Saturday, 26 November 2022

Nek bando ki chize barkat hai/Tabarruk /tabarrukaat/ bujurgo ke chije tabarruk hai. .

Hadees Shareef:


Sahabi Ka Aqeeda


Hazrat Imam Bukhari رحمة الله عليه​ Al Mutawaffah 256 Hijri Hadith Code Karte Hain...✍🏻


Hazrat Sahel Bin Saad رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke

Ek Sahabiya Aurat Huzoor ﷺ Ki Bargah e Aqdas Me Chadar Hadiya Lekar Aai Huzoor ﷺ Ne Us Chadar Ko Qubool Farma Liya Aur Ussay Pahen Liya Ek Sahabi Hazrat Abdur Rehman Bin Aauf رضي الله عنه Ne Wo Chadar Huzoor ﷺ Ke Badan e Paak Par Dekhi Aur Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Ye Chadar Mujhay Ata Kar Dijiye Toh Raufu Raheem Kareem Aaqa ﷺ Ne Wo Chadar Un Sahabi Ko Dedi Toh Aur Sahaba e Kiraam Ne Baad Me Hazrat Abdur Rehman Bin Aauf رضي الله عنه Se Kaha Ki Aapne Wo Chadar Huzoor ﷺ Se Maang Kar Thik Nahi Kiya Aur Aapne Dekha Bhi Tha Ki Huzoor ﷺ Ne Ussay Qubool Bhi Kar Liya Tha Halake Iski Huzoor ﷺ Ko Zarorat Bhi Thi Iske Maujud Bhi Aapne Huzoor ﷺ Se Manga Toh Sahabi Hazrat Abdur Rehman Bin Aauf رضي الله عنه Ne Farmaya Mene Toh Sirf Us Chadar Se Barkat Hasil Karne Ke Liye Mangi Hai Kyunke Huzoor ﷺ Us Chadar Ko Apne "Badan e Paak" Se Laga Chuke Thay Aur Meri Khuwa'hish Hai Ki Mujhe Isi Chadar Me Kafan Diya Jaye.


🌹سبحان الله ... ماشاء الله 🌹


Sahaba e Kiraam Us Chiz Se Barkat Hasil Karte Thay Balke Unki Tamanna Bhi Thi Ki Wahi Chadar Unka Kafan Bhi Ho Jo Chiz Ek Bar Huzoor ﷺ Ke Jism e Aqdas Se Lag Jaye...


(Sahih Bukhari [Published Saudi Najdi, Vol 8 Hadees 6036)













 DALIL TABLIG JAMAAT DEOBAND SE. 


#tabarruk e db


बुजुर्गों के तबर्रुकात पर भौंकने वाले घर के तबर्रुकात पर खामोश क्यों ???


मौलवी आशिक इलाही मेरठी अपनी किताब तजकीरतुल खलील की सफा 96-97 पर 

क़ासिम नानोतवी के नानी के पोतरे नीचे रख दिए जाते थे तो उनमें बदबू की जगह ख़ुशबू और ऐसी निराली महक फूटती थी कि एक दूसरे को सुंघाता और हर मर्द और औरत तअ'ज्जुब करता था चुनाँचे बगैर धुलवाए उनको तबर्रुक बना कर रख लिया गया।


पाक चीज़ें पाक लोगों के लिए और नापाक चीज़ें नापाक लोगों के लिए सही कहा ना ?

पैखाने वाली नापाक पोतरों की तबर्रुक मुबारक हो.....






Tuesday, 22 November 2022

Aala hazrat gairo ki nazar me/ala hazrat agyaar ki nazar me. /Ala hazrat deobandio ke nazar me. Ala hazrat

 DALIL DEOBAND SE. 


Post :1

دیوبندیوں کہ حکیم الامّت مولوی اشرفعلی تھانوی اعلی حضرت امام احمد رضا خان رضی اللہ تعالیٰ عنہ فاضل بریلوی کو اپنا امام تسلیم کرتے تھے اور کہتے تھے اگر مجھے امام احمد رضا کی امامت میں نماز پڑھنے کا موقع ملا تو ضرور پڑھوں گا 

ثبوت دیوبند کی مسلمہ کتاب سے






POST


Aala Hazrat رضی اللہ تعالیٰ عنہ gairo ki nazar me

Ashraf Thanvi K Khalifa *Mufti Shafi Db* Kehta Hai Thanvi Ki Zaban Se Maine_ 
*Alahazrat Ahmad Raza رضي الله عنه Ke Ishqe Rasool ﷺ Hone Ka Iqrar Wa Aitraaf baar baar Suna*

(Akabir Ka Makam e Tawazo, Safa -406)




Db ke Hakeem ul Ummat Ashraf Ali Thanvi ke Mureed o Khalifa Mufti Shafee Db kehte hai ;

Maine Baarha (Many times) unki(Ya’ani Ashraf Ali Thanvi Deobandi) ki Zuban se A’la Hazrat Maulana Ahmed Raza Khan Fazile Bareilvi ke Ishq e Rasool Ka iqraar wa e’teraaf suna hai.

▪️(Ref: Akaabir Ka Maqam e Tawaze’e, Pg no.406.)





Nek bande qabar me zinda h wali zinda

 Post:1


Sahaba ka aqeeda 

Allah k nek bande apni #qabr me zinda, tilawate Qur'an karte wa #namaz padhte hai 


#ambiyazindahai




DALIL TABLIG JAMAAT DEONAND SE. 


*वफ़ात के बाद मौलवी क़ासिम नानोतवी का अपनी जिस्म के साथ आना!*


मौलवी अपने जिस्म के साथ क़ब्र से उठ कर मदरसे में दो मौलवियों का झगड़ा सुलझाने आ गए,

फिर यह शिर्क क्यों नहीं हुआ ???


अशरफ अली थानवी  

{किताब अरवाह ए सलासा सफा 193,194}







Wednesday, 16 November 2022

Kya hasne se wizu tut jata hai?

 Sawal

Kya khilkhilaaker hasne se wazu toot jata hai


Namaz me agar hassi Aa jaaye To kya Namaz toot jayegi???


Jawab

بسم الله الرحمن الرحيم

الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

Khilkhilaaker hasne se wazu nahi tootta

Albatta dil murda hota hai


Hassi aayin aur uski aawaz khud ne suni to namaz toot jayegi wuzoo baaqi rahega.


Aur itni aawaz me hasa k qarib wala muqtadi ne bhi suna to namaz aur wuzoo dono toot jayega


▪️(BAHAR E SHARIAT. H. NO. (4)


Qiyaas se to aisa lagta he ki wuzoo aur hansne ka koi talluq nahi he. Albatta  Hadish e pak se sabit he ki ek baar kuch Sahabi douran e namaz hans pade to Sarkar  ﷺ ne namaz aur wuzoo dohrane ka huqm diya tha. Iss wajah se khilkhila kar hansne se ki qarib wale ko aawaz pahunche wuzoo aur namaz toot jayegi. 


واللہ تعالی اعلم بالصواب


واللہ اعلم ورسولہ بالصواب

Monday, 14 November 2022

Gaus paak kahna kaisa? Gouse azam/ abdul qadeer jilaani/ Gous paak

 Dalil Tablig Jamaat Deoband se. 



#waseela 


Na sirf Gaus e Azam kaha balki mushkil kusha b maana 


دیوبندیوں کا امام مولوی اشرف علی تھانوی لکھتا ہے کہ؛


”ایک دن حضرت غوثِ الاعظم سات اولیاء کے ہمراہ بیٹھے ہوئے تھے۔ ناگاہ نظرِ بصیرت سے ملاحظہ فرمایا کہ: ایک (بحری) جہاز قریب غرق ہونے کے ہے۔ آپ نے ہمت و توجہ باطنی سے اسکو غرق ہونے سے بچا لیا۔“


[امداد المشتاق، صفحہ 45 ، مطبوعہ مکتبہ رحمانیہ اردو بازار لاھور]

یہ واقعہ شمائمِ امدادیہ میں بھی نقل کیا ملاحظہ ہو

[شمائمِ امدایہ، صفحہ 43، مطبوعہ کتب خانہ اشرف الرشید شاہ کوٹ]


یہاں پر دیوبندی امام نے شیخ عبدالقادر جیلانی علیہ الرحمہ کو نہ صرف غوثِ اعظم کہا۔ بلکہ یہ بھی مانا کہ اللہ والے باطنی و روحانی توجہ فرما کر مشکل کشائی بھی کرتے ہیں۔


اگر یہی واقعہ ہم بیان کریں کہ غوثِ پاک رحمۃ اللّٰہ علیہ نے ڈوبی ہوئی بیڑی بنّے لگا دی۔ تو انکو شرک و بدعت کے مروڑ اٹھتے ہیں۔ لیکن جب اپنی باری آئے تو سب کچھ جائز ہو جاتا ہے۔


بھنور میں پھنساہے ہمارا سفینہ بچاغوثِ اعظم بچاغوثِ اعظم

نکالاہےپہلےتو ڈوبے ہُوؤں کو اور اب ڈوبتوں کو بچا غوثِ اعظم




Saturday, 12 November 2022

Qaramat/karamat

 Ahse sunnat ka ispar yahi aqeeda hai ki jo kuch qaramate hoti hai wah sab ALLAH ta'ala ki Ata se Hoti Hai... 

DALIL SALAF SE. 


𝐉𝐚𝐥𝐞𝐞𝐥 𝐔𝐥 𝐐𝐚𝐝𝐚𝐫 𝐓𝐚𝐛𝐚'𝐞𝐞𝐧 𝐀𝐛𝐮 𝐌𝐮𝐬𝐥𝐢𝐦 𝐀𝐥-𝐊𝐡𝐚𝐰𝐥𝐚𝐧𝐢 (𝐑𝐚𝐡𝐦𝐚𝐭𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡𝐢 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢) 𝐊𝐚 𝐏𝐚𝐚𝐧𝐢 𝐌𝐞𝐢𝐧 𝐂𝐡𝐚𝐥𝐧𝐚 𝐒𝐚𝐡𝐞𝐞𝐡 𝐒𝐚𝐧𝐚𝐝 𝐒𝐞 𝐒𝐚𝐛𝐢𝐭 𝐇𝐚𝐢𝐧


Imam Ahmad Ibn Hanbal (Rahmatullahi Alaihi) Sanad Bayan Karte Hue Likhtey Hain


حدثنا عبد الله حدثنا أبي حدثنا هاشم بن القاسم حدثنا سليمان عن حميد بن هلال أو غيره أن أبا مسلم الخولاني مر بدجلة وهى ترمى بالخشب من مدها فمشى على الماء ثم التفت إلى أصحابه فقال هل تفقدون من متاعكم شيئًا فندعوا الله عز وجل.


Abu Muslim Al-Khawlani (Rahmatullahi Alaihi) Dajla Ke Kinare (Tigris River) Se Guzar Rahe Thay Aur Dajla Naadi Apne Lehre Se Lakdiyo Ko Bahar Patakh Ja Raha Tha. Toh Abu Muslim Pani Par Chal Diye, Phir Unhone Apne Saathiyon Ki Taraf Dekha Aur Kaha: "Kya Tum Apne Samaan Ki Kuch Cheezen Kho Gaye Hain?" Phir Hum Allah Azzawajal Se Dua Ki.


(Kitab Az-Zuhd  - Imam Ahmad Ibn Hanbal Safa 310, Riwayat Number 2253)


Scan Page


Imam Bayhaqi (Rahmatullahi Alaihi) Ne Is Waqiya Ki Sanad Ke Bare Mein Kehtey Hain


هذا إسناد صحيح.

Is Ki Sanad Saheeh Hain

(Dala'il Al-Nubuwwah: Safa 54,)


Scan Page 


Imam Ibne Kaseer Is Waqiya Ke Bare Mein Likhtey Hain 


هذا إسناد صحيح

Is Ki Sanad Saheeh Hain

(Al- Bidaya Wal Nihaya Jild 08, Safa 260)


Scan Page


Is Waiyqa Ko Imam Ibne Temiya Ne Bhi Kitaab an-Nubuwaat Mein Naqal Kiya


All scan pages:👇









Dalil Tablig Jamaat Deoband Se. 


POST :1


Auliya iqram ki qaramat #baad_wisaal bhi sabeet hai

Inkar karne wala biddati

Ashraf thanvi deobandi tablig jamaat

(Imdadul fatawa) 

Scan Page 👇



POST:2





POST:3





Radde Wahabiat Images | post