Tuesday, 13 September 2022

ALLAH KE BARE JAANE |AQEEDA E TOUHID

 Kya ALLAH Ta'ala Har Jagah Hai ?


Bachpan Se Sunte Aur Pade Aaye Hai Ke Allah Ta'ala Har Jagah Maujood Hai, Halake Yeh Jumla Aur Aisa Aqeedah Kufr Hai.

Kyonke Kisi Bhi Zaat Ke Liye Jagah Sabit Karne Ke Liye Uska Jism Hona Zaroori Hai, Jabke Allah Ta'ala Jism Se Paak Hai, 


Lihaja Wo Daye Baye, Uper  Niche, Aagey Pichhe Tamaam Jehaton Se Bhi Munza Hai. Pas Yun Na Kahein Ke Wo Har Jagah Maujood Hai, 


Balke Yeh Kaha Jaye Ke "Wo Maujood Hai Ya Yun Kahein Ke "Uska Ilm Aur Uski Qudrat Har Shaye Ko Muhit Hai" 

Ya Phir Yeh Kah Lein Ke "Usne Apne Ilm Aur Qudrat Ke Aitbaar Se Har Chiz Ka Ihata Kiya Huwa Hai"


Ya'ani Kainaat Ka Har Zarra Uske Ilm Me Hai Aur Har Zarre Me Tasrruf Par Wo Qadir Hai, Wo Jaisa Chahe Banaye, Jaise Chahe Karde Uski Marzi.


▪️(Khulasa Fatawa E Razwiyah  Jild 14 Safah 618_622)

No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post