Saturday, 20 January 2024

Inadat kise kahte hai?

 #Ibadat Kise Kehte Hain ? Iski Kya Paribhasha Hai ?


Jawab:


Ibadat Ke Maana Bandagi Aur Taa’At Ke Hain.

Ibadat Sirf Kalima, Namaz, Roza, Hajj Aur Zakaat Ka Naam Nahi.

Balke Har Wo Khair Ka Kaam Aur Mubaah Amal Bhi Ibadat Mein Dakhil Hai Jo Khalis Allah Ta’ala Ke Liye Kiya Jaaye Aur Shariat Ke Mutabiq Kiya Jaayein.

Lehaza Sunnat Par Amal Karna Bhi Ibadat Hai.

Jaise Khana Peena Uthna Baithna Walidain Ki Khidmat Aur Tijarat Wagaira Karna Bhi Ibadat Ban Sakta Hai.

Jab Ke Sunnat O Shariat Ke Mutabiq Kiya Jaayein.

Isi Tarah Durood Shareef, Zikr Wagaira Bhi Ibadat Hai.


○●●●●●●●●●●●●○

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah

Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi

Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

○●●●●●●●●●●●●○

No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post