POST :1
Durood Sharif Ki Fazilat
Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Farmaya :
Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Martaba Durood Padhta Hai Allah ﷻ Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai Aur Jo Shakhs Mujh Par Das-10 Martaba Durood Padhta Hai Allah ﷻ Us Par Sow-100 Rahmatein Naazil Farmata Hai Aur Jo Shakhs Mujh Par Sow-100 Martaba Durood Padhta Hai Allah ﷻ Us Ki Donon Aankhon Ke Darmiyan (Ya’ni Paishani Par) Munafiqat Aur Aag (Donon) Se Hamesha Ke Liye Aazaadi Likh Deta Hai Aur Qayamat Ke Din Us Ka Qiyam (Aur Darja) Shaheedon Ke Saath Hoga.”
رواه الطبراني.
وقال الهيثمي : رجاله ثقات
(Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol 5, Hadees-7235)
POST:1
‼ *Fazail e Darood Shareef.*‼
*🔮Durood Sharif Padh'ne Walon Ke Liye Farishto Ki Dua🔮*
📖Hazrat Asim Bin Ubaidullah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bayan Farmate Hai Unhone Hazrat Abdullah Ibn Amir Bin Rabi'ah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Suna Ke Unhone Unke Walid Se Suna Ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya,
*"Jo Mujh Pae Durood Bhejta Hai To Jab Tak Wo Mujh Pe Durood Bhejta Rehta Hai Toh. Farishte Bhi Uske Liye Duaye Rehmat Karte Hai Ab Bande Ki Marzi Hai Kam Padhe Ya Zyada".*
*Reference Book*
📔Sunan Ibn Majah
Vol *2*
Page *71 & 72*
Hadees *907*
‼ *Juma ke Din Darood Padhne ki Fazilat Wa Hayat un Nabi*‼
💢Hamara Durood Huzoor ﷺ Ki Bargah Me.💢
🌹 _“Hazrat Abu Darda رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :_
*Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.*
*Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain,*
_Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig (Khatm) Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai._
_Phir Hazrat Abu Darda رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ Aur Aap Ke Wisaal *Parda* Farmane Ke Baad (Kya Hoga)❓_
❗ _Aap Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya :_
*Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah عزوجل Ne Zameen Ke Liye Ambiya عليه السلام Ke Jismo Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.*
_Phir Allah عزوجل Ke Nabi Rasool Zinda Hote Hai Aur Unhe Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”_
*Note Is Hadees Ko Wahabiyon Najdiyo Ke X Shia Imam👇🏼*
📔(Shawkani Nayl-ul-Awtar, Jild-03, Pg-304) Me Bhi Likha Hai.
📔(Reference : Ibn Majah As-Sunan, Jild-01 , Page No-524, Hadith-No 1627)
‼ *Jisne Huzoor ﷺ Par Durood Na Padha Wo Jahennam Ki Aag Me*‼
_Hazrat Imam Ibn e Khuzaymah Al Mutawaffah 311 Hijri Rehmatullahay'alaih Ek Hadees Likhte Hai_
*Huzoor ﷺ Mimbar Par Tashreef Farma Huwe To Teen³ Baar Aameen, Aameen, Aameen Farmya.*
_Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ ! Aap Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe To Aap ﷺ Ne Aameen, Aameen, Aameen Farmaya (Is Ki Kya Wajah Hai ?)._
*Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya :*
_Jibra’il Alayhisslam Mere Paas Haazir Huwe Aur Kahne Lage :_
*Woh Shakhs Jis Ke Paas Aap ﷺ Ka Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Aap ﷺ Par Durood Na Padha Aur Usi Haalat Me Mar Gaya To Woh Bhi Aag Me Gaya. Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Doorr Kar De (Aye Habib-E-Khuda !) Aap Aameen Kahein To Mein Ne Aameen Kaha.”*
_Allahu'akbar'kabira_
*Reference Book*
Sahih Ibn e Khuzaymah
Vol *3* Hadees *1888*
*Scan Page*
📗📄👇🏼

Tablig jamat wale hamesha aitraj karte hai ke yah durood shareef kyu padhte "assalatu wassalamu alaika yaa rasoolullah"
Ispar dalil tabligio ke ghar se moujud hai yah log khud padhte nh hai apni gharo ki kitabe.
Dalil dekhe👇
*➡️Devbandio Ke Ghar Se*
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
(ASSALATU WASSALAAMU ALAIKA YAA RASOOLULALLAH ﷺ) kehne ka saboot deobandiyo ki kitab FAZAIL E AMAAL SE📚
*Deobandi maulvi zakariya sahab apni tabligi kitab fazail e aamaal baab fazail e darud sharif mein likhte hain..✍🏻*
Banda k khayal mein agar har jagah darud o salaam dono jama kiya jaye to zyada behtar hai Yani bijaye
السلام عليكم يا رسول الله ﷺ
(ASSALAMU ALAIKA YA RASOOLALLAH ﷺ)
السلام عليك يا نبي الله ﷺ
(ASSALAMU ALAIKA YA NABIALLAH ﷺ)
Wagera k
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
(ASSALATU WASSALAAMU ALAIKA YAA RASOOLALLAH ﷺ)
الصــلوة والسلام عليك يا نبي الله ﷺ
ASSALATU WASSALAAMU ALAIKA YAA NABIALLAH ﷺ
Isi tarah akhir tak السلام (assalaam) k saath أصالة (assalaat) ka lafz b bhadaein to zyada achha hoga.
📚(Fazail e amal baab fazail e darud sharif safa 25,26)
سبحان الله
Haq wahi hai jo sar chadhke bole.
👉🏻Deobandiyo pehle apne maulwi par fatwa lagao....
📑Urdu scan page 👇🏻
Lakho Salam Aur Lakho Darood Kehne Se Kitne Darood Wa Salam Ka Savab milta hai ?
Sawal :-
Mahaz Ek Bar "Mustafa Jaane Rahmat Pe Lakho Salam" Aur "Kaabe Ke Badrudduja Tum Pe Karodo" Kehne Se Huzur Sarware Aalam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Par Lakho Salam Aur Karodo Darood Pahunch Jata Hai ?
Al Jawab :-
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
Mahaz Ek Bar "Mustafa Jaane Rahmat Pe Lakho Salam" Aur "Kaabe Ke Badrudduja Tum Pe Karodo" Kehne Se Huzur Sarware Aalam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Par Lakho Salam Aur Karodo Darood Pahunch Jata Hai.
(Fatawa Markaze Tarbiyate Ifta Jild : 2 Safha : 348, 351, Faqihe Millat Academy, Al Hind)
Allama Ibne Haytami Makki رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Tehrir Farmate Hai :
Farmane Mustafa صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Hai :
Mafhoom-e-Hadees
Jisne Mujh Par Pachaas (50) Martaba Darood Paak Padha, Mai Kal Baroze Qayamat Usse Musafah Farmaunga (Yaani Hath Milaunga)"
Hazrat Abu Mutraf رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Se Puchha Gaya Ki 50 Martaba Padhne Ka Tariqa Kya Hai ? Farmaya : Agar Koi Yu Kahe "اللهم صل على محمد خمسين مرة Yaani Ki Aye Allah Huzure Aqram صلی اللہ تعالٰی علیہ وآلہ وسلم Par 50 Martaba Darood Bhej, To ان شاء اللہ عزوجل Ye 50 Martaba Ke Liye Kaafi Hoga Aur Agar Ek Ek Kar Ke 50 Martaba Padhe To Ye Jyada Behtar Hai"
Allama Haytami رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Majid Likhte Hai Ki : "Unki Is Baat Ki Tayid Is Hadees e Paak Se Bhi Hoti Hai Ki Rehmate Aalam صلی اللہ تعالٰی علیہ وآلہ وسلم Ne Farmaya Ek Jawja Mutahara (Bivi) Ke Paas Se Guzrte Hue Inhe Dekha Ki Tasbih Padh Rahi Hai Aur Kankariyo Ke Zariye Shumar Kar Rahi Hai (Gin Rahi Hai) Is Par Nabi e Paak صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Farmaya : "Mai Ek Kalma Batata Hu Jo Tumhari Padhi Hui Tamam Tasbihat Ke Barabar Hai Wo Ye Hai
"سبحان اللہ وبحمدہ عَدَدَ خَلْقِهِ
Yaani Ki Allah عزوجل Ki Paaki Aur Uski Hamd Itni Taadad Me Jitni Makhluq Hai".
Ye Hadees e Paak Is Baat Ki Wajeh Daleel Hai Ki Jis Ne Yu Kahan "اللھم صلی علی محمد اَلِِْفَ مَرَّةٍ Ya Yu Kahan "اللھم صلی علی محمد عَدَدَ خَلْقِکَ Yaani Aye Allah Huzur E Aqram صلی اللہ تعالٰی علیہ وآلہ وسلم Par Ek Hazaar Martaba Darood Bhej, To Uske Naama e Aamal Me Us El Jumle Ke Badle Me Ek Hazaar Darood Paak Ya Tamam Makhluq Ke Barabar Darood Paak Likhe Jayenge"
▪️(Al Durrul Mandud Safha : 179, 180 Darul Minhaj)