Saturday, 5 May 2018

Juma mubaraq kahna kaisa?JUMA KI FAZILAT/JUMA EID HAI/ JUMA MUBARAQ KAHNA KAISA?

JUMA MUBARAQ KAHNE KI DALIL AHLE HADEES KE GHAR SE.

*💢Jumma Mubarak Kehne par Bid'at Ka Fatwa Dene Walo K Lie Tohfa💢*

➡Daleel 1

Tehreer Gair Muqallid Hafiz Nadeem Zaheer Ki Hai 

Takhreej o Tehqeeq Ka Kam Gair Muqallid(Ahle Hadees) Zubair ALI Zai Ne Kiya Hai 

“Baab (Chapter) Hi Likha Hain ‘Fazail Jummatul Mubarak’”

(Maqalaat e Hadees)

*Baraye Meherbani Inko Bhi Bid'ati Kahe Dey* 

📑Scan Page Attached👇🏽👇🏽

➡Daleel 2

Ahle Hadees Allama Abu Muhammad Badiuddin Shah 

Jamiat e ahle Hadees sindh karachi ne publish kiya 

Kitaab Ka Naam Hi Likha Hain

“Khutba e jumma al Mubarak “

📑Scan Page Attached👇🏽👇🏽

➡Daleel 3

Pura Kitaab Hi Likha Dala Hain Topic 
“Jummahtul Mubarak" Salafi Scolar Of Saudi’Arabia Salih Mun Najd 

[Owner of Islamqa website]

📑Scan Page Attached👇🏽👇🏽

Note 📝 
Aab Wahabi “Bidaati “ Ka Fatwa Nahi Lagayega Inke Mullao Par Aab Bachne Ke Liye Kahega 
“Likhna Jayz Hain Kehna Jayz Nahi” 😜 😂

📑Look Scan📖






*🌹EID KHUSHI💐*

*▶Saal me sirf 2 Eid (Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Azha) hi Eid hoti hain, "Sunniyon" ne ye teesri eid kahan se bana liya?*

*Is Munafiq Najdi ke aitraz se lagta hai ki mukhalifeen ko Eid ka matlab hi nahi malum.* 😃
Aaiye pahle
ham Lughat se Eid ka matlab sabit karte hain.

*Arbi ki mashhur Lughat Al-MAwrid me Eid ke 4 maane likhe hain, Dawat, Dawat ka din, Tyohar, Chhutti ka din.* 

📔(Al-Mawrid Pg.788)

📑Scan Page👇🏽

👉🏻DALEEL 2

Urdu ki mashhur Dictionary, Firozul Lughat me
eid ke teen maane likhe hain,

1: Jo bar bar aaye, 
2: Musalmano ke jashn ka roz,
3: Nihayat khushi.  

📔(firozul Lughat Pg.488)

📑Scan Page👇🏽

Sabit hua Eid
ke maane to bas Khushi ke hote hain, aur har khushi ke din ko Eid kehte hain.
To kya Mukhalifeeen saal me bas 2 din hi khush rehte hain, baaqi din kya maatam karte hain 😅?

📑Look Scan👇🏽





POST-1.


*Jumma Mubarak Kehna Uski Fazilat*

حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ، قَالَ أَخْبَرَنَا شُعَيْبٌ، قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو الزِّنَادِ، أَنَّ عَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ هُرْمُزَ الأَعْرَجَ، مَوْلَى رَبِيعَةَ بْنِ الْحَارِثِ حَدَّثَهُ أَنَّهُ، سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ "‏ نَحْنُ الآخِرُونَ السَّابِقُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، بَيْدَ أَنَّهُمْ أُوتُوا الْكِتَابَ مِنْ قَبْلِنَا، ثُمَّ هَذَا يَوْمُهُمُ الَّذِي فُرِضَ عَلَيْهِمْ فَاخْتَلَفُوا فِيهِ، فَهَدَانَا اللَّهُ، فَالنَّاسُ لَنَا فِيهِ تَبَعٌ، الْيَهُودُ غَدًا وَالنَّصَارَى بَعْدَ غَدٍ..!

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ Se Marwi Hai, Farmate Hain Huzoor ﷺ, Hum Dunya Me Tamam Ummato'n Ke Baad Aane Ke Ba'wajood Qayamat Me Sab Se Aage Rahenge, Farq Sirf Itna Hai Ki Unhe Kitab Hum Se Pehle Dee Gai Thi, Yahi Juma Wo Din Hai Ki Unpe Bhi Farz Kiya Gaya Tha, Yaani Ye Ki Iski Tazeem Kare'n Lekin Wo (Yahud-O-Nasara) Iske Khilaf Ho Gaye, Aur Hum Ko Allah Tala Ne Bata Diya, Dusre Log (Yahud-O-Nasara) Hamare Taabe Hain,  Yahud Ne Dusre Din (Sanichar) Ko Wo Din MUQARRAR Kiya Aur Nasara Ne Tisre Din (ITWAR) Ko.

{صحیح بخاری، ج-١، ص-٣٠٣، الحديث-٨٧٦}

أَخْبَرَنَا إِسْحَاقُ بْنُ مَنْصُورٍ، قَالَ حَدَّثَنَا حُسَيْنٌ الْجُعْفِيُّ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ يَزِيدَ بْنِ جَابِرٍ، عَنْ أَبِي الأَشْعَثِ الصَّنْعَانِيِّ، عَنْ أَوْسِ بْنِ أَوْسٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ إِنَّ مِنْ أَفْضَلِ أَيَّامِكُمْ يَوْمَ الْجُمُعَةِ فِيهِ خُلِقَ آدَمُ عَلَيْهِ السَّلاَمُ وَفِيهِ قُبِضَ وَفِيهِ النَّفْخَةُ وَفِيهِ الصَّعْقَةُ فَأَكْثِرُوا عَلَىَّ مِنَ الصَّلاَةِ فَإِنَّ صَلاَتَكُمْ مَعْرُوضَةٌ عَلَىَّ ‏"‏ ‏.‏ قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ وَكَيْفَ تُعْرَضُ صَلاَتُنَا عَلَيْكَ وَقَدْ أَرَمْتَ أَىْ يَقُولُونَ قَدْ بَلِيتَ ‏.‏ قَالَ ‏"‏ إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ قَدْ حَرَّمَ عَلَى الأَرْضِ أَنْ تَأْكُلَ أَجْسَادَ الأَنْبِيَاءِ عَلَيْهِمُ السَّلاَمُ ‏..!

Aos Bin Aos رضی اللہ عنہ Se Riwayat Hai, Farmaya Huzoor ﷺ Ne Tumhare Afzal Dino'n Me Juma Ka Din Hai, Isi Din Aadam Paida Huye Isi Me Inteqal Kiya, Isi Me Pehli Baar Soor Phunka Jayega, Isi Din Dusri Baar Soor Phunka Jayega, Is Din Kasrat Se Mujh Par Darood Padho, Ki Tumhara Padhna Mujh Par Pesh Kiya Jata Hai, Logon Ne (Sahaba Ne) Arz Kiya Jab Huzoor ﷺ Inteqal Farma Chuke Honge To Aap Par Durood Kaise Pesh Hoga?
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Allah Ne Zameen Par HARAM Qarar Diya Ki Wo Ambiya علیہم السلام Ke Jismo'n Ko Khaye.

{سنن النسائي، ص-٢٣٧، الحديث-١٣٧١}

وَحَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ يَحْيَى، وَأَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ وَأَبُو كُرَيْبٍ قَالَ يَحْيَى أَخْبَرَنَا وَقَالَ الآخَرَانِ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ تَوَضَّأَ فَأَحْسَنَ الْوُضُوءَ ثُمَّ أَتَى الْجُمُعَةَ فَاسْتَمَعَ وَأَنْصَتَ غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَهُ وَبَيْنَ الْجُمُعَةِ وَزِيَادَةُ ثَلاَثَةِ أَيَّامٍ وَمَنْ مَسَّ الْحَصَى فَقَدْ لَغَا...!

Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلی الله عليه وسلم Ne Jisne Achchi Tarah Wazu Kiya Aur Phir Juma Ko Aaya Aur Khutbah Suna Aur Chup Raha (Khutbe Me) Uski Maghfirat Ho Jayegi Un Gunano'n Se Jo Usne 2 Juma Ke Beech Kiye, Aur 3 Din Aage Ki, Aur Jisne Kankari Uthai Usne Bekar Kaam Kiya.

{صحیح مسلم، کتاب الجمعة، فضل من استمع وأنصت في الخطبة، الحديث-٨٥٧}




Jumma Mubarak Kehna Bilkul jaiz hai asl me Kuch Log la-ilmi ki buniyaad par "Jumma Mubarak" kehne par aitraaz karte hain balki yahan tak isse Biddat kehte hain
معاذ الله

Jab ki Nabiyon ke Sultan, hamare Pyaare Aaqa Madine wale Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم
ka farmane Aalishan hai,

Mafhoom Hadees e Pak
"Aye Musalmano Ke Giroh,
Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah (عزوجل) Ne Eid Banaya Hai.

[Mishkat Hadees No. 123]


Bas isse clear ho jata hai ki jab isse Eid keh diya gaya toh iski Mubarak bad dene me koi harj nahi hai.

Aik aur Riwayat main Jumma ke Aala martabe ka bayaan milta hai.

Mafhoom Hadees e Pak__

Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya,
"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
ALLAH (عزوجل) ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik
"Eid-ul Azha" aur "Eid-ul Fitr" se bada hai,
ALLAH (عزوجل) ne isme Hazrate
ADAM (عليه السلام) ko paida kiya, Isme Zameen par unhe utara Aur Is din dobara Unhe apne pass bulaya."

[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]


Is Hadees se pata chala ki ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur ALLAH k pass loutna is ky ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH عزوجل ne usey Eid bana diya....
Aur toh aur woh din "Eid-ul-Azha" aur "Eid-ul-Fitr" se bhi afzal kar diya.

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (wordly Meaning)

"Musalmano Ke Jashn Ka Roz"
"Nihayat Khushi"
"Jo Bar Bar Aye"
hai, Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid"

Ise Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai__

Al-Quran-

"Essa ibn-e-Mariyam ne Arz ki
Aye ALLAH !
Aye Rab Hamare !

Hum Par Aasman Se Ek Khuwan (dastarkhuwan) Utar  ke Wo Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pichlo Ki."

[Surah Maida Ayat 114]
( عزوجل و عليه السلام)


in sab riwayaat se pata chala ke Mubarak baad dene mein koi harj nai hai.

Allah عزوجل humein haq samjhne aur uspar Amal karne ki Taufiq ata farmay
آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين



Post:2


‼ *Fazail e Darood Shareef.*‼

*🔮Durood Sharif Padh'ne Walon Ke Liye Farishto Ki Dua🔮*

📖Hazrat Asim Bin Ubaidullah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bayan Farmate Hai Unhone Hazrat Abdullah Ibn Amir Bin Rabi'ah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Suna Ke Unhone Unke Walid Se Suna Ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya,

*"Jo Mujh Pae Durood Bhejta Hai To Jab Tak Wo Mujh Pe Durood Bhejta Rehta Hai Toh. Farishte Bhi Uske Liye Duaye Rehmat Karte Hai Ab Bande Ki Marzi Hai Kam Padhe Ya Zyada".*

*Reference Book*

📔Sunan Ibn Majah
Vol *2*
Page *71 & 72*
Hadees *907*

‼ *Juma ke Din Darood Padhne ki Fazilat Wa Hayat un Nabi*‼

💢Hamara Durood Huzoor ﷺ Ki Bargah Me.💢

🌹 _“Hazrat Abu Darda رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :_

*Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.*
*Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain,*

_Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig (Khatm) Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai._

_Phir Hazrat Abu Darda رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ Aur Aap Ke Wisaal *Parda* Farmane Ke Baad (Kya Hoga)❓_

❗ _Aap Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya :_

*Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah عزوجل Ne Zameen Ke Liye Ambiya عليه السلام Ke Jismo Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.*
_Phir Allah عزوجل Ke Nabi Rasool Zinda Hote Hai Aur Unhe Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”_

 *Note Is Hadees Ko Wahabiyon Najdiyo Ke X Shia Imam👇🏼*
📔(Shawkani Nayl-ul-Awtar, Jild-03, Pg-304) Me Bhi Likha Hai.

📔(Reference : Ibn Majah As-Sunan, Jild-01 , Page No-524, Hadith-No 1627)

‼ *Jisne Huzoor ﷺ Par Durood Na Padha Wo Jahennam Ki Aag Me*‼

_Hazrat Imam Ibn e Khuzaymah Al Mutawaffah 311 Hijri Rehmatullahay'alaih Ek Hadees Likhte Hai_

*Huzoor ﷺ Mimbar Par Tashreef Farma Huwe To Teen³ Baar Aameen, Aameen, Aameen Farmya.*
_Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ ! Aap Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe To Aap ﷺ Ne Aameen, Aameen, Aameen Farmaya (Is Ki Kya Wajah Hai ?)._
*Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya :*
_Jibra’il Alayhisslam Mere Paas Haazir Huwe Aur Kahne Lage :_
*Woh Shakhs Jis Ke  Paas Aap ﷺ Ka Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Aap ﷺ Par Durood Na Padha Aur Usi Haalat Me Mar Gaya To Woh Bhi Aag Me Gaya. Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Doorr Kar De (Aye Habib-E-Khuda !) Aap Aameen Kahein To Mein Ne Aameen Kaha.”*
_Allahu'akbar'kabira_

*Reference Book*
Sahih Ibn e Khuzaymah
Vol *3* Hadees *1888*

*Scan Page*

📗📄👇🏼








Post - 3.


*👋🏻सिर्फ दो ईद कहनेवालो वहाबडो आंखे फाडकर पड़ो👇*

*#साल_मे_55_ईदों_का_सबूत*

वहाबियों का कहना है की बरेलवी के यहाँ ईद खुब होती है।
अल्हम्दुलिल्लाह हम साल मे तकरीबन 55 ईदें मनाते है क्योंकी...

रसूल अल्लाह सलल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया..

" जुमा ईद का दिन हे जो अल्लाह ने मुसलमानो के लिये मुकरर किया हे "

*(📚 हवाला :- सुनन इब्ने माज़ा , सफा 375 , हदीस 1098)*

स्कैन पेज मोजूद 👇

दूसरी जगह इरशाद फरमाया...

" जुमा तमाम दिनो का सरदार हे और अल्लाह के यहां ईदुलफितर और ईदुलअज़्हा इन दोनो से अफ्ज़ल हे "

*(📚 हवाला :- सुनन इब्ने माज़ा , सफा 369 - 370 , हदीस 1084)*

स्कैन पेज मोजूद 👇

एक साल मे 52 हफ्ते यानी 52 ईदें
मीठी ईद , बकरा ईद और सबसे बड़ी ईद मिलादुन्नबी
टोटल = 55 ईदें
सिर्फ 55 हि नही बल्कि सुन्नियो के लिये हर दिन ईद हे वहाबड़ो के लिये कोई ईद नही रोज़े रखें तो फाकां है कुर्बानी करें तो मुफ्त खोरी का खाना ?
वहाबड़े दो ईदो से पीछा छुड़ा रहे थे अब कितनी ईदे गले पड़ गयी , हे कोई बहाबी जो हवाला गलत साबित करें ?

हुज़ूर अलैहीस्सलाम के पैदाईश पर इब्लिस बहोत रोया था,अब भी
मिलाद आते ही बहोत मिर्ची लगती है इब्लिस के बच्चो को करो मातम,यही सजा है.🌶🌶🌶🌶🌶
🤩🤩😋

Scan page:👇









Post - 4.


*AITRAAZ👇🏻👇🏻*

Agar MIladun Nabi Sallallaho alaihe wasallam Eid hai to is Eid ki kitni rakat namaz hai ?

Agar ye Eid ka din hai to batao har eid me ek namaz hoti hai fir is Eid me kitni rakat namaz hoti hai? Aur kis waqt hoti hai?

*JAWAB 👇🏻👇🏻*

Ye sawal Sirf wohi puchega jo Ilm se bahot door ho. Kabhi Hadeesen hi na padha ho. Khair

fir bhi Hadees me hi iska jawab mulahiza farmaiye:

Jawab:

Hazraat Ibne Abbas Radiallahu Talaa Anhu farmate hain ki Juma bhi Eid hai aur Yaum-e-Arfa
bhi Eid hai.

*(Tirmizi, Abwaabut Tafseer, H.no.965)*

sabit hua yani Arfa ka din bhi Eid hai, jo Hujjaj na hon, Unke liye Arfa ka roza rakhna bhi
Mustahab hai, to is Eid ke din roza rakhna bhi sabit hua.

Ab koi Wahabi bataye, kya Arfa ki koi khas namaz hoti hai???

Ye bhi to Eid
ka din hai na??

To sabit hua
kisi din ko eid kehne ke liye uski Khas namaz hona zaruri nahi.

SCAN PAGE 👇🏻👇🏻




POST:5

JUMA MUBARAQ KAHNE KI DALIL WAHABIO KE GHARSE.



*💢Jumma Mubarak Kehne par Bid'at Ka Fatwa Dene Walo K Lie Tohfa💢*

➡Daleel 1

Tehreer Gair Muqallid Hafiz Nadeem Zaheer Ki Hai

Takhreej o Tehqeeq Ka Kam Gair Muqallid(Ahle Hadees) Zubair ALI Zai Ne Kiya Hai

“Baab (Chapter) Hi Likha Hain ‘Fazail Jummatul Mubarak’”

(Maqalaat e Hadees)

*Baraye Meherbani Inko Bhi Bid'ati Kahe Dey*

📑Scan Page Attached👇🏽👇🏽

➡Daleel 2

Ahle Hadees Allama Abu Muhammad Badiuddin Shah

Jamiat e ahle Hadees sindh karachi ne publish kiya

Kitaab Ka Naam Hi Likha Hain

“Khutba e jumma al Mubarak “

📑Scan Page Attached👇🏽👇🏽

➡Daleel 3

Pura Kitaab Hi Likha Dala Hain Topic
“Jummahtul Mubarak" Salafi Scolar Of Saudi’Arabia Salih Mun Najd

[Owner of Islamqa website]

📑Scan Page Attached👇🏽👇🏽

Note 📝
Aab Wahabi “Bidaati “ Ka Fatwa Nahi Lagayega Inke Mullao Par Aab Bachne Ke Liye Kahega
“Likhna Jayz Hain Kehna Jayz Nahi” 😜 😂

📑Look Scan📖





1 comment:

  1. जी हाँ .. जुम्मा मुबारक बोलना बिदत यानी की नया काम है लेकिन यह गलत नहीं है… जेसे की मस्जिद में मीनारे बनवाना, लाउड स्पीकर में अज़ान देना, ये सब भी नए काम यानी की बिदत हैं लेकिन गलत नहीं है..दरअसल बिदत दो तरह की होती है एक बिदत जो इस्लाम की तालीम के खिलाफ होती है एसी बिदत से गुनाह होता है . दूसरी बिदत जो इस्लाम, कुरान और हदीस ए पाक के खिलाफ नहीं है उसे करने की इजाज़त है उससे कुछ गुनाह नहीं होता….कुछ बिदत तो बहुत ज़रूरी है जैसे की कुरान ए पाक में ज़ेर और ज़बर आदि मत्राए लगाना … जुम्मा मुबारक बोलने के कई फायदे भी हैं आपस में मोहब्बत बढती है, मुबारक मेसेज के साथ कोई हदीस इ पाक या अच्छी बात शेयर की जाती है. इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
    1000+ Jumma Mubarak image

    ReplyDelete

Radde Wahabiat Images | post