ScienceDano Ka Zamin Sakin Hai Me Khud Ikhtlaaf Hai
Hum Dalail Ki Bat To Bad Me Karege Pehle Science Daano Ki Baat Karte Hai Wo Khud Zamin Gumati Hai Par Muttafiq Nahi
1 Suba Karnatak India Me 1982 Me Do Raza Confrence Science Daano Ki Hui Jis Me Newton Aur Einstein Ki Tahqeeq Ko Galat Qarar Dia Gaya.
2 Science Daan Mr Barnett Ne Apni Kitaab The Universe And Dr. Einstien Me Likha Ke Dunia Me Koi Aisa Mutaeen Zabta Aur Mayar Nazar Nahi Ata Jis Se Insan Hatami Taur Par Zamin Ki Harkat Ka Andaza Kar Sake Aur Na Koi Aisa Taby'aati Tajuraba Kabhi Huwa Jis Se Yeh Sabit Ho Sake Ke Waqai Zamin Harkat Karti Hai.
3 Germany Se Ek Kitaab Chhapi 100 Authors Against Einstien Einstien Ke Khilaaf Ek So Sciencedaan
4 Khud Enstien , Maikal Aur Yawrly Ke Tajurbe They Jis Se Harkat Zamin Ki Tardid Hoti Thi.
5 Pro. Dr . Abdul Salam Ke Rafiq Pro Weinberg Ne Apni Kitab Kainat Ki Umar Ke Pehle Tin Mint Me Aise Tujrabe Ka Zikr Kia Jis Se Nazriyah Harkat Zamin Ki Tardid Hoti Hai.
6 Fazala Zahra Mirza Qadri Ne Chand Saal Pehle Nazriyah Harkat Zamin Ko Batil Qarar Dia Aur Likha. Jis Ki Wajh Se Unko America Tabadala Khayal Ki Dawat Di Gayi.
7 Mumtaz Falsafi Danishwar Syed Muhammad Taqi (Karachi) Ne Bhi Harkat Zamin Ko Batil Qarar Dia Hai Aur Likha Hia Wo 45 Sal Se Is Masla Me Gaur O Fikr Kar Rahe Hai Bil Aakhir Yeh Harkat Zamin Batil Hai.
8 Fazil Asgar Ali Chairman Intarnational Scocity Of Scholarz Ne Apne Muqable Me Likha Ke Quran Hakim Zamin Ko Sakin Qarar Deta Hai.
9 Pro Abrar Husain Shu'ba Buniyadi Science , Dr Iqbal Open University Islambad Ne Likha Ke Koi Bhi Sciencedaan Nahi Kah Sakta Ke Harkat Zamin Ka Nazriyah Sabit Ho Chuka Hai.
10 Pro Dr Ziya Ul Deen Sahab Ne Ala Hazrat Allayrehma Ki Tahaqeeq Ko Pasand Kia Aur Arbi Zuban Na Aane Ki Wajh Se Mazrat Ki
Aise Beshumar Hawale Tawalat Ke Khauf Se Naqal Nahi Kiye Isliye Aqalmand Ko Ishara Kaafi Hai.
Ek Taraf Dusre Jo Zamin Harkat Sabit Karte Hai Aur Dusri Taraf Unhi Me Se Kuch Isko Nahi Mante Kiski Maane ?
Ek Sawaal Agar Harkat Zamin Ka Nazriyah Rakhne Wale Jhoote Hai To Hum Jhoote Ki Baat Kaise Maan Le Aur Agar Harkat Zamin Ka Nazriyah Manane Wale Sache Hai To Un Sicencedaan Me Tazaad Hai To Tazaad Kis Masla Me Qatai Faisla Nahi Kar Sakta Aur Yeh Science Ke Usool Ke Khilaaf Hai Isliye Ke Encyclopedia Britannica Me Likha Hai Ke Science Aise Natijki Tahqeeq Ka Naam Hai Jis Se Alamgir Itefaq Raaye Hasil Ki Ja Sake.
To Jab Science Daano Me Itefaq Nahi Huwa Yeh Tahaqeeq Galat Sabit Hui Phir Hum Galat Tahqeeq Kaise Maan Le Halake Musalmano Ke Liye Quraan Wa Hadees Aur Sahaba Ki Tafseer Ke Bad Kisi Tahqeeq Ki Zarurat Nahi Aur Yeh Dunia Dekh Legi Ke Science Badlati Tahqeeq Me Aakhir Unko Bhi Manana Padega Ke Zamin Sakin Hai.
In Sha ALLAH
POSTED BY:-
محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ
No comments:
Post a Comment