Shab E Baraat Aur Ziyarat E Quboor
Post-1
HADEES:
SANAD
Imam Tirmizi Rh. –> Ahmed Bin Mani Rh. –> Yazeed Bin Haroon Rh. –> Hajjaaj Bin Arta Rh. –> Yahiya Bin abi Kaseer Rh. –> Urwa Rh. –> Hazrat Ayesha Rdh. –> Nabi e Karim Sallallahu Alahi Wasallam .
Matan:-
“Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat SallallahuAlahi Wasallam Ko Naa Dekha To Mai Aapki Talaash Mein Nikli Toh Aap ﷺ JANATUL BAQI Mein Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺ Maine Khayal Kiya Tha KiShayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees: 1389)
Scan Page Of Jamai Tirmizi
_____________________________________________
Post-2
Sunan Ibn Majah Ki Shabaan Ki Fazeelat Me Ek MARFOO Hadees Milti Hai :
ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻣﻮﺳﻰ ﺍﻷﺷﻌﺮﻱ ﻋﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ ﺇﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻟﻴﻄﻠﻊ ﻓﻲ ﻟﻴﻠﺔ ﺍﻟﻨﺼﻒ ﻣﻦ ﺷﻌﺒﺎﻥ ﻓﻴﻐﻔﺮ ﻟﺠﻤﻴﻊ ﺧﻠﻘﻪ ﺇﻻ ﻟﻤﺸﺮﻙ ﺃﻭ ﻣﺸﺎﺣﻦ
TARJUMA : Hazrat Abu Moosa Ashari Radiallahu Talaa Anhu Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi WasallamNe Farmaya :
“Allah Ta’alla Nisf Shaban Ki Raat Ko Mutawajjeh Hote Hain Aur Harr Ek Ki MAGHFIRAT Farmate Hain Siwaye Aise ShaqsKe Jo MUSHRIK Ho Ya Jiske DIL Me KEENA (Bugz) Ho.”
[Sunan Ibne Majah, Hd.no: 1409]
Aur Ghair Muqallidon Ke Sheikh Nasiruddin Albani Ne Is Hadees Ko HASAN Aur SAHIH Bhi Kaha.
[Sahih Ibne Majah, Jild: 1,Safah: 414, Baab: Shabaan Ki 15vi Raat Ke Muttaliq, Hd.no: 1148]
SCAN PAGE :
Ghair Muqallidon Ke Allama Nasiruddin Albaani Farmaate Hain:
“Khulaasa-E-Kalaam Yeh Hai Ke In Tamaam Turq Ke Sabab Yeh Hadees (Shab-e-Baraat Ke Mutalliq) Bilaa Shak Wa Shubah Saheeh Hai.”
[Silsilatul Ahadees Al-Saheeha, Jild: 3, Safah: 138,139]
SCAN PAGE :