Iftaar ki dua kab padhna chahiye....
Sarkar Aala Hazrat رضي الله عنه farmate hai iftaar ki dua amuman qabl az iftar parhne ka riwaaj hai, magar yeh dua iftaar ke baad parhni chahiye.
(Fatawa Razviya Shareef, Jild 1, Safah no.13)
Iftar ke baad parhne se muraad khajoor kha kar ya pani pi kar yeh dua parhni chahiye. Iss dua ka tarjuma yeh hai.
"Aye Allah maine tere liye roza rakha aur tujh par imaan laaya aur tujh par bharosa kiya aur tere diye huwe rizq se iftaar kiya."
واللہ تعالی اعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment