Khabardar!
اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَيْهِ رٰجِعُوْن
Me “رٰجِعُوْن” Ko Alif Ke Sath Yani “راجعون” Is Tarha Likhna Jaiz Nahi.
اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَيْهِ رٰجِعُوْن ✔️
انا للہ وانا الیہ راجیون ❌
Chahe Quraan Ki Niyyat Se Likhi Jay Ya Dua Wagaira Ki Niyyat Se.
Paheli Baat Ye Ke اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَیْهِ رٰجِعُوْن Quraan Majeed Ki Surah Baqrah Aayat 156 Ka Hissa Hai Or Charo Aimma Ke Nazdeek Quraan Majeed Ko Usi Tarha Likhna Wajib Hai Jo Hazrat Usman Ghani رضى اللّٰه تعالى عنه Se Ba Taur Ijma E Sahaba Se Sabit Hai Or Mutaqaddimeen Se Manqul Hai.
Imam Ahmad رضى اللّٰه تعالى عنه Ne Farmaya: و، ي، ا Wagairha Kisi Bhi Hurf Me Rasm E Mus'haf E Usmani Ki Mukhalifat Haram Hai.
Dekhe:
▪️ Al'Muqne O Fee Rasme Musahifil Amsar Lil Imam Al'Dani عليہ الرحمہ، S19
▪️Al'itqan Fee Uloomil Quraan Lil Imam Suyyuti عليہ الرحمہ, Juz6, S220
▪️Rasm E Quraani Or Usool E Kitabat Az Khairul Azkiya Allama Muhammad Ahmad Misbahi دام ظلہ العالى, S10/11
Ab Aayat E Kareema:
اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَیْهِ رٰجِعُوْن
Me “رٰجِعُوْن” Jo Hai Wo Mus'haf E Usmani Me Baghair Alif Ke Hai Jaisa ke Allama Muhammad Ghous Naity علیہ الرحمہ Iske Tahet Likhte Haiñ:
”رٰجعون“ بحذف الألف بعد الراء
▪️Nasr Ul Marjan Fee Rasme Nazam Ul Quraan, J1, S270
Yani: Hurf Raa Ke Bad Alif Mahzuf Hai.
Dusri Baat Ye Ke Is Ko Koi Niyyat E Quraan Ke Alawa Dua Wagaira Ki Niyyat Se Likhe Tab Bhi Baghair Alif Ke Hi Likhna Wajib Hai Kyu Ke Niyyat Ka Asar Likhawat Pr Nahi Padta Jaisa Ke Allama Ibne Aabiddeen Shami علیہ الرحمہ Likhte Haiñ:
ان ما کتب من الآیات بنیة الدعاء و الثناء لا یخرج عن کونه قرآنا بخلاف قراءته بھذه النیة، فالنیة تعمل في تغییر المنطوق لا المکتوب
▪️Radd Ul Muhtar, J1, S96
Yani: Jo Aayate Dua O Sana Ki Niyyat Se Likhi Gai Wo Quraan Hi Hai Bar Khilaf Jo Dua O Sana Ki Niyyat Se Padhi Gai Kyu Ke Niyyat Se Wahi Badalta Hai Jo Padha Gaya Hai Wo Nahi Badalta Jo Likha Gaya Hai.
Aala Hazrat علیہ الرحمہ Ne Bhi Isi Ki Taraf Ishara Kiya Hai Or Wajah Bhi Zikr Ki Hai Chuna Che Likhte Haiñ:
Niyyat Maktoob Me Asar Andaz Nahi Hoti. Dua O Sana Me Kitabat Ki Koi Hajat Nahi Or Jo Amr Khilaf E Qayas Warid Hota Hai Wo Apni Jagah Se Mutajauz Nahi Hota.
(Tafseel Ke Liye Dekhe Risala Irtefa Ul Hujub An Wujuhi Qiraat Ul Junab).
▪️Azeez Misbahi Sahab Ki Tahreer
Urdu To Roman: Noori Mustafavi
Nadeem Mustafavi
Mazeed اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّٓا اِلَیْهِ رٰجِعُوْن Quran ki ayat e kareema hai ...isy roman urdu me likhna haram hai
No comments:
Post a Comment