Saturday, 29 September 2018

Qarbala ka waqiya.

imame husain radiallahu anhu ki shahadat ki khabar pehle hi di gayi thi. 👇🏻

SHADAAT E IMAM HUSSAIN RADIALLAHU TALAA ANHU

HADEES

Hazrate Anas رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Farmate Hai Ki Baarish Ka Farishta Huzoor ﷺ Ki Baargaah Mein Haazir Huwa To Us Waqt Imaame Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Aaye Or Aaqa ﷺ Ki Gaud Mein Beth Gaye To Aaqa ﷺ Un Ko Chumne Or Pyaar Karne Lage Us Farishte Ne Pucha Ya Rasulallah ﷺ Aap In Se Pyaar Karte Hain Farmaya Haan To Kehne Laga Ki Aapki Ummat Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Ko Qatal Kar Degi Agar Aap Chaahein To Mein Inki Qatal Gaah Ki Mitti Dikha Dun Fir Us Fariste Ne Surkh ( Laal ) Mitti Laa Kar Di.

Us Mitti Ko Umme Salma Ne Apne Kapde Mein Le Liya Aaqa Ne Farmaya ﷺ Aey Umme Salma Jab Ye Mitti Khoon Ho Jaaye To Samajhna Ki Mera Beta Shaheed Kar Diya Gaya.

Umme Salma Radi Allahu Ta'ala Anha Farmati Hai Mene Us Mitti Ko Shishi Mein Band Kar Di Or Wo Mitti Imaame Husen رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Ki Shahadat Ke Din Khoon Ho Gayi.

1⃣Al-Haythami: It is narrated Ahmad, Aboo Ya'la, Bazzar, Tabarani Mein Saheeh Sanad Se Riwayaat

Imam Al Haythmi Majma Al-Zawa'id. Vol. 9, Pg. # 217, H. # 15111.

2⃣Nasiruddin Albani Ne Iski Sanad Ko Saheeh Kaha Bukhari Wa Muslim Ki Shart Par

Aur Muhadees Ke Naam Bhi Likhe Jinhone Saheeh Kaha

Silsilat Al-Ahadith Al-Saheeh. Vol. 2, Pg. # 465-466.

3⃣'Imam Ahmad ibn Hanbal Ne Bhi  Musnad Mein Riwayaat Kiya Saheeh Likha and also Haytami in Majam Al-Zawaa'id has said, 'Ahmad ibn Hanbal has reported this Hadeeth and its narrators are Thiqh (Trustworthy) Saheeh

Fada'il Al-Sahaba. Vol. 2, Pg. # 965 - 966. H. # 1357.

4⃣Musnad Aboo Ya'la Al-Mawsili. Vol. 6, Pg. # 129,  # 647.

Scan Pages👇🏻👇🏻








No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post