Sawal. Qabar par azan dena kaisa he, iski tafsil farma dain?
Al jawab
Masla Qabar par Azan dena.
Musalman maiyat ko qabr main dafan ker k
azaan deina ahl-e-sunnat k nazdeek jaiz hai, es
k bohat sey dalail hain:-Mishkaat shareef main
hai:"Apny murdoon ko sikhao ﮧﻟﺍﻻ ﻪﻠﻟﺍﻻﺍ "
(Mishkaat Shareef, Kitaab Al-Janaiz, Page:140)
(Sanan Abi Daood, V:2, Page:88)
Dunyawi zindagi khatam honey per insan k liay 2
khaternak waqt hain, aik roh qabz honey ka aur
dosra qabr main sawal jawab ka, ager eman per
khatma na hua tou duniya main jo kia sub zaya
gaya aur ager Qabr k imtehan main nakaam ho
gai tou tou aainda ki zindagi berbaad ho jai gi, es
liay zindon ko chahiyay k merny waly ki madad
karain aur merty waqt es ko kalima perh perh k
sunaian k jo kalima perh ker duniya sey jai ga wo
kamyab hoga.
Fatawa Shami main hai:"Dafan k baad talkeen
kerny sey mana nahi kerna chahiyay kyun k es
main koi nuksan tou hai nahi, bal k nafa he nafa
hai.
(Fatawa Shami, V:1, Page:628)
Jeisa k ahadees main aaya hai tou in ibaraton
sey maloom hota hai k dafnany k baad murdey
ko kalima-e-tayyaba ki talkeen kerna
MUSTAHAB hai, azaan main bhi kalima he hai,
es liay azaan bhi talqeen-e-maiyat hai bal k
MUSTAHAB hai kyun k azaan main mukamal
talkeen hai, kyun k qabr main 3 sawal hoty hain,
pehla tera RUB kon? dosa tera deen kya? aur
teesra yeh k Es Sunehri Jaali waly AAQA ko tu
kya kehta hai? Azaan main in teeno ka jawab
hai, pehly ka jawab k main gawahi deita hon k
ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ aik hai, dosrey ka jawab bhi azaan
main hai, yaani mera deen wo hai jis main 5
namazain FARZ hain(siwai Islam k kisi bhi deen
main 5 namazain na theen), teesrey ka jawab
hua Main gawahi deita hon k Muhammad ﯽﻠﺻ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ
ﻢﻠﺳﻭ ALLAH k Rasool hain.
Namaz k illawa bhi azaan deina baaz makamaat
per SUNNAT hai, jeisy bachy ki peidaish k waqt,
mirgi waaly k kaan main, ghussa waly k kaan
main, lashkaroon ki jung k waqt, maiyat ko qabr
main utarty waqt.
(Rad-ul-Mukhtar, Baab-al-Azaan, V:1,
Page:283)
Sahi Muslim shareef main mojood hai:"Jub
Namaz ki azaan hoti hai tou SHETAN gooz
lagata hua bhagta hai yahan tak k azaan nahi
sunta".(Sahi Muslim, V:1, Page:291,
Hadees:389)
Tou sabit hua k SHETAN azaan sun ker bhagta
hai, insan ki moat k waqt bhi SHETAN ki yeh
koshish hoti hai k kisi terhaan eska eman cheen
lon, yahan tak k qabr k sawalon k bary main bhi
wuswasy dilata hai k mujhy KHUDA keh ta k
qabr k imtehan main yeh fail ho jai. Tou jub
azaan sey SHETAN bhagta hai tou es sey achi
aur kya baat ho sakti hai k SHETAN ko qabr
main bhi azaan k zariyay bhagaya jai.
Hadees-e-Pak main aata hai:
"Huzoor ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ney perha ﻥﺎﺤﺒﺳ ﮧﻠﻟﺍ , phir perha ﮧﻠﻟﺍ
ﺮﺒﮐﺍ , deegar hazraat ney bhi perha, logon ney arz
ki aisa kyun kia, fermaya aik saleh bandey per
qabr tang ho gai thi, ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ ney eski berkat
sey qabr ko kushada ker dia".
(Musnid Imam Ahmed Bin Hunbal, V:3,
Page:360)
Es Hadees ki sharah main Allama Taibi fermaty
hain:"Hum loog tasbeeh-o-takbeer kehty rehty
hain, yahan tak ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ qabr ko kushada
ferma deita hai".
(Merkaat Al-Mafateeh, V:1, Page:211)
Tou azaan main bhi zikr hai aur zikr kerny sey
rehmat ka nazool hota hai, aur maiyat ko rehmat
ki bohat zaroorat hoti hai.
Es k illawa baat yeh hai k na he ahl-e-sunnat es
aml ko FARZ kehty han na he WAJIB, yeh aik
MUSTAHAB aml hai, aur Mustahab aml wo hota
hai jissy Huzoor ﯽﻠﺻ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﻢﻠﺳﻭ ney kabhi kia aur
kabhi nahi kia, aur wo bhi MUSTAHAB aml hai
jisko guzishta musalman acha janty hain.(Rad-
ul-Mukhtar, V:1, page:92)
No comments:
Post a Comment