DALIL HADEES SHAREEF SE:
POST:1
15vi Shaban [Shabe Baraat] Ki Raat Iba'dat Karna Aur Subha Roza Rakhna.
Hazrat Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain
"Jab Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Qayaam [Iba'dat] Karo Aur Din Me Roza Rakh'kho Beshaq ALLAH ﷻ Ghurob e Aftab Se Aasman e Duniya Par Khaas Tajalli Farmata Hai Aur Kehta Hai , Hai Koi Mujhse Magh'firat Talab Karne Wala Ki Usay Bakh'sh Doon.Hai Koi Rozi Talab Karne Wala Ki Usay Rozi Doon.Hai Koi Musibat Jada Ki Usay Aafiyat Rahat Ata Karon.Hai Koi Aisa ! Hai Koi Aisa.?Aur Ye Us Waqt Tak Farmata Hai Jab Tak Fazr Tuloh Na Ho Jaye."
{Sunan Ibn Majah,Vol :2,Hadees :1388}
हिंदी में:
हज़रत अली रदीअल्लाहु अन्हु फरमाते है "जब शाबान कि रात आये तो उसमे क़याम (ईबादत) करो, और दिन में रोज़ा रखो बेशख अल्लाह ﷻ गुरूब ए आफ्ताब से आसमान ए दुनिया पर खास तजल्ली फरमाता है और कहता है, है कोई मुझसे मग्फिरत तलब करने वाला कि उसे बक्श दुं, है कोई रोज़ी तलब करने वाला कि उसे रोज़ी दुं, है कोई मुसिबत जदा कि उसे आफियत राहत अता करुं, है कोई ऐसा! और ये उस वक्त तक फरमाता है जब तक फज़र तुलू न हो जाये।
{Sunan Ibn Majah,Vol :2,Hadees :1388}
📑Scan Page👇🏻
POST:2
Hadees Shareef:
Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen ﷻ Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon.
{Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358}
📑Scan👇🏻
हिंदी पोस्ट:
*❤शाबान में रोजा रखना और ईबादत करना कैसा❤*
कुछ लोग शाबान मे 15 वी रात को ईबादत क्यो करते रोजा क्यो रहते इसपर ऐतराज करते है। पहली तो बात यह ईबादत फर्ज नही है मुस्तहब है। इसकि दलिल हदीस में मौजूद है👇
_“हज़रत उसामा बिन जैद रदीअल्लाहु अन्हु फरमाते है मैने अर्ज़ कि या रसूलुल्लाह मै देखता हुं जिस तरह आप शाबान में रोज़ा रखते है इस तरह किसी भी महीने में नही रखते? फरमाया रज्जब और रमज़ान के दरमियाँ मे महीना है लोग इस्से गाफिल है, इसमें लोगो के आमाल अल्लाह रब्बुल आलमिन कि तरफ उठाये जाते है और मुझे ये महबूब है के मेरे आमाल इस हाल में उठाये जाये कि मै रोजादार हुं।"_
{Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358}
POST:3
(Sahi Hadis)
Hazrat Muaz Bin Jabal رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Nabi e Akram ﷺ Ka Ye Farman Naqal Karte Hai...
Nisf Shaban Ki Raat Allah عزوجل Apni Makhluk Ki Taraf Mutwajah Hota Hai Aur Shirq Karne Wale Aur Qatah Talluki Karnewale Ke Alawa Saari Makhluk Ki Mangfirat Kardeta Hai.
(Saheeh Ibn Hibban, Vol 6, Page 592, Hadis 5665)
Note:-Mohaddis Farmate Hai Ye Hadis Sahi Hai Iske Raavi Siqa Hai..
Scan:👇
POST:4
15 Shabaan Rat Me Ibadat Aur Din Me Roza Rakhna
Hadees:
“Hazrat Aliyul Murtazaa Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai *Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho* Beshak ALLAH Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Duniya Par Khas Tajalli Farmaataa Hai Aur Kehtaa Hai Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Wala Ki Use Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Wala Ki Use Rozi Doon Hai koi Musibat Jadaa Ki Use Aafiyat Ataa Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmaataa Hai ki Fazr Tuloo Hojaye”
{Sunan Ibn Majah : Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388}
*Hazrat Ali Radiallahu Anhu*
*Ki Ahaadees Ko Mukhtalif Hadees Ki Kitabo Se Jamaa Kiya Phir Aakhir Me Apnaa Faislaa Sunaya Ke*
*To Yeh Ahaadees Majmooi Taur Par* *HUJJAT Hai, Unlogo Ke*
*KHILAAF Jo Ye Dawa Karte Hain Ke Koi Baat 15 Shabaan Ki Fazeelat Me Saabit Nahi, Wallahu Ta’ala Alam*
{Tohfatul Ahwazi}
*SCAN PAGE👇🏻*
POST :5
11 wi Sharif or Shah Abdul Aziz Muhadis Dahelvi
jo Hazrat Shah Waliullah K bete Bhi Hai Aur Wahabiyo k Aaka Aur Maula Shah Ismail Dahelvi k Chacha bhi
Farmate Hai ki Hazrat Gaus Aazam رضی اللہ عنہ k Rauz E Mubarak Par 11wi Tareekh Ko Badhshah Wagaira Shaher k Aqabeerin Jama Hote Namaz E Asr K Baad Magrib Tak Kalamullah k baad Sazzada Nasheen Darmiyan Me Tashrif Farma Hote Aur Unke Ird Gird Mureedin or Halka bagosh Baith Kar Jikr Jehar Karte Isi Halaat me baaj Par Wazdani Kaifiyat Taari Hojati Uske bad Tamam Shirni Jo Niyaz tayyar Ki Hoti Taksim Ki jaati Aur fatiha se faragt hokr Namaz E Isha padhke Log Rukhsat Hote”
or farmate hai shaaban ki 15wi raat ko magrib ke waqt se subah Sadiq Tak asmane duniya PR Allah taala ki rahmat ka nuzool or tajalliyate ilahi ka wird hota rahta hai agar admi se ho sake to tamam raat warna nisf (adhi) rat Tak jarur jaage.
or farmate hai ke ambeya or auliya ki Rooh or ahle bait ke arwaah se tawassul paida karna hai ye arwaahe alameen nehayat kawi taseer krti hai or kuwat ka istefaadah hamesha ke liye lazim hota hai jaisa ke alam me dekha jata hai haiwanat or jamadat ki tashkheer bhi isi se krte hai is istemdad me Pak Roohen hoti hai un or fatiha padhi jati hai unko sawab bakhsha jata hai ye sawab bakhsna or fatiha padhna akhir sab (raat) me hua to umdah hai kabhi ye istefadah Zinda admi se bhi hota hai or farmaya ke mujhko jin jin rooho se faizan hota hai wo 5 arwahe mubaraka hai
1 Rasool allah ﷺ ki Rooh mubarak
2 hazrate Ali رضی اللہ عنہ ki
3 hazrate gaushe azam رضی اللہ عنہ ki
4 hazrate bahauddin naqsbandi رحۃاللہ ki
5 hazrate moinuddin chisti رحۃاللہ ki rooh Mubarak
or farmate hai
shaaban ki 15wi raat ko magrib ke waqt se subah Sadiq Tak asmane duniya PR Allah taala ki rahmat ka nuzool or tajalliyate ilahi ka wird hota rahta hai agar admi se ho sake to tamam raat warna nisf (adhi) rat Tak jarur jaage
isi kitab me ek jagah farmate hai
ba tarkibe ursh molvi Abdul Qadir sahab ke ursh e sarayi yani fatiha wagairah hua krti thi apne Walid mazid or dada sahab ke qabro pr ۔ me meri buzurg or khandan or peer bhi hote the
hawala
{malfujate Shah Abdul Aziz muhaddis safa Farsi 62,Urdu safa 57/65/87}
matlab Shah Abdul Aziz sahab ursh fatiha 11wi quran khowani in sab ke qayl the
DALIL AHLE HADEESO KE GHAR SE.
POST:1
*Shabe Barat Ki Raat Ko inadat Karna Jayaj Hai Ahle Hadees Ke Ulma Ka fatwa*
Victorian Ahle Hadees Molvi Ka Fatwa:- Shab e Barat ki Raat Ibadat karna Biddat nhi Sawab hai..
{Fatwa Sanaiya, Pg No.656}
Scan:
POST:2
KON KEHTA HAI KE HUM AHLE HADEES SHAB E BARAAT KE QAAYIL NAHI HAI ?
Hamare Ahl-e-Hadeeso ke Muhaddis Shams ul Haq Azeembadi Farmaate hai ke Baaqi Raha Nisf e Shabaan ki shab ko Quraan e Shareef Tilaawat, Dua e Maasura, Azkaar e Saheeha Padhna, Nafil Namaz Awwal Shab ko Beghair Jamaat……aur Allah tala se Maghfirat Chahna, Rehmat ki Khuwaastagaar [Request] Karna aur Apne Liye Duaaye Maagna aur Dua me Girya-wazaari Karna bhi Biddat Nahi hai, Balke MAUJOOB E AJAR WA SAWAAB E AZEEM hai.
{Fataawa Maulana Shamshul Haq Azeembadi : Safa 181}
No comments:
Post a Comment