Monday, 1 October 2018

Ahle hadees koun? Ahle hadees kise kahte hai?

Ahle Hadees Kaun ?
Hazrat Gaus E Aazam Ahle Hadees The Wahbiyo K Baqaul.
Al Jawaab : Alhamdulillah Humare Nazdeek Ahle Hadees Ek Muhaddiseen Ki Jamaat Hai Jinhone Laakho Hadees Sanad K Saath Hifz Ki Aur Isme Ala Hazrat Fazile Barelvi Hazrat Imam Ahmed Raza B Shamil Hai Lekin Maujuda Daur Me Jo Ahle Hadees Jamat Hai Un Ahle Hadees Ka Hadees Se Door Door Tak Ka Koi Waasta Nahi.
Balke Aaj K Ahle Hadees Ka Matlab Yeh Hai Ki Kisi Imam Ko Na Manne Wala,Jo Bilkul Aazad Hojaata Hai,Kisi Ko Sunne K Liye Tayar Nahi , Kisi Ko Bada Manne K Liye Tayar Nahi Woh Apne Aapko Ahle Hadees Bolta Hai.Yeh Alag Baat Hai Ki Uska Pesha Kuch B Ho, Chahe Woh Garage Me Kaam Karne Wala Ho Ya Paanwala Ya Kiraane Ki Dukanwala Aur Sanad K Saath Matan E Arbi K Saath Ek Arbi B Sahi Tarike Se Padhne Na Aati Ho , Lekin Uska Naam Zarur Ahle Hadees Hota Hai.
Hindustan Me Maujuda Ahle Aur Deobandi Kab Paida Hue,
Fatawa E Sanaiya Safa 414 & 415 Likhne Wale Molana Muhammad Dawood Raaz Jo Ahle Hadees K Nazdeek Bahut Maotbaar Hai.

Likhte Hai : Aage Chalkar Shah Wali Ullah Ka Silsila 2 Shaako Me Muntasim Hua  1) Shakh Hazrat Miya Sahab  Maulana Nazir Hussain Marhum Ki Bani Aur Dusri Maulana Ahmed Saheb Saranpuri Ki Bani.  Maulana Nazir Hussain K Shagirdo Ki Shak Ko Ahle Hadees Kehlaye  Aur Maulana Ahmed Ki Shak Me Maulana Rasheed Ahmed Gangohi  Aur Qasim Nanotvee  Baniya Madarsa E Deoband Hue Q K Indono Shaako Ka Makhraj Ek Hai.

Scan Page :
Fatawa e sanaiya.
2 Shaakh Bani Yaani 1) Ahle Hadees Aur 2) Deobandi

Toh Ahle Hadees Jamat Kab Bani Shah Wali Ullah K Baad.

Hazrat Miya Sahab Nazir Hussain Birth : 1805-Death:1902 , 1826 Esvi  Me Padhna Shuru Kiya Aur 1845 Tak Padhe  Shah Muhammad Ishaaq Dehlawi Se, Q K Iske Baad Shah Saab Ka Inteqal Hogaya.Aur Haa Qadyani K Mirza Ghulam Ahmed Ka Nikah B Isi Ne Padhaya Tha.
 Chalo Bilfarz Maanle Ki 1845 Me Yeh Ahle Hadees K Imam Bane , Fir B Yeh Saabit Hai Ahle Hadees Jamat Jo Aaj K Daur Me Hai Woh Abhi Ki Paidawar Hai Aur Purani Nahi.


No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post