ASHURA KE ROZE KI FAZILAT|MUHARRAM KE ROZE KI FAZILAT.
Maahe Ramzan Ke Roze Ke Baad Sabse Zyada Sawab Muharram Ke Rozo Ka Bhi Hai. Is Post Me Muharram Ke Rozo Ki Fazilat Hadees Ke Hawalo Se Bayan Ki Gayi Hai. Muharram Ki 9vi Aur 10vi Tarikh Ke Roze Rakhne Ki Koshish Kare Aur Sawab E Daarain Hasil Kare.
Hadees 01:-
Hazrate Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Jab RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Madinah Al Munawwara Me Jalwa Afroz Hue To Yahudiyon Ko Dekha Ki Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Hai Logo Ne Un Se Poocha Ki Kyu Roza Rakhte Hai ?
To Unhone Kaha Ki:
“Yeh Wo Din Hai Jab ALLAH Ta’ala Ne Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba(Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hai, Iski Taazeem Ke Liye”
To RasoolALLAH صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:
“Hum Tum Se Zyada Dost Hai Aur Kareeb Hai Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ke, Phir AAP صلى الله عليه وسلم Ne Huqm Diya Iss (10 Muharram) KE Roze Ka”.
{Jamia Al Tirmizi – Hadees: 70, Book: 8, Hadees :59, Vol: 2, Book: 3, Hadees: 740}
{Sunan Ibn Majah – Jild:1, Book:7, Hadees: 1738. Book: 7, Hadees: 1810}
{Sahih Bukhari, Hadees: 3943, Book: 63, Hadees: 168. Vol: 58, Hadees: 279}
Hadees:02
Hazrat E Abu Hurairah رضي الله عنه Riwayat Farmate Hai Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم Irshaad Farmate Hai Tamaam Rozo Mei Afzal Ramzan Ke Baad Muharram Ke Roze Hai Aur Baad Namaz E Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai.
{Muslim Shareef - Jild: 3, Hadees: 2755}
Hadees:03
Hadees E Mubarak Ka Mafhoom Hai ke Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya: “Moharram Ke Har Din Ka Roza Ek Mahine Ke Barabar Hai.”
{Tabraani Fissageer – Jild: 2, Safa: 158}
HADES:04
Hadees E Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibn Abbas رضي الله عنه Farmate Hai “Maine Nabi-E-Kareem صلى الله عليه وسلم Ko Kisi Din Ke Roze Ka Aur Din Ki Fazilat De Kar Justuju Farmate Na Dekha Magar Yeh Ki Ashura Ka Din Aur Yeh Ki Ramzan Ka Mahina.
{Sahih Bukhari – Jild:1, Safa: 657, Hadees: 2006}
No comments:
Post a Comment