*Ramzan Special Part-1*
_AITEKAAF KA BAYAN_
Ramazan E Pak Ki Ibadaton Me Se Eik Ibadat Aitekaf Karna Hai, Jo Ramzan Ke Akhri Ashre Me Kiya Jata Hai (20we Roze Ke Suraj Guroob Hote Hi Masjid Me Jana Aur Maahe Shauwwal Ka Chand Nazar Aane Par Masjid Se Bahar Hona) Ye Aitekaf 10 Dino Ka Hai.
Khush Naseeb Hain Wo Log Jo Ise Ada Karte Hain Rat O Din Masjid Ke Nurani Mahol Me Reh Kar Chote Bade Gunaho Se Bachte Hain Aur Zikro Tilawat Duroode Pak O Nate Pak Ki Kasrat Se Apni Aakhirat Sanwarte Hain.
Is Aitekaf Ke Bade Fazayel Warid Huye Hain Jisme Se Kuch Ye Hain,,,,,,
*HADEES* ✍
Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Huzoor Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ramzane Paak Ke Aakhri Ashre Me Aitekaf Farmaya Karte The.
📚 _صحيح مسلم، كتاب الاعتكاف، باب الاعتكاف العش الأوخر من رمضان، صفحہ-597، الرقم الحديث-1172_
*HADEES* ✍
Sayyedna Imame Husain رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Jisne Ramzan Me 10 Dino Ka Aitekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2 Hajj Aur 2 Umre Kiye.
📚 _شعب الایمان، باب في الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-425، الرقم الحديث-3966_
*HADEES* ✍
Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Farmati Hain,
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye, Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye, Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho, Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi, Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare.
📚 _سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172_
Ramzan Ke Aakhri 10 Din Ka Aitekaf Yani 20we Roze Ko Suraj Doobte Waqt Masjid Me Ba-Niyyate Aitekaf Hona Aur 30we Ramzan Ko Suraj Doobte Hi Nikalna Ya 29 Ko Chand Nazar Aane Par Masjid Se Nikalna, Agar 20we Ramzan Ko Namaze Magrib Ke Baad Aitekaf Ki Niyyat Se Dakhil Hua To Sunnate Moakkedah Ada Na Hui, Ramzan Ka Aitekaf Sunnate Kifayah Hai, Agar Shaher Ya Gaon Ke Sab Logo Ne Chhod Diya To Sab Se Puch Hogi, Aur Agar Eik Ne Bhi Kiya To Sab Bariuz'zimmah Hain"
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-2*
*Mas'ala* ✍
Masjid Me Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Thaherna Aitekaf Hai, Aur Uski Liye Musalman Aaqil (Aqal Wala) Aur Janabat Aur Haiz O Nifas Se Pak Hona Shart Hai, Balig Hona Shart Nahi, Balki Na'balig Jo Tameez Rakhta Ho Agar Ba-Niyyate Aitekaf Masjid Me Tehre To Ye Aitekaf Sahi Hai.
📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1020_
*Mas'ala* ✍
Aitekaf Ke Liye Jama Masjid (Badi Masjid) Shart Nahi, Balki Masjide Jamat Jisme Imam O Mo'azzin Muqarrar Hon Agarche Usme Panjgana Jamat Na Hoti Ho, Aur Asani Isme Hai Ki Mutlaqan Har Masjid Me Aitekaf Sahi Hai, Agarche Wo Masjide Jamat Na Ho, Khususan Is Zamane (Gaon Dihat Me) Aksar Masajid Aisi Hain Ki Wahan Na Imam Hai Na Mo'azzin.
📚 _pBahar-E-Shariat, Hissa-5 Aitekaf Ka Bayan, Page-1020_
*Mas'ala* ✍
LSab Se Afzal Aitekaf Karna Masjide Haram (Kabatullah) Me, Phir Masjide Nabwi Me, Phir Masjide Aqsa Me, Phir Usme Jahan Badi Jamat Hoti Ho.
📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1021_
*Mas'ala* ✍
Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh Hai.
Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho, Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Kare, Wo Jagah Chabutra Type Unchi Ho Aur Use Pak O Saf Rakhe.
📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021_
*Mas'ala* ✍
Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf Nahi Kar Sakti, Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka Iradah Kiya Kisi Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To Us Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai...
📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-3*
_Aitekaf 3 Tarah Ke Hain_
1> Wajib Yani Minnat Ka Aitekaf,
2> Sunnate Moakkedah Ye Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf Hai,
3> Mustahab Aitekaf, Iske Liye Roza Zaroori Nahi Na Koi Khas Waqt Balki Jab Bhi Masjid Me Gaya Aitekaf Ki Niyyat Kare, Jab Tak Masjid Me Rahega Motakif Hai Aur Jab Chala Aaya Aitekaf Pura Ho Gaya, Ye Bagair Mehnat Ka Aitekaf Hai Sirf Niyyat Se Hi Sawab Milna Shuru Hota Hai, Lihaza Jab Bhi Masjid Me Jaye Aitekaf Ki Niyyat Zaroor Karen.....
*Mas'ala* ✍
Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Roza Shart Hai Agar Kisi Musafir Ya Bimar Ne Aitekaf Kiya Magar Roza Nahi Rakha To Sunnat Ada Na Hui Balki Aitekaf Nafl Hua.
📚 _الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-496_
*Mas'ala* ✍
Minnat Ke Aitekaf Ke Liye Bhi Roza Shart Hai, Agar 1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Mani Aur Kaha Ki Bina Roze Ke Sirf Aitekaf Karuga Tab Bhi Roza Rakhna Wajib Hai.
📚 _الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-497_
*Mas'ala* ✍
1 Mahina Aitekaf Ki Minnat Maani To Ye Minnat Ramzan Me Puri Nahi Kar Sakta, Balki Khas Us Aitekaf Ke Liye Roze Rakhne Hoge.
📚 _Alamgeeri, Volume-1, Page-211_
*Mas'ala* ✍
Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai, Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya Uske Marne Ke Baad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai.
📚 _Alamgeeri, Volume-1, Page-211_
To Be Continued=>
*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770
*Ramzan Special Part-4*
*Mas'ala* ✍
Wajib Aitekaf (Minnat Ka Aitekaf) Me Motakif Ko Masjid Se Nikalna Haram Hai, Agar Bagair Uzr Nikla To Aitekaf Toota Agarche Bhool Se Hi Nikla Ho, Yun Hi Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Bhi Bila Uzr Nikalne Se Aitekaf Toot Jata Hai.
📚 _Alamgeeri, Volume-1, Page-211_
*Mas'ala* ✍
Aurat Ne Masjide Bait (Ghar Me Wo Hissa Jo Aurat Ne Apni Namaz Padhne Ke Liye Banaya Ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf Kiya Aur Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya.
📚 _Alamgeeri, Volume-1, Page-212_
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Masjid Se Nikalne Ke 2 Uzr (Wajah) Hain.
*Mas'ala* ✍
1> Hai Taba'ee Hajat, Jaise Pakhana Peshab Istinja Wazu Aur Gusl, Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.
2> Shari Hajat, Masa'lan Eid Ya Juma Ke Liye Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par Jana.
📚 _Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501_
*Mas'ala* ✍
Qazaye Hajat (Pakhana Peshab) Ko Bahar Gaya To Farig Hote Hi Chala Aaye Thaherne Ki Ijazat Nahi, Motakif Ke 2 Makan Hain Eik Masjid Se Door Aur Eik Nazdeek To Nazdeek Ke Makan Me Jaye Baz Mashayekh Farmate Hain Agar Door Ke Makan Me Gaya To Aitekaf Toot Gaya.
📚 _Raddul Mohtar, Volume-3, Page-501_
*Mas'ala* ✍
Aisi Masjid Me Aitekaf Kiya Jahan Jamat Se Namaz Na Hoti Ho To Namaze Ba-Jamat Ke Liye Dusri Masjid Me Jane Ki Ijazat Hai.
📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1024_

No comments:
Post a Comment