Tuesday, 23 January 2024

Bad mazhab ki baat sunna

 Bad mazhab ki baat sunna


Kya Har Kisi Se Deen Sikhna Quran Sun na Sahih Hai aaj har gumraah firqa yehi kah rah hai dawa hai haath me Quran hone kah aur yehi kaam Daur E Sahaba me tabai me bhi huwa karta tha Magar Salaf ka amal kya tha wo badhmazhab ko sunte hi nahi they


Imam Abu Baqr Muhammad Ibn Sirin Tabai Radi Allahu Anhu (Al Mutwaffa 110 Hizri) ka Kaul Jo Imam Darmi ne Apni Sunan Me Nakl Kiya Hai 

“Ek Aadmi Imam Ibn Sirin kay paas aaya aur kaha Mai Aapko kuch hadees bayan karoon, Ibn Sirin Ne Kaha ‘Nahi’ 

Us aadmi ne kaha kya mai aapke saamne kuch kitabullah ki aayate padhoon, Ibn Sirin ne kaha Nahi

Imam Ibn Sirin ne kaha Tum hamare pass se uth jao yaa hum uth jaate hai, wo chala gaya to kisi ne Imam Ibn Sirin se puchu Aye Abu Baqr Usne Quran ki aayat padhne kaha Aapne kyun mana kar diya.

Arz Kiya Mujhe khauf Hai kay mere pass koi aayat padhte aur usme tehreef karde jo mere dil me utar jaaye”

References : 

(Sunan Darmi Pg : 63, Kitabul Muqaddamah, # 411)

(Imam Lalakai, Shara Fi Usool E Aiteqaad E Ahle Sunnat, #642)





No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post