1] HADITH SHAREEF:
Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Roze Athar Ki Ziyarat Ke Hawale Se Irshad Farmaya__
“Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله تعالى عنه ne riwayat kiya hai: Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne farmaya, Jisne meri Qabr ki ziyarat ki us ke liye meri shafa’at wajib ho gayi”.
[● SUNAN DAARE QUTNI, JILD 2, PG 278]
[● HAKIM TIRMIZI, NAWADIRUL USOOL, JILD 2, PG 67]
[● BAIHIQI – SHOBUL IMAAN, JILD 3, PG 490;]
[● ZAHBI NE “MIZAAN UL AITEDAAL (6:567)]
MEIN KAHA HAI KI ISSE HAZRAT IBN UMAR رضي الله تعالى عنه NE MARFUAN RIWAYAT KIYA HAI AUR IBN KHUZAIMA NE “MUKHTASAR AL MUKHTASAR” MEIN NAKL KIYA HAI.
● IMAM NABHANI “SHAWAHIDUL HAQ FI AL ISTAGASUHU BI SAYADIL KHALQ , PG 77” MEIN LIKHTE HAI KI AIMAH E HADITH KI EK JAMAAT NE ISSE SAHIH QARAAR DIYA HAI.
● IMAM SUBKI IS HADITH KI CHAND ASAANEED BAYAN KARNE AUR JIRAA WA TADEEL KE BAAD FARMATE HAI:
“MAZKURA HADEES HASAN KA DARJA RAKHTI HAI. JIN AHAADITH MEIN ZIYARAT E QUBOOR E ANWAR KI TARGEEB DI GAYI HAI UN KI TADAAD 10 SE BHI ZYADA HAI. IN AHAADEES SE MAZKURA HADITH KO TAQWIYAT MILTI HAI AUR ISSE HASAN SE SAHIH KA DARJA MIL JATA HAI.”
[●SUBKI , SHIFAUL ASQAAM FI ZIYARATIL KHAYRIL ANAAM, 3:11]
● ABDUL HAQ SHIBLI NE ISSE SAHIH QARAAR DIYA HAI. IMAM SUYUTI NE “MANAHIL AL SAFA FI TAKHREEJ AHAADEES AL SHIFA , PG 71” MEIN ISSE SAHIH KAHA HAI.
● SHAYKH MEHMOOD SAEED MAMD’O “RAF’AUL MINARAH , PG 318″ MEIN IS HADEES PAR BADI MUFASSAL TEHQEEQ KE BAAD LIKHTE HAI KI YE HADITH HASAN HAI AUR QAWAID E HADITH BHI ISSI RAAI PAR DALAALAT KARTE HAI.
IS HADITH KA MAFOOM YE HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ROZE AQDAS KE ZAAEER PAR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI SHAFA’AT MUTAHAQIQ AUR LAAZIM HO GAYI YAANI ALLAH TA’AL SE ZAAEER KI MUAAFI WA DARGUZARI KI SIFARISH KARNA LAAZIM HO GAYA.
2] HADITH SHAREEF:
Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko ye farmate huwe suna: ” Jis ne meri Qabr ( ya raawi kehte hai ki Aap ne farmaya:) Meri ziyarat ki Mein us ka shafi ya gawah hou ga. Aur jo koi 2 harmo mein se kisi ek mein faut huwa Allah use Roze qayamat imaan walo ke saath uthayega.”
[● MUSNAD TAYAALSI, 13, RAQAM : 65]
[● SUNAN DARE QUTNI, JILD 2, PG 278]
[● BAIHIQI – SUNAN E KUBRA, JILD 5, PG 245]
3] HADITH SHAREEF:
Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله تعالى عنه riwayat karte hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka farmane Aqdas:
“Jisne Haj kiya phir meri wafat ke baad meri Qabr ki ziyarat ki to goya usne meri zindagi mein meri ziyarat ki.”
[● SUNAN DARE QUTNI, JILD 2, PG 278]
[● TABRANI – AL MAUZAMIL KABEER, 12:310]
[● TABRANI – AL MAUJAMIL AWSAT, 4:223]
● KHATEEB TABREZI NE MISHKAAT AL MASAABIH (2:128, KITAB UL MANASIK) MEIN ISSE MARFOO HADEES QARAAR DIYA HAI.]
4] HADITH SHAREEF:
Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka farman e Aqdas hai:
“Jis ne Baitullah ka Haj kiya aur meri (Qabr e Anwar) ziyarat na ki to us ne mere saath Jafa ki.”
[ ● SUBKI – SHIFA UL SIQAAM FI ZIYARATIIL KHAIRIL ANAAM: 21]
[● IBN HAJAR MAKKI – AL JAWAHIRIL MUNZAM: 28]
[● NABHANI – SHAWAHIDUL HAQ FI FI AL ISTIGHASA BI SAYYADIL KHALQ: 82]
5] HADITH SHAREEF:
Hazrat ka’ab ul Ahbarرضي الله تعالى عنه ke qubool e Islam ke baad Hazrat Umar Farooq رضي الله تعالى عنه ne unhe kaha:
“Kya Aap Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Roze Aqdas ki ziyarat aur fuyoozo barakaat haasil karne ke liye mere saath Madina Munawwara chalege? To unhone kaha: Ji! Ameer il Momineen.”
Phir jab Hazrat Ka’ab ul Ahbar رضي الله تعالى عنه aur Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه Madina Munawwara Aaye to sab se pehle Baargah e Sarware konain صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِmein haazri di aur salaam arz kiya. Phir Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه ke madfan mubarak par khade ho kar unki khidmat mein salaam arz kiya aur 2 rakat namaz adaa farmayi.
[● WAQIDI – FATHUS SHAAM, JILD 1, PG 244]
[● HAITHAMI – AL JAWHARUL MUNZAM: 27-28]
IS BAAB MEIN KASEER AHADITH AUR AQWAAL RIWAYAT HUWE HAI JO AMBIYA WA SAHABA WA AWLIYA WA AIMA KE MAZAARAAT KI ZIYARAT AUR UNSE FAIZ O BARAKAAT HAASIL KARNE PAR KUTUB E AHAADITH WA SIYAR MEIN MAUJOOD HAI. AUR YAHI AQEEDA WA AMAL 1400 SAAL SE UMMAT MEIN QAYAM HAI AUR TAMAAM MUHADISEEN WA MUFASIREEN AIMA NE ISSE JAIZ WA MUSTAHAB KAHA HAI.
AMBIYA AUR AWLIYA KI DARGAAH/ MAZAARAAT KI HAAZRI KE LIYE SAFAR KARNE PAR WAHABIYO KE AITERAAZ KA JAWAB
AITERAAZ:
Jiske naam ka URS hota hai, Mela ussi ki Qabr par lagta hai. Log usme shirkat keliye door-door se SAFAR karte hain.
PYARE NABI(Sallallaho alaihi wa sallam) NE FARMAYA:
Tum ‘Safar’ MAT karna, SIWAYE TEEN Masjido ki taraf;
1) Masjid-e-Haraam,
2) Masjid-e-Nabwi,
3) Masjid-e-Aqsa.
[●Bukhari 1189.]
JAWAB:
WAHABI IS HADITH KO BUNIYAD BANA KAR AMBIYA AUR AWLIYA KE QUBUR (MAZAARAAT) KI ZIYARAT HAT’TA KI HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ROZE ATHAR (QABR E MUBARAK) KI BA-GARZ E ZIYARAT HAAZRI KO BHI NAJAIZ AUR (MAAZALLAH) SHIRK KEHTE HAI. JAB KI MUHADISEEN WA MUFASIREEN E KIRAAM NE IS ISTIDLAAL KO GALAT AUR KAJH FEHMI KARAAR DIYA HAI. UNHONE APNI MAUTABAR KITAAB MEIN IS HADITH KA SAHIH MATLAB BAYAN KIYA HAI.
HADITH SHAREEF:
“Hazrat Abu Hurraira رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya : Masjid e Haraam, Masjid e Nabwi aur Masjid e Aqsa ke siwa kisi ki taraf rukhsat e safar na baandha jaaye.”
[● SAHIH BUKHARI, KITAB UL JUMAH, BAAB FAZLUL SALAAH FI MASJID MAKKAH WAL MADINA, JILD 1]
AB WAHABIYO NE IS HADITH SE YE ISTIDLAAL KIYA KI IN TEENO MASJID KE ALAWA KISI BHI MAZAAR PAR JANE KI NIYAT SE SAFAR KARNA HARAM HAI.
YE ISTIDLAAL AUR MATLAB BILKUL GALAT HAI.
IS HADITH KA SAHIH MATLAB YE HAI KI “ZYADA SAWAAB KE HUSOOL KI NIYAT SE TEEN MASAJID KE SIWA KISI MASJID KI TARAF SAFAR NA KIYA JAAYE YAANI ZYADA SAWAB SIRF IN TEEN MAAJIDO KE LIYE KHAAS HAI. AB KOI SAWAAB ZYADA MILNE KI NIYAT SE IN TEEN MASAAJID KE ALAWA DUSRI MASAAJID KE LIYE SAFAR NA KARE.”
IS HADITH MEIN QABRO KI ZIYARAT KA ZIKR HI NAHI.
●IS HADITH KE SAHIH MATLAB PAR AIMA E HADITH KI TEHQEEQ:
1. IMAM NAWAWI (676 hijri) KI TEHQEEQ:
“Is Hadith mein teen masaajid ki fazilat aur duniya ki deegar masaajid par darje mein unki bartari ka bayaan hai kyuki ye Ambiya ki masaajid hai aur is wajeh se in mein namaz padhne ka sawaab aur fazilat zyada hai. ”
[●NAWAWI – SHARAH SAHIH MUSLIM, JILD 9, PG 106]
UNHONE MAZEED LIKHA HAI KI BAAZ ULEMA NE IN MASAAJID KE ALAWA QUBOOR E SWALIHEEN PAR JAANE MEIN ALAG ALAH AARAA KA IZHAAR KIYA HAI:
“Hamare ashaab (yaani shawafe) ke nazdeek sahih mauqif ye hai ki Ziyarat e Quboor na haraam hai na makrooh. Unhone kaha is hadees ka sahih matlab ye hai ki SAWAB KE LIYE safar ikhtiyaar karne mein mukammal fazilat in teen masajid ke saath khaas hai”
[● NAWAWI – SHARAH MUSLIM, JILD 9, PG 106]
EK JAGAH UNHONE LIKHA HAI:
“Is Hadith mein masajid ki fazilat aur uski taraf safar ki fazilat ka bayan hai. Is liye jumhoor aima ke nazdeek in masaajid ke alaawa dusri masaajid ki taraf rukhsat e safar baandhne mein koi fazilat nahi.
[●NAWAWI – SHARAH SAHIH MUSLIM, JILD 9, PG 168]
ISSI TARAH IN TAMAAM MUHADITHEEN NE YAHI FARMAYA:
2. IMAM SUBKI (756 HIJRI) KI TEHQEEQ
[● ASQALANI – FATH UL BAARI, SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 3, PG 66]
3. QAZI AYYAZ (544 H) KI TEHQEEQ
[●NAWAWI – SHARAH AL NAWAWI, JILD 2, PG 177]
4. IMAM IBN HAJAR ASQALANI (852 H ) KI TEHQEEQ
[● ASQALANI – FATH UL BAARI SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 3, PG 65]
5. ALLAMA BADRUDDIN AYNI (855 H) KI TEHQEEQ
[●AYNI – UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI , JILD 7, PG 253- 254 -260]
6. IMAM SUYUTI (911 H) KI TEHQEEQ
[●SUYUTI, SHARAH SUNAN IBN MAJAH, JILD 1:102]
7. MULLA ALI QARI (1014 H) KI TEHQEEQ
[● ALI QARI – MIRQAH AL MAFATIH, JILD 2, PG 190]
8. SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLWI (1052 H) KI TEHQEEQ
[●ASHATUL LAMAAT, JILD 1, PG 324]
9. IMAM ZURQANI (1122 H) KI TEHQEEQ
[●ZURQANI- SHARAH AL MUWATTA, JILD 1, PG 320]
IN TAMAAM MUHADISEEN NE IS HADEES KA SAHIH MATLAB WA MAFOOM YAHI BATAYA KI BAAZ LOGO KO IS HADEES E MUBARAK SE MUGAALTA (MISCONCEPTION) HUWA PAS UNHONE SAMJHA KI SHAAYAD IN TEEN MAQAAMAAT KE ALAWA KAHI AUR SAFAR KE LIYE JANA HUKME MUMAANIYAT ME DAAKHIL HAI HAANLAAKI YE BAAT GALAT HAI KYUKI QAADAH KI ROO SE ISTASNA YA TO JINSI ‘MUSTASNA MINH’ SE HOTA HAI. PAS IS SOORAT MEIN HADEES E MUBARAK KA MAANI HOGA MASAJID MEIN SE KISI MASJID KI TARAF SAFAR NA KIYA JAAYE YA MAQAAMAAT MEIN SE KISI MAQAAM KI TARAF ZAATI FAZILAT KI WAJEH SE SAFAR NA KIYA JAAYE SIWAAYE MAZKURA TEEN MAQAAMAAT KE. PAS ZIYARAT WA MULAAQAAT YA TALB E ILM KE LIYE KISI JAGAH KA SAFAR US JAGAH KI WAJEH SE NAHI BALKI US JAGAH MEIN REHNE WALE KI WAJEH SE HOTA HAI.
DALIL HADEES SE:
Ziarat-e-Qaboor:-Musanif ibn-e-Abi Sheiba ney riwayat ki k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم her saal uhad k shohada ki qabr per tashreef ley jaty they".
(Musanif Abdur-Razzaq, V:3, Page:573)
(Umda-ul-Qaari, V:8, Page:70)
AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"Main ney tumhain qabr ki ziarat sey mana kia tha, laikin ab tum qabr ki ziarat kia karo".
(Sahi Muslim, Hadees:106)
"Qabr ki ziarat kia karo, kyun k yeh duniya sey beyrughbati ka sabab hai aur aakhrat ki yaad dilati hai".
(Sanan, Ibn-e-Maaja, Hadees:1571)
*🍃MAZAAR SHARIF KA BOSA LENA*
*🌹SAHABA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KA AQEEDA🌹*
*🍀HADEES E MUSTAFA ﷺ🍀*
Dawood bin Abu Salih رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se riwayat hai,
ek din Marwan aaya aur usne dekha ki ek shaks Rauza-e-AQadas ﷺ ke paas baitha hua hai aur usne *apne muh ko Qabr-e-Anwar MAZAR SHARIF se laga diya hai.* Ye dekhkar Marwan ne usse kaha
"Tumhe pata hai ye tum kya kar rahe ho??"
ye sunkar jab wo Shaks palte to dekha ki wo Sahabi-e-Rasool Hazrat Abu Ayyub Ansari رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه the,
aur unhone jawab diya
"Haan, mai janta hu, aur mai yahan ALLAH ﷻ ke Rasool ﷺ ke paas aaya hu, kisi patthar ke paas nahi aaya. Maine Rasool ﷺ ko kehte hue suna ki Mazhab par mat rona jabki iske Rehbar Qabil ho, haan Mazhab par aansu bahana jabki iske rehbar qabil na ho."
📒[Ahmad bin Hambal رحمة الله عليه with a sound chain of transmissionin his Musnad Volume 017, Page No. 42-43,Hadith Number 23476,
Front Cover Musnad Ahmad bin Hambal رحمة الله عليه, Publish: Dar al-Hadith al-Qahira Misr]
📑Scan Page👇🏻👇🏻👇🏻
Is Hadees ko Khud Imam Ahmed Bin Hanbal رحمة الله عليه ne Sahi sanad ke sath bayan kiya.
aur Imam Hakim رحمة الله عليه ne kaha ki Bukhari aur Muslim ki sharto ke mutabiq is Hadees ki tamam Isnaad sahi hain.
Aur Imam Zahbi رحمة الله عليه ne bhi iski Sanad Sahi bayan kiya hai.
سبحان الله
➡1: Is Hadees se Sahaba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Aqeeda bhi pata chalta hai ki Rasool Allah ﷺ ki Qabr ke paas Jane ka matlab wo Rasoolullah ke qarib jana hi samajhte hain,
➡2: Hazrat Abu Ayyub Ansari رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne apne muh ko Rauza-e-Aqdas se laga diya tha, yani bosa liya, سبحان الله
➡3: Qabr-e-Anwar ki Misal kisi patthar ya murti/butt se nahi diya ja sakta, yehi Sahaba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Aqeeda hai.
📑Scan page👇🏻👇🏻👇🏻
AURATO'N KA MAZAARAT PAR JANA NAJAYJ HAI?
Hum sunnio ke najdik aurato'n ka mazaar ki jiyarat ke liye jana najayaj hai.agar koi aurate kam ilm k wajah se jaate hai to unhe samjhaye ulma e ahle sunnat ka farman bataye.
Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihirrehma farmate hain:-
Ghuniyyah mein hain yeh na poochho ke Aurato'n ka mazaaro'n par jaana jaaiz hai ya nahi, balke yeh poochho ke us aurat par kis qadar la'nat hoti hai Allah Taa'la Ki taraf se kis qadar Sahibe qabr ki jaanib se, Jis Waqt woh ghar se iraada karti hai la'nat shuru ho jaati hai aur jab tak wapas aati hai malaaika la'nat karte rahte hain.
Siwaye Raza-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ke kisi Mazaar par jaane ki ijaazat nahi.waha'n ki haazri albatta sunnat jaleela azeema qareeb ba-waajibaat hai aur Qur'an-e-Kareem ne isey maghfirat ka zariya bataya...
( Malfoozaat Shareef , page: 240 , Mulakhkhasan Rizvi kitaab ghar, Delhi )
Lekin kya aap jante hai? Wahabi ahle hadees ke allama naseeruddin albani apni kitab me likhta h ki aurte kabristan jaa sakti hai.
Scan:
_____________________________________________________
*✨FAIZAN E MAZARAT✨*
*💫Sahaba e Kiraam Ka Aqida💫*
🌹Hadees:
Hazrat Abdur Rahmaan bin Saad رضي الله عنه bayaan karte hain ki Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله عنه ka paaon sun ho gaya to Ek Aadmi ne unse kaha ki logon mein jo Aap ko sab se zyada Mehboob ho use Yaad karo.
To Aap ne kaha :
*" Yaa MUHAMMAD صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ! (Aur unka Paaon bilkul theek ho gaya)*
📒[Imam Bukhari fi Adab ul Mufrad, Jild 1]
🌹Hadees:
Hazrat Malik Daar riwaayat karte hain ki Hazrat Umar رضي الله عنه ke zamaane mein log qahat mein mubtila ho gaye. Phir ek Sahabi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par haazir huwe aur Arz kiya :
*Yaa RASOOLALLAH! صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Aap apni Ummat ke liye sairaabi maange kyunki woh halaak ho gayi hain........ (Is amal ke baad muraad puri huwi aur khoob baarish huwi)*
📒[Musanaf ibne Abi Shayba, jild 6;
📒Baihiqi fi Dalailun Nubuwah]
🍃Sahaba e Kiraam ki Sunnat Hai
🍃NABI e Kareem ﷺ ke Mazaar par jaa kar Muraad wa Madad Mangna
🍃Hum to Sahaba e Kiraam Ki Sunnat par amal kar rahe hain kyunki Hamare NABI ﷺ aur WALI sacche aur ALLAH ki Ataa se muraad puri karte hai.
🌹Hadees:
Hazrat BURIDA رضي الله عنه se riwaayat hain ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya:
*"MAIN Tumhe ziyaarat-e-Quboor se manaa kiya karta tha, pas ab ziyaarat kiya karo"*
📒[Sahih Muslim, kitaab ul Janaiz]
Aur Hazrat ABDULLAH bin UMAR رضي الله عنه se riwaayat hain RASOOLULLAHصلی اللہ ُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya:
*"Jisne MERI Qabr (Mazaar) ki Ziyaarat ki (roze Qiyaamat) us ke haq mein MERI shafa'at waajib ho gayi"*
📒[Daare Qutni fi Sunan, jild 2; Baihiqi fi Shoobul Imaan, jild 3]
*✨URS OF AWLIYA ALLAH✨*
🌹HADEES:
Abu Hurraira رضي الله عنه saad bin abi waqas رضي الله عنه mohammed bin ibrahim رضي الله عنه ukhba bin omer رضي الله عنه se Riwayat hai k Nabi Kareem ﷺ Har saal shauda e uhad ki Mazaar par tashrif le jate aur unhe farmate tum par salam ho Kyu Ke tumne sabar kiya. Ishi Tarah Abu Baker رضي الله عنه Umer رضي الله عنه
Usman رضي الله عنه Bhi Har Saal shauda-e-uhad k mazaar-e- Mubarak ki Ziyarat Karte The
📒[ Tafseer Ibne Kaseer By Imam Ibne Kaseer Under The Ayaat Surah Rad Ayaat 24 ]
🗂Other Refrence:-
📒1. Musannif Abdul Razzaq
📒2. Tareek Al Madeena By Imam Ibne Abi Shayba H.262
📒3. Imam Bayhaqi H.458
📒4. Tafseer Al Tabari By Imam Ibne Jareer H.310
📒5. Tafseer Al Kabeer By Imam Fakruddin Al Raazi
📒6. Tafseer Ad Durrul Mansoor By Imam Jalauddin Syuthi H.911
📒7. Tafseer Abi Su'ud H.951
📒8. Tafseer Aalusi By Imam Aalusi H.1270
📒9. Tafseer Al Qurthubi H.671
*🌺Hujjat Ul Islaam Shah Abdul Haq MUHADEES DEHLVI رحمة الله عليه*
📒''Al Intibah fi Salasil ul Auliaullah"
Mein Farmate Hain Is Hadees Ki Roshni Mein Sabit Hua Saal Mein Ek Bar Awliya Ka urs Manana Jayz Hain
📑Scan Page👇🏻👇🏻👇🏻
*💢FAIZAN E MAZARAT💢*
*MUNAFIKO Ke Mu Per Imam Zahbi رحمتہ اللہ علیہ Ka Tamacha۔۔*
*Tarjamah*:
Mai Kehta hu'n : Awr Duwaye'n Ambiya Kiram علیہم السلام Wa Awliya Izam رحمتہﷲ علیہم Ke Qabro Ke Paas Kubul Hoti Hai Awr Tamam Rooye Zamee'n Per Bhi. Lekin Kubuliyat Ka Sabab Duwa Karne Wale Ki Maujudgi (Us Ke Dil Ka Hazir Hona) Hai Awr Uska Khusoo (Ajizi) Gidgidana Awr Bila Shak O Shuba'h Mubarak Zameeno Me, Masjido Me Awr Jangalo Me Awr Uske Jaise Tamam Jagaho'n Per Duwaye'n Kubul Hoti Hai Awr Wo Duwa Karne Wale Ke Liye Khoob Hasil Hota Hai. Awr Har Majboor Wa Bekas Ki Duwa Kubul Hoti Hai..
[ *📔Siyar a`lam al-nubala'* - Page 77
The Lives of Noble Figures ]
Yaad Rahe Ki Wahabiya Imam Zahbi Ko
" صاحب الاستقراء و التام فى نقد الرجال "
Ke Laqab Se Bulate Hai..
*Ek Suwal* : MUNAFIKO Se Poochna Chahenge Ki Mazarate Awliya ALLAH Per Hazri Dekar Waha'n Duwa Karna Muhaddiseen Ka Tareeka Hai To Iss Mustahab Kaam Se Rokne Wale Tum Shaitan Hue Ki Nahi ?
*[MUNAFIKO Ki Mawth]*
*Scans* ⬇⬇
DALIL BUJURGO SE.