Friday, 13 October 2023

Shirk E Akbar Shirk E Azgar

 Huzoor ﷺ Ko Sirf Sahaba E kiram Rizwanullahim Azmayeen Ki Nahi Balki Ummat E Muslimah Kay Shirk E Akbar Me Mubtela Hone Ka Khauf Naa Tha

 Balke Shirk e Ashgar (Riya Kari) Mein Ummat e Mohammadiya Mubtela Hogi


Shirk E Asgar jo Riyakari hai us se bande Ka Amal Jaaya Hojata Hai lekin is se banda Islam Se Kharij Nahi hota Hai 

Ye Hamesha Yaad Rakhe bahot Bunyadi baatein Hai 


HADEES 1️⃣


Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya woh apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho

Unhone kaha Ubada suno 

Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu, 

Mene puchha woh hadees konsi hai 

Kaha, 

"Mein sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the, 

Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN  ghamgheen kyu hain ? 


To Aaqa ﷺ ne farmaya 

'Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai,  (Is wajah se ghamgheen hu )'

Meine Arz ki kis cheez ka khatra ?


SHIRK aur KHUFIYA SHAHWAT ka Khauf hai.

Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi ? 


Sarkaar ﷺ ne irshad farmaya, 

Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI. 

(Aye shaddad mene jise shirk kaha woh riyakari /dikhawe ke aamaal hain )

Mene arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke aamaal bhi shirk hai 

Farmaya, haan." 


References :


(Hakim  Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010)   


(Sunan Ibn Majah,Kitab Uz Zuhad, Hadees : 4204)


(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , Hadees : 17250)


(Imam Bayhaki Shoebul Imaan Vol : 5, pg :333, Hadees : 6830) 


(Hilyatul Aulia Vol 1 pg 466 Hadees : 899)


Scan Page 


HADEES 2️⃣


Hazrat Abu Saeed Khudri رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ se rivayat hai Farmate hai 

“Hum Log Dajjal k Muttalik Guftgu kar Rahe The Nabi E Karim ﷺ Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?

Humne Kaha Haan Rasool Allah ﷺ 

Farmaya CHHUPA SHIRK (Hidden Shirk), Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”


References :


(Sunan Ibn Majah, Pg : 698, kitab Uz Zuhd, Baab 21 : Hadees : 4204)


(Mishkal Al Masabih, Kitabur Riqak, Pg : 1466, Hadees : 5333)


Scan Page 


Is Se Maloom Huwa Kay Dikhawe ka amal Usko Shirk E Khafi Kaha gaya hai. 

Shahwat e khafiya aur Shirk E Khafi Pe ek aur hadees e paak mulahiza karen. 


HADEES 3️⃣


Hazrat Ubada bin Nusayi رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate Hai Mai Hazrat Sayyidna Shaddad bin Aws رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Unhe Rota Paa Kar Sabab E Girya Daryaft Kiya To Unhone Farmaya Mujhe Us Hadees Ne Rula Diya Jo Maine Huzoor Rehmat E Aalameen ﷺ Se Suni Thi Ki Aap Ne Irshad Farmaya Mujhe Apni Ummat Par Shirk Aur Khufya Shahwat Ka Khauf hai.

Khufya Shahwat Ye Hai Ki Aadmi Subah Roze Ki Halaat Me Karega Lekin Jab Nafs Ko Marghoob Chiz Uske Saamne Aaygi To WO Us Me Pad Jayga Aur Roza Chod Dega.

Aur Shirk (khafi) Ye Hai Ki Log Ne Patthar Ko Pujenge Na Butho Ko Lekin Dikhlawe Kay Liye Amal Karenge.


References : 


(Imam Abu Nuaym Ahmad Isfahani Hilyatul Awliya Wa Tabqatul Asfiya Vol : 01, Pg : 477, Hadees : 900) 


(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 341-42, Hadees : 7145)


Scan Page 


HADEES 4️⃣


وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ 

‎أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ

Hazrat Mahmud Bin Labid Se Rivayat Hai Rasulullah Ne Farmaya Jis Cheez Ka Mujhe Tum par sabse zyada Khauf hai Wo hai SHIRK E ASGAR jo dikhawe ka amal hai. 


References : 


(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulug Al Maram Pg : 544, Hadees : 1484)


(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 09, Pg : 154, Hadees : 6412)


Scan Page











No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post