Saturday, 7 April 2018

Tarq rafedein



*🌹SEENA PR HATH BANDHNE WAALI AHMAD BIN HAMBAL KI HADEES ZAYEEF H🌹*

*Musnad Ahmad Se Seene Pe Haath Bandhne Ki Riwayat Ka Jawab*

*Ghair Muqallideen Ke Awwam Musnad Ahmad Se Seene Pe Haath Bandhne Waali Ek Hadees Pesh Karte Hain, Jiski Tehqeeq Hamne Ki Aur Paya Ke Yeh Hadees SAKHT ZAEEF Hai.*

Yeh Riwayat Kul 2 Wujuhat Ke Bina Par Sakht Zaeef Aur Na-Qaabil-e-Istedlaal Hai.

Is Hadees Mein 2 👥Raavi Hain Jo Ke Zaeef Majhool Hain

1)👤SIMAAK BIN HARB

2)👤QABEESAH BIN HULB

"Jispar Aimma e Jarah Wattaadeel Ne Sakht Kalaam Kiya Hain…

Jo Gairmuqallid is Hadees ko Qabeesah bin Hulb se Pesh Karte Hain

AL JAWAB 1️⃣

Musnad Ahmed Ki Riwayat

Jo Shaikh Shoaib Arnaut (Rah) Wagera Ki Tehqeeq Ke Sath Chapi Hain

Musnad Ahmed Ki Hadees Ke Niche Tehqeeq Mein Hi Likha Hua Hain

"Wa za Isnaad ul Zaeef Li Jahalati Qabeesah bin Hulb"

Yeh Sanad Zaeef Hain Qabeesah bin Hulb Ki Jahalaat Ke Wajah Se

Scan Page👇👇👇

AL JAWAB 2️⃣

Noorul Aynayn, Safa: 527-528

Hafiz Zubair Ali Zaai Farmate Hain
Usool e Hadees Ka Mashoor Masla Hain Ke Jis Raavi Se Do Ya Zyada Siqah Raavi Hadees Bayan Kare Toh Wo Majhool Nahi Hota

Aur Qabeesah bin Hulb Se Do Siqah Raavi Ne Hadees Bayaan Nahi Ki Lihazaa Yeh Sanad Zaeef Hain�

Scan Page 👇👇👇👇👇

❌AITRAAZ

Aage kifayatullah sahab yeh kehte hai ki kisine qabeesah bin hulb ki tazaef nahi ki.

✔️JAWAB

Kifayatullah sahab ka yeh kehna ki kisine bhi qabeesah bin hulb ki tazaef nahi ki hai yeh baat durust nahi hai.

Imam Mizzi,Imam Zahabi, Imam Ibn hajr Rehmaullahi alhy ne qabeesah bin hulb par Imam Ali ibn madni aur Imam nasai se “Majhool” ki jarh naqal ki hai.

[Meezan al aitedal j3 pg 384 raqam 6863]
[Tehzeeb al kamal j23 pg 493 ]
[Tehzeeb ut Tehzeeb j8 pg 350 raqam 635]
[Mirat mubarakpuri j3 pg 74 raqam 89]
[asal sifat salat un nabi albani j1 pg 213]

Scan Page👇👇👇👇👇👇

AL JAWAB 3️⃣

✔️QABEESAH BIN HULB hai jo Indal Aimma Majhul hai.

Imam Ali ibn madani ne kahan qabeesah majhool hai isse kisine riwayat nahi kiya siwaye simak ke aur Imam Nasai ne kaha majhool Hain

(meezan al aitedal j3 pg 384 raqam 6863,
Tehzeeb al kamal j23 pg 493
Tehzeeb ut Tehzeeb j8 pg 350 raqam 635,
Mirat mubarakpuri j3 pg 74 raqam 89,asal sifat salat un nabi albani j1 pg 213)

Scan Page👇👇👇👇👇

Majhool ki hadees ka hukm gair muqalid
AHLE Hadees Ke Maulana mohammad gondalvi kehte hai
“majhool kehna jarh e mufassar hai”

(maqalat e mohaddis gondhalvi pg 469)

Scan Page 👇👇👇👇👇👇

Mashoor waqiyat ki haqeeqat pg 177 par zubair ali zai Sahab tambeeh ke taur par farmate “ki majhool ki riwayat sahih nahi balki zaef aur mardood hoti hai”.

Scan Page 👇👇👇👇👇

Imam Darqutni r.h ne toh Simak par “Siyul Hifz” ki jarh bhi ki hai.

[al ilal darqutni 13/pg184]

Scan Page 👇👇👇👇👇👇

👤2) SIIMAAK BIN HARB Ka Haal

1- Imam Sufiyan : ye zaeef hai.

2- Imam Shuabah : isko zaeef qarar dete hai.

3- Imam Ahmad : Ye Muztaribul hadis he.

4- Imam Salih : Yuz’af (ise zaeef qarar dete hai.)

5- Imam Nasai : Jab munfarid ho to bilkul qabile qubul nahi kyu ke ise talqeen ki jaati thi aur ye qabul kar leta tha.

6- Imam Ibne Ammar : muhaddiseen ka faisla he ke ye galtiyo ka shikar tha.

7- Imam Ibnul Mubarak : ZAEEF FIL HADIS hadis me zaeef hai.

8- Imam Ibne Kharaash : FEE HADEESUHU LEEN (iski hadis me gadbad he)

9- Imam Ibne Hibbaan : YUKHTI KASEERAA bohot khatakaar tha

10- Imam zahbi : ise zuafaa me shumar karte hai.

11: Imam ibne adi : ise zuafaa me shumar karte hai.

12- Imam ibne jauzi : ise zuafaa me shumar karte hai.

13- Imam aqeeli : ise zuafaa me shumar karte hai.

[ TEHZEEBUTTEHZEEB Jild:3 Pg:67, 68, MEEZAANUL AETEDAAL J:2 PG:216, AL MUGNI LIZZAHBI J:1 PG:448, AL KAAMIL LI IBNE ADI J:4 Pg:641, KITABUL ZUAFAA WAL MATRUKEEN LI IBNE JAUZI J:2 PG:26, KITABUL ZUAFAA ALKABEER LIL BAIHAQI J:2 Pg:178]

14- Imam Abul Qaasim Al Ka’bi r.a ne Simaak ko BAABU FEEHI ZIKRI MIN RUMUHU BI ANNAHU MIN AHLIL BID’I WA ASHAABIL AHWAA

(un logo ka bayan jinhe mujaddiseen ne Ahle Bidat aur Khwahish parast kaha he)
ke tahat zikr kiya he.

[QUBULUL AKHBAAR WA MA`RIFATURRIJAAL Jild;2 pg:381-390]

In Tasreehaat se sabit hua ke SIMAAK BIN HARB Jamhur Muhaddiseen ke nazdeek Zaeef hai.

Pas ye rivayat SIMAAK BIN HARB K SHADEED ZOAF aur QABEESAH ki jahalat ki wajah se sakht zaeef aur naqabile hujjat hai.

*Pata nhi aajkal kuch log bina tahqeeq ke bs apne mullaon ki andhi taqleed me ise kuch sahih or kuch hasan kahrhe h*

Scan pages👇👇👇👇





No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post