Thursday 29 August 2019

Imame aazam abu hanufa rahmatullah alaihi.

POST:1


*Kya Imam Abu Hanifa Ne Koi Kitab Nahi Tas'neef Di Likhi* ❓

*Yahudi Aur Nasrani* Ki Mehnat Ki Paidawar Jinko Gair Muqallid Ahle'hagee'sh Najdi Ke Naam Se Jana Jata Hai Wo Aur Unke Mendaki Chohe Ye Bakwas Karte Hai Ki Abu Hanifa Ki Koi Kitab Nahi Hai Kyunke Unhohe Koi Kitab Nahi Likhi
*Jhooto Par Allah Ki Lanat*

*Al Jawab*
Mashor Mu'arrikh *[Famous bibliographer]* Hazrat Abu Al Faraj Ibn e Nadeem Al Mutawaffa *380 Hijri*

_Hazrat Imam Abu Hanifa Radi'Allahu'Anhu Ke Halat e Zindagi Ke Bare Me Likhte Hain_ *Imam Abu Hanifa Tabai Thay. Agay Likhte Hai ( Al Fiqah Al Akbar )📗 ( Kitab Al Risalah )📕 ( Kitab Al Aalim Wal Muttalim' )📘 Aur ( Kitab Radd Ala Qadria )*📙 _Aap Ki Tas'nif Apki Likhi Hui Kitabe Hain_

*Reference Book*
Kitāb al-Fihrist
Page *256*
*Scan Page*
📗📄👇🏼



POST :2

Imame Azam Abu Hanifa ka Maqam Ameerul Momineen fil Hadees Abdullah bin Mubarak ki Nazar me:

Imam Moaffaq Makki (578 Hijri) likhte hain:

Hazrat Abdullah bin Mubarak se pucha gaya ki Ek Faqih ko kis waqt Ijazat hai ki wo fatwa de sakta hai? To aapne farmaya. Jab wo Ahadees ka Alim ho, Rawiyon ki Isnad se Waqif ho, aur Qiyas par Mukammal Uboor hasil ho phir Imam Abu Hanifa RadiALLAHO Anhu ki tehqiqat aur Aqwal ko janta ho phir wo fatwa dene ka ahel hai. 
(Manaqibe Imame Azam Pg.100)
.
subhanALLAH! Yani Imame Azam ki Tehqiq aur unke Aqwal ko jane baghair koi Faqih fatwa bhi dene ka ahel nahi hai. Ye Maqam hai mere Imam ka. Aur ye Abdullah bin Mubarak wo hain ki Imam Bukhari aur Muslim ke dada ustad hain jinhe bil Ittefaq Ameerul Momineen fil Hadees kaha jata hai aur ye mere Imam ke shagird hain.

2 Shabanul Moazzam Urs-e-Imame Azam Abu Hanifa ka ehtimam karen.

Dua ki Guzarish: Irfanbarkaati Powerof Ashiqerasool







Monday 26 August 2019

Hadees/hadees ka ilm/hadees ki kisme.

Post:1


Mahfum-e-Hadees:

Qayamat Ke Nishaniyo Mein Se Ek Nishani Yeh Bhi Hain Ke

‎عن أبي هريرة قال رسول الله صلى الله عليه وسلم يكون في آخرالزمان دجالون كذابون يأتون كم من الأحاديث بما لم تسمعو أنتم ولا أباوكم فاياكم واياهم.......إلخ

Hazrat Abu Hurairah رضى الله عنه Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Aakhri Zamane Me Jhoot Bolne Walon Aur Fareb Dene Walon Ki Eik Jamat Hogi Jo Tumhare Samne Aisi Hadise'n Layenge Jo Tum Ne Aur Tumhare Baap DaDao'n Ne Na Suni Hogi, To Unse Door Rehna Unhe Apne Se Door Rakhna Mubada Kahi'n Tume Gumrah Na Kar Den Kahi'n Tumhe Fitne Me Na Daal De.

‎ {الصحيح المسلم، باب نهى عن الرواية عن الضعفاء الرقم الحديث-11}


Scan Page 👇🏻👇🏻





POST:2


Zaeef Hadees Par Amal Dalil Gair Muqallid wahabio Ke Ghar se.


1⃣ *ZAEEF AHLE HADITH*


⚡ Ghair Muqallid Firqa Ke WhatsApp, Facebook Mufti Shor Machate Hain Ke Zaif Hadith Ko Nahi Manna Chahiye is Per Amal Nahi Karna Chahiye Din Raat Wo Sunni Awam Ko Bahkane Ki Koshish Mein Lage Rahte hain Aur Dawa inka Ye Hota Hai Ke Ye Log Zaif Hadith Per Amal Karte Hi Nahi !

🔰 In'sha'ALLAH, Hum Aapko Batayen Ge Ke Ghair Muqallid Zaif Hadith Ko Kab Kab Aur Kahan kahan Maan Chuke Hain.

🗞 Is Unawan Per Aap Qist War Hawale Mualheza Karen Ge Jiski Pehli Qist Mulaheza Karen

📌 Jama'at Ghair Muqalladeen Ke Mujtahid Ul Asar Hafiz Abdullah Ropadi Zaif Hadith Ke Mutaliq Likhta Hai
“Shabe Barat Ka Roza Rakhna Afzal Hai Chunanche Mishkat Wagera Mein Hadith Maujod Hai Agarche Hadith Zaif Hai Lekin Fazail e Aamal Mein Zaif Hadith Per Amal Durust Hai  …

📘 [Fatawa Ahle Hadith, Vol 2, Page 554]




2⃣ *ZAEEF AHLE HADITH*

⚰ *Har bat par sahi hadis puchne wale ab Namaz e Janaza Mein aihle khabis Ghair Muqalladin Ka Zaif Hadith Per Amal*👇🏻


جنازہ کی  تکبرات کے ساتھ رفع یدین والی حدیث ضعیف بھی اور غیر مقلدین کا عمل بھی

⚡Ghair Muqalladin Ke Nau Maulod Bachche Ahlesunnat Wa Jama'at Per Airaz karte Hain Ke Sunni Zaif Hadith Per Amal Karte Hain Magar Ye Log Bhol Jaate Hain Ke Ye Bhi Zaif Hadith Per Chori Chupke Amal Karte Hain

📌 Fatawa Sanaiya Ke Hashiye Mein Ghair Muqallid Ubaidullah Rahmani Likhta Hai
“Takbirat Janaza Ke Sath Rafa Yadain Ke Bare Mein Koi Saheeh, Marfo Qauli Ya Failli Ya Taqreeri Hadith Maujod Nahi Hai. Albatta Baaz Sahaba (رضي الله عنهم) Se zaroor Sabit Hai is Mauqof Riwayat Wa Neez Baaz Zaif ahadith Ki Rau Se Takbirat E Janaza Ke Sath Rafa Yadain Karna Jayaz Hai, Bid'at Ya Mamno' Nahi.

📜 [Fatawa Sanaiya Vol 2 Page 50]

📝 Lijiye Janab Ab Wo Ghair Muqalldi Jo facebook Whatsapp Per Bhonkte Hain Ke Naaf Ke Niche Bandhne Wali Hadees Zaif hai Wo Ab Kiya Karen Ge Ghair Muqallid Molvi Keh Raha hai Ke Namaz E Janaza Mein Takbirat Ke Sath rafa Yadain Karne Wali Hadith Zaif Hai Mumkin Hai Ko Najdi Ye Kahe Ke sahaba Se Sabit Hai Tu Pehle Tu Ghair Muqallid Dharam Mein Sahaba رضي الله عنهم Ka Qaul Hujjat Nahi Dusre Ye Ke Tumhare Mufti Ne Yahan Bhi Koi Sahih Riwayat Ka Zikr Nahi Kiya Pata Chala Ke Tu Ghair Muqallid Zaif AhleHadith Ho!


Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...