Tuesday, 14 August 2018

Qurbaani Ka Bayaan.


Post-1

*QURBAANI KA BAYAAN* 

Makhsus Janwar Ko Makhsus Din Me Baniyat Taqrib Jibah Karna Qurbaani Hai Aur Kabhi Aur Kabhi Aus Janwar Ko Bhi ( اضحیہ)
Aur Qurbani Kahte Hai Jo Jibah Kia Jata Hai. Qurbani Hazrat Ibarahim Allaysallam Ki Sunnat Hai Jo Is Ummat Ke Liye Baqi Rakhi Gayi Aur Nabi E Karim Sallauallaihiwasallam Ko Qurbaani Karne Ka Hukm Dia Gaya,

Irshad Farmaya :

(فَصَلِّ لِرَبِّکَ وَ انْحَرْ ؕ﴿۲﴾

Tarjumah : "Tum Apne Rab Ke Liye Namaz Pardho Aur Qurbani Karo."

Surah Kaushar

Iske Mutliq Pehle Chand Ahadees Zikr Ki Jati Hai Aur Phir Fiqahi Masail Bayan Hogey.

Hadees 1 : Abu Dawood, Tirmizi Wa Ibne Majah Ummul Mominin Aaisha Siddiqa Radiallahu Talah Anuma Sy Rawi Ke Huzur Aqdas Sallauallaihiwasallam Ne Farmaya Ke "Yaum E Kha'hr (10v9 Jil Hijjah) Me Ibne Aadam Ka Koi Amal Khuda Ke Nazdeek Khun Bahane (Qurbani Karne) Sy Jayda Pyara Nahi Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Sing Aur Baal Aur Kharo Ke Sath Aayega Aur Qurbaani Ka Khun Zamin Par Girne Sy Qabl Khuda Ke Nazdik Maqaam Qabul Me Pohch Jata Hai Lehaja Isko Khushdili Sy Karo.

(''جامع الترمذي''،کتاب الأضاحی،باب ماجاء في فضل الأضحیۃ،الحدیث:۱۴۹۸،ج۳،ص۱۶۲)
Hadees 2 : Tibrani Hazrat Imaam Hasan Bin Ali Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Farmaya : "Jis Ne Khushdili Sy Talib E Sawab Ho Kar Qurbaani Ki Wo Aatish E Jahannum Sy Hijaab (Rok) Ho Jayegi.

(''المعجم الکبیر''،الحدیث:۲۷۳۶،ج۳،ص۸۴.)

{Bahar E Shariat, Hissa:15}

POSTED BY:-

محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ




Post 2

*QURBAANI KA BAYAAN*

Hadees 3 :
Tibrani Ibne Abbas Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Irshad Farmaya : "Jo Rupiya Eid Ke Dinn Qurbaani Me Kharch Kia Gaya Us Sy Jayda Koi Rupiya Payara Nahi."

(''المعجم الکبیر''،الحدیث:۱۰۸۹۴،ج۱۱،ص۱۴۔۱۵.)

Hadees 4 :
Ibne Majah Abu Huraira Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur Aqdas (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Farmaya : "Jis Me Wus'at Ho Aur Qurbani Na Kary Wo Humari Eidgah Ke Qarib Na Aaye".

(سنن ابن ماجۃ''،کتاب الأضاحی،باب الأضاحی واجبۃ ھی أم لا،الحدیث:۳۱۲۳،ج۳،ص۵۲۹)

Hadees 5 :
Ibne Majah Ne Zaid Bin Arqam Radiallahu Talah Anho Sy Riwayat Ki Ke Sahaba Radiallahu Talah Anhum Ne Ar Ki Yaa Rasoolllah (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم)
Humare Liye Is Me Kya Sawab Hai Farmaya :
"Har Baal Ke Muqable Naiki Hai Arz Ki Un Ka Kya Hukm Hai Farmaya : "Unke Har Baal Ke Badle Me Naiki Hai."

(۔المرجع السابق،باب ثواب الأضحیۃ،الحدیث:۳۱۲۷،ص۵۳۱.
)

Hadees 6 :
Sahi Bukhari Me Bara Radiallahu Talah Anho Sy Marwi Nabi E Karim (صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم ) Ne Farmaya : "Sab Sy Pehle Jo Kam Aaj Hum Karege Wo Yeh Hai Ke Namaz Pardhe Phir Uske Bad Qurbaani Karege Jisne Esa Kia Us Ne Humari Sunnat Ko Paa Liya Aur Jisne Pehle Jibah Kar Lia Wo Gosht Hai Jo Usne Pehle Sy Apne Ghar Walo Ke Liye Tayar Kar Lia Qurbaani Sy Use Kuch Taluq Nahi. :Abu Barda Radiallahu Talah Anho Khade Hue Aur Yeh Pehle Hi Jibah Kar Chuke Thy (Is Khayal Sy Ke Paros Ke Log Garib Thy Unhone Chaha Ke Unko Gosht Mil Jaye) Aur Arz Ki Yaa Rasoolallah (صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم ) Mere Pa Bakri Ka 6 Mah Ek Bacha Hai Farmaya : Tum Use Jibah Karlo Aur Tumhare Siwa Kisi Ke Liye 6 Mah Bacha Kifayat Nahi Karega.

''صحیح البخاري''،کتاب الأضاحی،باب سنۃ الأضحیۃ،الحدیث:۵۵۴۵،ج۳،ص۵۷۱

Hadees 7 :
Imaam Ahmad Wagera Bara Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur Aqdas (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم)
Ne Farmaya Ke : " Aaj Ke Din Jo Kaam Humko Pehle Karna Hai Wo Namaz Hai Aur Iske Bad Qurbaani Karna Hai Jisne Esa Kia Wo Humari Sunnat Ko Pohcha Aur Jisne Pehle Jibah Kar Dala Wo Gosht Hai Jo Usne Apne Ghar Walo Ke Liye Pehle Hi Sy Kar Lia. Nask Yani Qurbaani Sy Usko Kuch Taluq Nahi.

(المسند''،للإمام أحمد بن حنبل،مسند الکوفیین،حدیث البراء بن عازب،الحدیث:۱۸۷۱۵،ج۶،ص۴۴۴)

{Bahar E Shariat, Hisa:15, Qurabni Ka Bayan}

POSTED BY:-
محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ




Post 3

*QURBAANI KA BAYAAN*

Hadees 8 :
Imaam Muslim Hazrat Ayesha Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Rasoolallah (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم )
Ne Hukm Farmaya Ke Sing Wala Menda Laya Jaye Jo Siyahi Me Chalta Ho Aur Siyahi Me Bethata Ho Aur Siyahi Me Nazar Karta Ho Yani Uske Pao Siya Ho Aur Aankhein Siyah Ho Wo Qurbaani Ke Liye Hazir Kia Gaya Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم )
Ne Farmaya "Ayesha Chhuri Lao Phir Farmaya Use Pathar Par Tiz Karlo Aur Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم )
Ne Chhuri Aur Mende Ko Lita Dia Aur Use Jibah Kia Phir Farmaya :

( ''بِسْمِ اللہِ اَللّٰھُمَّ تَقَبَّلْ مِنْ مُّحَمَّدٍ.وَاٰلِ مُحَمَّدٍ.وَمِنْ اُمَّۃِ مُحَمَّدٍ.''(1)

)

ILLAHI To Isko Muhammad (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ki Taraf Sy Aur Un Ki Aal Aur Ummat Ki Taraf Sy Qabul Farma.

('صحیح مسلم''،کتاب الأضاحی،باب إستحباب إستحسان الضحیۃ...إلخ،الحدیث:۱۹۔(۱۹۶۷)ص۱۰۸۷.
)

Hadees 9 :
Imaam Ahmad Wa Abu Dawood Wa Ibne Majah Wa Darmi Jabir Radiallahu Talah Anho Sy Riwayat Karte Hai Ke "Nabi E Karim Sallauallaihiwasallam Ne Jibah Ke Din Do Mainde Sing Chitkabre Khasi Kiye Hue Jibah Kiye Jab Un Ka Muh Qibla Ko Kya Yeh Pardha :

( اِنِّیْ وَجَّھْتُ وَجْھِیَ لِلَّذِیْ فَطَرَ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضَ عَلٰی مِلَّۃِ اِبْرَاھِیْمَ حَنِیْفًا وَّمَا اَنَا مِنَ الْمُشْرِکِیْنَ اِنَّ صَلَا تِیْ وَ نُسُکِیْ وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِیْ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ لَا شَرِیْکَ لَہٗ وَبِذٰلِکَ اُمِرْتُ وَاَنَا مِنَ الْمُسْلِمِیْنَ اَللّٰھُمَّ مِنْکَ وَلَکَ عَنْ مُّحَمّدٍ وَّاُمَّتِہٖ بِسْمِ اللہِ وَاللہُ اَکْبَرُ.)

Isko Pardh Kar Jibah Farmaya

(''سنن أبي داود''،کتاب الضحایا،باب ما یستحب من الضحایا،الحدیث:۲۷۹۵،ج۳،ص۱۲۶.
)

Aur Ek Riwayat Me Hai Me Hai Ke Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Yeh Farmaya Ke "ILLAHI Yeh Meri Taraf Sy Hai Aur Meri Ummat Me Uski Taraf Sy Hai Jisne Qurbani Nahi Ki."

(سنن أبي داود''،کتاب الضحایا،باب في الشاۃ یضحی بہاعن جماعۃ، الحدیث: ۲۸۱۰،ج۳،ص۱۳۱.)

Hadees 10 :
Imaam Bukhari Wa Muslim Ne Anas Radiallahu Talah Anho Si Riwayat Ki Ke "Rasoolallah (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم) Ne Do Minde Chitkabre Sing Walo Ki Qurbani Ki Unhe Apne Dast E Mubarak Sy Jibah Kia Aur بِسْمِ اللہِ وَاللہُ اَکْبَر Kaha, Kahte Hai Maine Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ko Dekha Ke Apna Pao Unke Pehlu Par Rakha Aur بِسْمِ اللہِ وَاللہُ اَکْبَر Kaha.

صحیح مسلم''،کتاب الأضاحی،باب إستحباب إستحسان الضحیۃ...إلخ،الحدیث:۱۷(۱۹۶۶)،۱۸(۱۹۶۶) ص۱۰۸۶.

Hadees 11 :
Tirmizi Me Hansh Sy Marwi Wo Kahte Hai Maine Hazrat Ali Radiallahu Talah Anho Ko Dekha Ke Do Minde Ki Qurbani Karte Hai Maine Kaha Yeh Kya Unhone Farmaya Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ne Mujhe Wasiyat Farmai Ke Main Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ki Taraf Sy Qurbani Karu Lehaja Main Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ki Taraf Sy Qurbani Karta Ho.

Hadees 12
Abu Dawood Wa Nisai Abdullah Bin Ummar Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ne Farmaya : "Mujhe Yum E Auza Ka Hukm Dia Gaya Us Din Ko Khuda Is Ummat Ke Liye Eid Banaya Ek Shakhs Ne Arz Ki Yaa Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Yeh Bataye Agar Mere Pass منیحہ (۔منیحہ Us Janwar Ko Kahte Hai Jo Dusre Ne Use Isliye Dia Hai Ke Kuch Dino Uske Dudh Wagera Sy Faida Uthhaye Phir Wapas Usko Karde.)Ke Siwa Koi Janwar Na Ho To Kya Usi Ki Qurbaani Kar Du Farmaya : Nahi". Haan Tum Apne Maal Aur Nakhun Tarswao Aur Muchein Tarswao Zair Naaf Ko Mundp Isi Me Tumhari Qurbani Khuda Ke Nazdik Puri Ho Jayegi.

سنن أبي داود''،کتاب الضحایا،باب ماجاء في إیجاب الأضاحی،الحدیث:۲۷۸۹،ج۳،ص۱۲۳.

Yani Jisko Qurbani Ki Taufiq Na Ho Use In Chizo Ke Karne Sy Qurbaani Ka Sawal Hasil Ho Jayega.

Hadees 13 :
Muslim Wa Tirmizi Wa Nisai Wa Ibne Majah Ummul Mominin Ume Salma Radiallahu Talah Anha Si Rawi Ke Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم Ne Farmaya : " Jisne Zul Hijjah Ka Chand Dekh Lia Aur Uska Irada Qurbani Karne Ka Hai To Jab Tak Qurbaani Na Kare Baal Aur Nakhun Sy Na Le Yani Na Tarswaye.

جامع الترمذي''،کتاب الأضاحی،باب ترک أخذ الشعرلمن أرادأن یضحّی،الحدیث:۱۵۲۸،ج۳،ص۱۷۷.

Hadees 14 :
Tibrani Abdullah Bin Masood Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Farmaya : "Qurbani Main بقرہ 7 Ki Taraf Sy Aur Unt 7 Ki Taraf Sy Hai.

''المعجم الکبیر''،الحدیث:۱۰۰۲۶،ج۱۰،ص۸۳.

Hadees 15 :
Abu Dawood Wa Nisai Wa Ibne Majah Majaish Bin Masood Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم Ne Farmaya : "Bherd Ka Jajah (Che Mah Ka Bacha) Sal Bhar Wali Bakri Ke Qaim Muqam Hai."

۔''سنن أبي داود''، کتاب الضحایا،باب ما یجوزمن السن في الضحایا،الحدیث:۲۷۹۹،ج۳،ص۱۲۷.

{Bahar E Shariat, Hisa:15, Qurbaani Ka Bayan}

POSTED BY:-
محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ




Post 4

*QURBAANI KA BAYAAN*

Hadees 16:
Imaam Ahmad Ne Riwayat Ki Ke Huzur Aqdas Sallauallaihiwasallam Ne Farmaya Ke "Afzal Qurbani Wo Hai Jo Ba Aitbar Qimat Ala Ho Aur Khub Farba Ho.
''المسند''،للإمام أحمد بن حنبل،حدیث جد أبی الأشد،الحدیث:۱۵۴۹۴،ج۵،ص۲۷۹.

Hadees:17
Tibrani Ibne Abbas Radiallahu Talah Anhuma Sy Rawi Ke Huzur (Sallauallaihiwasallam) E Rat Me Qurbaani Sy Mana Farmaya.
''المعجم الکبیر''،الحدیث:۱۱۴۵۸،ج۱۱،ص۱۵۲.

Hadees:18
Imaam Ahmad Wagera Hazrat Ali Sy Rawi Ke Huzur Aqdas صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ne Farmaya : "Chaar Qisam Ke Janwar Qurbani Ke Liye Durusat Nahi. Akana Jis Ka Kanapan Zahir Hai Aur Bimar Jis Ki Bimari Zahir Ho Aur Landga Jiska Kaang Zahir Hai Aur Aisa Lagar Jiski Hadiyo Me Magz Na Ho.
1۔۔۔۔۔۔''المسند''،للإمام أحمد بن حنبل،مسند الکوفیین،حدیث البراء بن عازب،الحدیث:۱۸۵۳۵،ج۶،ص۴۰۷،وغیرہ.

Isiki Mishl Imaam Malik Wa Hamad Bin Ahmad Wa Tirmizi Wa Abu Dawood Wa Nisai Wa Ibne Majah Darmi Bara Bin Aazib Radiallahu Talah Anho Sy Rawi.

Hadees 19 :
Imaam Ahmad Wa Ibne Majah Hazrat Ali Radiallahu Talah Anho Sy Riwayat Karte Hai Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ne Kaan Kate Aur Sing Tute Hue Ki Qurbaani Sy Manah Farmaya.
''سنن ابن ماجۃ''،کتاب الأضاحی،باب ما یکرہ أن یضحی بہ،الحدیث:۳۱۴۵،ج۳،ص۵۴۰.

Hadees 20 :
Tirmizi Wa Abu Dawood Wa Nisai Wa Darmi Hazrat Ali Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم
Ne Farmaya Ke "Hum Janwaro Ke Kaan Aur Aankhein Gaur Sy Dekh Le Aur Uski Qurbaani Na Kare Jiske Kaan Ka Agla Hisa Kata Ho Aur Na Uski Jiske Kaan Ka Pichla Hisa Kata Ho Na Uski Jiska Kaan Phata Ho Ya Kaan Me Suraakh Ho.
''جامع الترمذي''،کتاب الأضاحی،باب مایکرہ من الأضاحی،الحدیث:۱۵۰۳،ج۳،ص۱۶۵.

Hadees 21:
Imaam Bukhari Ibne Umar Radiallahu Talah Anhuma Sy Rawi Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Eidgah Me Nahar Jabah Farmate Thy.
۔''صحیح البخاري''،کتاب الأضاحی،باب الأضحی والنحربالمصلّٰی،الحدیث:۵۵۵۲،ج۳،ص۵۷۳.

{Bahar E Shariat, Hisa:15, Qurbaani Ka Bayaan}

Next Post Sy In Sha ALLAH Masail E Fiqiyah Bayan Hoge.

POSTED BY:-
محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ




Post 5

*QURBAANI KA BAYAAN*

Qurbani Ki Kai Qism Hai.

1. Gani Aur Faqir Dono Par Wajib

2. Faqir Par Wajib Gani Par Wajib Na Ho.

3. Gani Par Wajib Ho Faqir Par Wajib Na Ho.


1) Dono Par Wajib Ho Is Ki Surat Yeh Hai Ke Qurbani Ki Mannat Mani Yeh Kaha Ke ALLAH (Azwajjal) Ke Liye Mujh Par Bakri Ya Bakra Ki Qurbani Karna Hai Ya Is Bakri Ya Us Bakra Ko Qurabni Karna Hai.

2) Faqir Par Wajib Ho Gani Par Wajib Na Ho Iski Surat Yeh Yeh Hai Ke Faqir Ne Qurbani Ke Liye Janwar Kharida Is Par Us Janwar Ki Qurbani Wajib Hai Aur Gani Agar Kharidta To Us Kharidne Sy Qurbaan Us Par Wajib Na Hoti.

3) Gani Par Wajib Ho Faqir Par Wajib Na Ho Iski Surat Yeh Ke Qurbani Ka Wujub Na Kharidne Sy Ho Na Mannant Sy Balke Khuda Ne Jo Use Zinda Rakha Hai Uske Sukriyah Me Aur Hazrat Ibrahim Allayasallam Ki Sunnat Ke Ihya Me
(Sunnat E Ibarahim Allaysallam Ko Qayam Rakhne Ke Liye) Jo Qurbani Wajib Hai Wo Sirf Gani Par Hai.

{BAHAR E SHARIAT, HISA 15 ,QURBAANI KA BAYAAN}

POSTED BY:-
محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ





Post 6

QURBAANI KA BAYAAN

Masail E Fiqahiyah

Masla 1 : Musafir Par Qurabani Wajib Nahi Agar Musafir Ne Qurbaani Ki Yeh Tatuh (Nafal) Hai Aur Faqir Ne Agar Na Manat Mani Ho Na Qurbaani Ki Niyat Sy Janwar Kharida Ho Us Ka Qurbani Karna Bhi Nafal Hai.

۔''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۱.

Masla 2 :

Bakri Ka Malik Tha Aur Uski Qurbaani Ki Niyat Karli Ya Kharid Ne Ke Waqt Qurbaani Ki Niyat Na Thi Bad Me Niyat Karli To Us Niyat S Qurbaani Wajib Nahi Hogi.

المرجع السابق،ص۲۹۱.

Masla 3 :

Qurbaani Wajib Hone Ke Sharait Yeh Hai,

1.
Islaam Yani Gair Muslim Par Qurbani Wajib Nahi.

2. Aqamat Yani Muqim Hona, Musafir Par Wajib Nahi,

3. Tawangari Yani Malik E Nisab Hona Yaha Maldari Sy Murad Wahi Hai Jis Sy Sadqa E Fitr Wajib Hota Hai Wo Murad Nahi Jis Sy Zaqat Wajib Hoti Hai.

4. Azaad Hona Jo Azad Na Ho Us Par Qurbaani Wajib Nahi Ke Gulam Ke Pas Maal Hi Nahi Lehaja Ibadat Maliyah Us Par Wajib Nahi. Mard Hona Isliye Sharat Nahi. Aurato Par Wajib Hoti Hai Jis Tarah Mardo Par Wajib Hoti Hai Isliye Isliye Balig Sharat Hai Ya Nahi Isme Iktlaaf Hai Aur Na Balig Par Wajib Hai To Aya Khud Us Ke Maal Sy Qurbaani Ki Jayegi Ya Uska Baap Apne Maal Sy Qurbani Karega. Zahir Ul Rawayat Hai Ke Na Khud Nabalig Par Wajib Hia Aur Na Uske Taraf Sy Uske Baap Par Wajib Hai Aur Isi Par Fatwa Hai.

۔''الدرالمختار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۴،وغیرہ.

Masla : Musafir Par Wajib Nahi Magar Nafal Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai Sawa Payega. Hajj Karne Wale Jo Musafir Ho Un Par Qurbani Wajib Nahi Aur Muqim Ho To Wajib Hia Jaisy Ke Makka Mukrama Ke Rahne Wale Hajj Kare To Chunke Yeh Musafir Nahi Un Par Wajib Hogi.

''الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۴.

Masla 5 Sharait Ka Pure Waqt Me Paya Jana Zaroori Nahi Balke Qurbaani Ke Liye Jo Waqt Muqrar Hai Uske Kisi Hise Me Sharait Ka Paya Jana Wajub Ke Liye Kafi Hai Maslan Ek Shakhs Ibteda E Waqt Qurbani Me Kafir Tha Phir Musalmaan Ho Gyaa Aur Abhi Qurbani Ka Waqt Baqi Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai Jabke Dusre Shrait Bhi Paye Jaye Isi Tarah Agar Gulam Tha Aur Azad Ho Gaya Uske Liye Bhi Yahi Hukm Hai. Yun Hi Awal Waqt Me Musafir Tha Aur Ashna E Waqt Me Muqim Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hogi Ya Faqir Tha Aur Waqt Ke Andar Maldaar Ho Gya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳.

POSTED BY:-

‎محفلِ غُلامِ مُصطفٰىﷺ





Post 7

QURBAANI KA BAYAAN

Masail E Fiqahiyah

Masla 6 : Qurbani Wajib Hone Ka Sabab Waqt Hai Jab Wo Waqt Aya Aur Sharait Wujub Paye Gaye Qurbani Wajib Hogi Aur Iska Rukn Aun Makhsus Janwaro Me Kisi Ko Qurbani Ki Niyat Sy Jibah Karna Hai. Qurbani Ki Niyat Dusre Janwar Mashlan Marg Ko Jibah Karna Jaiz Hai.

''الدرالمختار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۰

Masla 7 :
Jo Shakhs 200 Dirham Ya 20 Dinar Ka Malik Ho Ya Hajat Ke Siwa Esi Chiz Ka Malik Ho Jiski Qimat 200 Dirham Ho Wo Gani Hai Us Par Qurbani Wajib Hai. Hajat Sy Murad Rahne Ka Makan Aur Khanadari Ke Saman Jin Ki Hajat Ho Aur Sawari Ka Janwar Aur Khadim Aur Pehanane Ke Kapde Sy Unke Siwa Chizein Ho Wo Hajat Sy Zaid Hai.

۔''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۲،وغیرہ

Masla 8 : Us Shakhs Par Dain Hai Aur Uske Amwaal Sy Dain Ki Miqdar Mujra Ki Jaye To Nisab Nahi Baqi Rahti Us Par Qurbani Wajib Nahi Aur Agar Is Ka Maal Yaha Maujud Nahi Hai Aur Ayam E Qurbani Guzarne Ke Bad Wo Mal Us Sy Wasul Hoga To Qurbani Wajib Nahi.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۲.

Masla 9 : Ek Shakhs Ke Pass 200 Dirham They Saal Pura Ho Aur Un Me Sy 5 Dhirham Zakat Me Ek 195 Dirham Baqi Rahe Ab Qurbani Ka Din Aya To Qurbani Wajib Hai Aur Agar Apne Zarooriyat Me Panch Dirham Kharch Karta To Qurbani Wajib Na Hoti.

۔المرجع السابق.

Masla 10 : Malik E Nisab Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi Wo Gum Ho Gayi Aur Us Shakhs Ka Maal Nisab Sy Kam Ho Gya Qurbani Ka Din Aya To Us Par Yeh Zaroori Nahi Ke Wo Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Kare Aur Agar Wo Bakri Qurbani Hi Ke Dino Me Mil Gayi Aur Yeh Shakhs Ab Malik E Nisab Nahi Hai To Us Par Is Bakri Ki Qurbani Wajib Nahi.

المرجع السابق

Masla 11 :

Aurat Ka Mehar Shauhar Ke Zime Baqi Hai Aur Shauhar Maldar Hai To Us Mehar Ki Waj Sy Aurat Ko Malik E Nisab Nahi Mana Jayega Agar Che Mehar Ma'hmal Ho Aur Agar Aurat Ke Pas Us Ke Siwa Ba Qadar Nisab Maal Nahi Hai To Qurbani Wajib Nahi Hogi.

المرجع السابق.

Bahaar E Shariat Hisa 15 Qurbaani Ka Bayaan

POsted By :-

‎محفلِ غُلامِ مُصطفٰىﷺ





Post 8

QURBAANI KA BAYAAN

Masail E Fiqahiyah

Masla 12 : Kisi Ke Pas 200 Dirham Ki Qimat Ka Quran Majid Hai Agar Wo Use Dekh Kar Achi Tarah Tilawat Kar Sakta Hai Toh Us Par Qurbani Wajib Nahi Chahe Us Me Tilawat Karta Ho Ya Na Ho Aur Agar Achi Tarah Use Dekh Kar Tilawat Na Kar Sakta Ho To Wajib Hai. Kitabo Ka Bhi Yahi Hukm Hai Ke Uske Kaam Ki Hai To Qurbani Wajib Nahi Warna Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۲،۲۹۳.

Masla 13 : Ek Makaan Jarde Ke Liye (Sardi Ke Liye) Aur Ek Garmi Ke Liye Yeh Hajat Me Dakhal Hai Unke Elawa Iske Pass Tisra Makan Ho Jo Hajat Sy Zaid Agar Yeh 200 Dirham Ka Hai Toh Qurbani Wajib Hai Isi Tarah Garmi Jarde Ke Bichone Hajat Me Dakhil Hai Aur Tissra Bichona Jo Hajat Sy Zaid Hai Uska Aitbar Hoga. Gazi Ke Liye Do Ghorde Hajat Me Hai Tisra Hajat Sy Zaid Hai. Aslah Gazi Ki Hajatme Dakhil Hai Han Agar Har Qism Ke Do Hathiyar Ho To Dusre Ko Hajat Sy Zaid Qarar Dia Jayega. Gao Ke Zamindar Ke Pas Ek Gorda Hajat Me Dakhal Hai Aur Do Ho To Dusre Ko Zaid Mana Jayega. Ghar Me Pehanane Ke Kapde Aur Kamkaz Ke Waqt Pehanane Kkke Kapde Aur Jumuah Wa Eid Aur Dusre Mauqa Par Pehan Kar Jane Ke Kapde Yeh Hajat Me Dakhal Hai Aur In Tino Ke Siwa Chothha Jorda Agar 200 Dirham Ka Hai Toh Qurbani Wajib Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳.

Masla 14 :
Balig Ladko Ya Bibi Ki Taraf Sy Qurbani Karna Chahta Hai To Un Sy Ijazat Hasil Kare Bagair Ijazat Ke Kiye Agar Kardi To Unke Taraf Sy Wajib Ada Na Ho Aur Nabalig Ki Taraf Sy Agar Che Wajib Nahi Hai Magar Kar Dena Behtar Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳.

Masla 15 :

Qurbani Ka Hukm Yeh Hai Ke Uske Jimeh Jo Qurbani Wajib Hai Karlene Sy Bari Ul Jimah Ho Gya Aur Achi Niyat Sy Ki Hai Riya Wagera Ki Madakhalat Nahi Toh ALLAH (Azwajjal) Ke Fazal Sy Ummid Hai Ke Aakhirat Me Iska Sawab Mile.

''الدرالمختار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۱،وغیرہ.

Masla 16 :

Yeh Zaroori Nahi Ke 10vi Hi Ko Qurbani Kar Dale Isliye Ke Gunjaish Hai Ke Pure Waqt Me Jab Chahe Kare Lehaja Agar Ibtedahe Waqt Me Iska Ahl Na Tha Wujub Ke Sharait Nahi Paye Jate Thy Aur Akhir Waqt Me Ahl Ho Gya Yani Wujub Ke Sharait Paye Gaye To Us Par Wajib Ho Gayi Aur Agar Ibtedah E Waqt Me Wajib Thi Aur Abhi Ki Nahi Aur Aakhir Waqt Me Sharait Jate Rahe To Wajib Na Rahi.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳.

Bahaar E Shariat Hisa 15 Qurbaani Ka Bayaan

POsted By :-

‎محفلِ غُلامِ مُصطفٰىﷺ





Post 9

QURBAANI KA BAYAAN

Masail E Fiqahiyah


Masla : 17

Ek Shakhs Faqir Tha Magar Usne Qurbani Kar Dali Uske Bad Abhi Waqt Qurbaani Ka Baqi Tha Ke Gani Ho Gya To Use Qurbaani Karni Chaiye Ke Pehle Jo Ki Thi Wo Wajib Na Thi Aur Ab Wajib Hai Baz Ulma Ne Farmaya Ke Wo Pehli Qurbani Kafi Hai Aur Agar Bawjud Malik E Nisab Hone Ke Usne Qurbani Na Ki Aur Waqt Khatam Hone Ke Bad Faqir Ho Gya Toh Us Par Bakri Ki Qimat Ka Sadqa Karna Wajib Hia Yani Yani Waqt Guzarne Ke Bad Qurbaani Saqit Nahi Hogi. Aur Agar Malik E Nisab Bagair Qurbani Kiye Hue Unhi Dino Me Mar Gaya To Uski Qurbani Saqit Ho Gayi.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳.

Masla 18 :
Qurbaani Ke Waqt Me Qurbaani Karna Hi Lazim Hai Koi Dusri Chiz Uske Qaim Maqam Nahi Ho Sakti Mashlan Bajaye Qurbaani Usne Bakri Ya Uski Qimat Sadqa Kar Di Yeh Nakafi Hai Usme Nihayat Ho Sakti Hai Yani Khud Karna Zaroor Nahi Balke Dusre Ko Ijazat De Di Usne Kar Di Yeh Ho Sakta Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳،۲۹۴.

Masla 19 :
Jab Qurbani Ke Sharait Mazkura Paye Jaye To Bakri Zibah Karna Ya Unt Ya Bakra Ka 7va Hisa Wajib Hai. 7ve Hisa Sy Kam Nahi Ho Sakta Balke Unt Ya Bakra Ke Sharka Me Agar Kisi Sharik Ka 7va Hisa Sy Kam Hai Toh Kisi Ki Qurbaani Nahi Hui Yani Jiska 7va Hisa Ya Us Sy Jayda Hai Uski Bhi Qurbaani Nahi Hui. Bakra Ya Unt Me 7ve Hisa Sy Jayda Ki Qurbaani Ho Sakti Hai. Maslan Bakra Ko 6 Ya 5 Shakhso Ya 4 Shakhso Ki Taraf Sy Qurbaani Kare Ho Sakta Hai Aur Yeh Zaroori Nahi Ke Sab Sharka Ke Hise Barbar Ho Balke Kam Wa Baish Bhi Ho Sakte Hai Haa Yeh Zaror Hai Ke Jiska Hisa Kam Hai To 7ve Hise Sy Kam Na Ho.

'الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۱۔۵۲۵.

Masla : 20

7 Shakhso Ne 5 Bakrao Ki Qurbaani Ki Yeh Jaiz Hai Ke Har Bakra Me Har Shakhs Ka 7va Hisa Hua Aur 8 Shakhs Ne 5 Ya 6 Bakaro Me Bahisa Masawi Shirkat Ki Yeh Na Jaiz Hai Ke Har Bakra Me Har Ek Ka 7va Hisa Sy Kam Hai. 7 Bakriyon Ki 7 Shakhso Ne Sharik Ho Kar Qurbaani Ki Yani Har Ek Bakri Me Sava Hisa Hai Isthanan Qurbani Ho Jayegi Yani Har Ek Ki Ek Ek Bakri Puri Qarar Di Jayegi. Yun Hi Do Shakhso Ne Do Bakriyon Me Shirkat Karke Qurbaani Ki Qurbaani Bataur E Isthaasan Har Ek Ki Qurbaani Ho Jayegi.

۔''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۵.

Masla 21 :

Shirkat Me Bakra Ki Qurbaani Hui To Zaroor Hai Ke Gosht Wazan Karke Taqsm Kia Jaye Andaza Sy Taqsim Na Ho Kyon Ke Ho Sakta Hai Ke Kisi Ko Zaiya Ya Kam Mile Yeh Najaiz Hai Yaha Yeh Khayal Na Kia Jaye Ke Ka Wa Paish Hoga To Har Ek Usko Dusre Ke Liye Jaiz Kar Degakah Dega Ke Agar Kisi Ko Zaid Pohch Gaya Hai To Mauf Kia Ke Yaha Adam Jawaz Haq Sharah Hai Aur Inko Iske Mauf Karne Ka Haq Nahi.

''الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۷.

Bahaar E Shariat Hisa 15 Qurbaani Ka Bayaan

POsted By :-

‎محفلِ غُلامِ مُصطفٰىﷺ




Post 10

QURBAANI KA BAYAAN

Masail E Fiqahiyah

Masla 22 :

Qurbaani Ka Waqt 10vi Zilhajjah Ke Tuluh E Subah Sadiq Sy 12vi Ke Gurub Aaftab Tak Hai Yani Tin Din, Do Ratein Aur In Dino Ko Ayam E Nahr Kahte Hai Aur 11 Sy 13 Tak Tin Dino Ko Ayam E Tashriq Kahte Hai Lehaja Zulhajj Ke Do Di Ayam E Nahar Wa Ayam E Tashriq Dono Hai Aur Pehla Din Yani Zulhajj Sirf Yaum Ul Nahar Hai Aur Pichhala Din Yani 13vi Zulhajj Sirf Yaum E Tashriq Hai.

''الدرالمختار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۰و۵۲۷۔۵۲۹،وغیرہ.

Masla 23 :

10vi Ke Bad Ki Dino Dono Ratein Ayam E Nahar Me Dakhil Hai In Me Bhi Qurbani Ho Sakti Hai Magar Rat Me Jibah Karna Makruh Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الثالث فی وقت الأضحیۃ،ج۵،ص۲۹۵.

Masla 24 :

Pehla Din Yani 10vi Tarikh Sab Me Afzal Hai Phir 11 Aur Pichla Din Yani 12vi Sab Me Kam Darja Hai Aur Agar Tarikhiyon Me Shaq Ho Yani 30 Ka Chand Mana Gaya Hai Aur 29 Aka Hone Kay Shauba Hai Mashlan Gumaan Tha Ke 29 Ka Chand Hoga Magar Abr Wagera Ki Wajh Sy Na Dekhaya Shahdatein Guzrein Magar Kisi Wajh Sy Qabul Na Hu Esi Halat Ke 10vi Mutlaq Yeh Shauba Hai Ke Aaj 11vi Ho To Behtar Yeh Hai Ke Qurabi Ko 12vi Tak Maukhr Na Karey Yani 12vi Sy Pehle Kar Dale Kyon Ke 12vi Ke Mutlaq 13vi Tarikh Hone Ka Shauba Hoga To Yeh Shauba Hoga Ke Waqt Ke Bad Me Koi Aur Surat Me Agar 12vi Ko Qurbaani Ki Jis Ke Mutlaq Tervi Hone Ka Shauba Hai To Behtar Hai Ke Sar Gosht Sadqa Kar Dale Balke Zibah Ki Hui Bakri Aur Zinda Bakri Me Qimat Ka Tafawat Ho Ke Zinda Ki Qimat Kuch Zaid Ho To Us Jyadati Ko Bhi Sadqa Kar Dey.

المرجع السابق.

عالمگیری

Masla 25 : Ayam E Nehar Me Qurbaaani Karna Utni Qimat Ke Sadqa Karne Sy Afzal Hai Kyon Ke Qurbaani Wajib Hai Ya Sunnat Aur Sadqa Karna Ta'tuh Mahaz Hai. (Nafli Ibaadat) Lehaja Qurbani Afzal Hui.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الثالث فی وقت الأضحیۃ،ج۵،ص۲۹۵.

Aur Wujub Ki Surat Me Bagair Qurbani Ke Ohda Bara Nahi Ho Sakta. Yani Wajib Ada Nahi Ho Sakta.

Bahar E Shariat Hisa 15 Qurbaani Ka Bayan

POsted By :-

‎محفلِ غُلامِ مُصطفٰىﷺ






Post 11

QURBAANI KA BAYAAN

Masail E Fiqahiyah

Masla : 26

Shahar Me Qurbaani Ki Jaye To Shart Yeh Ai Ke Namaz Ho Chuke Lehaja Namaz Eid Sy Pehle Shahar Me Qurbani Nahi Ho Sakti Aur Dihaat (Gaao) Chunke Namaz E Eid Nahi Hai Yaha Tuluh E Fajar Ke Bad Sy Hi Qurbaani Ho Sakti Hai Aur Dihaat Me Behtar Yeh Hai Ke Bad E Tuluh E Aftaab Qurbaani Ki Jaye Aur Shahar Me Yeh Hai Ke Eid Ka Khutba Ho Chuke Ke Bad Qurbaani Ki Jaye.

۔''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الثالث فی وقت الأضحیۃ،ج۵،ص۲۹۵.

Yani Namaz Ho Chuki Hai Aur Abhi Khutba Nahi Hua Hai Is Surat Me Qurbani Ho Jayegi Magar Esa Karna Makruh Hai.

Masla 27 :
Yeh Jo Sahar Wa Dihaat Ka Farq Bataya Gaya Yeh Maqam E Qurbani Ke Lehaj Sy Hai Qurbaani Karne Wale Ke Aitbaar Sy Nahi Yaani Dihaat Me Qurbaani Ho To Wo Waqt Hai Agar Che Qurbaani Karne Wala Shahar Me Ho Aur Shahar Me Ho To Namaz Ke Bad Ho Agar Che Jiski Taraf Sy Qurbaani Hai Wo Dihaat Me Ho Lehaja Shahri Admi Agar Yeh Chahta Hai Ke Subah Hi Namaz Sy Pehle Qurbaani Ho Jaye To Janwar Dihat Me Bhej Dey.

''الدرالمختار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۹.

Masla 28

Agar Shahar Me Mut'adad Jagah Eid Ki Namaz Hoti Ho To Pehli Jaga Namaz Ho Chuke Ke Bad Qurbaani Jaiz Hai Zaroori Nahi Ke Eidgah Me Namaz Ho Jaye Jab Hi Qurbaani Ki Jaye Balke Kisi Masjid Me Hogi Aur Eidgah Me Na Hui Jab Bhi Ho Sakti Hai

''الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۷،۵۲۸.

Masla 29

10vi Ko Agar Eid Ki Namaz Nahi Hui To Qurbaani Ke Liye Yeh Zaroor Hai Ke Waqt E Namaz Jata Rahe Yani Zawaal Ka Waqt Aa Jaye Ab Qurbaani Ho Sakti Hai Aur Dusre Ya Tisre Din Namaz E Eid Sy Qabal Ho Sakti Hai.

Masla 30

منےٰ Me Chuke Namaz Nahi Hoti Lehaja Waha Qurbaani Karna Chahe Tuluh E Fajar Sy Kar Sakta Hai Us Ke Liye Wahi Hukm Hia Jo Dihaat Ka Hai Kisi Shahar Me Agar Fitna Ki Wajh Sy Eid Namaz Na Ho To Waha 10vi Ki Tuluh E Fajar Ke Bad Qurbaani Ho Sakti Hai.

''الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۸،۵۳۰.

Masla 31 :

Imaam Abhi Namaz Hi Me Hai Aur Kisi Ne Janwar Jibah Karliya Agar Che Imaam Qaida Me Ho Aur Baqadr Tash'hud Bethh Chuka Ho Magar Abhi Salam Na Phera Ho To Qurbani Nahi Hui Aur Agar Imaam Ne Ek Taraf Salam Phir Lia Hai, Dusri Taraf Baqi Tha Ke Usne Jibah Kar Dia Qurbaani Ho Gayi Aur Behtar Yeh Hai Ke Khutba Sy Jab Imaam Farig Ho Jaye Us Waqt Qurbaani Ki Jaye.

۔''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الثالث فی وقت الأضحیۃ،ج۵،ص۲۹۵.

Bahar E Shariat Hisa 15 Qurbaani Ka Bayan

POsted By :-

‎محفلِ غُلامِ مُصطفٰىﷺ




*BHAINS KI QURABANI DENA KAISA?*


Ummat e Muhammadiya ke Eimani Aqaid aur IsLami Sha’aair ki Hifazat Ki Buniyad Qur’aan Aur Hadees ko Mazbooti se Thamne Neez Salf e Salheen par Aitmaad aur Yaqeen Karne me hai…Lekin BatiL Firqon ne Hamesha Salf Salheen par se Aitmaad Khatm Karne ki Nakaam Koshish ki hai , Chunanche Isi bat Ko Aajkal ke Naam Nihad AhLe Hadees yani Ghair Muqallideen Bakhoobi Anjaam dete hue Mehsoos hote hain….
__
Yahi Wajah hai Ummat ke Ijma’ai MasaiL Chahe wo Aqaid se Talluq rakhte hon ya Furooi MasaiL se ye Log Ummat se Alag Hatkar Chalte hue Nazar aate hain….Aur Apni Tehqeeq ko Sahi Aur Doosron ki Tehqeeq ko Goya Aisa Sabit karne ki Koshish karte hain Jaise Al’ayazu BiLLah Akabireen Ummat ne in MasaiL ko Samjha hi na ho….
__
Inhi MasaiL me se ek MasLa hai Bhains ki Qurbani Ko Lekar….Is Bat Par Tamam Ummat ka Ijma’a hai ki Bhains Gaye ki hi Ek Qism hai….
Isliye Iski Qurbani ko Fuqaha ne Jayaz Qarar Diya hai….Lekin Ghair Muqallideen Aadat se Majboor Is MamLe me bhi Ikhtilaf Karne se Baaz nahi aate….Isliye Wahabi (Ghair Muqallideen) Bhains ki Qurbani Jayaz nahi kehte dekhiye Fatawa AhLe Hadees 90/2 ….
__
Hazraat Aap Logon ko Insha ALLah MaLoom ho Jayega ki Bhains ki Qurbani Jayaz hai ya nahi….
__
Sabse PehLe Ye Jaan Lete hain Ki Bhains ko Arabi me Kya Kehte hain aur Ye Gaye ke zamre me ShamiL hai ya nahi….Isliye PehLe Ashaab e Lughat ke HawaLe Pesh Khidmat hain….
__
1:- ALLama Ibn Manzoor r.a Likhte hain :
الجاموس نوع من البقر دخيل وجمعه جواميس فارسى معرب وهو بالعجميه كواميش ( لسان العرب 43/6 )
__
Yani : Jamoos (Bhains) Gaye ki Ek Qism hai Arabi Zaban me Doosri Zaban se DakhiL kiya gaya hai aur Iski Jama Jawamees hai , Farsi Zaban se liya gaya hai , Farsi me isko Kawameesh kehte hain….
__


2:- AbuL Hasan ALi bin IsmaiL bin Sayyada r.a likhte hain :
الجاموس نوع من البقر ، دخيل وهو بالعجميعه كواميش ( المحكموالمحيط الاعظم لابن سيده 283/1 )
__
Yani : Jamoos (Bhains) Gaye ki ek Qism hai , jisko Ghair Arabi Zaban me “Kawameesh” kehte hain….
__
Iske ALawa Abu AbduLLah Muhammad bin Abdur Rahman MaLiki r.a Likhte hain :
__
الجواميس بقر سود ضخام ( مواہب الجلیل فی مختصر الخلیل 263/2 )
__
Yani : Bhains KaLe rang WaLi Mote Jism WaLi Gaye hoti hai…
__
Bhains ki Qurbani ke Jawaz ke DaLaiL :
__
1:- ALLah Farmata hai : 8 Janwar hain , 2 Bherhon me se , 2 Bakriyon me se , 2 Oonton me se aur 2 Gayon me se…( Soorah In’aam 143,144 )
[ Fayda – Qurbani ke Janwaron me se Bhains bhi DakhiL hai , Kyonki ye bhi Gaye ki ek Qism hai , Lizaha Bhains ki Qurbani bhi Jayaz hai ]
__
2:- Abu Shuja’a DeLmi r.a Hazrat ALi r.a ka ye Asr Naqal Karte hain :
الجاموس تجزئ عن سبعه فى الأضحية ( الفردوس 126/2 )
__
Yani : Bhains Qurbani me 7 Aadmiyon ki Taraf se Kafi Hogi…
__
3:- Ijma’a Ummat :
وأجمعوا على أن حكم الجواميس حكم البقره ( الاجماع ص 43 )
__
Yani : Aur Is Bat par Ijma’a hai ki Bhainson ka Wahi Hukm hai Jo Gaiyon Ka Hai….
__
4:- Hazrat Hasan Basri r.a Farmate hain : Bhains Gaye ke Darje me Hai…( Musannif Ibn Abi Shaiba )
__
5:- Hazrat Sufiyan Soori r.a Farmate hain : Bhainson ko Gaye ke Sath Shumar Kiya Jayega…( Musannif Abdur Razzaq 24/4 )
__
6:- Hazrat Imam MaLik r.a Farmate hain “: Ye Bhains Gaye hi hai ( Yani Gaye ke Hukm me hi hai )
( Motta MaLik 294 )
__
Iske ALawa ALLama Zarqani r.a Imam MaLik r.a Ka QauL NaqaL Karte hain : Yahi HaL Gaye ka hai…aur Jawamees Jamoos ki Jama hai..Jo Gaye ki Ek Qism hai…
( شرح الزرقانى على الموطا 171/2 )
__
7:- Imam Nauwi r.a Farmate hain :
والصواب ماقدمناه أن البقر جنس ونوعاه الجواميس والعراب ( المجموع شرح المہزب 426/5 )
__
Yani : Aur Sahih Bat wo hai Jisko Hamne PehLe Zikr Kar Diya ke Gaye Ek Jins hai Jawamees (Bhains) aur Araab (Arabi Ghora) Iski 2 Qisme hain…
__
Iske ALawa Doosre Fuqaha Wa ULama kya Farmate hain Bhains aur Uski Qurbani ke bare me wo bhi Jan Lete hain…


1:- Abu WaLeed Ibrahim bin Muhammad Farmate hain : Bhains Ki Qurbani bhi Sahih hai aur Isko Bator Hadi Haram me Le Jana bhi Sahih hai…( لسان الحكام 386 )
__
2:- ALLama Ibn Nujaim r.a Likhte hain : Oont , Gaye , aur Bakri Ki Qurbani Jayaz hai Aise hi Bhains ki Ummat e Muhammadiya ke Eimani Aqaid aur IsLami Sha’aair ki Hifazat Ki Buniyad Qur’aan Aur Hadees ko Mazbooti se Thamne Neez Salf e Salheen par Aitmaad aur Yaqeen Karne me hai…Lekin BatiL Firqon ne Hamesha Salf Salheen par se Aitmaad Khatm Karne ki Nakaam Koshish ki hai , Chunanche Isi bat Ko Aajkal ke Naam Nihad AhLe Hadees yani Ghair Muqallideen Bakhoobi Anjaam dete hue Mehsoos hote hain….
__
Yahi Wajah hai Ummat ke Ijma’ai MasaiL Chahe wo Aqaid se Talluq rakhte hon ya Furooi MasaiL se ye Log Ummat se Alag Hatkar Chalte hue Nazar aate hain….Aur Apni Tehqeeq ko Sahi Aur Doosron ki Tehqeeq ko Goya Aisa Sabit karne ki Koshish karte hain Jaise Al’ayazu BiLLah Akabireen Ummat ne in MasaiL ko Samjha hi na ho….
__
Inhi MasaiL me se ek MasLa hai Bhains ki Qurbani Ko Lekar….Is Bat Par Tamam Ummat ka Ijma’a hai ki Bhains Gaye ki hi Ek Qism hai….
Isliye Iski Qurbani ko Fuqaha ne Jayaz Qarar Diya hai….Lekin Ghair Muqallideen Aadat se Majboor Is MamLe me bhi Ikhtilaf Karne se Baaz nahi aate….Isliye Ghair Muqallideen Bhains ki Qurbani Jayaz nahi kehte dekhiye Fatawa AhLe Hadees 90/2 ….
__
Hazraat Aap Logon ko Insha ALLah MaLoom ho Jayega ki Bhains ki Qurbani Jayaz hai ya nahi….
__
Sabse PehLe Ye Jaan Lete hain Ki Bhains ko Arabi me Kya Kehte hain aur Ye Gaye ke zamre me ShamiL hai ya nahi….Isliye PehLe Ashaab e Lughat ke HawaLe Pesh Khidmat hain….
__
1:- ALLama Ibn Manzoor r.a Likhte hain :
الجاموس نوع من البقر دخيل وجمعه جواميس فارسى معرب وهو بالعجميه كواميش ( لسان العرب 43/6 )
__
Yani : Jamoos (Bhains) Gaye ki Ek Qism hai Arabi Zaban me Doosri Zaban se DakhiL kiya gaya hai aur Iski Jama Jawamees hai , Farsi Zaban se liya gaya hai , Farsi me isko Kawameesh kehte hain….
__
2:- AbuL Hasan ALi bin IsmaiL bin Sayyada r.a likhte hain :
الجاموس نوع من البقر ، دخيل وهو بالعجميعه كواميش ( المحكموالمحيط الاعظم لابن سيده 283/1 )
__
Yani : Jamoos (Bhains) Gaye ki ek Qism hai , jisko Ghair Arabi Zaban me “Kawameesh” kehte hain….
__
Iske ALawa Abu AbduLLah Muhammad bin Abdur Rahman MaLiki r.a Likhte hain :
__
الجواميس بقر سود ضخام ( مواہب الجلیل فی مختصر الخلیل 263/2 )
__
Yani : Bhains KaLe rang WaLi Mote Jism WaLi Gaye hoti hai…
__
Bhains ki Qurbani ke Jawaz ke DaLaiL :
__
1:- ALLah Farmata hai : 8 Janwar hain , 2 Bherhon me se , 2 Bakriyon me se , 2 Oonton me se aur 2 Gayon me se…( Soorah In’aam 143,144 )
[ Fayda – Qurbani ke Janwaron me se Bhains bhi DakhiL hai , Kyonki ye bhi Gaye ki ek Qism hai , Lizaha Bhains ki Qurbani bhi Jayaz hai ]
__
2:- Abu Shuja’a DeLmi r.a Hazrat ALi r.a ka ye Asr Naqal Karte hain :
الجاموس تجزئ عن سبعه فى الأضحية ( الفردوس 126/2 )
__
Yani : Bhains Qurbani me 7 Aadmiyon ki Taraf se Kafi Hogi…
__
3:- Ijma’a Ummat :
وأجمعوا على أن حكم الجواميس حكم البقره ( الاجماع ص 43 )
__
Yani : Aur Is Bat par Ijma’a hai ki Bhainson ka Wahi Hukm hai Jo Gaiyon Ka Hai….
__
4:- Hazrat Hasan Basri r.a Farmate hain : Bhains Gaye ke Darje me Hai…( Musannif Ibn Abi Shaiba )
__
5:- Hazrat Sufiyan Soori r.a Farmate hain : Bhainson ko Gaye ke Sath Shumar Kiya Jayega…( Musannif Abdur Razzaq 24/4 )
__
6:- Hazrat Imam MaLik r.a Farmate hain “: Ye Bhains Gaye hi hai ( Yani Gaye ke Hukm me hi hai )
( Motta MaLik 294 )
__


Iske ALawa ALLama Zarqani r.a Imam MaLik r.a Ka QauL NaqaL Karte hain : Yahi HaL Gaye ka hai…aur Jawamees Jamoos ki Jama hai..Jo Gaye ki Ek Qism hai…
( شرح الزرقانى على الموطا 171/2 )
__
7:- Imam Nauwi r.a Farmate hain :
والصواب ماقدمناه أن البقر جنس ونوعاه الجواميس والعراب ( المجموع شرح المہزب 426/5 )
__
Yani : Aur Sahih Bat wo hai Jisko Hamne PehLe Zikr Kar Diya ke Gaye Ek Jins hai Jawamees (Bhains) aur Araab (Arabi Ghora) Iski 2 Qisme hain…
__
Iske ALawa Doosre Fuqaha Wa ULama kya Farmate hain Bhains aur Uski Qurbani ke bare me Insha Allah Next Post Me...




HADEES SHAREEF:

*💢Huzoor ﷺ Ke Naam Ki QURBANI💢*

🌹Hazrat Anas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivayat Hain
*Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne 2 Mendah Qurbani Ki Ek Mendah Nabi e Kareem ﷺ Ki Taraf Se Aur Dusra Apni Taraf Se Aur Aap Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Kaha Muje Aap ﷺ Ne Hukum Diya Tha Ki Mai Unki Taraf Se Qurbani Karu*.

Reference:-

*📒(Mustardak Al Hakim Al Shaeeh)*

📑Look Scan👇🏻




HADEES SHAREEF:

7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain

Jabir ibn Abdullah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivayat hai ki humney Rasoollallah  صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ke saath milkar Hajj Ki Aur Aap صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ Ne  7 aadmiyon ki taraf se ek oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki taraf se ek gaay (cow) ki Qurabani ki

📔(Sahih Muslim)

📑Scan Page 👇🏻👇🏻👇🏻






WAHABI (AHLE HAGEES) KE NAJDIK ANDE,MURGI,GHODE KI QURBANI JAYAZ.



*AHLE HADEES KE MUFTI ABDUR SATTAR NE APNE FATAWA MEIN LIKHA HAIN KE*

*GODE,MURGI AUR ANDE KI QURBANI JAIZ HAIN*

😂😳😂😳😂😳😂😳😂😳

(Fatawa-e-Sattaria, Molvi Abdul Sattar Ghair Muqallid, volume 2, page 72, published in Karach)

Scan Page 👇🏻



No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post