniya Wale Ko Iska Sha'ur Nahi. Aur Hadees Me Tou Hai Ki Kisi Ki Maut Par 3 Din Se Zyada Gham Na Kare, Agar Shaheedo Ki Maut Ko Maut Samaj Kar Gham Bhi Kiya Jaye Tou Woh Bhi Is Duar Me Mumkin Nahi, Kyunki Hadees Me Gham Ke Din Sirf 3 Bataye Gaye Hai, Jab Shohda E Karbala Ko Aaj 1300 Se Zyada Ho Gaye. Fakhr Is Baat Par Karna Chahiye Ki Jin Yazeedio Ne Us Daur Me Islam Ki Roshni Ko Bujana Chaha Use Us Jannat Ke Nau-jawano Ke Sardar Hazrate Hussain Radiyallahu Anhu Ne Apne Khoon Se Us Chirag Ko Jalaya Aur Islam Ki Roshni Bakhshi Jinki Badolat Aaj Hum Tak Aasani Se Islam Pahucha Hai.


Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Irshad Farmate He Ki Shaheed Ko Qatl Ki Bas Itni Hi Taklif Hoti He Jitni Chinti Ke Katne Se Hoti He Warna Maut Ki Taklif Ke Bare Me Riwayat He Ki Kisi Ko Agar 1000 Talwar Ke Zakhm Diye Jaaye To Iaki Taklif Maut Ki Taklif Se Kahi Zyada Halki Hogi Or Allah Ke Yaha Use 6 Inamat Diye Jate He.

▪️(SHARAHUSSUDOOR, SAFA-31)


Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Ns 3 Din Se Zyada Shog Manane Se Mana Farmaya He.

▪️(BUKHARI SHAREEF, J-2, S-804)

▪️(MISHKAAT SHAREEF, J-1, S-486)


Aaiye Dekhte He Muharram Ki 10 Tarikh Ko Kya Kya Huaa.


1. Hazrat Sayyadna Aadam Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi.


2. Hazrat Sayyadna Yunus Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi Aur Aap Machhli Ke Peit Se Baahar Aaye.


3. Hazrat Sayyadna Nooh Alaihissalam Ki Kashti Joodi Pahaad Par Thahri,us Din Shukrane Ke Taur Par Aapne Roza Rakha Aur Tamam Ko Roza Rakhwaya.


4. Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Paida Hue.


5. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Paida Hue.


6. Hazrat Sayyadna Eesa Alaihissalam Paida Hue.


7. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Qaid Se Baahar Aaye.


8. Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Par Aag Gulzar Huyi.


9. Hazrat Sayyadna Ayyub Alaihissalam Ne Shifa Paayi.


10. Hazrat Sayyadna Yaqoob Alaihissalam Ki Aankhon Ki Raushni Wapas Aayi.


11. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Kunwe Se Baahar Nikle


12. Hazrat Sayyadna Suleman Alaihissalam Ko Baadshahat Mili.


13. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Jaadugaro Par Gaalib Aaye


14. Hazrat Sayyadna Idrees Alaihissalam Jannat Me Pahunche.


15. Firaun Ka Lashkar Gark Hua.


16. Pahli Baar Baarish Huyi.


17. Aasman Kursi Kalam Pahaad Samandar Sab Isi Din Paida Hue


18. Isi Din Ashaabe Kahaf Karwatein Badalte Hain


19. Qayamat Isi Din Aayegi.


20. Aur Sayyadna Imaam Husain Raziyallahu Taala Anhu Ki Shahadat Huyi.


▪️Jaame Sageer,jild 5,safah 34/226

▪️Ajaybul Makhtuqat,safah 44

▪️Guniyatut Talebeen,jild 2,safah 53

▪️Nuzhatul Majalis,jild 1,safah 145


 Isliye Yahi Mahina Islami Naye Saal Ka Pahla Mahina Qaraar Paaya,ab Sochiye Ki Jis Din Jis Mahine Kitne Hi Azeem Kaam Murattab Hue Agar Us Mahine Yaani Islami Naye Saal Ki Koi Mubarak Baad Pesh Kare To Kya Harj He ?

Share bhi kar de

Tuesday 18 July 2023

Hazrat Umar farooque RadiALLAHU Anhu|Umar ibn al-Khattab | biography| Farooq E Aazam.


*हिन्दी/hinglish*                    *हज़रत उमर फारूक़*

*===============================*


* आपका नाम उमर और लक़ब फारूक़ है,आपका नस्ब नामा यूं है उमर बिन खत्ताब बिन अब्दुल उज़्ज़ा बिन रियाह बिन क़ुर्त बिन रज़्ज़ह बिन अदी बिन कअब बिन लवी


* आपकी पैदाईश आम्मुल फील के 13 साल बाद बताई जाती है हालांकि ये सही नहीं है क्योंकि आपकी विसाल की तारीख 1 मुहर्रम 24 हिज्री है और उम्र मुबारक 63 साल मशहूर है,इस हिसाब से आप आम्मुल फील के वाक़िये के 16 साल बाद पैदा हुए और ईमान लाने के वक़्त आपकी उम्र 30 साल थी


* आपके ईमान लाते वक़्त कितने मुसलमान हो चुके थे इसपर कई क़ौल हैं मगर मश्हूर यही है कि 33 मर्द और 6 औरतों के बाद आपने इस्लाम क़ुबूल किया और आपसे 40 का अदद पूरा हुआ


* आपके ईमान लाने का वाक़िया यूं है कि एक रोज़ आप तलवार लेकर हुज़ूर का खात्मा करने को निकल पड़े,रास्ते में हज़रत नुऐम बिन अब्दुल्लाह क़ुरैशी से मुलाकात हुई ये भी ईमान ला चुके थे मगर हज़रत उमर को पता नहीं था,हज़रत उमर को जलाल में देखकर आपने पूछा कि कहां का इरादा है तो कहने लगे कि बानिये इस्लाम का काम तमाम करने को निकला हूं,तो हज़रत नुऐम कहते हैं कि पहले अपने घर की तो खबर लो कि तुम्हारी बहन और तुम्हारे बहनोई भी इस्लाम क़ुबूल कर चुके हैं,ये सुनते ही आप पहले अपने घर की तरफ गए और बाहर से ही क़ुर्आन पढ़ने की आवाज़ सुनाई दी,आपने दरवाज़ा खोलने को कहा तो दोनों मिया बीवी डर गए और इसी हालत में बहन ने दरवाज़ा खोला तो आप चिल्लाकर बोले कि क्या तू भी मुसलमान हो गयी,और ये कहते कहते अपने बहनोई पर झपट पड़े और उन्हें मारने लगे बहन बीच में आयी तो तलवार की बट से उसके सर पर भी मारा तो उनका चेहरा लहू लुहान हो गया,ये सब होने के बाद भी बहन बोली कि तुम चाहे जो करलो पर हम इस्लाम नहीं छोड़ेंगे,अब जब हज़रत उमर ने उनका चेहरा देखा और उनकी बातें सुनी तो गुस्सा ठंडा हो गया और क़ुर्आन मांगी कि तुम क्या पढ़ रहे थे जैसे ही क़ुर्आन की आयत पर नज़र पड़ी फौरन चीख पड़े कि ये कलाम किसी शायर का नहीं हो सकता कहा कि मुझे उनके पास ले चलो,हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम उस वक़्त हज़रत अरक़म के घर में मुक़ीम थे दरवाज़े पर पहुंचकर आवाज़ दी जब दरवाज़े की झरी से देखा तो हज़रत उमर नंगी तलवार लिए खड़े थे,अंदर लोगों के होश उड़ गए मगर हज़रत अमीर हमज़ा रज़ियल्लाहु तआला अन्हु जो ईमान ला चुके थे बोले कि दरवाज़ा खोलो अगर नेक नियती से आया होगा तो मरहबा वरना उसी की तलवार से उसका सर उड़ा देंगे,दरवाज़ा खुला हज़रत उमर अन्दर आये तो खुद हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने आगे बढ़कर उनका बाज़ू पकड़ा और फरमाया कि ऐ खत्ताब के बेटे कब तक कुफ़्र में पड़ा रहेगा अब मुसलमान हो जा,आपके इतना कहते ही हज़रत उमर ने तलवार छोड़ दी और कल्मा पढ़कर मुसलमान हो गए,अब तो हर तरफ नारे तकबीर का शोर मच गया और खुद हज़रत उमर सबको लेकर हरम में दाखिल हुए और अलानिया नमाज़ पढ़ी गई


* आपने 6 या 7 निकाह किये जिनमे से 2 को ईमान न लाने की वजह से तलाक़ दे दिया और एक को किसी और बात की वजह से तलाक़ दी,इन सबसे 5 बेटे और 4 बेटियां हुई,इनमें से आपकी बेटी हज़रते हफ्सा रज़ियल्लाहु तआला अन्हु का निकाह हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम से हुआ और आप अज़्वाजे मुतह्हरात में दाखिल हुईं और हज़रते उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु को हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम का ससुर होने का मर्तबा मिला


* क़ुर्आन में 20 या उससे ज़्यादा ऐसी आयतें हैं जो हज़रते उमर फारूक़े आज़म रज़ियल्लाहु तआला अन्हु की राय के मुताबिक़ नाज़िल हुई हैं जिन्हे मुआफिकते क़ुर्आनी कहते हैं,उन सब का तज़किरा तो फिर कभी करूंगा इन शाअ अल्लाह मगर यहां आपके लक़ब फारूक़ होने का वाक़िया जिससे जुड़ा हुआ है सो उसका तज़किरा करता हूं,वाक़िया यूं है कि एक मुनाफिक़ और एक यहूदी के दर्मियान सैराबी को लेकर झगड़ा था,हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की बारगाह में जब ये मुआमला पेश आया तो चुंकि हक़ पर यहूदी था तो आपने उसके हक़ में फैसला दे दिया,मुनाफिक़ ये बात नहीं माना और कहने लगा कि हम उमर के पास चलकर फैसला करायेंगे उसने ये सोचा कि जब मैं ये कहूंगा कि मैं मुसलमान हूं और ये यहूदी तो फौरन ही हज़रते उमर मेरे हक़ में फैसला कर देंगे और ये सोचकर दोनों हज़रत उमर की बारगाह में पहुंचे,सबसे पहले यहूदी ने वो बात कहदी कि अभी हम हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम के दरबार से होकर आये हैं और उन्होंने मेरे हक़ में फैसला सुना दिया है पर ये नहीं मानता कहता है कि ये आपका ही फैसला मानेगा,इतना सुनते ही हज़रत उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु उठे और कहते हैं कि अच्छा फिर मैं ही इसका फैसला करता हूं अंदर गए तलवार लाये और उसकी गर्दन उड़ा दी और फरमाया जो हुज़ूर का फैसला नहीं मानता उसका फैसला मैं ऐसे ही करूंगा,इस पर एक नायत नाज़िल हुई जो कि पारा 5 सूरह निसा आयत नं 65 पर है तर्जुमा यूं है कि "तो ऐ महबूब तुम्हारे रब की कसम वो मुसलमान न होंगे जब तक अपने आपस के झगड़े में तुम्हे हाकिम न बनाएं फिर जो कुछ तुम हुक्म फरमा दो अपने दिलो में उससे रुकावट न पाएं और जी से मान लें" तो हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने फरमाया कि खुदा का हुक्म आ चुका उमर किसी मुसलमान की जान नहीं ले सकता और वहीं से आपका लक़ब हुआ फारूक़ यानि फर्क़ करने वाला,सुब्हान अल्लाह


* युंही शुरू इस्लाम अज़ान में हय्या अलस सलाह पढ़ा जाता रहा मगर बाद में हज़रत उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने अशहदु अल ला इलाहा इल्लल्लाह के बाद अशहदु अन्ना मुहम्मदुर रसूल अल्लाह बढ़ाने की तज्वीज पेश की जिसे हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने फरमाया कि जैसा उमर कहते हैं करो,सुब्हान अल्लाह 


* आपने 23 जुमअदल उखरा 13 हिज्री यानि 632 ईसवी को खिलाफत पाई और 10 साल 6 महीने और चंद दिन आपकी खिलाफत रही,इस दौरान इस्लाम को खूब फरोग़ मिला 1036 शहर उनके क़सबों समेत फतह किये गए 4000 मस्जिदें तामीर की गयी,मस्जिदे नब्वी को भी वसीय करने की शुरुआत आपने ही की,आपने ही निज़ामे हुकूमत का दौर शुरू किया


* जब तमाम सहाबा छिप छिपकर मक्का से मदीना हिजरत कर रहे थे आपने अलानिया हिजरत की और फरमाया कि मैं जा रहा हूं जिस किसी को अपनी बीवी को बेवा और बच्चों को यतीम करना हो वो ही मुझे रोकने की कोशिश करे


* आप तमाम इस्लामी जंगों में हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम के साथ शामिल रहे


* आपके मरतबे के लिए बस इतना काफी है कि हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमाते हैं कि अगर मेरे बाद कोई नबी आना मुमकिन होता तो उमर नबी होते,दूसरी जगह हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमाते हैं खुदा की कसम उमर जिस रास्ते से गुज़रते हैं शैतान उस रास्ते से हट जाता है,अल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर


* हज़रते सिद्दीक़े अकबर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु की अलालत में आपने उनकी इजाज़त से 15 दिन नमाज़ों की इमामत फरमाई


* 26 जिल्ल हज्ज 23 हिजरी फज्र के वक़्त ऐन नमाज़ की हालत में मरदूद अबू लुलू ने आपको खंजर मारकर ज़ख़्मी कर दिया,चंद दिन ज़ख़्मी रहकर आपने 1 मुहर्रम 24 हिज्री को शहादत पाई और उम्मुल मोमेनीन सय्यदना आईशा सिद्दीक़ा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा की इजाज़त से रौज़-ए अनवर में दफ्न किये गए,आपकी उम्र 63 साल हुई


📕 तारीखुल खुल्फा,सफह 182

📕 शाने सहाबा,सफह 94

📕 सीरतुल मुस्तफा,सफह 106

📕 खाज़िन,जिल्द 1,सफह 397

📕 तारीखे इस्लाम,जिल्द 1,सफह 366

📕 मदारिजुन नुबूवत,जिल्द 2,सफह 915


*===============================*

*===============================*


* Aapka naam umar aur laqab farooq hai,aapka nasb naama yun hai umar bin khattab bin abdul uzza bin riyah bin qurt bin razzah bin addi bin ka'ab bin lavi


* Aapki paidayish aammul feel ke 13 saal baad batayi jaati hai halanki ye sahi nahin hai kyunki aapki wisaal ki tareekh 1 muharram 24 hijri hai aur umr mubarak 63 saal mashhoor hai,is hisaab se aap aammul feel ke waqiye ke 16 saal baad paida hue aur imaan laane ke waqt aapki umr 30 saal thi


* Aapke imaan laate waqt kitne musalman ho chuke the ispar kayi qaul hain magar mashhoor yahi hai ki 33 mard aur 6 aurton ke baad aapne islam qubool kiya aur aapse 40 ka adad poora hua


* Aapke imaan laane ka waqiya bada hi dilchasp hai hua yun ki ek roz aap talwar lekar huzoor ka khaatma karne ko nikal pade,raaste me hazrat nuaim bin abdullah quraishi se mulakat huyi ye bhi imaan la chuke the magar hazrat umar ko pata nahin tha,hazrat umar ko jalaal me dekhkar aapne poochha ki kahan ka iraada hai to kahne lage ki baaniye islaam ka kaam tamam karne ko nikla hoon,to hazrat nuaim kahte hain ki pahle apne ghar ki to khabar lo ki tumhari bahan aur tumhare bahnoyi bhi islam qubool kar chuke hain,ye sunte hi aap pahle apne ghar ki taraf gaye aur baahar se hi quran padhne ki aawaz sunayi di,aapne darwaza kholne ko kaha to dono miya biwi darr gaye aur isi haalat me bahan ne darwaza khola to aap chillakar bole ki kya tu bhi musalman ho gayi,aur ye kahte kahte apne bahnoyi par jhapat pade aur unhein maarne lage bahan beech me aayi to talwar ki bat se uske sar par bhi maara to unka chehra lahu luhaan ho gaya,ye sab hone ke baad bhi bahan boli ki tum chahe jo karlo par hum islam nahin chhodenge,ab jab hazrat umar ne unka chehra dekha aur unki baatein suni to gussa thanda ho gaya aur quran maangi ki tum kya padh rahe the jaise hi quran ki aayat par nazar padi fauran cheekh pade ki ye kalaam kisi jhoothe ka nahin ho sakta kaha ki mujhe unke paas le chalo,huzoor sallallahu taala alaihi wasallam us waqt hazrat arqam ke ghar me muqeem the darwaze par pahunchkar aawaz di jab darwaze ki jhari se dekha to hazrat umar nangi talwar liye khade the,andar logon ke hosh udd gaye magar hazrat ameer hamza raziyallahu taala anhu jo imaan la chuke the bole ki darwaza kholo agar nek niyati se aaya hoga to marhaba warna usi ki talwar se uska sar uda denge,darwaz khula harat umar andar aaye to khud huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne aage badhkar unka baazu pakda aur farmaya ki ai khattab ke bete kab tak kufr me pada rahega ab musalman ho ja,aapke itna kahte hi hazrat umar ne talwar chhod di aur kalma padhkar musalman ho gaye,ab to har taraf nare takbeer ka shor mach gaya aur khud hazrat umar sabko lekar haram me daakhil hue aur alaniya khuda ki ibaadat ki


* Aapne 6 ya 7 nikah kiye jinme se 2 ko imaan na laane ki wajah se talaaq de diya aur ek ko kisi aur baat ki wajah se talaaq di,in sabse 5 bete aur 4 betiyan huyi,inme se aapki beti hazrate hafsa raziyallahu taala anhu ka nikah huzoor sallallahu taala alaihi wasallam se hua aur aap azwaje mutahharat me daakhil huyin aur hazrate umar raziyallahu taala anhu ko huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ka sasur hone ka martaba mila


* Quran me 20 aisi aaytein hain jo hazrate umar farooqe aazam raziyallahu taala anhu ki raaye ke mutabiq naazil huyi hain jinhe muafiqate qurani kahte hain,un sab ka tazkira to phir kabhi karunga in shaw ALLAH magar yahan aapke laqab FAROOQ hone ka waqiya isi se juda hua hai so uska tazkira karta hoon,waqiya yun hai ki ek munafiq aur ek yahudi ke darmiyan sairabi ko lekar jhagda tha,huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ki baargah me jab ye muamla pesh aaya to chunki haq par yahudi tha to aapne uske haq me faisla de diya,munafiq ye baat nahin maana aur kahne laga ki hum umar ke paas chalkar faisla karayenge usne ye socha ki jab main ye kahunga ki main musalman hoon aur ye yahudi to fauran hi hazrate umar mere haq me faisla kar denge aur ye sochkar dono hazrat umar ki baargah me pahunche,sabse pahle yahudi ne wo baat kahdi ki abhi hum huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ke darbar se hokar aaye hain aur unhone mere haq me faisla suna diya hai par ye nahin maanta kahta hai ki ye aapka hi faisla maanega,itna sunte hi hazrat umar raziyallahu taala anhu uthe aur kahte hain ki achchha phir main hi iska faisla karta hoon andar gaye talwar laaye aur uski gardan uda di aur farmaya jo huzoor ka faisla nahin maanta uska fasila main aise hi karunga,is par ek naayat naazil huyi jo ki paara 5 surah nisa aayat no 65 par hai tarjuma yun hai ki "To ai mahboob tumhare Rub ki kasam wo musalman na honge jab tak apne aapas ke jhagde me tumhe haakim na banayein phir jo kuchh tum hukm farma do apne dilo me usse rukawat na payein aur jee se maan lein" to huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne farmaya ki khuda ka hukm aa chuka umar kisi musalman ki jaan nahin le sakta aur wahin se aapka laqab hua FAROOQ yaani farq karne waala,SUBHAAN ALLAH


* Yunhi shuru azaan me ASHHADU AL LA ILAHA ILLALLAH ke baad HAYYA ALAS SALAH padha jaata raha magar baad me hazrate umar farooqe aazam ne ASHHADU AL LA ILAHA ILLALLAH ke baad ASHHADU ANNA MUHAMMADUR RASOOL ALLAH badhane ki tajweez pesh ki jise huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne farmaya ki jaisa umar kahte hain karo,SUBHAN ALLAH


* Aapne 23 jumadal ukhra 13 hijri yaani 632 eesvi ko khilafat paayi aur 10 saal 6 mahine aur chund din aapki khilafat rahi,is dauran islaam ko khoob farogh mila 1036 shahar unke aqsbo samet fatah kiye gaye 4000 masjidein tameer ki gayi,masjide nabwi ko bhi wasiy karne ki shuruaat aapne hi ki,aapne hi nizame hukumat ka daur shuru kiya


* Jab tamam sahaba chhip chhipkar makka se madina hijrat kar rahe the aapne alaniya hijrat ki aur farmaya ki main ja raha hoon jis kisi ko apni biwi ko bewa aur bachchon ko yateem karana ho wo hi mujhe rokne ki koshish kare


* Aap tamam islami jungon me huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ke saath shaamil rahe


* Aapke martabe ke liye bas itna kaafi hai ki huzoor sallallahu taala alaihi wasallam farmate hain ki agar mere baad koi nabi aana mumkin hota to UMAR nabi hote,doosri jagah huzoor sallallahu taala alaihi wasallam farmate hain khuda ki kasam UMAR jis raaste se guzarte hain shaitan us raaste se hat jaata hai,ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR


* Hazrate siddiqe akbar raziyallahu taala anhu ki alalat me aapne unki ijazat se 15 din namazo ki imaamat farmayi


* 26 zill hajj 23 hijri fajr ke waqt ain namaz ki haalat me mardood abu looloo ne aapko khanjar maarkar zakhmi kar diya,chund din zakhmi rahkar aapne 1 muharram 24 hijri ko shahadat paayi aur ummul momeneen sayyadna aaisha siddiqa raziyallahu taala anha ki ijazat se rauzaye anwar me dafn kiye gaye,aapki umr 63 saal huyi


📕 Taarikhul khulfa,safah 182

📕 Shaane sahaba,safah 94

📕 Siratul mustafa,safah 106

📕 Khaazin,jild 1,safah 397

📕 Tarikhe islam,jild 1,safah 366

📕 Madarijun nubuwat,jild 2,safah 915


POST BY:

       *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*

                        *ALLAHABAD*

*================================*

Tuesday 11 July 2023

Eid E Gadeer Manana Jayj Nahi. @| Man kunto moula ka Asal Matlab. | Radde Rafziat | Radde Tafziliat.


EID E GHADEER KI HAQEEQAT AHAADEES E KAREEMA KI RAUSHNI ME (18 Zul Hijjah)


Ghadeer e khum Makkah Mukarrama, Madeenah Taiyyeba Ke maa bain ek jagah ka naam hai ke jahaan Allah ke Rasool ﷺ ne hajjat ul wada'a ke mauqe par ek khutba diya tha ke jis me Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ki fazeelat bayaan farmayi...

Ba'z Juhla ne is khutbe ko buniyad bana kar ye jhoot phaila diya ke ye Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ko imaam aur khaleefa muqarrar karne ka khutba tha Halaanke is khutbe ka maqsad logon ke dilon se Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه k baare me manfi jazbaat ko khatm karna aur un ki mahabbat o mawaddat paida karna tha....

Ham is khutbe ke sabab ko bayaan karenge ke jis k beghair is khutbe ko samajhna bilkul bhi mumkin nahi hai.

Agar aap kisi waqie me se is k sabab ko nikaal den to aap kabhi bhi is waqie ki haqeeqat tak na pahoch paayenge..

Aur jab aap waqie ka asl sabab naql na karenge to phir aap is waqie ka sabab ghadenge aur yahan hi se aap haqeeqat ka chehra maskh karna shuru kar denge aur yahi hamare yahan jaahil zaakir apni majlison me karte hain ke un ka da'wa hai ke  Allah ke Rasool ﷺ Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ko apni zindagi me khaleefa bana gaye the jab ke Hazrat Abu Bakar Siddeeq رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne  in ki khilaafat ghasab kar li thi..


Ghadeer e khum ke khutbe k baare me riwayaat jo ke (Saheeh  Bukhaari, Saheeh Muslim, Ibn e Is'haaq, Ibn e Hishaam) waghairah me naql hui hain, ke mutaabiq Allah Ke Rasool ﷺ ne Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ko Yaman me maal ko taqseem karne aur us me se khumus wusool kar ke laane ke liye Sahaaba ki ek jama'at par ameer bana kar bheja tha. Wapisi me kucch waqiaat aise huye ke log Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه se bad dil aur mutanaffar ho gaye aur unho ne Allah k Rasool ﷺ ko Hazrat Ali ki shikayaat lagayi to Aap ﷺ ne jab logon k dil me Hazrat Ali ke liye ranjish dekhi to ghadeer e khum par khutba diya...


Saheeh bukhaari ki riwaayat ke mutaabiq ba'z sahaaba ko ye aitraaz tha ke yaman se jo maal mila hai us me khumus me se Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne apne liye sab se behtareen laundi rakh li thi.  

Hazrat bureda رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne wapisi par aap ﷺ se is ki shikaayat ki to aap ne pooccha: 

Aye Bureda رضـــي الله تعـــالى عنــــه, kya aap Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه se ranjish rakhte hain to unho ne kaha: Haan, To aap ﷺ ne farmaaya ke aisa na karen ke Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ke liye khumus me is se bhi ziyada hissa hai jo unho ne rakh liye hai...


Seerat e ibn e is'haaq k mutaabiq yaman se wapisi par Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne ek shakhs ko qaafile ka ameer banaaya aur khud makkah ki taraf jaldi ki taake aap ﷺ k sath hajjat ul wada'a me shareek ho saken.

Ab jis shakhs ko Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne ameer banaaya tha un ne sab ko sadqe k maal me se qeemti chaadaren pahenne ka hukm diya taake makkah me dakhil hote waqt musalmaan un ka istiqbaal karen to khush hon.

Idhar Haraz Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه hajj se faarigh hotehi qaafile ki taraf nikle ke makkah me un ke sath daakhil hon lekin jab un ko chaadaren pahene dekha to daa'nta ke jis se bahot se log naaraz ho gaye...


Dalaail un nubuwwa ki riwaayat ke mutaabiq yaman se wapisi par logon ne Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه se kaha tha ke hamare unt thak gaye hain lihaaza hame sadqa k unto par sawaari ki ijaazat den to Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne sakhti se inkaar kar diya. Is se logon ko ranjish paida hui aur Hazrat Abu Saeed Khudri رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne wapisi par Aap ﷺ se shikaayat ki to aap ﷺ ne un ki baat darmiyaan me kaat'te huye kaha ke thaher jaayen, Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ki sakhti aur daa'nt dapat Allah ki raah me thi. Abu saeed khudri رضـــي الله تعـــالى عنــــه kehte hain ke is ke bad maine un se kabhi ranjish mehsoos na ki....

Pas is qism k waqiaat me jab Allah Ke Rasool ﷺ ne ba'z sahaaba ke dilo me Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ke baare me ranjish mehsoos ki to wapisi par ghadeer e khum par khutba diya aur ahle bait se mahabbat rakhne ka hukm diya k jise ba'z jaahilo ne un ki imaamat aur khilaafat ka hukm samajh liya aur shaikhain ko ghaasib qaraar de kar apni aaqibat kharab karne lage...

Is khutbe me jo baate naql hui, un ka khulaasa ye hai ke aap ﷺ ne ye farmaya ke jis ka mai Maula hu Ali us ka Maula hai. Yani mai jis ka Mahboob hu Ali us ka Mahboob hai. Jo mujh se Mahabbat ka da'wa rakhta hai wo Ali se bhi Mahabbat rakhe. Jo mujhe Mahboob rakhta hai wo Ali Ko bhi Mahboob bana le.. Aur doosra ye farmaya ke dekho, mai apne ahl e bait ke baare me tumhe Allah se daraata hu Yani un se ziyaadati na karna un se dushmani aur adaawat na rakhna.  Pas Ahl e bait se dushmani aur adaawat rakhna aur un se zulm o ziyaadati karna ye imaan ki munafi hai.. Allah samajh ataa farmaye Aur Hame Ahl e Sunnat o Jmaat Ke Tareeqe Yaani Maslak e Ala Hazrat par Qaayem Rakhe.Ameen Ya Rabbal Alamin


▪️[Ba Hawala :- Sahi Bukhari , Sahi Muslim,Ibn e Maajah, Tarikh ibn e hisham, Seerat e Ibn e Is'haq,  Dalaailun Nubuwwah, wagairah ]


📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri

_Khadim  Ridawi Amjadi Darul Ifta 48/crystal house Masjid Street Bhindi Bazar, Mumbai 400003._



 Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Aur Wilayat Aur Maula Ka Mana


Rafziyo ne Apna Aqida Felane Me Kuch Nahi Mila Toh Ek Naya Fareb Paida Kiya Ki Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Wilayat Ka Elan Nabi ﷺ Ne Ghadir Ke Waqt Kiya Aur Farmaya Jiska Me Maula Hon Uska Ali Bhi Maula Aur Maula Khud'sakhta Mana In Rafzi Ne Sardar Aur Hakim Ka Kiya Hai Toh Nabi ﷺ Jiske Maula Hai Uske Hazrat Ali Bhi Maula Hue Aur Nabi ﷺ Sare Nabiyo Ke Maula Hai Toh Hazrat Ali Bhi Unke Maula Hue Toh Is Hisab Se Hazrat Ali Nabiyo Aur Shaykhain Karimain Ke Sardar Aur Hakim Bhi Hue Aur Unse Afzal Bhi. معاذ الله


Hazrat Imam Bayhaqi رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 458 Hijri Likhte Hain...✒️


Maula Ho Ki Hadith Ko Agar Sahih Bhi Maan Liya Jaye Toh Bhi Isme Ye Daleel Nahi Ki Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Wilayat (Martaba) Sabse Buland Hai Huzoor ﷺ Ne Irada Farmaya Ki Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Khusu'siyat Aur  Muhabbat Bayan Ki Jaye Aur Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Muhabbat Ke Liye Logo Ko Ubhara Jaye Huzoor ﷺ Ne Aapki Muhabbat Ke Liye Is Chiz Ko Bayan Farmaya Take Log Aapse Muhabbat Kare Aur Dushmani Ko Chhorde Aur Is Hadith Me Jo Wilah (Wilayat) Hai Isse Murad Islami Bhai Chara Aur Muhabbat Hai Musalmano Par Lazim Hai Ek Dusre Se Muhabbat Kare Aur Ek Dusre Se Dushmani Na Kare.


Ab Aaiye Dekhe Lafz e Maula Ki تعريف Definition Kya Hai ?

Maula Ka Mana Matlab Dost Aur Madad'ghar Ke Hai Jaisa Ke Qur'an Ki Ayat Sureh Tehrim Ayat no 4 Me Allah ﷻ Ne Farmaya Ki Allah ﷻ Bhi Aapka Muala Hai Aur Jibraeel (عليه السلام) Bhi Maula Hai Aur Saliheen (Auliya) Bhi Aapke Maula Hai Agar Yaha Par Bhi Maula Ka Mana Sardar Hakim Ka Liya Jayega Toh معاذ الله Phir Ye Kehna Padega Ki Jibraeel (عليه السلام)  Aur Auliya Bhi Huzoor ﷺ Ke Sardar Aur Hakim Hai?


Hazrat Imam Nawawi رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 676 Hijri Likhte Hain...✒️

Maula Ka Mana Nasir, Madad'ghar, Pyara, Talluq, Wala, Dili Dost.


Phir Aagay Likhte Hai Ki Hazrat Imam Shafai رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 202 Hijri Farmate Hain Ki Nabi Kareem ﷺ Ne Is Hadith Me Islami Muhabbat Aur Bhai Chara Murad Liya Hai.


To Pata Chala Ki Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Hamare Madad'ghar Hai Isi Liye Sunni Pukarte Aur Nara Lagata Hai Ya Ali Madad Ka...


(Al'itiqad ala-Mazhab al-Salaf Ahle'sunnah, Page 497)

&

(Fatawa Nawawi, Page 252)






Ibn taymiya Gustaqi

 POST :1


*Wahabiyo Ahle'hageeso Gair Muqallido Ka Aqeeda Allah ﷻ Ke Bare Me*


*Nadwa* Se Lekar *Deoband* Aur *Najd* *Saudi* Se Lekar *Israel* Tak Ke Sare *Wahabiyo Ahle'hadeeso Deobandiyo Gair Muqallido* Ka Aaqa Aur Grandfather Jiski Din Raat Ye Sab Pooja Karte Hai Wo


*Ibn e Tayymia* Apni Kitab Me Likhta Hai


*Allah ﷻ Bina Dadhi* (Beardless) *Ke Aur Lambe* (Long) *Curly* (घुँघराले) *Baalo* (Hair's) *Ke Saath Hare* (Green) *Bagh* (Garden) *Me Hai*


Hawala Note

*Bayan Talbees al-Jahmiyyah*

Jild *7* Safa *290*

📄🫵





Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...