Tuesday, 10 July 2018

Hazeer wa Nazeer.

Dalil Hadees se.


Post-1

kabr wale hamari awaz ko sunte b hain.👇🏻

hadis 👇🏻
sahih bukhari.

Kabr Kay Sawal Aur Makam E Mustafa

Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne Sahi Bukhari Me Sirf Ek Sawal Ka Hi Zikr Kiya

Hadees :

“Hazrat Anas Bin Maalik رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya :
Bande Ko (Marne Ke Baad) Jab Us Ki Qabr Me Rakha Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Dafanaane Ke Baad Vaapas) Laut’te Hain To Wo Un Ke Jooton Ki Aawaaz Sun Raha Hota Hai To Us Waqt Us Ke Paas Do-02 Farishte Aate Hain Aur Use Baitha Kar Kahte Hain Ki,

Too Is Shakhs Ya’ni (Sayyadana Muhammad Mustafa صلى الله عليه و آله وسلم Ke Mut’allik (Duniya Me) Kya Kaha Karta Tha ?

Agar Wo Momin Ho To Kahta Hai :
Mein Gawaahi Deta Hoon Ki Yah Allah Ta’ala Ke (Kaamil) Bande Aur Us Ke (Sachche) Rasool Hain.
Us Se Kaha Jaa’ega :
(Agar Too Inhein Pahchaan Na Paata To Tera Jo Thikaana Hota) Jahannam Me Apne Us Thikaane Ki Taraf Dekh Ki Allah Ta’ala Ne Tujhe Us (Ma’refat Maqam-E-Mustafa صلى الله عليه و آله وسلم) Ke Badle Me Jannat Me Thikaana De Diya Hai.

Phir Wo Donon Ko Dekhega Aur Agar Munafiq Ya Kaafir Ho To Us Se Poochha Jaa’ega Too Is Shakhs (Ya’ni Sayyadana Muhammad صلى الله عليه و آله وسلم) Ke Mut’allik (Duniya Me) Kyaa Kaha Karta Tha ?
Vo Kahta Hai Ki Mujhe To Maloom Nahin, Mein Vahi Kahta Tha Jo Log Kahte The.
Us Se Kaha Jaa’ega Toone Na Jaana Aur Na Padha.
Use Lohe Ke Gurz Se Maara Jaa’ega To Vo (Shiddat Takleef) Se Cheekhta Chillata Hai Jise Jannat Aur Insan Ke Sab Qareeb Waale Sunte Hain.”

References :

(Sahi Bukhari Pg : 448, Kitabuz Janaiz, Baab : Murdo ka pair ki awaaj Sun Ne Ka Bayan, Hadees : 1273)
(Sahi Bukhari, Kitabul Janaiz, Baab : Maa Ja Fi Azabil Kabri, Pg : 461)
(English Hadees No of Sahi Bukhari : 1338, 1374)

(Sahi Muslim Vol : 07, Pg :262, Hadees : 7216 “Eng No : 2870”)
(Sunan Nasai, Kitabuz Janaiz, Hadees : 2051)
(Sunan Abu Dawood , Kitabul Sunnat, Baab : Kabr Kay Sawalat Aur Azaab E Kabr Ka Bayan, Hadees : 4751)
(Jamai Tirmizi, Kitabuz Janaiz, Hadees : 1071)
(Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 03, pg : 126, Hadees : 12293)

Kuch Wahabi Ye Bhi Kahte Hai MURDE nahi sunn sakte
Imam Bukhari ne is masle pe hi roshni daali kay MURDE KADAM KI AWAAZ SUNTE HAI


Scan Page:




Post-2

*🎙AQEEDA E HAYAT UN NABI ‎ﷺ 🎙*

*🌹MERI ZINDAGI TUMARE LIYE BEHTAR HAIN AUR MERA WAFAAT BHI*

Nabi ﷺ apni ummat k liye Dua e Istegfar karte hai...سبحان الله

HADEES

Hazrat Abdullah Ibn Mas’ood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se riwayat hai ki Nabi صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne farmaya,

‎ حياتى خير لكم تحدثون ويحدث لكم فإذا أنامت كانت وفاتى خيرًا لكم تعرض على أعمالكم فإذا رأيت خيرًا حمدت الله وإن رأيت شرًّااستغفرت لكم

*Meri zindagi tumhare liye baa’ise  khair hai, aur meri maut bhi tumhare liye baa’ise khair hai. Tumhare a’maal qabr me mujh par pesh kiye jate hain, agar mai isme bhalai dekhta hu to mai ALLAH ki hamd karta hu aur agar mai isme burai dekhta hu to mai tumhare liye ALLAH se istighfar karta hu.*

📔[ Majamul Zawaid ]
📔[ Qazi Ayaz Shifa Sharif jild 1 pg:56 ]

Scan Page

🌹Imam Suyuti رحمة الله عليه “Manahil al-Safa fi Takhrij Ahadith al-Shifa”
(Page 31 – Beirut 1988/1408).Me likhte hain,

Ibn Abi Usama رحمة الله عليه​ apni Musnad me
Bakr ibn `Abd Allah al-Mazni رحمة الله عليه​ aur Bazzar ne Ibn Mas’ood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki Hadees se Saheehh sanad ke sath likha.

Shifa-us-Siqa Fii Ziyarate Khairul Anaam me Imam Subki رحمة الله عليه​ ne likha, jahan wo Bakr ibn Abd Allah al-Mazini رحمة الله عليه​ se naqal kiya hai,  aur Ibn-Al Jawzi رحمة الله عليه​ ne Bakr ke zariye se aur fir Hazrat Bin Malik رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki Hadees Al-Wafa me likhte hain. Ye kaise ho sakta hai ki  ye dono ustad bagair sanad ke hi likh den, jabki Ibn-Al Jawzi api Kitab Al-Wafa me sirf Saheeh isnaad ko hi naqal karte hain. Isme wo Aws Ibn Aw ski Hadees ko bhi naqal karte hain, ki “Mujhpar tumhare a’maal har Juma aur iski raat, (Jumeraat) ko pesh kiye jate hain”

📔(FatH al-Bâri jild 10 pg: 415)
📔(al-Mundhiri’s Targheeb wa al-Tarheeb jild 3, pg: 343)
📔(Musnad e Ahmad jild 4, pg:484.)

📑Scan Page👇🏻👇🏻👇🏻









Dalil Bujurgo se:

IMAM IBN HAJAR ASQALANI  رحمة الله عليه KA AQEEDA

AMBIYA عليه السلام ZINDA HAIN, AUR JAHAN CHAHE JAA SAKTE HAIN:

Fath-Ul-Bari Sharah Saheeh Bukhari,
Vol2, Page 765 me likhte hain,

NABI صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne dekha Hazrat Moosa عليه السلام Hajj karne aa rahe hain, aur Talbiya Allahum ma Labbaik padh rahe hain..

(BUKHARI, Book 26,
Hadis Number,626 )

Is Hadees ki sharah me Imam Ibn Hajar Asqalani رحمة الله عليه​ likhte hain
Ho Sakta hai ki Moosa عليه السلام khud hi Hajj karne aaye ho, Kyunki Ambiya عليه السلام zinda hain, aur jahan chahe jaa sakte hain, aur unhe koi bhi Hajj karne se nahi rok sakta.

↪Is Hadees ke tehet Imam Ibne Hajar Asqalani رحمة الله عليه​ ka Aqeeda bhi pata chalta hai, Aur Hadees se istedlal bhi kiya jata hai ki Ambiya عليه السلام Zinda hain,

[Fath-Ul-Bari Sharah Saheeh Bukhari,Vol2, Page 765]


Scan Page:👇👇






Hazrat Shah Wali Allah رحمة الله عليه​ 


*🌹Mere Aaka صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Haaziro Naazir Aur Dilo Ke Raaz Ko Janne Waale Hai Aur Dukh Dard Gham Dur Karne Waale Hai*

☘Hazrat Shah Wali Allah رحمة الله عليه​ farmate hain k mere walid-e-mohtaram Janab Hazrat Shah Abdur Rahim رحمة الله عليه​ farmaya krte the keh ek dafa mai bimar ho gaya or bimari lambi ho gayi k mere bachne ki koi ummid na rahi or main zindagi se na-ummid ho chuka tha k achanak mujhe nind tari ho gyi or Hazrat Shaikh Abdul Aziz رحمة الله عليه​ zahir huwe or farmaya beta RASOOL-E-AKRAM (صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم) tumhari bimar pursi k liye tashrif la rahe hain or shayad woh isi taraf se jalwa rez hon jis taraf tumhare paon hain lehaza chaarpayi ko badal lo ta-keh HUZOOR صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ki taraf paon na ho....mujhe kuch efaqa ho gaya main ne ishare se hazerin ko kaha k meri charpayi badal do or charpayi badal di gyi....
Is k bad NABI-E-AZAM (صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم) tashrif layen or farmaya aye mere bete kya haal hai....
Is pyari guftagu ki halawat mujh par aisi tari huwi k wajd, iztarab or baka mujh par zahir huwa or HUZOOR صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ne mujhe is tarah se gale lagaya k NABI-E-KARIM (صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم) ki resh-e-mobarak mere sar par thi or aap ki qamiz-e-mobarak mere aansuon se tar ho gayi fir mujhe taskeen ho gayi....
Fir mujhe khayal aya k muddat se SYEDUL KONAIN صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم k mo-e-mobarak ki arzu rakhta hun kitna karam hoga k NABI-E-PAK (صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم) mujhe ata farma dein IMAMUL ANBIYA صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم mere dil k khayal se agah ho gayen or apni resh-e-mobarak per dast-e-mobarak fera or 2 bal sharif mere hath me de diyen...
Mujhe khayal aya k kya bedari me v yeh mo-e-mobarak mere pas honge...mere is khayal se v SYEDUL MURSELEEN صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم agah ho gayen or farmaya han bedari me v tere pas honge...is k ba'd kulli sehat or darazi-e-umar ki khushkhabri di...
To us waqt efaqa huwa main ne charag talb kiya magar woh mo-e-mobarak main ne apne hatho me na paya main magmum huwa or fir tawajjoh ki....mujhe fir ongh aa gayi...
NABI-E-RAHIM (صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم) fir tashrif farma huwe or farmaya k mo-e-mobarak hefazat k liye takiya k niche hai....main ne unhe takiya se utha liya or ek mahfuz jagah per rakh diya...

In 2 bal sharif k ek khususiyat yeh thi k 2no elaiheda elaiheda hote lekin jab darood sharif padha jata to 2no aapas me mil jate the or pechidah ho jate the...
Dusri khususiyat yeh zahir huwi k 3 munkiron ne in balo ka imtehan lena chaha k kya waqai yeh NABI-E-PAK (صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم) k mo-e-mobarak hain....woh 3no munkir un balo ko dhup me le gaye to fauran abr ka tukda aya or un per saya kar diya.....3no munkiro ne yeh moajjaza dekh kr tauba kr li....
Or 3sri khususiyat yeh thi k in balo ka saya v na tha....
Ek dafa kuch log mo-e-mobarak ki zeyarat k liye aye main ne kufl kholne ki koshish ki magar kufl na khula main ne moraqba kiya to pata chala k majme me falan admi napak hai, be wazu, be taharat hai main ne parda poshi k liye elan kiya k sab gusl kar k aao...woh admi v bahar chala gaya to fauran kufl khul gaya.....!

📔ANFASUL A'ARFEEN
📖SAFA 41, 42,
MATBUA'A MUJTABAYI DELHI.

📑Look Scan👇🏿






Deoband se Dalil:

POST :1


#AuliyaAllah ba yak waqt kayi Jagah par 

اللّٰه کا ولی بیک وقت کئی مقامات پر موجود ہوتا ہے ـ

Db k yaha aur hampar shir'k k gole 

#hazironazir








Post 1



#waseela #hazironazir #baad_wisal #ilmegaib 
aqaid e Thanvi sab

‏یا مرتضیٰ یا مجتبیٰﷺ
آپﷺ ہمارے دلوں کا حال بیان کرنے والے ہیں
آپﷺ کو مرحبا
آپﷺ غائب ہوں تو موت آجائے دنیا تاریک ہوجائے
آپﷺ لوگوں کے مددگار اور خیر خواہ ہیں ؛

جی ہاں یہ عقیدہ حاظر و ناظر لکھنے والے اشرفعلی تھانوی صاب ہیں؛






Post-1.

EK WAQT ME 30 JAGAH HAZIR HOKR NAMAZ E JUMA PADHANA

PYAARE NABI KO HAZIR NAZIR MAANNA SHIRKYE AQEEDA ALLAH KE PYAARE RASOOL KE LIYE MAANNA SHIRK LEKIN YAHI AQEEDA DEOBANDI APNE MOLVI BUZURG KE LIYE MAANNA AYN IMAAN HOGYA WAAH DEOBANDIYON KI GUSTAKHI OR MAKKAARI DEKHIYEPYAARE NABI KAHIN BHI AA YA JAA NHI SKTE WO MOHTAAJ H LEKIN DEOBANDIYON KE BUZURG SB KRSKTE Hai.

MOLANA ASHRAF ALI THANVI HAZRAT MOHAMMAD AL HAZRAMI MASJOOB KE BARE ME APNI KITAB JAMALUL AULIYA KE SAFA NO.188 PR LIKHTE Hai.

"AAP ABDAAL ME SE THE AAPKI KARAMATON ME SE YE HAI KE AAPNE EK DAFA ME 30 SHAHRON ME KHUTBA OR NAMAZ E JUMA BAYEK WAQT PADHAYA H, OR KAI KAI SHAHRON ME EK HI SHAB ME SHABAAS HOTE THE"

REFRENCE:- 
(JAMALUL AULIYA, SAFA NO,188)

HUZOOR KA HAZIR HONA SHIRK OR INKE BUZURGON KA HAZIR HONA JAIZ KAISE HOGYA ?KYA YE HUZOOR KI SHAAN ME TAUHEEN NHI ??

Scan:👇👇👇👇



Post-2.

THANVI SAHAB KE DADA MARNE KE BAAD BHI QABAR SE BAHAR ZINDO KI TARAH NIKAL KR AAYE OR APNE GHAR WAALON KO MITHAI LAAKR KR DIYE.

DOEBANDIYON KE HAKIMUL UMMAT SAHAB FARMAATE HAI:

"SHAHADAT KE BAAD EK AJEEB WQEYA HUA. SHAB (RAAT)KE WAQT APNE GHAR MISL ZINDA KE TASHREEF LAAYE OR APNE GHAR WAALON KO MITHAI LAKR DI OR FARMAYATUM KISISE ZAHIR NA KAROGI TO ISI TARAH ROZ AYA KARENGE LEKIN UNKE GHAR KE LOGON KO YE ANDESHA HUA KE GHAR WAALE BACCHON KO JB MITHAI KHAANE DENGE TO MALOOM NHI KYA SHUBAH KAREN IS LIYE ZAHIR KRDIYA FIR AAP TASHREEF NHI LAYE, YE WAQEYA KHANDAAN ME MASHOOR H"

REFERENCE:
(ASHRAFU SAWAANE, HISSA-01, PAGE NO-12)

WAAH WAAH KYA BAAT HAI THANVI SAHAB TO MAAZ ALLAH NABI WALI SE BHI AAGE NIKAL GAYE
IN DEOBANDIYO KE AQAID KE MUTABIKHM AGAR YAHI AQEEDA ALLAH KE PYAARE RASOOL (SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM) KE LIYE RAKHE TO HUMPAR SHIRK KA FATWA THOKA JAATA HAI DEOBANDIYON AB BATAO THANVI PAR KYA HUKM LAGEGA ??

AAPKE THANVI SAHAB KE DADA KO ITNI IKHTEYAAR KE WO MARNE KE BAAD BHI ZINDON KI TARAH APNE GHAR AAGAYE OR APNE GHAR WAALON KO MITAIYAAN BHI DI OR YE WADA BHI KIYA KI AGAR DUSRO SE ZAHEER NA KIYA TO ISI TARAH ROZANA AYENGE WAAH KYA BAAT HOR JB GHAR WAALON NE DUSRON KO BATA DIYA TO DADAJI KO QABAR ME PADE PADE YE MALOOM BHI HOGYA KE GHAR WAALON NE DUSRO KO UNKE AANE KA WAQEYA BATA DIYA Hai YE GAIB KA ILM KAISE PATA CHALA.?

JAWAAB DO TABLIGIO ...


Post-3

DEOBANDIYON APNE HAKIMUL UMMAT KO MUSHRIK KAHOGE YA FIR
HUZOOR KO MADADGAAR MANOGE ?
TUMHARE ASHRAF ALI THANVI SAHAB ALLAH KE RASOOL MUSTAFA KAREEM KO MADADGAAR MANTE H
ASHRAF ALI THANVI KAHTA H KI
HUZOOR E PAK HAMARE DILO KE HAAL JANTE H
HUZOOR HAMARE MADADGAAR H OR
HUZOOR HAZIR O NAZIR H AGAR HUZOOR GAYEB YAANI DUR HOGAYE TO SB BARBAD HOJAYEGA
KYA AB BHI DEOBANDI HUZOOR E PAK KE MADADGAAR HONE KA INKAAR KREGA ?
KYA AB BHI KOI HUZOOR KE ILM E GAIB KA INKAAR KREGA ?
KYA AB BHI KOI HUZOOR KE HAZIR MAOJOOD HONE KA INKAAR KEREGA ?
AB DEOBANDIYON KE PAS SIRF DO RASTA H
CHAHE TO CHUP CHAAP HUZOOR E PAK sallallaho alaihe wasallam KI SHAN O AZMAT KO DILSE MAANLO
YA FIR APNE THANVI JISE TUMLOG HAKIMUL UMAAT KAHTE HO USE MUSHRIK OR BADTAREEN KAFIR KAHO

Scan:





Post-4

*Deobandiyo Apne Mulla Par Kab Shirk Ka Fatwa Laga Rahe Ho*🤫

Hazraat Ambia Ikram Khud Apni Qabar Me Khud Apni Hayaat Ko Mahsoos Karte Hain Aur Hazir Hone Walon Ke Salaam Sunte Hain… Jo Shakhs Mujh Par Durood Padhega Wo Farishton Ke Zarye Mujhtak Pohnchaya Jayega Or Jo Meri Qabar Ke Paas Durood  Padhega Isko Me Khud Sununga_

*[ Al Muhannad Alal Mufannad Yaani Aqaid-E-Ulama-E-Deoband-Page-186 ]*




Post :5



Sahibe Mazar ko aane walo ki khabar hoti hai 

Hakimul ummat deoband tablig jamaat. 







DALIL AHLE HAGEES (WAHABI) KE GHAR SE:


1]Ibne Taymiya

*Wahabi Ahle hadis kehte hai k qabr wale na sun sakte hai na bol sakte hai.*

Lekin inke guru ibne taimia hadis nakal karte hai k huzur ki qabr se azan ki awaz ati thi. 

 Ibn Taymiya (661-728 hijri) likhta hain 

Jab Ayyam -e- Harra k dino mein jab yazeed ne madine pe chadai ki thi un dino mashoor Tabien saeed ibn musaib rah Nabi karim Sallallahu Alaihi Wasallam ki Qabr mubarak se namaz k waqt Azaan ka awaaz suna kartey the. Aur us waqt masjid Nabwi mein koi nahi hota Tha..

 *[Fatawa ibn Temiyya jild 11, page 280-281]* 
Wahabi kutto Hum sunnio ki na sahi tumhare guru ki toh bat mano. 😊

Scan 👇🏼



2]Waheed Uz Zama

*NABI AUR WALI BAIK WAQT ZAMEEN WA AASMAN KI TAMAAM BATEIN JAAN SAKTA HAI*


*Waheed Uz Zama Likhta Hai : Wahabi Gair Muqallid*

Agar Koi Yeh Aqeeda Rakhe Ke Nabi ﷺ Ya Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Ya Koi Aur Auliya Allah Me Se Aam Logo Se Zyaada Sun Sakta Hai Hatta Ke Tamaam Dunya Aur Zameen Ke Kinaare Dur Wa Nazdeek Se Sun Lete Hai Toh Yeh Shirk Nahi Hai. 

*(Hadiyatul Mehdi : Safa 25)*


*Scan Page*

📄👇🏻






No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post