Wednesday, 1 January 2020

Nabi ne ALLAH Ko Dekha Hai.| meraaj

POST:1

ALLAH Taala Ko Dekhna

 Hazrat Gaus E Paak Ka
Aqeeda

Kitab Gunya Tu Talibeen
Yeh Kitab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.
Safa No. 178 :179

Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) ALLAH Taala Ka Deedar Kiya Hai Jaisa K Hazrat Jabir Radiallataala Anhu Riwayat Karte Hai K NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ne Aayat (AAP SwallALLAHualaihiwasallam Ne ALLAH Ko Dusri Martaba Dekha ,Surah Najam Aayat 13, Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.
Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas Radiallataala Anhu Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K Mohammad SwallALLAHualaihiwasallam Ne Apni Ankhon Se Do (2) Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.
Subhan ALLAH
Hazrat Gaus E Paak Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Ahle Hadees Wahbi Apne Batil Aqeede Per Qayam Rehkar Haddharmi Se Kaam Lete Hue Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Buzurg Mante Hai Lekin Hazrat Gaus E Paak Ki Ek B Nahi Mante Aur Naahi Hazrat Gaus E Paak Ka Jo Aqeedah Hai Us Per Inka Koi Amal Saabit Hai.
Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Wali Hadees Ka Jawab Dete Hai , Scan Page Safa 179

Likhte Hai : “ Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Naïf Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi SwallALLAHualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.
Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi SwallALLAHualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.

Ahle Hadees Deobandi Se Guzarish Hai Ki Aap Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Wali Mante Hai Toh Unke Aqeede Ko B Mane Aur Bilkul B Na Chode.






DALIL AHLE HADEES KE GHAR SE:

POST:1

Amma Ayisha Siddiqa Radiallahu Anha
Aur Ruyat-e-Baari Ta'aala Ki Hadees

Mashoor Ahle Hadees Ke Muhaqeeq Nawab siddiq Hassan Khan Bhopali Likhtey Hain

Hazrat e Ayisha Siddiqa Radiallahu Anha Ko Bhi Kahi Hadees e Nahi Phaunchi Thi 
Jin Mein Se Chand Yeh Hain 
Shab e Meraj Mein Nabi e Paak Sallallahu Alahi Wasallam Allah Ko Dekne Ki Hadees Jo Sahih Muslim Mein Hain 

(Aimma Arba Ka Difa Aur Sunnat Ki Itteba Safa 29)

📚 Scan Page 

Ba Qaul Nawab siddiq Hasan Khan Ke 
Ruyat-e-Baari Ta'aala (ALLAH ka deedar) Ki Hadees Amma Ayisha Siddiqa Radiallahu Anha Ko Nahi Phaunchi Thi Isliye Wo Is Baat Ki NAAFI Krte The. 



POST:2

Wahabiyo Ke Shaykh Al-Islam Ibn Taymiyyah Lihtey Hain

فكان ابن عباس رضي الله عنهما وأكثر علماء السنة يقولون : إن محمداً رأى ربه ليلة المعراج،

Sahabi E Rasool Abdulla Ibne Abbas Radi Allahu `Anhu Aur Bahut Se Ahle Sunnat Ke Ullama Mantey Hain Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Meraj Ki Raat Allah Rabul Izaat Ka Deedar Kiya Hain

Aur Safa 127 Mein Likhta Hain

ولهذا رآه النبي ﷺ في أحسن صورة.

Nabi Kareem ﷺ Allah Rabbul Izzat Ko Behtreen Tareeqe se Deka 

((Majmoo' Al-Fataawa Safa 127- 210)

Scan Page




POST :3


Imam Ibne Kaseer Likhtey Hain

‎محمول على التقييد وممن أطلق الرؤية أبو هريرة وأحمد بن حنبل رضي الله عنهما ،

Hazrat Abu Hurrairah aur Imam Ahmed Bin Hambal ( رضي الله عنه‎) Ne
 Nabi Kareem ﷺ Ka Deedar e Illahi Par MUTLAQAN Mauqif Tha

(Al Bidaya Wan Nihaya Safa 120)

Scan Page




DALIL BUJURGO SE SALAF SE. 


Surah Najm Ki Tafseer Aur Ghunyat Al-Talibeen Translated By Ahle Hadees Aalim Hafiz Mubashir Hussain Lahori. 

Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir Jilani ( رحمة الله عليه ) Farmatey Hain 

Hamara Aqeeda Yeh Hain Nabi Kareem ﷺ Shab E Meraaj Be Dari Ki Halaat Mein Khwab Nahi Apne  Sar Wali Aankho Se Allah Ka Deedar Kiya Hain Jaise Ke Jabir ( رضي الله عنه‎) Riwayat Karte Hain Nabi Kareem ﷺ Ayaaayt 

‎وَلَقَدۡ رَءَاهُ نَزۡلَةً أُخۡرَىٰ﴿ 
AAP Ne Allah Ko Dusri Martaba Deka 
(An-Najm, Ayah 13)
Is Ki Tafsser Mein Nabi ﷺ Farmaya Ke Maine Bila Shaq O Shuba Apne Rab Ko Apne Samne Deka Hain

(Ghunyat Al-Talibeen Safa 178)

Scan Page






No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post