Saturday 9 February 2019

Hazrat aamir muawiya radiALLAHU anhu,fazilat. Aameer muhaviya/ amir muhaviya/Ameer/muaviya/Amir muhaviya अमीर मुआवीया


POST:1

Hazrat Ameer Muaviya Hazrat ibne Abbas ki Nazar mein

Hazrat Ibne Abbas say Pocha Gaya Kay Aap Hazrat  Ameer ul Mominin Ameer Muaviya Kay Baare Mei Kya Raaye  Hai Jab Ki Wo witar KI Ek hi Rakaat Padhtay Hain Hazrat Ibne Abbas Nay Farmaya BE shak Wo Faqeeh Hain

*Bukhari Shareef vol 2 page 436*




POST:2

*Huzoor ﷺ Hazrat Ameer Muaviya Kay liye Jannat ki Basharat Farmaye Hain*
Nabi Karim irshad Farmate Hain meri ummat mein say Jo giroh Sab Say Pahle Bahri Jihad Kare ga Un kay Liye Jannat Wajib Hogai bukhari sahrif vol 2 page107 Bukhari sharif Hi mein Dusri Jaga Riwayat Milti Hai ki sahaba kiram Nay Hazrat Ameer Muaviya Kay Sath milkar Sab Say pala Bahri Jihad kiya.

[ Bukhari sharif vol 2 page 66,67]




POST: 3

Jaame Tirmizi mein Baab ul Manaqib Hazrat Ameer Muaviya

Firqa Minhajul Quran Kay Baani Dr Tahir ul Minhaji Nay Apni Ek Takrir Mein Kaha Ki kisi Muhaddis Nay Hazrat Ameer Muaviya Ki Fazilat mein Baab Nahi Bandha niche Jame Tirmizi ka Sacan pesh Kiya Gaya Hai Jismein  Imam Tirmizi Nay Hazrat Ameer Muaviya Ki Fazilat Mein Baab Bandha Hai Lihaza Dr Tahir ul Minhaji Nay Kizb Bayani Say Kaam lekar Sunni Awam Ko Dhoka Dene ki koshish ki Hai Hai.




POST:4

*Huzoor ﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya Ko Duayen Di Haain

Huzoorﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya kay LIye Dua farmai ki “ aye Allah is {Ameer muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye  Dusron Ko Hidayat Ata Farma

 *{kanzul umal vol13 page 349}*











POST-5


*Hazrat Ameer Muawiya 6000 Ta'baeen Se Bhi Afzal*

_Hazrat Imaam Ibn Abi 'Asim Al Mutawaffa (287 Hijjri Farmate Hai_
*_Hazrat Syyedina Ameer Muawiya Radi'Allah'Anhu Ke Rutbay Ke Bare Me Log Puchte Hai Hazrat Ameer Muawiya Ki Shan Toh Azmat Ka Ye Alam Hai Ki Agar 6000 Umar Bin Abdul Aziz Jaise Bhi Aa Jaye Tabhi Hazrat Syyedina Ameer Muawiya Radi'Allah'Anhu Ke Barabar Nahi Pahuch Sakte Hain._*

_Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Pehle Mujaddid Hai Aur Taba'een Bhi Hai Unki Shan Duniya Janti Hai_

*Reference Book*
_Kitab As Sunnah_
*Scan Page*
📗📄👇🏻




POST:6


Ameer Muwaiya SAANI Umar رضي الله عن Hain

SANAD :-
Imam Abu Baker Al Khallal Rh— > Abdullah bin Muhammad bin Shakir— > Abu Usama— >Hammad bin Zaid — >Muammar — >Imam Al-Zuhri rehmatullahi Alahi Farmatey Hain 

‎عمل معاوية بسيرة عمر بن الخطاب سنين لا يخرم منها شيئ

Ameer Muwaiya Ne Sayedna Umar Radillahu anhu Ke Seerat Par Saalon Saal Aise Amal Kiya KE Zarra Barbar Bhi koi Kami Nahi ki 

“Isnaad Sahih”

[As-sunnah Abu Bakr Khilaal Jild 01, Safa 444, Hadees number 653)

📚Scan Page





POST:7


Huzoor ﷺ Ka Farman Muawiya Mujhse Hain Aur Main Muawiya Se رضي الله عنه* Se Hoon...

HADEES 
‎أخبرني حرب قال : ثنا محمد بن مصفى ، عن عبد العزيز بن عمر قال : حدثني إسماعيل بن عياش ( ۹ ) ، عن عبد الرحمن بن عبد دینار ( 2 ) ، عن أبيه ( 1 ) ، عن ابن عمر قال : قال رسول الله : « یا معاوية أنت مني وأنا منك لتزاحمني على باب الجنة كهاتين » ( ۷ ) .

SANAD 
Imam Abu Baker Al Khallal Rh— > Imam Harb Bin Ismail Qarmani Rh — > Imam Muhammad Bin Musafa Rh — > Abdul Aziz Bin Umar Rh — > Ismail Bin Ayaash Rh — > Abdur Rehman Bin Abdullah Bin Dinar Rh— > Aur Wo Apne Walid Abdullah Bin Dinar Rh — > Hazrat Abdulla Bin Umar رضي الله عن 

HADEES 

Hazrat Abdulla Bin Umar رضي الله عن  Farmatey Hain Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Aaye Muawiya رضي الله عنه Tu Mujh Se Hai Aur Main Tujhse Hun Aur Tu Mere Saath Jannat Ke Darwaze Per Yun ikhatta Hoga Jis tarah Ye Angusht e Sahadat Aur Darmiyan Wali Ungli Ek Saath Hain Aur Apni Dono Ungliyaun Ko Milaya Kar Farmaya 

Reference Book*
_Kitab As Sunnah_Imam Al-Khallal Jild 01, Safa 454, Hadees 704

*Scan Page👇




POST : 8


Nabi-E-Pak ﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya Ko Dua 🤲🏻 Di Hain

1️⃣Huzoorﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه kay LIye Dua farmai ki “ Aye Allah is {Ameer muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye  Dusron Ko Hidayat Ata Farma.

{kanzul umal vol 13 page 349}

📚Scan Page 

 2️⃣Tirmizi Ki Bab ul Manqib Mein Hadees Hai ki”Hazrat Umer Bin KHattab nay Hamas bin Umair bin Sa,ad Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Waali Banaya tu Logon Nay kaha Aap Nay Umair Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Ameer Muqarar Farma Diya is per Hazrat Umar nay Kaha Hazrat Ameer Muaviya Ka zikr Khair say Hi Kiya Karo Kiyun Kay Main Nay Nabi Karim ﷺ Ko Farmate Suna Ya Allah {Ameer Muaviya Kay Zariye Logon ko Hidayat Day.
رِضْوَانُاللهِتَعَالىٰعَلَيْهِمْاَجْمَعِيْنَ
[Jame Tirmizi vol 2 page755]

📚Scan Page 

3️⃣Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain Aye Allah {Hazrat} Ameer Muaviya ؓ Ko Quran Aur Hisab Ki Taleem  Dey Use Zameen Ki Badshahi Ata Farma Aur Use Azab Say Bacha.

{Al Muajjam ul Kabeer vol 19 page 439}

📚Scan Pages











POST:9



Hazrat Ameer Muawiya Ke Khilaf Kuch Riwayaat Ki Haqiqat

Hazrat Mulla Ali Qari رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 1014 Hijri Likhte Hain...✍🏻

Jitni Bhi Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Aur Hazrat Amrr Bin Aas رضي الله عنه Aur Banu Umayyah Ke Khilaf Riwayate Hai Sab Mawzu (Fabricated-Jhooti) Hai...

(al'asrar al-Marfueat fi al'Akhbar al-mawzu'aat, Safa no 455)







POST:10


Ameer Muwaiya (Radhiallahu'anhu)
Se Koi Masla Puchne Aata Toh Usko Kehte Hazrat Ali Ke Pass Jao Wo Sabse Behtar Jaantey Hain

جاء رجل إلى مُعَاوِيَة فسأله عن مسألة، فقال : سَل عنها علي بن أبي طالب، فهو أعلم، فقال : أريد جوابك يا أمير المؤمنين فيها، فقال : ويحك، لقد كرهت رجلاً كان رَسُول الله ﷺ يغره بالعلم غراً، ولقد قال له : «أنت مني بمنزلة هارون من موسى إلا أنه لا نبي بعدي ٤

Ek Shaqs Ameer Muwaiya (Radhiallahu'anhu) Se Masla Puchne Aaya . Ameer Muwaiya (Radhiallahu'anhu) Ne Kaha Ali Bin Abi Talib (Radhiallahu'anhu) Se Puchlo.. Wo Zyada Behtar Jaantey Hain … Toh Usnę Kaha Ameer Ul Momineen Iska Jawab Aap Se Lena Chahata Hu
Toh Ameer Muwaiya (Radhiallahu'anhu) Ne Kaha Kharabi Ho Tere Liye ….. Tu Us Shaqs Ko Na-Pasand Karta Hain.. Jis Ko Nabi Kareem (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) Ilm Sikate The 
Aur Nabi (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) Ne Ali (Radhiallahu'anhu) Ke Bare Mein Farmaya Aaye Ali Tere Sath Mera Wahi Nisbaat Hain 
Jo Harroon Alahisalam Ka Moosa Alahisalaam Ke Saaath Tha Magar Mere Baad Koi Nabi Nahi …..

(Tarikh-e-Damishq Ibn e Asakir Safa 171)

Scan Page




3 comments:

Qabristan Jakar Salaam Karna | Qabr walo Ko salaam Karna |Hadees

 Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Madinah Shareef Me Kuch Qabro Ke Paas Se Ghuzray To Un Qabro Ki Taraf Rukh...