Thursday, 2 August 2018

Ummat shirk nh karegi.

POST -1





UMMAT SHIRK NAHI KAREGI.

🛑 _Hazrat Uqaba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor ﷺ Ne Shuhada-E-Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baad Is Tareh Namaz Padhi Goya Zindon Aur Murdon Ko Alwida Kah Rahe Hain._

*Phir Aap ﷺ Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe Aur Farmaya :*

_Mein Tumhara Peshwa Hoo’n, Mein Tumhare Oopar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulakat Ki Jagah Hawz-E-Kawsar Hai Aur Mein Is Jageh Se Hawz-E-Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka Dar Nahin_

*_Ki Tum (Mere Baad) Shirk Me Mubtila Ho Jaawoge Balki Tumhare Mut’alliq Mujhe Duniyadaari Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaane Ka Andesha Hai._*

_Hazrat Uqba Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor ﷺ Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ Ka Wisaal Ho Gaya.)”_
*Muttafaque Alayh*

*Yani Huzoor ﷺ Toh Farma Rahe Hain Ki Mere Baa’d Ummat Shirk Nahi Karegi Ha Duniya Dar Ban Jayegi Jo Aaj Hamara Haal Hai*

_Lekin Aaj Ka Yazidi Firqa Wahabi Deobandi Ahle'Hagees Riyal Ke Gair Muqallideen Najdi Ummat Ko Baat Baat Par Mushrik Kehte Hai Aur Shirk Ke Fatwe Lagate Hai_

*_Aur Jab Huzoor ﷺ Madina Sharif Se Hawz e Kausar Dekh Rahe Hain Toh Apne Ummati Ko Kyun Nahi Dekh Sakte Toh Pata Chala Huzoor ﷺ Hamare Hazir Nazir Bhi Hain_*

⚠ *Maslak e Aalahazrat Zindabad*✅💯


*Reference Book*
Sahih Al Bukhari
Vol *5* Hadees *4042*
*Scan Page*

📘📄👇🏼





PIST:2

Takfeeri Shirk Ka Fatwa Dene Waale Khud Hi Shirk Kay Haqdaar Honge

Hadees :
أن حذيفة يعني ابن اليمان رضي الله عنه حدثه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلّم إن مما أتخوف عليكم رجل قرأ القرآن حتى إذا رؤيت بهجته عليه وكان رداؤه الإسلام اعتراه إلى ما شاء الله انسلخ منه ونبذه وراء ظهره وسعى على جاره بالسيف ورماه بالشرك» قال قلت يانبي الله أيهما أولى بالشرك المرمي أو الرامي ؟ قال «بل الرامي»
إسناد جيد

Hazrat Huzaifa ibn Al Yaman Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Mujhe us shakhs ka Khauf hai jo Quran padhega aur us par Quran ki Raunaq Dekhi Jaegi aur Usne Islam ki chadar odh li hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko le Jayga ,woh Islam ki chadar se nikal jaega Aur Apne (Musalman) padosi par Talwar chalaega or us par SHIRK KI TOHMAT LAGAEGA" 
"Sahabi ne pucha dono mein se Mushrik kaun hoga"? Farmaya;"SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA"

References : 

(Imam Ibn Hibban As Sahih Vol : 01, Pg :281/82, Hadees : 81)

Albani Ne Isko Hasan Likha

(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 245, Surah Aaraf Ayat : 175)

Ibn Kathir Ne Kaha Iski Sanad Jay’yad Hai 
Imam Yaha Ibn Moin Aur Imam Ahmad Ibn Hambal Ne iski tahkeek ki aur Kaha Iske saare raavi Siqah Hai.

(Imam Bukhari Fi Tarikh ul Kabir, Vol : 04, Pg : 301, Hadees : 2907)

(Wahabiyo Ka Muhadis E Azam Saudi Arabia Albani Ne Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol : 07, pg : 605, Hadees : 3201)

(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)

(Imam Tahawi Mushkil Al Aath’ar Vol :02, Pg : 324, Hadees : 865)

(Kashful Irshad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)

(Musnad Al Shameen Vol : 02, Pg : 254, Hadees : 1291)

(Imam Tabrani Maj’ma Ul Kabeer Vol : 20, Pg : 88, Hadees : 169) 
Imam Tabrani Ye Hadees ko Hazrat Maa’z bin Jabal Radi Allahu Anhu Se Nakl Kiya Hai.

Scan Page of Ibn Hibban

shaokh se shirk shirk chaillao 

sb wahabi milkr chillao 

ye hamare haq hone ki daleel h 

tumhari khabar mere gaibdaan MUSTAFA sallallaho alaihe wasallam ne baht pahle hi batdiye h

Scan:







POST-3

NABI KAREEM ﷺ NE FARMAYA MERI UMMAT SHIRK NAHI KAREGI

HADEES

“Hazrat Uqba Bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Giraftar Ho Jaawoge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Huwe.
Hazrat Uqba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Aakhiri Baar Thi Jab Mein Ne Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ Ka Wisaal Ho Gaya).”

References :
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab : Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees : 2296 (B))
(Imam Tabarani Mujam Ul Kabeer, Vol : 17, Pg : 279 , Hadees : 769)

Scan Page Sahih Muslim 👇🏻👇🏻

Is Hadees e paak se wajah hogya hai k Ummat e muslima shirk nahi karegi magar aaj ye tauhid k contracter bane ghum rahe naam nihad wahabi puri ummat e muslima ko mushrik kehte phr rahe hai.

Aab Wahabi Dhoka Bhi Dete Hain Yeh Nabi Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Ne Sirf Sahaba Kiraam Ko Farmaya Ke Tum Shirk Nahi Karoge Umaat E Muslima Ko Nahi Is Hadees Ke Aage Yeh Bhi Hain
Mujhe Sirf Iss Baat Ka Darr Hai Ke Tum Aapas Me Bughz Rakhogey Duniya Ke Liye (Yani Duniya Me Daulat Aur Shohrat Hasil Karne Ke Liye).
Kiya Sahaba Kiraam RadiAllahu Anhu Mazallah Duniya Me Daulat Aur Shohrat Hasil Karne Ke Liye Ladenge?

Nabi kareem Sallallahu Alahi Wasalaam Ne "UMMAT" KE LAFZ KE SAATH SHIRK KI NAFI KI HAI.....Bukahri,Muslim Waghera Mein ummat ka lafz Na Sahi Par Aapki Muraad Ghair Sahaba (Baad me aany wali ummat jo dunia ki Talabgar hogi)

Nabi Kareem Sallallahu Alahi Wasalaam Nee Mukhatib bazahir sahaba ko kiya tha par muraad hum jaisy gunahgaar thy...kyunki agar aisa na hota to phir sahaba ikram par duniya ki mohobbat me giraftaar hony ka ilzaam aaid hota

Agar Phir Bhi Wahabi Iqrar Karty Hain ki Nahii Bukhari ki Hadees Se Muraad Sahaba Kiraam hi hain
Toh Phir Hame kehna Padega ki aapka Rifz bhi khulkar samne aa hi gaya ..ki jaisy shiya sahaba kiraam par maal or Daulat ke harees hony ka ilzaam lagaty aaye hai aap bhi unsy kam nahin ho...Chote rafzi jo tehry...

Ye Hadees Aapko "Mishkat Shareef" Mein Milegi Jisme "UMMATI" Ka Lafz Hain Ke Nabi Ne Farmaya Meri Ummat Shirk Nahi Karegi Balke Duniya Ke Lalaj Ke Talabgar Honge

SCAN PAGE OF MISHKAT SHAREEF 👇🏻👇🏻👇🏻







POST-4



JO BAAT BAAT PE DUSRO PAR SHIRK KA FATWA DEGA WO KHUD MUSHREEKH HOGA
Ab kuch aise bhi hai jo phir bhi baat baat pe shirk shirk ka fatwa dete hai ek hadees unke liye bhi pesh e khidmat hai mulahiza kare.
Jo Shirk E Akbar Ka Fatwa Dega Wo Khud Hi Mushrik Hoga
Saari Dunia Ko Mushrik Kehny Waly Najdi Khud
Mushrik hai Baqool AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ :
Wahabi aur Deobandi Hazrat k Motaber Aalim Hafiz
Ibn-e-Kaseer Quran-e-Kareem ki Sura Aaraf ki Ayat:175 ki Tafseer bayan kerty huay
[Tafseer Ibn-e- Kaseer, V:2, Page:245]
Pe Ek Hadees Naqal kerty Hain
Hadees :
‎أن حذيفة يعني ابن اليمان رضي الله عنه حدثه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلّم إن مما أتخوف عليكم رجل قرأ القرآن حتى إذا رؤيت بهجته عليه وكان رداؤه الإسلام اعتراه إلى ما شاء الله انسلخ منه ونبذه وراء ظهره وسعى على جاره بالسيف ورماه بالشرك» قال قلت يانبي الله أيهما أولى بالشرك المرمي أو الرامي ؟ قال «بل الرامي»
‎إسناد جيد
Hazrat Huzaifa ibn Al Yaman Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Mujhe us shakhs ka Khauf hai jo Khoob Quran padhega aur us par Quran ki Raunaq Dekhi Jaegi aur Usne Islam ki chadar odh li hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko le Jayga ,woh Islam ki chadar se nikal jaega Aur Apne (Musalman) padosi par Talwar chalaega or us par SHIRK KI TOHMAT LAGAEGA"
"Sahabi ne pucha dono mein se Mushrik kaun hoga"? Farmaya;"SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA"
References :
Ab WAHABI k paas aik he jawab hota hai k hadees ZAEEF hai, in ki Kamr khud in k Motaber Aalim Ibn-
e-Kaseer ney toor di, Ibn-e-Kaseer yeh hadees naqal ker k fermaty hain Iski Sanad Jay’yad Hai
Imam Yaha Ibn Moin Aur Imam Ahmad Ibn Hambal Ne iski tahkeek ki aur Kaha Iske saare raavi Siqah Hai.
(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 245, Surah Aaraf Ayat : 175)
(Imam Ibn Hibban As Sahih Vol : 01, Pg :281/82, Hadees : 81)
(Albani Ne Isko Hasan Likha , Silsilat al-ahadith al- sahihah Tahqiq Nasir Albani, Volume 001, Page No. 200, Hadith Number 81)
(Imam Bukhari Fi Tarikh ul Kabir, Vol : 04, Pg : 301, Hadees : 2907)
(Wahabiyo Ka Muhadis E Azam Saudi Arabia Albani Ne Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol : 07, pg : 605, Hadees : 3201)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Imam Tahawi Mushkil Al Aath’ar Vol :02, Pg : 324, Hadees : 865)
(Kashful Irshad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Musnad Al Shameen Vol : 02, Pg : 254, Hadees : 1291)
(Mashkalil Asaar , V:2, Page:324, Hadees:865)
(Imam Tabrani Maj’ma Ul Kabeer Vol : 20, Pg : 88, Hadees : 169)
Imam Tabrani Ye Hadees ko Hazrat Maa’z bin Jabal Radi Allahu Anhu Se Nakl Kiya Hai.
Scan Page of Ibn Hibban
&

Scan Page Of Tafseer ibne Kaseer 👇🏻







👇🏻







No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post