Wednesday, 21 December 2022

Kawwa Haraam Hai.

 Aala Hazrat Ka Fatwa kawwa or ullu Haram hai


Fatawa Razviya me Aala Hazrat ne fatwa diya


sawal pucha gya ki Kawwa or ullu haram h ya nhi


Aala Hazrat ne Jawab diya 


ye Kawwe jo Hamare Dowaar me paaye jaate h sab Haram hai ullu haram hai. 


Scan:




POST:2


#kauwa 


1:- काला (स्याह)  रंग का कव्वा जो हमेशा गुह और मुर्दा खाते रहता है,, इसी कव्वे को db ulluma ने जायज़ कहा है खाने को...


जब कि आला हज़रत ने स्याह (काला) कव्वा खाने को हराम लिखा है। 


2:- सुर्ख (लाल) रंग का कव्वा जिसे महोख कहा जाता है, जो कभी ना तो नजासत के करीब जाता है और ना ही मुर्दा खाता है ।


इसी को आला हजरत ने हलाल कहा है खाने को!





Saturday, 17 December 2022

पाखाने के मुकाम में सोहबत न करे | sex education

 ""#पाखाने के मुकाम में सोहबत"""

कुछ कम अकल जाहिल हालते हैज में औरत से उस के पिछे के मुकाम ( पाखाने के मुकाम) में सोहबत करते है और दीन व दुनिया दोनों अपने हि हाथों बरबाद करते हैं। होश में आईये येह कोई मामुली सा गुनाह नहि बल्की शरीअत में सख्त हराम और गुनाहे कबीरा है।बल्की कुछ हदीसों में तो इस फेल को कुफ्र तक बताया गया है ।


हदीस :- हजरत अबीजर रदीअल्लाहो तअला अन्हो से रिवायत है रसूलुलाह सल्लल्लाहो अलैह व सल्लम ने इरशाद फरमाया """ पाखाने के मुकाम में औरत से सोहबत करना हराम है" । ( मुस्नदे इमामे आजम सफा नम्बर 223) 


हदीस:- हजरत अबूहुरैरा रदीअल्लाहो तअला अन्हो से रिवायत है " जिस ने औरत या मर्द से उसके पिछे ( पकाने के ) मुकाम में ( जाइज समझ्ते हुऐ) सोहबत कि उस ने यकिनन कुफ्र किया "" ( अबुदाउद शरीफ, शरीफ, नसाई शरीफ ) 


#हदीस :-सेहह सित्ता( यानी अहादीस कि छे सहि किताबों) में है कि रसूलुलाह सल्लल्लाहो अलैह व सल्लम फरमाता है """ अल्लाह तअला कियामत के दिन ऐसे शख्स कि तरफ नजरे रहमत नहिं फरमाएगा जिसने अपनी औरत के पिछे के मुकाम से सोहबत कि " ( बुखारी शरीफ, तिर्मिजी, अबुदाऊद, इब्ने माजा , मुस्लिम शरीफ, नसाई) 


#अल्लाहु अकबर 

#अल्लाह पाक इस गुनाह से सभी को मेहफुज रखे

Wednesday, 14 December 2022

Mukhtaar E kul

 DALIL DEOBAND TABLIG JAMAAT SE. 

#ikhtiyaremustafa #mukhtarekul 


Nabi ﷺ tamam qainat k Malik hai ...

Zaati wa atayi ki taqsim se sahi aqeeda banta hai...


Mahmudul Hasan db




Tuesday, 13 December 2022

اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَيْهِ رٰجِعُوْن ✔️Aise likhe

 Khabardar!

اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَيْهِ رٰجِعُوْن 


Me “رٰجِعُوْن” Ko Alif Ke Sath Yani “راجعون” Is Tarha Likhna Jaiz Nahi.

اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَيْهِ رٰجِعُوْن ✔️

انا للہ وانا الیہ راجیون ❌


Chahe Quraan Ki Niyyat Se Likhi Jay Ya Dua Wagaira Ki Niyyat Se.


Paheli Baat Ye Ke اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَیْهِ رٰجِعُوْن Quraan Majeed Ki Surah Baqrah Aayat 156 Ka Hissa Hai Or Charo Aimma Ke Nazdeek Quraan Majeed Ko Usi Tarha Likhna Wajib Hai Jo Hazrat Usman Ghani رضى اللّٰه تعالى عنه Se Ba Taur Ijma E Sahaba Se Sabit Hai Or Mutaqaddimeen Se Manqul Hai.


Imam Ahmad رضى اللّٰه تعالى عنه Ne Farmaya: و، ي، ا Wagairha Kisi Bhi Hurf Me Rasm E Mus'haf E Usmani Ki Mukhalifat Haram Hai.


Dekhe:

▪️ Al'Muqne O Fee Rasme Musahifil Amsar Lil Imam Al'Dani عليہ الرحمہ، S19


▪️Al'itqan Fee Uloomil Quraan Lil Imam Suyyuti عليہ الرحمہ, Juz6, S220


▪️Rasm E Quraani Or Usool E Kitabat Az Khairul Azkiya Allama Muhammad Ahmad Misbahi دام ظلہ العالى, S10/11


Ab Aayat E Kareema:

اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَیْهِ رٰجِعُوْن

Me “رٰجِعُوْن” Jo Hai Wo Mus'haf E Usmani Me Baghair Alif Ke Hai Jaisa ke Allama Muhammad Ghous Naity علیہ الرحمہ Iske Tahet Likhte Haiñ:

”رٰجعون“ بحذف الألف بعد الراء

▪️Nasr Ul Marjan Fee Rasme Nazam Ul Quraan, J1, S270


Yani: Hurf Raa Ke Bad Alif Mahzuf Hai.


Dusri Baat Ye Ke Is Ko Koi Niyyat E Quraan Ke Alawa Dua Wagaira Ki Niyyat Se Likhe Tab Bhi Baghair Alif Ke Hi Likhna Wajib Hai Kyu Ke Niyyat Ka Asar Likhawat Pr Nahi Padta Jaisa Ke Allama Ibne Aabiddeen Shami علیہ الرحمہ Likhte Haiñ:

ان ما کتب من الآیات بنیة الدعاء و الثناء لا یخرج عن کونه قرآنا بخلاف قراءته بھذه النیة، فالنیة تعمل في تغییر المنطوق لا المکتوب

▪️Radd Ul Muhtar, J1, S96


Yani: Jo Aayate Dua O Sana Ki Niyyat Se Likhi Gai Wo Quraan Hi Hai Bar Khilaf Jo Dua O Sana Ki Niyyat Se Padhi Gai Kyu Ke Niyyat Se Wahi Badalta Hai Jo Padha Gaya Hai Wo Nahi Badalta Jo Likha Gaya Hai.


Aala Hazrat علیہ الرحمہ Ne Bhi Isi Ki Taraf Ishara Kiya Hai Or Wajah Bhi Zikr Ki Hai Chuna Che Likhte Haiñ:

Niyyat Maktoob Me Asar Andaz Nahi Hoti. Dua O Sana Me Kitabat Ki Koi Hajat Nahi Or Jo Amr Khilaf E Qayas Warid Hota Hai Wo Apni Jagah Se Mutajauz Nahi Hota.

(Tafseel Ke Liye Dekhe Risala Irtefa Ul Hujub An Wujuhi Qiraat Ul Junab).


▪️Azeez Misbahi Sahab Ki Tahreer


Urdu To Roman: Noori Mustafavi

Nadeem Mustafavi 


Mazeed اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَیْهِ رٰجِعُوْن Quran ki ayat e kareema hai ...isy roman urdu me likhna haram hai

Thursday, 8 December 2022

Aurato ki Mazarat par Hazri k liye jana kaisa? Aurato ka mazaar jana kaisa?

 Sawal : Kya Farmate hain Olma-E-deen Wa Muftiyane Shara e Matin IsMasle me...


Aurato ki Mazarat par Hazri k liye shariyat ka kya huqm hay?(Haram hay?)


Maheram-NaMaheram ka huqm Marne k bad bhi hota hay?

(Aurato ki mazar par mard aur

Mard ki mazar par Aurat ka jana)


Hazrat ho sake to fatawa Razviya Sharif ka reference no dijiyega

Jazakallah  


 Jawaab


Aurato ka Qabro par jaana ikhtelaafi Mas'la hai, Aksar Ahl e Ilm ise Haraam Ya Makrooh e Tahreemi Kahte hain, ye ikhtelaaf yu paida hua ke ek zamaane me Qabro par jaana sab ko mana tha,  Mardo ko bhi aur Aurato ko bhi. Baad me Huzoor pur Noor ﷺ ne is ki Ijaazat ataa farma di aur irshad farmaaya:

"Qabro ki ziyarat kiya karo, wo Akhirat ki yaad dilaati hain".


Jo hazraat Qabro par jaane ko jaayez rakhte hain un ka kehna hai ke ye ijaazat jo Huzoor ﷺ ne Ataa Farmaayi, Mardo aur Aurato sab ko shamil hai. 


Aur Jo Hazraat Na jaayez kehte hain un ka istedlal ye hai ke Huzoor ﷺ ne aisi aurato par Laanat farmaayi hai jo qabro ki ziyarat ke liye jaayen, lehaaza Qabro par jana un ke liye Mamnol aur Moojib e Laanat hoga. 


Aur Ulama ye bhi farmaate hain ke Auraten ek to Shara'i Masaail se kam waqif hoti hain, dosre un me sabr, Hausla aur zabt kam hota hai, is liye un ke Haq me Gaalib andesha yahi hai ke ye wahan jaa kar Cheekh pukaar karengi, Be Pardagi hogi, Ya Koi Bid'at khadi karengi,  Shayed isi Andeshe ki bina par Huzoor ﷺ ne un ke Qabro par jaane ko Moojib e Laanat farmaaya


Huzoor Sadrush Shariah Irshad Farmaate hain:

Mazhab e Saheeh ye hai ke Hadees

 "لعن الله زوارات القبور"

Mansookh hai ye Hukm muqaddam hai aur dosri Hadees Jis me ziyarat e Quboor ki ijazat hai wo Muta'kkhar o Naasikh hai. 

Wo Hadees ye hai 

"كنت نهيتكم عن زيارة القبور الا فزوروها"

Is Hadees me agar che segha muzakkar hai magar ye amr muqarrar aur saabit hai ke khitabaat e Shara'iyyah me agar che segha muzakkar hai Auraten bhi is me dakhil hain jab tak daleel e Shara'i se rijaal ki khususiyat  saabit na aur Hadees 

"النساء شقائق الرجال"

Is ki kashif hai. Lehaaza ziyarat e quboor se Aurato ko murtakib e Fe'l e Haraam nahi kaha jaayega. Agar che hamaare nazdeek aslam tareeqa ye hai ke Aurato ko ziyarat e quboor se mana kiya jaaye kyu ke un me ifraat o tafreet ka Maaddah gaalib hai aur surat e Mas'oola me hijaab aur Adaab e e'zaaz ka pura lehaaz kiya gaya hai. Lehaaza hukm me aur mazeed khiffat paida ho gayi.

▪️(fatawa Amjadia jild 1 safah 327)


Huzoor Sayyedi Alahadrat Farmaate hain:

"Meri Raaye is masle me khilaaf par hai, muddat hui mera fatwa Tohfa e Hanafiyya me Chhap chuka, mai us Rukhsat ko jo Bahr ur Raayeq me likhi maan kar Nazr ba Halaat e Nisaa Siwa e Hazri e Rauza e Anwar ke k Waajib ya Qareeb ba Waajib hai,  Mazaraat e Aulia ya Deegar Quboor ki ziyarat ko Aurato ka jaana Ba Itteba e Guniya Allama Muhaqqiq Ibraheem Halabi Har giz pasand nahi karta khususan is tufaan e be tameezi raqs o mazameer o surood me jo aaj kal johhaal ne A'raas e Tayyeba me barpa kar rakha hai is ki shirkat to mai awaam e rijaal ko bhi pasand nahi rakhta na ke wo jin ko Anjasha Radi-Allahu Ta'ala Anh ki Hadi Khwani ba ilhaan e Khush par Aurato ke saamne Mumaana'at farma kar unhe nazuk sheeshiyaan farmaya gaya" 

▪️(Fatawa Razaviyyah mutarjam jild 23 safah 111)


Lehaaza Mazkoora Baala Aqwaal e Foqaha se Ye Saabit ho gaya ke Aurato ke Mazaraat par Jaana fi zamaanina Na jaayez o Haraam hai aur is ki Mumaana'at Mahram o Gair Mahram ki Buniyaad par nahi balke Un ki Parda Nasheeni aur Aaj kal hone waale khoraafaat o bad tameezi ki buniyaad par hai .. 


Haan ye sahi hai ke biwi ke marte hi Duniyawi Ahkaam ke etebar se miya biwi ka rishta khatam ho jaata hai, aur Shauhar ki haisiyat ek lehaaz se ajnabi ki ho jaati hai. 

Yahi wajah hai ke biwi ke inteqal ke baad shauhar apni biwi ki maiyyet ko bila haayel hath nahi laga sakta. .. wa-Allahu Ta'ala A'lam


📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Wednesday, 7 December 2022

Dadhi Aur Munchh Ke Masail/दाढ़ी और मूंछ का शर‌ई हुक्म

 *दाढ़ी और मूंछ का शर‌ई हुक्म*


🌹हदीस शरीफ़⬇

हुज़ूर नबी ए करीम सल्लललाहू तआला अलैहि वसल्लम ने इरशाद फ़रमाया⬇


मुश़रिकीन (यानी जो अल्लाह के सिवा किसी और को ख़ुदा माने) की मुखालिफत करो (इस तरह के)

दाढ़ीयों को बढ़ाओ  और मूंछों को कतरवाओ.


📚बुखारी शरीफ जिल्द 2.सफह 875,

📚एक और रिवायत में है के⬇


मूंछों को खूब कम करो और दाढ़ीयों को बढ़ाओ,


📗अनवारुल हदीस. सफ़ह 325)


हदीस शरीफ़⬇

हुज़ूर सल्लललाहू तआला अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया


जो अपनी मूंछ न काटे वो हममें से नहीं है

 (यानी हमारे तरीक़े के खिलाफ है)


📚नसाई शरीफ़ जिल्द 2 सफा 274, 

📗मिश्कात शरीफ़ सफा 381)


हदीस शरीफ़⬇

हुज़ूर अलैहिस्सलातु वस्सलाम ने फ़रमाया


मूंछें कटाओ और दाढ़ीयां बढ़ाओ


(इस तरह) मजूसीयों

(आग की पूजा करने वाला) की मुखालिफत करो


📚 मुस्लिम शरीफ़ जिल्द 1 सफ़ह 129)


ज़रूरी मस‌अला⬇


आज कल मुसलमानों ने दाढ़ी में तरह तरह का फ़ैशन निकाल रखा है

अक्सर लोग बिल्कुल सफ़ाया कर देते हैं कुछ लोग सिर्फ ठोड़ी पर ज़रा सी  दाढ़ी रखते हैं

ब‌अज़ लोग एक दो अंगुल दाढ़ी रखते हैं और अपने को मुत्तबा ए शरीअत (शरीअत का पाबंद) समझते हैं

हालांके दाढ़ी का बिल्कुल सफ़ाया कराने वाले और दाढ़ी को एक मुस्त 🤜से कम रखने वाले दोनों शरीअत की नज़र में यकसां

(एक जैसे) हैं,

📚बहार ए शरीअत हिस्सा 16 सफ़ह 197. में है दाढ़ी बढ़ाना सुनन ए अम्बिया ए साबिकी़न से है

दाढ़ी मुंडाना या एक मुस्त से कम करना हराम है,

📚बहार ए शरीअत, मुसन्निफ़ शागिर्द व ख़लीफा ए आला हज़रत हुज़ूर अमजद अली आज़मी रज़िअल्लाहु त‌आला अन्हुमा)


हज़रत शैख़ अब्दुल हक़ मुहद्दिस देहलवी रहमातुल्लाहि तआला अलैह फ़रमाते हैं⬇


दाढ़ी मुंडाना हराम है

और अंग्रेज़ों 

हिन्दुओं और

क़लनंदरों का तरीक़ा है और दाढ़ी को एक मुस्त तक छोड़ देना वाजिब

और जिन फ़ुक़हा ए उम्मत ने एक मुस्त दाढ़ी रखने को सुन्नत क़रार दिया है तो वो इस वजह से नहीं के उनके नज़दीक वाजिब नहीं बल्के इस वजह से के या तो यहां सुन्नत से मुराद दीन का चालू रास्ता है या इस वजह से के एक मुस्त का वुजूब हदीस शरीफ़ से साबित है,

जैसा के  नमाज़ ए ईदैन को मसनून फ़रमाया

हालांके नमाज़ ए ईदैन वाजिब है,


📚 अश्अतुल लम‌आत जिल्द 1 सफा 212)


दाढ़ी जब के एक मुस्त से कम हो तो उसको  काटना जिस तरह के ब‌अज़ मग़रिबी और ज़नाने ज़नख़े (हिजड़े) करते हैं,

किसीके नज़दीक हलाल नहीं और कुल दाढ़ी सफ़ाया करना ये काम तो हिन्दुस्तान के यहूदियों और ईरान के मजूसीयों का है,

📚दुर्रे मुख़्तार माअ रद्दुल मोहतार जिल्द 2. सफ़ह 116,  117,

📚बहरुर्राइक़ जिल्द 2 सफ़ह 280,

📚फतहहुल क़दीर जिल्द 2. सफ़ह 270,

📚तहतावी सफ़ह 411,)


मस‌अला⬇

हद ए शर‌अ यानी एक मुस्त से कुछ ज़ाइद दाढ़ी रखना जाइज़ है लेकिन हमारे अइम्मा व जमहूर ए उल्मा के नज़दीक इसका तूल (लम्बाई)

 फ़ाहिश के जो हद ए तनासिब से ख़ारिज और बाइस ए अंगुश्त नुमाई हो

मकरूह व न पसंदीदा है,


(यानी एक मुस्त दो अंगुल से ज़्यादा दाढ़ी रखना जाइज़ नहीं है)


📗लम्‌आतुज़्ज़ुहा)

Saturday, 3 December 2022

Patang Udana Kaisa Hai? patang Bechna Kaisa Hai?

 Kabutar Udana,Palna, Murg Baazi, Bater Baazi, Patang Baazi, Patang Udana Or Bechna Kesa ?


SAWAL:-

Kabutar Udana Or Palna Or Murg Baazi, Bater Baazi, Neez Kankiya Yaani Patang Baazi, Patang Or Maanjna Farokht Karna Jaiz He Ya Nahi ?


JAWAB:-

Kabutar Palna Jaiz he, Or Kabutar Udana Ki Ghanto Un Ko Udate Rahte He Utarne Nahi Dete Ye Haraam He Or Murg Ya Bater Ka Ladana Haraam He, Patang Udane Me Waqt Or Maal Ka Zaaye Karna Hota He. Ye Bhi Gunah He Or Aalate Gunah Kankiya (Patang) Dor Maanjha Farokht Karna Bhi Mana'a He.

▪️(Fatawa Razviya, Jild-15)

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab


Al-Jawab:- 

Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*

Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat

Kabutar Palna Kaisa? Kabutar Udana Kaisa Hai?

Kabutar Udana,Palna, Murg Baazi, Bater Baazi, Patang Baazi, Patang Udana Or Bechna Kesa ?

SAWAL:-
Kabutar Udana Or Palna Or Murg Baazi, Bater Baazi, Neez Kankiya Yaani Patang Baazi, Patang Or Maanjna Farokht Karna Jaiz He Ya Nahi ?

JAWAB:-
Kabutar Palna Jaiz he, Or Kabutar Udana Ki Ghanto Un Ko Udate Rahte He Utarne Nahi Dete Ye Haraam He Or Murg Ya Bater Ka Ladana Haraam He, Patang Udane Me Waqt Or Maal Ka Zaaye Karna Hota He. Ye Bhi Gunah He Or Aalate Gunah Kankiya (Patang) Dor Maanjha Farokht Karna Bhi Mana'a He.
▪️(Fatawa Razviya, Jild-15)
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

Al-Jawab:- 
Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat. 

Radde Wahabiat Images | post