SHAB E BARAAT HADEES SE.
*15 Shabaan Ko ibadat karna Aur Roza Rakhna*
*Hadees*
“Hazrat Aliyul Murtazaa Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai *Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho* Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Duniya Par Khas Tajalli Farmaataa Hai Aur Kehtaa Hai Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Wala Ki Use Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Wala Ki Use Rozi Doon Hai koi Musibat Jadaa Ki Use Aafiyat Ataa Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmaataa Hai ki Fazr Tuloo Hojaye”
Reference :
{Sunan Ibn Majah : Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388}
Scan:
*Hazrat Ali Radiallahu Anhu*
*Ki Ahaadees Ko Mukhtalif Hadees Ki Kitabo Se Jamaa Kiya Phir Aakhir Me Apnaa Faislaa Sunaya Ke*
*To Yeh Ahaadees Majmooi Taur Par* *HUJJAT Hai, Unlogo Ke*
*KHILAAF Jo Ye Dawa Karte Hain Ke Koi Baat 15 Shabaan Ki Fazeelat Me Saabit Nahi, Wallahu Ta’ala Alam*
*Tohfatul Ahwazi*
*SCAN PAGE*
SHAB-E-BARAAT-KI- FAZEELAT AHLE HADEES KE GHAR SE SABIT HAI
Mazeed 15vi Shabaan ki Fazilat ke Qaayil Khud Ghair muqallideen Ahlehadees Ulama bhi hai, Balke Bade Bade Cho-ti ki Ulama Shab e Baraat ki Fazilat ke qaayil hai :
Hawaale Mulaaheza Farmaaye :
1 – Ghair Muqallideen ke Muhaqiq ul Asar Maulana Abdul Qaadir Hasaari Rh. Likhte hai ke
Shabaan ki 15vi Raat ki Fazilat ke Mutalliq Muta’adid Ahadees Aayi hai.In sab ka Majmua Is baat par Dalaalat Karna ke Uski Koi asal hai.
Aur Aage Kehte hai ke 15vi Shabaan ki raat ki Fazilat Qiyaam [Ibaadat] karne ke liye Musallam [Saabit] hai.
Mazeed Likhte hai ke Pas Yeh Masla Saabit hogaya ke Shabaan ki 15vi Shab ko Qiyaam karna aur Din ko Roza Rakhna Mashru [Shariyat se Saabit] hai.
(Fataawa e Hasaariya : Jild 5 : Safa 118)
Scan Page :
👇👇👇👇
👇👇👇👇
Jahilo is raat ki fazilat ka inkaar krne waalo apne ghar ki kitabein padho or tauba krke is raat mahooson tarah sone ke bajaye puri raat Allah ki ibadat me gujaaro
Mazeed 15vi Shabaan ki Fazilat ke Qaayil Khud Ghair muqallideen Ahlehadees Ulama bhi hai, Balke Bade Bade Cho-ti ki Ulama Shab e Baraat ki Fazilat ke qaayil hai :
Hawaale Mulaaheza Farmaaye :
1 – Ghair Muqallideen ke Muhaqiq ul Asar Maulana Abdul Qaadir Hasaari Rh. Likhte hai ke
Shabaan ki 15vi Raat ki Fazilat ke Mutalliq Muta’adid Ahadees Aayi hai.In sab ka Majmua Is baat par Dalaalat Karna ke Uski Koi asal hai.
Aur Aage Kehte hai ke 15vi Shabaan ki raat ki Fazilat Qiyaam [Ibaadat] karne ke liye Musallam [Saabit] hai.
Mazeed Likhte hai ke Pas Yeh Masla Saabit hogaya ke Shabaan ki 15vi Shab ko Qiyaam karna aur Din ko Roza Rakhna Mashru [Shariyat se Saabit] hai.
(Fataawa e Hasaariya : Jild 5 : Safa 118)
Scan Page :
👇👇👇👇
👇👇👇👇
Jahilo is raat ki fazilat ka inkaar krne waalo apne ghar ki kitabein padho or tauba krke is raat mahooson tarah sone ke bajaye puri raat Allah ki ibadat me gujaaro
Post:2
Shabe Baraat ki hakikat post 01
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Mukhtasar Sa Yahan Padh Sakte Hai Fazail E Shabaan Kay Talluk Se CLICK HERE
Post 01 : Fazail E Shaban Shabe Baraat Ki Haqeekat
Mauzooda daur me kuch roshan khayali naam nihad ahle hadees jo Hai Wahabi ye Firqa Ummat e Muslima me har mahina kuch na kuch fitna chodta hai har us amal ko shirk biddat haram kehte hai jiska talluk aqaid or maamlaat E ISLAMIYA se hai aaj se kuch saal phle aapne kisi ko bhi SHABAN ki fazilat aur ki 15wi shab jisko Shab E Baraat kaha Jaata Hai us raat jaag kar Namaz Roza Tilawat Karne ka Inkaar karte nahi dekha hoga par ab ek aisa firqa wajood me hai Ibadat us firqe par bhoj hai hama waqt bahane talashte hai k kisi tarah ummat e muslimah ko gumraah kare Amal Se roke.
Unka kehna hai Shaban ki asal hadees se saabit nahi hai balki jo rivayat hai sab mauzu hai jaeef hai halanki ye unki Laa ilmi hai jo aise jumle nikalte hai.
Bahot Si rivayat is talluk se SAHIH hai jo is post ko padhke jo aage dalail aaynge aap samajh jaynge aur kuch ahadees zaif hai lekin jo zaif hai wo bhi aisa nahi hai kay usko raddh kar diya jayega balki Zaeef hadees agar Shawaheed kay saath ho alag alag sanado se aaye to wo HASAN darje ki hoti hai.
Aur maan lo jaeef hadees bhi ho tab bhi aimma ka usool yehi hai k amal o fazail me jaif hadees kabool ki jaati hai aur uspe amal hoga ab uske khilaf bolne waalo ko chahye k saaf saaf alfaz waali sahi hadees leke aaye jisme saaf mauzood ho k 15 shaban ko kayam aur roza na rakho aur agar nahi la sakte hai to unhe sochna chahye wo kya kar rahe hai.
Maahe Shabaan Naam E Aamal Allah Taala Ki Taraf Uthaye Jaate Hai
Hadees 01 :
Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”
Reference :
(Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358)
Scan Page SUNAN NASAI jiski tahkeek Wahabiyo Kay Sabse Bade Muhadis Naseerudin Albani ne ki hai.
Upar Bayan Karda Hadees E Paak Se maloom huwa Ye Mubarak mahine Me Hamare Naam E Amal Allah Ki Janib Uthaye Jaate Hai Aur Jab Naam E Amal Uthaye jaye to Khud Rasoolullah ﷺ Farmate hai Kay Mahboob hai ROZADAR hoon.
To Ab Yahan Wo Waqt Din Konsa hai Jab Shabaan Me Naam E Amal Uthaye Jaate Hai ? Iski Rehnumai Bhi Hadees E Paak Se Milti Hai.
NISF E SHABAAN 15wi Raat Shabaan Ki ALLAH TAALA KI KHAS REHMAT BANDO KI TARAF MUTWAZZE HOTI HAI
Hadees 02 :
Hazrat Ma’az Bin Jabal Raziallah anhu Nabi E Karim ﷺ Se Riwayat Karte Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya Allah Tala Sha’abaan Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmaakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.
References :
(Sahih ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)
Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed ki bunyaad Pe SAHIH hai.
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36, Hadees :6776)
(Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)
(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )
(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )
(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05, Pg : 191)
Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani
(Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)
Imam Ibn Hibban Ne Yahan sarahat Kay ek saath Baab Kayam Kiya
SHABAN KI 15wi Shab ALLAH Taala Ka Bando Ko Maaf Karne Ka Bayan
Scan Page
Imam Ibn Hajar Haythami Shafai Rahmatullah Alaih Likhte Hai
“Imam Tabarani ne jo Ye Rivayat naql ki hai Mujam Al Kabeer Aur Mujam Al Awsat Me Ye Dono Rivayat kay raavi SIQAH hai”
(Majma Uz Zawaid, 08, Pg : 126, Hadees : 12860)
(Imam ibn Rajjab Hambali Lataif Al Marif Vol :01, Pg : 224)
Isko Sahih Kahte Hai.
Hadees 03 :
“Abdullah ibn Amr ibn Al Aas Radiallah Anhu rivayat karte hai k Nabi ﷺ ne Farmaya ALLAH Taala 15th Shaban ki Shab Par Nazre Karam Karta Hai Aur Apne Bando Ko Baksh Deta hai siwaye keena parwar aur naahaq qatl karne waalon ke
References :
(Musnad Ahmad Vol : 06, Hadees : 197 - 98, Hadees : 6642)
Ahmad Shakir SAHIH.
(Imam Hasan Al Khallal, Al Majalis Al Ashrah Vol : 01, Pg : 18, Hadees :02)
(Yahya Al Shajiri, Tarteeb Amali Al Khamesiyyah, Vol : 02, Pg : 48, Hadees : 1539)
(Naseerudin Albani Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol :03, Pg : 136)
Al Bazzar ne is hadees ko riyayat kiya aur hasan kaha
Shaykh Shuayb Arnaut Ne Hasan Li Ghairih
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 08, Pg: 65)
Scan Page Musnad Ahmad
Hadees 04 :
“Hazrat Abu Baqar Siddique Radiallahu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jab Nisf E Shaban Ki Raat Aati Hai Allah Taala Aasman E Awwal Me Istawa Karta hai Aur Apne Bando Ki Magfirat Karta hai Siwaye Mushrik Aur Dilo Me Bugz Nafrat Rakhne Waalo Kay”
References :
(Imam Asim As Sunnah Vol : 01, Pg : 222, Hadees : 509)
YE Hadees Sahi Hai Front Cover As Sunnah
(Imam Ibn Khuzayma Kitabut Tawheed Vol : 01, Pg :325, Hadees : 48)
(Imam Ibn Abi Dunya Fazail E Shahar Ramzan Hadees : 02)
(Imam Fakihi Al Akhbar Makkah Vol :03, Pg : 66, Hadees :1838)
(Imam Darqutni Al Nuzool Vol : 01, Pg :155, Hadees :75)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol :01, Pg : 157, Hadees :80 )
(Imam Maruzi Musnad Abu Baqr Siddique Vol : 01, Pg :171, Hadees :104)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 05, Pg : 357, Hadees : 3546)
(Imam Ibn Hazar Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 01, Pg : 125, Hadees : 12957)
Is Hadees Ko Hasan Kaha.
(Imam Ibn Hajar Asqalani Amal Al Mutlaqah Vol : 01, Pg :122)
Isko Hasan kaha.
Hadees 05 :
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu anhu Se Riwayat Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai.
Reference :
(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)
(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra, Hadees : 6386 and Shu’ab, 3:342 #3711, 3713),
Issi Rivayat Ko Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Imam Ibn Asakir Ne Naql Kiya.
(Imam Daylami Musnad Al-Firdaws Vol :2 Pg : 311 Hadees : 2797 )
Scan Page
Hadees 06 :
Imam Muhammad Ibn Idrees Shafai Rahmatullah Alaih Apni Kitab Ul Umm Me Likhte Hai
“05 Raat hai Jinme Duaye Kabool Hoti Hai Jumaah Ki Raat, Eid Ul Fitr Ki Raat, Eid Ul Azhaa Ki Raat, Razzab Ki Pahli Raat, NISF SHABAN (yaani 15wi raat)”
Reference :
(Kitab Ul Umm Vol : 02, Pg :485, Hadees : 482)
Imam Shafai Ek Baab Kayam Karte Hai LAYLATUL EIDAIN
Scan Page
(Imam Nawawi Ash Shafai Kitab Al Majmua Vol : 05, Pg : 50)
Me Likh Kay Is Raat Kayam Karne Ko Durust Farmaya.
Aaj Log Kahte Hai EID bas Do hai Imam Shafai 05 05 Raat Ko EID kah rahe hain.
In Upar Karda SAHIH hadeeso Se ye maloom huwa Kay NISF SHABAN ki raat jisko Bakshish Magfirat Ki raat kahte hai SHABE BARAAT ki raat ALLAH Taala Apne Bando ki duaye Kabool karta hai magfirat karta hai Lihaja Ye raat Khaskar kay Kayam Karna Dua Karna Ibadat Me guzarna Kaise Biddat Hogaya ?
Isko Biddat Siwaye Kam Ilm Jaahil Insaan kay koi Musalman nahi kah sakta.
Hadees 07 :
Ummul Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha farmati hai k Rasool Allah ﷺ ko Farmate Huwe Suna Hai ALLAH Tabarakwa'tala 04 raato me Khas Kar Bhalai Ka Darwaja Khol Deta Hai
01) Eid Ul Fitr
02) Eid Ul Azha
03) Shaban ki 15wi Raat Jisme Marne waalo K Naam Hai Karne Waalo K Naam Logo K Rizk Likhe Jaate Hai.
04) Yaum E Arfa Ki raat (Yaani 08 Aur 09 Zilhajja Ki Raat Se Fazr Tak)
References :
(Imam Jalaludin Suyuti Tafseer E Durre Mansoor Vol : 07, Pg : 302 print Darul Fikr Beirut)
Aur Is Tarah Ki Fazail E Shaban Aur Uski Darmiyani Raat Yaani NISF SHABAN Al Maroof Shabe Baraat Ki Rivayat Kam Az Kam 15 Sahaba E Kiram Se Marvi Hai Jo naa sirf is raat ki fazilat jaahir karti hai balki is hadees ko bhi MUTAWATIR tak pahuchati hai Aur Mutwatir Wo Rivayat Hoti hai jisko bade se bada Muhadis Aalim raddh nahi kar sakta.
In tamam Rivayato Se Humne Saaf Saaf SHABAN KI 15wi Raat Ki Fazilat Saabit Ki Hai Aur Is raat ki fazilat kay tahet jo hadees e paak me aayi hai us lihajse Puri dunya kay Musalman raat ibadat me guzarte hai ab koi shaks sirf Apne So Called Saudi Yaa India Kay Wahabi Aalim Jo khud Ahle hadees kahe unhe Sune Aur In tamam Ahadees Ka Khula Raddh kare aur phir dawa ye kare kay wo sirf QURAN SAHIH hadees ko maanta hai amal karta hai, kisi Imam Ki nahi maanta Taqleed nahi karta to aap khud padhke faisla karen kay ye dawa uska sacch hai ye kitna bada jhooth hai aur musalmano ko gumraah karne ka kaisa tarika hai.
ALLAH TAALA IS FITNE SE MUSALMANO KI HIFAZAT KARE.
All scan👇
Shab E Baraat Aur Ziyarat E Quboor
Post-1
HADEES:
SANAD
Imam Tirmizi Rh. –> Ahmed Bin Mani Rh. –> Yazeed Bin Haroon Rh. –> Hajjaaj Bin Arta Rh. –> Yahiya Bin abi Kaseer Rh. –> Urwa Rh. –> Hazrat Ayesha Rdh. –> Nabi e Karim Sallallahu Alahi Wasallam .
Matan:-
“Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat SallallahuAlahi Wasallam Ko Naa Dekha To Mai Aapki Talaash Mein Nikli Toh Aap ﷺ JANATUL BAQI Mein Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺ Maine Khayal Kiya Tha KiShayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees: 1389)
Scan Page Of Jamai Tirmizi
Post-1
HADEES:
SANAD
Imam Tirmizi Rh. –> Ahmed Bin Mani Rh. –> Yazeed Bin Haroon Rh. –> Hajjaaj Bin Arta Rh. –> Yahiya Bin abi Kaseer Rh. –> Urwa Rh. –> Hazrat Ayesha Rdh. –> Nabi e Karim Sallallahu Alahi Wasallam .
Matan:-
“Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat SallallahuAlahi Wasallam Ko Naa Dekha To Mai Aapki Talaash Mein Nikli Toh Aap ﷺ JANATUL BAQI Mein Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺ Maine Khayal Kiya Tha KiShayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees: 1389)
Scan Page Of Jamai Tirmizi
_____________________________________________
Post-2
Sunan Ibn Majah Ki Shabaan Ki Fazeelat Me Ek MARFOO Hadees Milti Hai :
ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻣﻮﺳﻰ ﺍﻷﺷﻌﺮﻱ ﻋﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ ﺇﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻟﻴﻄﻠﻊ ﻓﻲ ﻟﻴﻠﺔ ﺍﻟﻨﺼﻒ ﻣﻦ ﺷﻌﺒﺎﻥ ﻓﻴﻐﻔﺮ ﻟﺠﻤﻴﻊ ﺧﻠﻘﻪ ﺇﻻ ﻟﻤﺸﺮﻙ ﺃﻭ ﻣﺸﺎﺣﻦ
TARJUMA : Hazrat Abu Moosa Ashari Radiallahu Talaa Anhu Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi WasallamNe Farmaya :
“Allah Ta’alla Nisf Shaban Ki Raat Ko Mutawajjeh Hote Hain Aur Harr Ek Ki MAGHFIRAT Farmate Hain Siwaye Aise ShaqsKe Jo MUSHRIK Ho Ya Jiske DIL Me KEENA (Bugz) Ho.”
[Sunan Ibne Majah, Hd.no: 1409]
Aur Ghair Muqallidon Ke Sheikh Nasiruddin Albani Ne Is Hadees Ko HASAN Aur SAHIH Bhi Kaha.
[Sahih Ibne Majah, Jild: 1,Safah: 414, Baab: Shabaan Ki 15vi Raat Ke Muttaliq, Hd.no: 1148]
SCAN PAGE :
Ghair Muqallidon Ke Allama Nasiruddin Albaani Farmaate Hain:
“Khulaasa-E-Kalaam Yeh Hai Ke In Tamaam Turq Ke Sabab Yeh Hadees (Shab-e-Baraat Ke Mutalliq) Bilaa Shak Wa Shubah Saheeh Hai.”
[Silsilatul Ahadees Al-Saheeha, Jild: 3, Safah: 138,139]
SCAN PAGE :
POST :3
*Rasoolullah ﷺ Shaabaan Ke Aqsar Roze Rakhte The*
Hadees 1️⃣
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anhaa Farmaati Hai Rasool Allah ﷺ Ramzaan ke baad sabse Jyada Roza Kisi Maah Me rakhte to wo Shaabaan Ka Mahinaa Tha”
Reference :
Sahi Bukhari
Baab Shaban Me Roze Me Roze Rakhna
Hadees :1969
Scan Page 👇👇👇
Hadees 2️⃣
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anhaa Farmaati Hai Rasool Allah ﷺ Shaabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakhaa Karte Balki Poora Shaabaan hi Roza Rakh Liya karte the Aur farmaayaa Karte Apni Istitaat Ke mutabik Aamaal karo ki Allah Us wakt Apnaa Fazal Nahi rokhta Jab Tak tum Uqta naa jao”
Reference
Sahi Bukhari
Baab : Shaabaan Me Roze Rakhnaa
Hadees :1970
Scan Page📒📙📘📗
DALIL SALAF SE
TEESRI SADI HIJRI ME AHLE MAKKAH KA SHAB-E-BARAAT ME IBADAT KARNA
Teesri Sadi Ke Mashhoor Muarrikh Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Ishaaq bin Abbas Faakihi Makki (d. 275 Hijri) ne Apni Tareekh ki Kitab “Akhbaar-e-Makkah” mai ek BAAB (heading) baandha hai:
“Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Aur Unka Mujaheda Us Raat Me Uski Fazeelat Ki Wajeh Se”
Fir likhte hain:
“Aur Ahle Makka Zamana-e-Maazi se us din tak jab bhi pandhrawi (15) raat ati Shabaan ki tamam Mard aur Aurat Masjid (Haram) Jate, Phir Namaz padhte aur Taw’aaf karte aur sari Raat Ibadat karte (zinda rakhte) Subah tak tilawat karte Masjid-e-Haram mein. Yahan tak k pura Quran Mukammal karte aur Namaz padhte. Aur unme se Baaz us Raat 100 Rakat Namaz padhte is tarah ke har Rakaat me Alhamd ke baad Surah Ikhlaas 10 Martaba padhte, aur Zam-Zam ka paani lete aur us raat peete aur usse Ghusul karte …… is ke zarye is raat ki Barkat talash karte, aur is mamle me bohot si Ahadees marwi hain.”
[Akhbaar-e-Makkah p.84/3]
Scan Page:
DALIL AHLE HADEES KE GHAR SE.
Kitab Guniyatu Talebeen ke Safa 364 se lekar 374 tak Jiska Tarjuma Firqa Ahle Hadees Ke Ulluma Ne Kiya Hai
Mah e shaban aur 15wi shaban ki fazilat
Shab e Barat k Fazail wa Barkat
Shab e Barat ki wajah tasmiya
Shab e Barat ki Namaz
Ka zikr hai jo sabit karti hai k khud Hazrat Gaus e Aazam Shaikh Abdul Qadir Jeelani radialla taala anhu ka amal raha hai.....
Lagao Fatawa 😂🤣😂🤣😂🤣😂..
No comments:
Post a Comment