SAWAL:-
ALLAH Ta'ala Ko God Likhna Ya Kahna Kesa ?
JAWAB:-
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
بعون الله تعالى وتوفيقه
God Likhne Ya Kahne Se Bachna Chahiye..
Huzur Shareh Bukhari Mufti Shariful Haqq Amjadi Alaihir Rahma Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
God Angrezi Lafz He Uske Ma'ana Muhafiz Ke Hai, Unke Urf Me Khuda Ko Bhi God Kahte Hai Is Lihaz Se Allah Azwajal Ko Ishwar Or God Kahne Me Koi Harj Nahi Lekin Yahañ Ek Khas Baat Ye He Ki Ishwar Wagairah Khuda Ko Kahna Hinduoñ Ka Urf He Or God Kahna Angrezo Ka Agar Koi Ajnabi Aadmi Kisi Ke Samne Ye Kahe Ishwar Chahe To Ye Hoga To Sunne Wala Use Hindu Samjhega Isi Tarah Agar Koi Kahe Ki God Chahe To Ye Hoga To Use Isaai Samjhega Is Se Ma'aloom Huva Ki Ma'aboode Barhaq Ko Ishwar Wagairah Kahna Hinduoñ Ka Shuaar He Or God Kahna Nasara Ka Is Liye Musalman Ishwar God Wagairah Kahne Se Ehteraz Kareñ
▪️(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-173)
واللہ اعلم ورسولہ بالصواب
Al-Jawab:
Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla
Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat
No comments:
Post a Comment