POST:1
*NAMAZ ME HAATH KAHAA BANDHE JAYE*
HADIS
IMAM TIRMIZI REHMTULLAH ALAIH FARMATE HAI IS PAR AMAL HAI SAHABA KA TABAEEN KA AUR UNKE BAD KE AHLE ILM KA KE DAYA HAATH BAYE HAATH PAR RAKHAA JAYE BAZ AHLE ILM KEHTE HAI KE HAATH KO NAAF KE UPAR RAKHAA JAYE *BAZ KEHTE HAI NAAF KE NEECHE BAANDHE*
{JAMA E TIRMIZIJ,ILD NO:1,PAGE NO.182}
Scan:
POST:2
*Naaf Ke Neechay Haath Baandhne Ki Hadees Saheeh Hai*
Hazrat Ali (raziallahu anhu) ne farmaaya: “Be-shakk.! Farz Namaaz ki SUNNAT me se (Ye bhi) hai ke *Haath ko Haath per Naaf Ke Neechay rakha Jaaye."*”
Ahaadees Al-Mukhtaarah, Raqam# 772
Scan:
Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees Ka Usool:
Firqa Ahl-e-Hadees ke mutaabiq Ziya’ Al-Maqdasi (rahimahullah) ka kisi hadees ki Takhreej karna Un ke nazdeek Tasheeh ki daleel hai.
Chunanchah Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: “Ziya’ Al-Maqdasi (rahimahullah) ne Ye Asar Apni AL-MUKHTAARAH me laa kar Apne Nazdeek Is ka SAHEEH hona saabit kar diya hai.”
[Te’daad Raka’t Qiyaam-e-Ramazan, Page: 23]
Scan:
Pas Hamaari Peish kardah Hadees Ziya’ Maqdasi (rahimahullah) ke nazdeek Sahih hai.
Isi tarah Haafiz Ibne Qayyim likhte hain:
“Hazrat Ali (raziallahu anhu) se marwi hai ke *Hatheiliyo’n par Hatheliyon ko Naaf ke Neeche rakhna SUNNAT* *hai Amr bin Malik* *ne ba-rivayat Abul Jauza Hazrat Ibne Abbas* *raziallahu anhu se* *Hazrat Ali (raziallahu anhu) ki Tafseer ki* *maanind (Seene Per Haath bandhne ki) rivaayat ki hai magar Ye SAHEEH NAHI hai* *SAHEEH Hazrat Ali* *raziallahu anhu ki Hadees hai*
[Al-Badaa’i Al-Fawaa’id]
Scan:
Ghair-Muqallideen ke Usool se bhi humne is Hadees ko Saheeh saabit kar diya hai aur Sareeh Alfaaz me Ibne Qayyim ke Qoul se is hadees ko Sahih saabit kar diya hai. (Alhamdulillah)
…