Sawal
Kya khilkhilaaker hasne se wazu toot jata hai
Namaz me agar hassi Aa jaaye To kya Namaz toot jayegi???
Jawab
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
Khilkhilaaker hasne se wazu nahi tootta
Albatta dil murda hota hai
Hassi aayin aur uski aawaz khud ne suni to namaz toot jayegi wuzoo baaqi rahega.
Aur itni aawaz me hasa k qarib wala muqtadi ne bhi suna to namaz aur wuzoo dono toot jayega
▪️(BAHAR E SHARIAT. H. NO. (4)
Qiyaas se to aisa lagta he ki wuzoo aur hansne ka koi talluq nahi he. Albatta Hadish e pak se sabit he ki ek baar kuch Sahabi douran e namaz hans pade to Sarkar ﷺ ne namaz aur wuzoo dohrane ka huqm diya tha. Iss wajah se khilkhila kar hansne se ki qarib wale ko aawaz pahunche wuzoo aur namaz toot jayegi.
واللہ تعالی اعلم بالصواب
واللہ اعلم ورسولہ بالصواب
No comments:
Post a Comment