Tark E Rafayadain
TARK E RAFA YADAIN (YAANI NAMAZ MEIN PEHLI TAKBEER KE ALAAWA HAATHO KO NAHI UTHANA) SUNNAT HAI.
HADITH NO 1.
IMAM BUKHARI KE USTAADH MUHADDITH IBN ABI SHAIBA NE FARMAYA:
Hadith: “Hum se hadith bayan ki Waki ne unhone Sufyan se, unhone Aasim bin Kulaib se, unhone Abdur Rehman bin Aswad se, unhone Alqama se, unhone Abdullah Ibn Masood رضي الله تعالى عنه se unhone farmaya ki kya main tumko Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ki namaz padh kar na dikhaun. Phir unhone namaz padhi aur takbire tahrima ke alawa kahin pe rafa yadain nahi kiya.
● MUSNNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/213, HADITH NO 2441;
● SUNAN ABU DAWOOD, 1/199, HADITH NO 748;
● SUNAN NASAI, 2/182, HADITH NO 1026-1058;
● MUSANNAF ABDUR RAZZAQ,2/182, HADITH NO 2533;
● MUSNAD AHMED, 6/203, HADITH NO 3681;
● SUNAN E KUBRA – BAIHIQI, 2/112, HADITH NO 2531
AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE KI KITAB “TARK E RAFA YADAIN” MEIN HUMNE HADITH E IBNE MASOOD رضي الله تعالى عنه . KI “23” SANAD DARJ KI HAI.
SHAYKH ALBANI (AHLE HADEES AALIM) KE NAZDEEK RAFA YADAIN NA KARNE KI HADITH SAHIH HAI AUR SUNAN E SUGRA – NASAI KI SANAD KO BHI SAHIH KAHA HAI.
HADITH IBNE MASOOD رضي الله تعالى عنه . KE BAARE MEIN IMAM TIRMIZI KA MAUQIF:
“Hadith Ibne Masood رضي الله تعالى عنه . Hadith e Hasan hai. Yahi (Rafa yadain Na karna) bohot se ahle Ilm Sahaba, Tabaieen, aur Sufyan Thawri wa Ahle Kufa ka mazhab hai. [SUNAN TIRMIZI]
KASEER MUTAQADIMEEN MUHADITHEEN WA FUQAHA NE HADITH E IBN E MASOOD رضي الله تعالى عنه . KO SAHIH/HASAN KAHA HAI.
1. Ebrahim Nakha’ie (wafat 95 h)
2. Yahya bin Saeed Qitaan (wafat 191-200 h)
3. Hammad bin Abi Suleman (wafat 120 h)
4. Imam Abu Hanifa (wafat 150 h)
5. Imam Abu Yusuf (wafat 186 h)
6. Ishaq bin Abi Israel (wafat 245 h)
7. Imam Tirmizi
RAFA YADAIN NA KARNE PAR KASRAT SE AHAADITH MAJOOD HAI IS LIYE AAP RESEARCH CENTRE KI KITAB MEIN MAZEED “27” AHAADITH TAFSEEL SE PADH SAKTE HAI.
NOTE: HUZOOR NABI E KAREEM صلى الله عليه وسلم NE NAMAZ MEIN RAFAYADAIN KIYA MAGAR AAP NE IS AMAL KO TARK KAR DIYA AUR PHIR AAP SIWAI PEHLI TAKBEER KE PURI NAMAZ MEIN RAFAYADAIN NAHI KARTE THE JO KASEER AHAADITH SE SABIT HAI. YAANI RAFA YADAIN KARNE AUR NA KARNE PAR SAHIH AHAADITH MAUJOOD HAI MAGAR JO HADITH RAFA YADAIN KARNE PAR DALALAT KARTI HAI WOH TAMAM AHAADITH MANSOOKH HO CHUKI KYUKI HUZOOR صلى الله عليه وسلمNE RAFAYADAIN KARNA TARK KAR DIYA JAISA KI HADITH SE SABIT HAI.
LEKIN IMAME SHAFAI KE NAZDIK RAFAYADAIN KARNE KI HADIS MANSUKH NAHI. RAFAYADAI KARNE AUR NA KARNE DONO TARAH KI HADISON PAR AIMMAYE MUHADDISIN O MUJTAHIDIN KA AMAL HAI ISLIYE KISI KO MULIFE SUNNAT O MUNKIRE HADIS KAHNA DURUST NAHI.
LEKIN AHLE HADEES WAHABI IS BAHANE SE APNE SIWA DUSRE MUSALMANO KO MUKHALIFE SUNNAT KAHTE HAI. ALLAH UNHE HIDAYAT DE.
RAFA YADAIN NA KARNE KI HADITH NO 2:
Hazrat Abu Hanifaرضي الله تعالى عنه . farmate hai ki Imam Shabi رضي الله تعالى عنه . ye farmate the ki maine Hazrat Bara bin Aazib رضي الله تعالى عنه . ko ye farmate huwe suna ki Rasulallah صلى الله عليه وسلم jab Namaz shuru karte the to dono haatho ko utha kar apne dono kaandho ke muqabil le jaate the aur Salam pherne tak dobara apne haatho ko NAHI uthate the.
● MUSNAD ABU NUAIM, PG 156;
● MUSNAD AHMED BIN HANBAL, 4/301;
● SUNAN NASAI, 2/195;
● SUNAN ABU DAWOOD, 1/281, HADITH 750;
● MUSANNAF IBN ABI SHAIBA, 1/264;
● MUSNAD ABI YA’ALA, 4/295, HADITH 1653
NOTE:
●SUNAN ABU DAWOOD KE HAASHIYE MEIN AHLE HADEES AALIM “SHAYKH ALBANI” NE IS HADITH KO “SAHIH” QARAAR DIYA AUR
●”AHMED SHAKIR” NE BHI HASHIYA TIRMIZI MEIN IS HADITH KO “SAHIH” LIKHA.
●NASAI KE HAASHIYA MEIN “SHAYKH ABU GAD’AA” NE IS HADITH KO “SAHIH” LIKHA.
Is Hadith se saaf Maloom ho gaya ki Rasulallah صلى الله عليه وسلم sirf takbeer e tehreema ke waqt dono haatho ko uthate the aur puri namaz mein phir kahin dono haatho ko nahi uthate the.
IS HADITH KI ISNAADI HASIYAT:
IS HADITH KE RAAWI A’ALA DARJE KE SIQAH, FAQIH, MUHADDITH, HAFIZ UL HADITH, AADIL WA KAAMIL HAAFIZE WALE THE. LIHAZA IS HADITH KI SANAD KE SAHIH HONE BALKI RAFA YADAIN KE SUBOOT WALI TAMAAM RIWAYAAT SE ZYADA SAHIH HONE MEIN SHAK NAHI.
● HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE رضي الله تعالى عنه . RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.
HUMNE ARC KI KITAB MEIN AUR “25” AHAADITH DARJ KI HAI. AAP HAMARI KITAB “TARK E RAFA YADAIN” KA MUTALA KARE.
AB HUM AAP KO KHULFA E RASHIDEEN KA AMAL DIKHATE HAI.
● HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE رضي الله تعالى عنه RAFAYADAIN NAHI KARTE THE.
“Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه ke peeche Hazrat Abdullah Ibn Masood رضي الله تعالى عنه .ne namaz padhi to Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه . ne sirf Takbeer e Tehreemi ke waqt rafa yadain kiya.
[●SUNAN DAR QUTNI, PG 111, HADITH NO 1144]
IS HADITH KI SANAD PAR AITERAAZ:
Is hadith ki riwayat mein Muhammad bin Jabir tanha hai aur woh Zaeef hai.
AITERAAZ KA JAWAB:
Muhammad bin Jabir Sudooq hai. Unki riwayat Siqah raawiyo ke khilaaf nahi.
1. Unke baare mein IBN ADI ne kaha: Muhammad bin Jabir se akaabir Muhaditheen ne ahaadith riwayat ki hai. Agar Muhammad bin Jabir is martabe mein na hote to woh Muhaditheen un se riwayat na karte. Bawajood iske baaz logo ne unki baaz ahaadith ki mukhalifat ki hai aur un par kalaam kiya hai. Unki hadith likhi jaati hai.
● AL KAUKABUNAYYERAT LI IBNIL KAYYAAL, JILD 1, PG 495
2. IBN ABI HATIM ne kaha:
Mere walid Abu Hatim se Muhammad bin Jabir aur Ibn Lahiya ke baare mein pucha gaya to unhone kaha: Muhammad bin Jabir mere nazdeek Ibn Lahiya se zyadah Mehboob hai.
[●AL JARA WAT TADEEL: 7/219]
MUHAMMAD BIN JABIR KI YE RIWAYAT SIQAH RAAWIYO KE KHILAAF NA HONE KI WAJEH SE MAQBOOL HAI. ISKI TAEED MEIN MARFU WA MAUQOOF SAHIH AHAADITH HONE KI WAJEH SE YE HADITH “HASAN” KE DARJE MEIN HAI. LEKIN HAZRAT IBN MASOOD رضي الله تعالى عنه . KI RIWAYAT IMAM E AAZAM رضي الله تعالى عنه . KE NAZDEEK AALA DARJE KI SAHIH HAI. UNKI SANAD MEIN MUHAMMAD BIN JABIR MAUJOOD NAHI.
● HAZRAT UMAR رضي الله تعالى عنه . RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.
HADITH:
Hazrat Ibn Masood رضي الله تعالى عنه . se riwayat hai farmaya ki maine Huzoor Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم, Hazrat Abu Bakr رضي الله تعالى عنه . , Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه . ke peeche namaz padhi to unhone sirf takbeer e iftetah (takbeer e tehreema) ke waqt dono haatho ko uthaya.
[● Daar Qutni, Jild 1, Pg 111, Hadith no 1144]
Hazrat Aswad رضي الله تعالى عنه . ka bayan hai ki maine Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه . ko dekha unhone pehli takbeer ke waqt haatho ko uthaya phir dobara nahi uthaya.
[● Sharahe Ma’aniul Aasaar lil Imam Tahawi, Kitab us Salaat, Baab al Takbeeraat]
IMAM TAHAWI NE ISKI YE SANAD ZIKR KI HAI:
“Hum se hadith bayan ki Hamani ne , unhone kaha hum se hadith bayan ki Yahya bin Adam ne, unhone Hasan bin Ayyash se woh Abdul Malik bin Abhar se, woh Zubair bin Adi se , woh Ebrahim se, woh Aswad se, unhone kaha ki maine Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه . ko dekha, Unhone takbeer ke waqt rafa yadain kiya phir (puri namaz mein) dobara rafa yadain nahi karte the.
IS HADITH KE BAARE MEIN IMAM TAHAWI NE FARMAYA: YE SAHIH HADITH HAI. (Sharahe Ma’ani al Aathaar, 1/227)
HAFIDH IBN HAJR ASQALANI NE FARMAYA: IS HADITH KE SAB RAAWI SIQAH HAI (Al Diraaya, 152)
ALLAMA IBN TURKAMANI NE LIKHA:
YE SANAD BHI SAHIH, SHART E MUSLIM PAR HAI. (Al Johar al Naqi, jild 2, pg 75)
AHLE HADEES KA AITERAAZ:
Shaykh Mubarakpuri ne ” Abkaar ul Minan” mein is hadith par ye aiteraaz kiya hai ki is hadith ki sanad mein “EBRAHIM NAKHAIE” Mudallis raawi hai aur unhone “AN” se riwayat ki hai aur mudallis ki riwayat “AN” ke saath maqbool nahi.
AITERAAZ KA JAWAB:
Gair Muqallideen Ahle Hadees , Hanafiyo par aiteraaz karte waqt josh mein hosh kho baith te hai. Mubarakpuri sahab ko aiteraaz karte waqt ye khayaal nahi raha ki “EBRAHIM NAKHAIE” SAHIH BUKHARI KE RAAWI HAI. BUKHARI MEIN UNSE 150 SE ZYADA AHAADITH “AN” KE SAATH MARWI HAI. Kya Ebrahim Nakhaie ki woh saari ahaadith Bukhari Sharif mein Zaeef hai? Agar nahi to Ebrahim Nakhaie ki ye riwayat “AN” ke saath zaeef kyu? Kya is liye ki is se Ahnaaf ka mauqif sabit hota hai?? JO TUMHARA JAWAB HOGA WAHI HAMARA JAWAB HOGA!
● HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه . RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.
SAHIH HADITH:
Kulaib Jarmi رضي الله تعالى عنه . jo Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه . ke ashaab mein se the, unka bayaan ye hai ki Hazrat Ali sirf takbeere tehreema ke waqt haatho ko uthate the aur puri namaz mein kahin aisa nahi karte the.
Imam Muhammad رضي الله تعالى عنه . ne farmaya:
Hume khabar di Abu bakr bin Abdullah Nehshali ne, unhone Aasim bin Kulaib al jarmi se, unhone apne walid se aur woh Hazrat Ali bin Abu Talib رضي الله تعالى عنه . ke ashaab mein se the. Unhone kaha ki Hazrat Ali bin Abi Talib رضي الله تعالى عنه . namaz shuru karte waqt pehli takbeer mein dono haath uthate the. Phir namaz ke kisi hisse mein Nahi uthate the.
[● MUWATTA IMAM MUHAMMAD, JILD 1, PG 184, BAAB 33, HADITH NO 109]
HUKM E HADITH: YE HADITH SAHIH HAI.
IMAM IBNE ABI SHAYBA ISKI RIWAYAT YU KI HAI:
“Aasim bin Kulaib al Jarmi apne walid se riwayat karte hai aur unke walid Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه . ke ashaab mein se the. Unke walid ka bayan hai ki Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه . sirf namaz shuru karte waqt dono haatho ko uthate the. Phir puri namaz mein kahi rafayadain nahi karte the.
[● MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/213, HADITH NO 2442]
IS HADITH KE TAMAAM RAAWI SAHIH BUKHARI WA MUSLIM KE HAI. LIHAZA ISKE SAHIH HONE MEIN WAHABI AHLE HADEES KO BHI KALAAM NAHI HONA CHAHIYE.
RAAWIYO KA HAAL:
1. WAQEE: Bukhari wa Muslim ke raawi hai.
2. ABU BAKR BIN ABDULLAH NEHSHALI: Sahih Muslim ke raawi hai. Unhe Imam Ahmed, Yahya bin Maeen, aur Ajali ne siqah kaha. Imam Zahbi ne kaha “Woh Hasan ul Hadith ,sudooq hai.”
3. AASIM BIN KULAIB:
ZAHBI ne kaha woh fazil wa aabid the.
IBNE MAEEN wagaira ne siqah kaha.
IBNE SAAD NE KAHA woh siqah qabile hujjat the.
ABU HATIM NE Swaaleh kaha
AHMED BIN HANBAL NE KAHA unki hadith mein koi aib nahi
ABU DAWOOD NE FARMAYA woh ahle koofa mein sab se afzal the.
Unse Imam Bukhari ne taaliqan aur Imam Muslim ne mausulan riwayat ki hai.
[● TEHZEEB UL KAMAAL FI ASMA O RIJAAL, 13/537]
4. KULAIB: Kulaib bin Shahab al Jarmi al Koofi. Inse Bukhari ne “Juz rafayadain” mein aur Abu Dawood ne sunan mein riwayat li hai.
ABU ZARAA WAGAIRA ne unhe siqah kaha hai
IBNE SAAD NE KAHA Hazrat Umar wa Ali se riwayat li hai. Woh siqah kaseerul hadih the. Maine dekha ki log unki hadith ko umdah samajhte the aur un se hujjat pakadte the. [● AL TABQAAT UL KUBRA: 6/176]
◆ HAZRAT ABDULLAH IBNE UMAR رضي الله تعالى عنه RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.
HADITH:
Musannaf Ibne Abi Shaiba , Hadith 2452 mein Hazrat Mujahid رضي الله تعالى عنه se marwi hai ki Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه takbeer e iftetah ke siwa namaz mein kahin Rafayadain nahi karte the.
Imam Tahawi (wafat: 321 h) ne farmaya ki Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه ka rafayadain na karna is baat ki daleel hai ki unhone Rasulallah صلى الله عليه وسلم ko dekha tha ki Aap ne rafayadain tark farma diya tha. Lihaza ye uske mansookh hone ki daleel hai.
[● SHARAH MUSHKILUL AATHAAR, 10/35]
IMAM UL MUHADITHEEN IMAM TAHAWI NE APNI SANAD KE SAATH ZIKR KIYA:
“Hum se hadith bayan ki Ibne Abu Dawood ne, unhone kaha hum se hadith bayan ki Abu Bakr ibne Ayyash ne, unhone Hussain se, unhone Mujahid se, Mujahid ne kaha: Maine Ibne Umar رضي الله تعالى عنه ke peeche namaz padhi, Aap sirf namaz ke takbeer e Aula mein rafayadain karte the.
[● SHARAH MAANI UL AATHAR, JILD 1, PG 163]
IBNE ABU DAWOOD KE SIWA IS SANAD KE SAB RAAWI SAHIH BUKHARI KE HAI.
AUR IBNE ABI DAWOOD KO IBNE HAJR ASQALANI NE HUFFAZ E HADITH MEIN SHUMAAR KIYA HAI. [● LISAAN UL MIZAAN, JILD 1, PG 276]
◆ HAZRAT ABDULLAH IBNE ZUBAIR رضي الله تعالى عنه KE NAZDEEK RAFA YADAIN KI AHAADITH MANSOOKH HAI.
SHAREEH BUKHARI, MUHADDITH WA FAQEEH ALLAMA BADRUDDIN AINI NE HAZRAT ABDULLAH IBNE ZUBAIR رضي الله تعالى عنه KI YE RIWAYAT NAQL KI HAI:
“Hazrat Abdullah ibne Zubair رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ki unhone ek aadmi ko rukoo karte aur rukoo se uthte waqt rafayadain karte huwe dekha to us se farmaya ki Tum ye Na karo kyuki is cheez ko Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلمne kiya tha phir use Tark kar diya tha.”
[● UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 2, PG 7]
◆ HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS رضي الله تعالى عنه RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.
MUHADDITH IBNE ABI SHAIBA NE RIWAYAT ZIKR KI HAI:
“Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ne farmaya ki sirf 7 jagaho mein haath buland kiye jaayege. Namaz Shuru karte waqt, Baitullah Sharif dekhte waqt, Safa wa Marwa par, Arafat mein, Muzdalifa mein aur Rami e Jamar ke waqt.”
[● MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/214, HADITH NO 2450]
◆ ASHRA E MUBASHARA RAFAYADAIN NAHI KARTE THE
ASHRA E MUBASHARA YAANI WOH 10 SAHABA E KIRAAM JINHE RASULALLAH صلى الله عليه وسلم NE DUNIYA HI MEIN JANNAT KI KHUSHKHABRI SUNA DI HAI WOH BHI NAMAZ MEIN SIRF TAKBEER E TEHREEMA KE WAQT RAFAYADAIN KARTE THE.
WOH 10 SAHABA E KIRAAM YE HAI:
1. Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه
2. Hazrat Umar Farooq رضي الله تعالى عنه
3. Hazrat Usman Gani رضي الله تعالى عنه
4. Hazrat Maula Ali رضي الله تعالى عنه
5. Hazrat Talha bin Ubaidullah رضي الله تعالى عنه
6. Hazrat Zubair bin Awaam رضي الله تعالى عنه
7. Hazrat Abdur Rahman bin Awf رضي الله تعالى عنه
8. Hazrat Saad bin Abi Waqas رضي الله تعالى عنه
9. Hazrat Saeed bin Zaid رضي الله تعالى عنه
10. Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah رضي الله تعالى عنه
SHAREH BUKHARI ALLAMA AINI NE FARMAYA:
“Jin 10 Hazraat ko Rasulallah صلى الله عليه وسلم ne Jannat ki khush khabri sunayi hai, woh Namaz mein sirf takbeere tehreema ke waqt haatho ko uthate the.
[● UMDATUL QARI 5/272]
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
⭐TAHQIQE RAFA YADAIN⭐
Qist -1⃣
✨"TEHQIQE RAFA YADAIN"✨
"Karun Pehle Tauhide Yaz'daan Raqam.....
Jhuka Jiske Sajde Ko Awwal Qalam.!!!!!!👇
بسم الله الرحمن الرحيم
نحمده و نصلى ونصلى على رسوله الكريم.
اما بعد.
ALLAH جل جلاله Ka Mujh Faqeer Kaleem Hanfi Razvi Par Ye Ehsane Azeem Hai Ki Usne imame Azam رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke SADQE Mujhe is Baat Ki TAUFEEQ Bakhshi Ki Mai HANAFI Mazhab Par Hone Wale Hamlon Ka Difa Karun..............
Angrezo Ka Lagaya Hua Paoda Gair Muqallidiyat Din Ba'din Ahle islam Ke Liye Nasoor Hota Ja Raha Hai is Napak Giroh Ne Arab O Ajam Me Aise Aise Fitne Khade Kiye Ki Allah Ki Panah Hazzaron Nahi Balki Lakhon Ki Namaze'n Barbad Kar Dee Aur Unhe Fitne Me Mubtela Kar Diya Hai, Deeni TAQLEED Ke Bandhan Se Aazad Kar Ke iblees Ki Pairwi Karwai Ja Rahi Hai........
is Nao Maulud Firqe Ke Logon Ko Aimma E Deen Bil'khusus Afzalut Taba'een Siraje Ummat imamul Fuqha Wal Muhaddiseen Sayyedna Sarkar imame Azam Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Khuda Waste Ka Bair (Dushmani) Hai unke Mazhabe HAQ Par Keechad uchalna inka Mehboob Tareen Mashghala Ho Gaya Hai Ajeeb Baat Hai Ab Janwaron Ka Doctor, Hajjam, Rickshaw Chalne Wala, Chai Bechne Wala, School Ka Master, Madarse Ka Bhaga Hua Talibe ilm, Jinhe istinja Karne Ki Tameez Nahi wo imame Azam par Bad'kalami Aur Khamah Farsai Kar Raha Hai...................
Ye Sab Aasaare Qayamat Me Se Hai Ki Ummat Ke Pichle Apne Pehlon Ko Bura Kahenge, Khair TAQLEED Ke Mubarak Bandhan Se Aazad Ye Madar Zaad Yatimul AQLON Ka Qafilah Jahan Hanfi Mazhab Se Be'shumar ikhtelafaat Rakhta Hai usi Me Se Ek Masla Hai Namaz Me Rafa Yadain Ka........
Meri Nazar Me Rafa Yadain Par Mustaqil Koi Risala Aisa Nahi Guzra Hai Jisme Dono Taraf Ki Dalilon Ko Mizane TEHQEEQ Par Rakh Kar Jayezah Liya Gaya Ho, is Liye Khayal Hua Ki Mustaqil Eik Kitab Hi is Masle Me Harfe Akhir Ki Haisiyat Se Tarteeb Dun Chunancheh is Mubarak O Mas'ood Kaam Ka Aaghaz Kiya Chunki Aaye Din Ispe Munazare Mubahese Aur Masajid Me Jang o Jadaal Ka Mahool Bapa Ho Gaya Hai Naojawan TABQA Pareshan Hai Akhir Ahnaaf Ke Masayel Sahi Hadees Me Kyun Nahi Milte Halaki HAQIQAT Iske Bilkul Khilaf Hai Alhamdulillah Hanfi Mazhab Quran O Hadees Ka Ma'hasal Hai Jaisa Ki Aage Padhne Se iska Ehsas Hoga.......
Pehle Hum Ahadees Se Rafa Yadain Ki Mansukhiyat Phir Gair Muqallideen Ki Pesh Kardah Ahadees (Jo Rafa Yadain Ke Sunnat Hone Me Batai Jati Hai) Ka Bhar'pur ILMI Wa TEHQIQI Jayezah Lenge............
Tarke Rafa Yadain Ki Ahadees Mulahazah Farmayen.👇
Mazmoon Jari Hai...
👥 Read n share
______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi Razvi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (w) Mumbai-72 india.
+919146122911
_______________________
Qist-2
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Rafa Yani Uthana Yadain Matlab Dono Hath, Namaz Ki Ibteda Me Takbire Tehrimah Ke WAQT Rafa Yadain Karna Yani Dono Hathon Ko Uthana Muttafaqun Alaih Masla Hai (isme kisi Ka ikhtelaf Nahi) Lekin Phir Ruku Me Jate Aur Ruku Se Uthte Aur Tisri Rakat Me Khade Hote WAQT Bhi Dono Hath Uthaye Jayen Ya Nahi Urfe Aam (Aam Bol Chal) Me isi Ko Rafa Yadain Kehte Hain, Aur Yahi Wo Rafa Yadain Hai Jo Mansookh Ho Chuka Hai Jaisa Ki Abhi Hamari Pesh Hone Wali Ahadees Se Maloom Hoga Ki Rasulallah صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Aur Sahaba E Kiram Ne Rafa Yadain Ko Tark Kar Diya Tha Sirf Shuru Namaz Me Hi Ek Baar Hath Uthate Phir Nahi Uthate...............
🌲HADEES🌲
حَدَّثَنَا هَنَّادٌ حَدَّثَنَا وَکِيعٌ عَنْ سُفْيَانَ عَنْ عَاصِمِ بْنِ کُلَيْبٍ عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ الْأَسْوَدِ عَنْ عَلْقَمَةَ قَالَ قَالَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْعُودٍ أَلَا أُصَلِّي بِکُمْ صَلَاةَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَصَلَّی فَلَمْ يَرْفَعْ يَدَيْهِ إِلَّا فِي أَوَّلِ مَرَّةٍ
TARJAMAH-
Hazrat ALQAMAH Se Marwi Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Ne Farmaya, Kya Mein Tume Rasulallah صلى الله عليه وسلم Ki Namaz Padh Kar Na Dikhaun?
Phir Namaz Padhi Aur Takbire Tehrimah Ke ilawah Rafa Yadain Nahi Kiya
{ترمذی شریف- جلد-1، صفحہ-35، حدیث نمبر-248، مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-1، صفحہ-236)
imame Tirmizi ise NAQL Karne Ke Bad Farmate Hain.👇
حَدِيثُ ابْنِ مَسْعُودٍ حَدِيثٌ حَسَنٌ وَبِهِ يَقُولُ غَيْرُ وَاحِدٍ مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَالتَّابِعِينَ وَهُوَ قَوْلُ سُفْيَانَ الثَّوْرِيِّ وَأَهْلِ الْکُوفَةِ
TARJAMAH-
Hadees Ibne Mas'ood رضی اللہ عنہ Hasan Hai Aur Yahi Qaul Hai Sahaba Wa Taba'een Me Se Ahle ilm Ka, Aur Sufyan Saori Aur Ahle Kufa Ka Bhi Yahi Qaul Hai.
(usi hadees Me CONTINUE)
Isi Hadees Ko ibne Hazam Zaheri Ne Almohalla Jild-4, Page-88 Par Sahi Kaha Hai, iske Ilawa imam Ahmad Bin Hambal رحمہ اللہ Aur Dare Qutni, ibne DAQEEQ AL'EID MALKI, Aur Gair Muqallideen Ke Shaikhul islam IBNE TAIMIYAH Hambali Aur imame Nisai Ke Nadeek Ye Hadees Sahi Hai
(کشف المعضلات، صفحہ نمبر-179}
Aur Abu Dawood Sharif Me is Hadees Ke Alfaz Yun Hain.👇
فَلَمْ يَرْفَعْ يَدَيْهِ إِلَّا مَرَّةً
Tarjamah-
Pas (Hazrat ibne Mas'ood رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne) Apne Hath Ek Hi Martabah Uthaye (Takbire Tehrimah Ke WAQT)
{سنن ابی داؤد، جلد-1، صفحہ نمبر-125، حدیث نمبر-745}
Gair Muqallideen Siha Sitta Ki Dhons Awam Ko Jamaye Hanafi Ulama Ko Nahi Bi'hamdillah Ahnaaf Ke Fiqhi Masayel Quran O Sahi Hadees Se Sabit Shudah Hain.
(Mazmoon Jari Hai)
_______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Razvi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (w) Mumbai-72 india.
+9146122911
_______________________
Qist-3
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Hazrat imam Nisaai Ne Eik Unwan Qa'im Kiya Hai ترک ذالک (Rafa Yadain Ka Tark) iske Bad Aapne Hazrat Abdullah Bin Mas'ood رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Riwayat Yun NAQL Ki.
🌼HADEES🌼
أَخْبَرَنَا سُوَيْدُ بْنُ نَصْرٍ قَالَ أَنْبَأَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَکِ عَنْ سُفْيَانَ عَنْ عَاصِمِ بْنِ کُلَيْبٍ عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ الْأَسْوَدِ عَنْ عَلْقَمَةَ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ أَلَا أُخْبِرُکُمْ بِصَلَاةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ فَقَامَ فَرَفَعَ يَدَيْهِ أَوَّلَ مَرَّةٍ ثُمَّ لَمْ يُعِدْ
Tarjamah-
ALQAMAH Kehte Hain Abdullah Bin Mas'ood Ne Farmya Kya Mein Tumhe Rasulallah صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Ke Namaz Ki Khabar Na Dun, ALQAMAH Kehte Hain Ki Phir Abdullah Bin Mas'ood Khade Huye Aur Unho Ne Dono Hath Eik Hi Martabah Uthaya Phir Rafa Yadain Nahi Kiya
{سنن نسائی شریف، جلد-1، صفحہ نمبر-158، حدیث نمبر-1031)
🌼HADEES🌼
ابو حنيفة عن حماد عن ابرهيم عن الاسود ان عبدالله بن مسعود رضى الله عنه كان يرفع يده فى اول التكبير ثم لا يعود الى شئ من ذالك عن رسول الله صلى الله عليه وسلم
Tarjamah-
imam Abu Hanifah Hammad Se Wo ibra'heem Nakh'ie Se wo Aswad Se Riwayat Karte Hain Ki Abdullah Bin Mas'ood Pehli Takbeer Me Dono Hathon Ko Uthate The Phir Uske Bad Kabhi Nahi Uthate The Aur Wo (Abdullah Bin Mas'ood) Ye Baat Rasulallah صلی اللہ علیہ وسلم Se NAQL Karte Hain.
(مسند امام اعظم، جلد-1، صفحہ نمبر-355}
🌼HADEES🌼
عن محمد بن جابر عن حماد بن ابى سليمان عن ابراهيم عن علقمة عن عبدالله رضى الله عنه قال صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وابى بكر وعمر فلم يرفع ايديهم الاعند استفتاح الصلوة
TARJAMAH-
Muhammad Bin Jabir Hammad Bin Sulaiman Se wo ibra'heem Se Wo ALQAMAH Se wo Abdullah Bin Mas'ood Se Riwayat Karte Hain Ki Mai Ne Rasulallah صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Aur Hazrat Abu Bakar O Hazrat Umar Ke Sath Namaz Padhi Ye Sab Hazraat Namaz Ke Shuru Me Hi Apne Hathon Ko Uthate
{دار قطنی صفحہ نمبر-111، بیہقی جلد-2، صفحہ-79، مجمع الزوائد، جلد-2، صفحہ نمبر-101}
Note-
is Hadees Me Ek Rawi Muhammad Bin Jabir Hain Jo Bad Me Nabeena (Andhe) Ho Gaye The Magar unki Ye Riwayat unke Nabeena Hone Se Pehle Ki Hai is Liye Ikhtelafaat Se Mehfooz Hai.
(Mazmoon Jari Hai)
______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (w) Mumbai-72 india.
+919146122911
______________________
Qist-4
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Shuru Namaz Me Ek Hi Baar Hath Uthane Aur Phir Rafa Yadain Na Karne Par Sahabiye Rasool صلى الله عليه وسلم Hazrat Bara Bin Aazib Ki Ye Riwayat Abu Dawood Sharif Jild-1, Page-125,,, ilme Hadees Ki Sab Se Pehli Kitab Musannaf Abdur Razzaq Jild-2, Page-70,,,,, imame Bukhari Ke Dada Ustaz Mohaddis ibne Abi Shaibah Ki Musannaf ibne Abi Shaibah Jild-1, page-236,,,,, Aur Tahawi Sharif Jild-1 Page-110 Me Hazrat Bara Bin Aazib رضی اللہ عنہ Se Marwi Hai.....👇
🌺HADEES🌺
كان النبى صلى الله عليه وسلم اذا كبر لافتتاح الصلوة رفع يديه حتى يكون ابهاما قريبا من شحمتى اذنيه ثم لا يعود (1) وفى رواية مرة واحدة
TARJAMAH-
Huzoor صلى الله عليه وسلم Jab Namaz Shuru Karne Ke Liye Allahu Akbar Kehte To Apne Dono Hatho Ko Uthate Yahan Tak Ki Aapke Dono Anguthe Dono Kano Ki Lao Ke Qareeb Ho Jate Phir Uske Bad Nahi Uthate Aur Eik Riwayat Me Hai Ki Sirf Eik Bar Hi Uthate..
Isse Jahan Ye Sabit Hua ki Hath Ek Hi Bar Uthana Chahiye Wahi Ye Bhi Pata Chala Ki Hath Kano Tak Uthaye Jayen Kandhe Tak Nahi....
TEHQEEQ-
Hanfi Mazhab Ki Ta'eed Me Maujood is Mazboot Riwayat Par Gair Muqallideen Ka Ye Aiteraz Hai Ki ثم لا یعود (Phir Hath Nahi Uthate) Ke Alfaz Hazrat Abdur Rehman Bin Abi Laila Se Sirf Hazrat Yazeed Bin Ziyad Ne Hi NAQL Kiye Yani Wo Munfarid Hain Unka Koi Mutabe Nahi iska Jawab Allama Badruddin Ayni رحمہ اللہ Umdatul Qari Shareh Sahi Bukhari Me Yun Dete Hain.👇
"Abdur Rehman Bin Abi Laila Se Esa Bin Abdur Rehman Ne Bhi ثم لا یعود Ke Alfaz isi Tarah NAQL Kiye Hain, Yani Isme Yazeed Bin Ziyad Akele Nahi Hain Balki unke Mutabe Maujood Hain"
(عمدة القارى، جلد-5، صفحه-273)
Hazrat Bara Bin Azib رضی اللہ عنہ Ki Riyawat Kin Kin Kitabon Me Maujood Hai Hum Ne Upar Bit'tafseel Likh Dee Hai........
Hazrat Bara Bin Aazib رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Dusri Riwayat Abu Dawood Sharif Aur Musannaf ibne Abi Shaibah Me Ye Hai.👇
🌺HADEES🌺
- حَدَّثَنَا حُسَيْنُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ أَخْبَرَنَا وَکِيعٌ عَنْ ابْنِ أَبِي لَيْلَی عَنْ أَخِيهِ عِيسَی عَنْ الْحَکَمِ عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي لَيْلَی عَنْ الْبَرَائِ بْنِ عَازِبٍ قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَفَعَ يَدَيْهِ حِينَ افْتَتَحَ الصَّلَاةَ ثُمَّ لَمْ يَرْفَعْهُمَا حَتَّی انْصَرَف
TARJAMAH-
Mai Ne Rasulallah صلی اللہ علیہ وسلم Ko Dekha Jab Aapne Namaz Shuru Ki To Apne Dono Hathon Ko Uthaya, Phir Namaz Khatm Hone Tak Dobara Nahi Uthaya
(ابو داود شریف، جلد-1، صفحہ نمبر-126، حدیث نمبر-749، مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-1، صفحہ نمبر-236)
Dare Qutni Me Safah-110 Par Hai.👇
یرفع فی اول تکبیر
Sirf Pehli Takbir Me Hi Rafa YADAIN Karte The.
(Mazmoon Jari Hai)
_______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (w) Mumbai-72 india
+919146122911
________________________
Qist-5
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Hazrat Saalim Taba'ee رحمہ اللہ Apne Walid Hazrat Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ Se Riwayat Karte Hai👇
قال رأيت رسول الله صلى الله عليه وسلم اذا افتتح الصلوة رفع يديه حتى يحاذى بهماوقال بعضهم حذ ومنكبيه واذا أراد ان يركع وبعدما يرفع راسه من الركوع لا يرفعهماوقال بعضهم ولا يرفع بين السجدتين والمعنى واحد
Tarjamah-
Abdullah Bin Umar Kehte Hain Mein Ne Rasulallah صلى الله عليه وسلم Ko Dekha Jab Aapne Namaz Shuru Ki To Apne Haton Ko uthaya Aur Apne Kandhe Ke Barabar Kar Diya, Aur Jab Ruku Ka irada Karte Aur Ruku Se Sar Uthate To in Dono (Hathon) Ko Nahi Uthate, Aur Dono Sajdon Ke Beech Bhi Nahi Uthate.
{Sahi Abu Awana, Volume-2, Page-90}
TEHQEEQ-
imam Abu Awana رحمه الله Ne Sufayan Bin Oyeyna رحمه الله Tak is Hadees Ki 4 Sanade'n Zikr Ki Hain, Jinme Se 4thi Sanad imam Bukhari Ke Ustaz imam Humaidi رحمه الله Ki Hai (imam Humaidi Ka Pura Naam Hai, Abdullah Bin Az'zubair Bin Esa Alqarshi Alhumaidi Almakki Jinki Wafat 219Hijri Me Hui) imam Humaidi Ne Khud is Hadees Ko isi Sanad Se Apni Kitab Musnade Humaidi Volume-2, Page-277, Hadees No-614 Par Likha Hai....
Sahabiye Rasool صلى الله عليه وسلم Hazrat Abu Haurairah Ki Riwayat Ko Hazrat imam Abu Dawood Ne Apni Sunan Me NAQL Kiya To uska Baab Hi Ye Bandha.👇
باب من لم یذکر الرفع عند الرکوع
Ruku Ke WAQT Rafa Yadain Na Karne Ka Bayan....
Phir Ye Hadees NAQL Ki.👇
🍃HADEES🍃
حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ حَدَّثَنَا يَحْيَی عَنْ ابْنِ أَبِي ذِئْبٍ عَنْ سَعِيدِ بْنِ سَمْعَانَ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ کَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا دَخَلَ فِي الصَّلَاةِ رَفَعَ يَدَيْهِ مَدًّا
TARJAMAH-
Hazrat Abu Haurairah Se Riwayat Hai Ki Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Jab Namaz Shuru Farmate To Dono Hathon Ko Uthate (pehli Takbir Ke Liye)
{ابوداؤد شریف، جلد-1، صفحہ نمبر-33، حدیث نمبر-750}
Hazrat Abu Haurairah Ki is Riwayat Se Sarkar Ka Rafa Yadain Na Karna Sabit Hai Aur imam Abu Dawood Ka ise Ruku Me Rafa Yadain Na Karne Ke Baab (Chapter) Me NAQL Farmana Ruku Aur Sajde Ke Tarke Rafa Yadain Ko Sabit Karta Hai.!
(Mazmoon Jari Hai)
______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (W) Mumbai-72 india.
+919146122911
_______________________
Qist-6
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Rafa Yadain Se Namaz Ka Sukoon Barbad Hota Hai, Jab Ki ALLAH Tala Ne Namaz Me Sukun O Adab Se Khade Rehne Ka Hukm Farmaya Aur Hadees Me Amale Kaseer Se Mana Farmaya Gaya Hai.......
Quran-
قَدْ أَفْلَحَ ٱلْمُؤْمِنُونَ ٱلَّذِينَ هُمْ فِى صَلَاتِهِمْ خَٰشِعُونَ
Tarjamah-
Beshak Murad Ko Paoche wo Jo Apni Namaz Me Gidgidate Hain
(Sure Al-mominoon, Ayat-1-2}
Iski Tafseer Sahabiye Rasool صلى الله عليه وسلم Hazrat Sayyedna Abdullah Bin Abbas Ne Ye Ki Hai.👇
الذين لا يرفعون ايديهم فى صلوتهم
Yani Jo Namazon Me Rafa Yadain Nahi Karte.
{تفسیر ابن عباس، صفحہ نمبر-323}
Namaz Takbire Tehrimah Se Shuru Ho Kar Salam Par Khatm Hoti Hai, Phir isme Ruku Me Jate Aur Ruku Se Uthte Aur Tisri Rakat Me Khade Hote Ya Sajdon Me Rafa Yadain Karne Walo Se Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ne Narazgi Ka izhar Farmaya Hai, itna hi Nahi Balki ise Janwaron Ke Fel (Kaam) Se Tashbeeh Dee Hai, is Rafa Yadain Ko Namaze Ke Sukoon Ke khilaf Farmaya Aur Hukm Diya Ki Namaz Bina Rafa Yadain Ke Padho
(Siwaye Pehli Takbeer Ke)
Chunancheh is Silsile Me Eik Hadees Jo Sanade Sahi Wa Jaiyyed Se Maujood Hai Sahi Muslim Jo Bukhari Ke Bad Sab Badi Hadees Ki Kitab Hai uske Jild-1, Page-181 Hadis No-868,,,, Abu Dawood Jo Hadees Ki 4thi Sahi Kitabon Me Se Eik Hai uske Jild-1, Page-10,,,,, Sunane Nasai Jo Siha Sitta Me 5we No. Hai Par Uske Page-172 Par,,,, Musnade imam Ahmad Bin Hambal Ke Jild-5, Page-93 Par,,,, Tahavi Ke Jild-1, Page-158 Par .👇
🌷HADEES🌷
حَدَّثَنَا أَبُو بَکْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ وَأَبُو کُرَيْبٍ قَالَا حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ عَنْ الْأَعْمَشِ عَنْ الْمُسَيَّبِ بْنِ رَافِعٍ عَنْ تَمِيمِ بْنِ طَرَفَةَ عَنْ جَابِرِ بْنِ سَمُرَةَ قَالَ خَرَجَ عَلَيْنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ مَا لِي أَرَاکُمْ رَافِعِي أَيْدِيکُمْ کَأَنَّهَا أَذْنَابُ خَيْلٍ شُمْسٍ اسْکُنُوا فِي الصَّلَاةِ
Tarjamah-
Hazrat Jabir Bin Samurah Se Riyawat Hai Ki Huzoor Hamare Pas Tashreef Laye (us WAQT Hum Namaz padh Rahe The Aur Namaz Me Rafa Yadain Kar Rahe The) To Bade Jalal Me Farmaya Mai Tume Namaz Me Shareer Godhon Ki Dum Ki Tarah Rafa Yadain Karte Kyun Dekhta Hun, Namaz Me Sukoon Aur itmenan Rakho
(صحیح مسلم، جلد-1، صفحہ نمبر-181، حدیث نمبر-868)
Gair Muqallideen Aakhen Khol Le'n Aur Apni Shararaton Se baaz Aajayen,, Ajeeb Almiyah Hai Gair Muqallideen TAQLEED Karne walon Ka MAZAQ Banate Huye Kehte Hain TAQLEED Eik Patta Hai Jo Janwaron Ke Gale Me Bandha Jata Hai is Liye Saare Muqallideen (Hanfi/shafai/malki/Hambal) Janwar Hain, Jab ki Hadees Me Gair Muqallideen Ko Janwar Kaha Gaya Hai (Kyu Ki Rafa Yadain Karte Hain)
(Mazmoon Jari Hai)
______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi, Qasre Abu Hanifah رضى الله عنه Kurla (w) Mumbai-72 india.
+919146122911
_______________________
Qist-7
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
"SAHABA رضی اللہ عنہم Ka Rafa Yadain Na Karna"
Quran O Hadees Se Maloom Hua Ki Namaz Me Sukun O itmenan Rakhna Chahiye Aur Rafa Yadain is Liye Na Kiya Jaye Ki Usse Namaz Ka Sukoon Khatm Hota Hai, Rafa Yadain Na Karne Par Ahadees Se Hum Ne Bahot Se Namune Pesh Kiye (Qist 1 To 6 Me) Ab is Silsile Me Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Ja'nisar Sathi Jinhe Mathe Ki Aankhon Se Sarkar Ka Didar Naseeb Hua, Jinme Makki Wa Madani Muhajir Wa Ansar Sahaba Hain, in Me Se Baaz Wo Bhi Hain Jo Shuru Se Akheer Tak Aapke Sath Rahe Aur Aapke Har Har Amal Ko Dekha Uspe Amal Kiya Aur Use Baad Walon Tak Paohchaya, isi Liye To Sarkar صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya Tum Par Lazim Hai Ki Meri Aur Mere Hidayat Yaftah Sahaba Ki Pairwi Karo, Padhiye Rafa Yadain Ke Silsile Sahaba Ka Amal Kya Tha........👇
"Hazrat Abu Bakar n Hazrat Umar رضی اللہ عنھما"👇
Muhammad Jabir Yamami Ki Riyawat Me Hazrat Abdullah Bin Mas'ood رضی اللہ عنہ Ki Ye Hadees Guzar Chuki Hai Jisme Unho Ne Farmaya Ki Mai Ne Hazrat Abu Bakar wa Hazrat Umar رضی اللہ عنھما Ke Piche Namaz Padhi Wo Dono Sirf Shuru Namaz Me Hi Hath Uthate Phir Nahi Uthate.
(دار قطنی، صفحہ نمبر-111}
"Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ"
Hazrat Ali Ke Muta'alliq Musannaf ibne Abi Shaibah Jild-1, Page-236,,,, Mo'atta imam Muhammad, Page-94,,, Tahawi Jild-1, Page-110,,, Me Ye Riwayat Maujood Hai.👇
عن عاصم بن كليب عن ابيه وكان من اصحاب على بن ابى طالب كرم الله وجهه كان يرفع يديه فى التكبيرة الاولى التى يفتتح به الصلوة ثم لا يرفعهما فى شئ من الصلوة
TARJAMAH-
Asim Bin Kulaib Apne Walid Hazrat Kulaib Se Riwayat Karte Hain Jo Ki Hazrat Ali Ke Sathiyon Me Se The, unho Ne Farmaya Ki Hazrat Ali Ke Sathi Sirf Takbire Tehrimah Me Hi Hathon Ko Uthate The, Phir Namaz Me Kisi Jagah Na Uthate.....
"10 JANNATI SAHABA KA AMAL"👇
Wo 10 Nufuse Qudsiyah Jinko Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ne Dunya Hi Me Jannat Ki Basharat Dee,
(1) Hazrat Abu Bakar (2)Hazrat Umar (3) Hazrat Usman (4) Hazrat Ali (5) Hazrat Talha Bin Ubaidullah (6) Haztat Zubair Bin Awam (7) Hazrat Abdur Rehman Bin Aof (8) Haztat Saad Bin Abi WAQAS (9) Hazrat Sa'eed Bin Zaid (10) Hazrat Abu Ubaidah Binil Jarrah رضی اللہ عنھم
(ترمذی، جلد-2، صفحہ نمبر 216)
in Sab Ke Bare Me Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ Farmate Hain.👇
العشرة الذين شهدلهم رسول الله صلى الله عليه وسلم بالجنة ما كانوا يرفعون أيديهم الا فى افتتاح الصلوة
TARJAMAH-
Wo 10 Sahaba Jinke MUTA'ALLIQ Rasulallah صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Ne Dunya Me Hi Jannati Hone Ki Basharat Dee Thi, Wo Tamam Sirf Shuru Namaz Me Hi Hath Uthate (Takbire Tehrimah Ke Liye) The
{عمدة القارى،، جلد-5،، صفحہ نمبر-272}
"IBTEDAYE ISHQ Hai Rota Hai Kya,,,,,,,,,
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya.!!!!!!!!!
(Mazmoon Jari Hai)
_______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ عنہ Kurla (w) Mumbai-72 india
+919146122911
________________________
Qist-8
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Khulafa e Rashideen Aur Ash'ra e Mubashsherah Ka Tarke Rafa Yadain Janne Ke Bad Deegar Sahaba Ka Bhi Amal Dekhen....
عن مجاهد قال صليت خلف ابن عمر فلم يكن يرفع يديه الا فى التكبيرة الاولى من الصلوة
Tarjamah-
Mujahid Kehte Hain Mein Ne Hazrat Abdullah Bin Umar Ke Piche Namaz Padhi Pas Unho Ne Nahi Uthaya Apne Hathon Ko Magar Namaz Ki Pehli Takbeer Me
{مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-1، صفحہ-237، طحاوی، جلد-1، صفحہ نمبر'110}
Hazrat Ali Aur Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Aur unke Sathiyon Ka Bhi Kya Mamla Tha Dekhiye.👇
حدثنا وكيع وابو اسامة عن شعبة عن ابى اسحاق قال كان اصحاب عبدالله واصحاب على لا يرفعون ايديهم الا فى افتتاح الصلوة قال وكيع ثم لا يعود
Tarjamah-
Hum Se Wakee Aur Abu Usama Ne Hadees Bayan Ki Aur unse Shabah Ne Unse Abu is'haq Ne, Abu is'haq Kehte Hain Ki Abdullah Bin Mas'ood Aur Hazrat Ali Ke As'haab Faqat Namaz Ke Shuru Me Hi Hath Uthate The, wakee Khete Hain Ki Phir uske Bad Nahi Uthate The
{مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-1، صفحہ نمبر-236}
Janabe Rasool e Pak صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Ka Farman (Hadise Qauli) Aur Akabir Sahaba Ka Amal Padhne Ke Bad unke Sachche Na'ibeen Yani Taba'een Wa Aimmae Mujtahideen Wa Mohaddiseen Ke AQWAL O AMAL Bhi Aage Padhiye, Ab Tak To Tarke Rafa Yadan Par Zikr Tha Aage Masukhiyate Rafa Yadain Par Bhi Dalayel Diye Jayenge Neez Gair Muqallideen Jo Ahadees Rafa Yadain Ke Sunnat Hone Par Pesh Karte Hain uska Bhi Khoob Fanni Jayezah Liya Jayega.
(In Sha Allah)
(Mazmoon Jari Hai)
______________________
Kaleem Hanfi Mumbai-72
+919146122911
_______________________
Qist-9
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Khulafa e Rashideen Aur Ash'ra e Mubashsherah Ka Tarke Rafa Yadain Janne Ke Bad Deegar Sahaba Ka Bhi Amal Dekhen....
عن مجاهد قال صليت خلف ابن عمر فلم يكن يرفع يديه الا فى التكبيرة الاولى من الصلوة
Tarjamah-
Mujahid Kehte Hain Mein Ne Hazrat Abdullah Bin Umar Ke Piche Namaz Padhi Pas Unho Ne Nahi Uthaya Apne Hathon Ko Magar Namaz Ki Pehli Takbeer Me
{مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-1، صفحہ-237، طحاوی، جلد-1، صفحہ نمبر'110}
Hazrat Ali Aur Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Aur unke Sathiyon Ka Bhi Kya Mamla Tha Dekhiye.👇
حدثنا وكيع وابو اسامة عن شعبة عن ابى اسحاق قال كان اصحاب عبدالله واصحاب على لا يرفعون ايديهم الا فى افتتاح الصلوة قال وكيع ثم لا يعود
Tarjamah-
Hum Se Wakee Aur Abu Usama Ne Hadees Bayan Ki Aur unse Shabah Ne Unse Abu is'haq Ne, Abu is'haq Kehte Hain Ki Abdullah Bin Mas'ood Aur Hazrat Ali Ke As'haab Faqat Namaz Ke Shuru Me Hi Hath Uthate The, wakee Khete Hain Ki Phir uske Bad Nahi Uthate The
{مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-1، صفحہ نمبر-236}
Janabe Rasool e Pak صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Ka Farman (Hadise Qauli) Aur Akabir Sahaba Ka Amal Padhne Ke Bad unke Sachche Na'ibeen Yani Taba'een Wa Aimmae Mujtahideen Wa Mohaddiseen Ke AQWAL O AMAL Bhi Aage Padhiye, Ab Tak To Tarke Rafa Yadan Par Zikr Tha Aage Masukhiyate Rafa Yadain Par Bhi Dalayel Diye Jayenge Neez Gair Muqallideen Jo Ahadees Rafa Yadain Ke Sunnat Hone Par Pesh Karte Hain uska Bhi Khoob Fanni Jayezah Liya Jayega.
(In Sha Allah)
(Mazmoon Jari Hai)
______________________
Kaleem Hanfi Mumbai-72
+919146122911
_______________________
Qist-10
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
imame Darul Hijrat imam Malik Bin Anas رحمہ اللہ (paida'ish 93-hijri wafat-179hijri) 4 imamo Me Se Eik Hai, Aapke Mazhab Ke Pairokar Aaj Bhi Badi Tadad Me Maujood Hain, Aap imam Shafai رحمہ اللہ Ke Ustaz Bhi Hain Aap Saari Zindagi Madina Sharif Me Rahe Aur Kabhi Chappal Nahi Pehni, Ilme Hadees Me Aapka Sikka Musallam Hai, Aap Masjide Nabwi Me Baith Kar Hadees Ka Dars Diya Karte The, Wo Madina Jahan Tajdare Ambiya صلی اللہ علیہ وسلم Asuda e Khak Hai, Wo Madina Jo 3 Khulafa Ka Darul Khilafat Raha (hzt Abu Bakar, umar n usman) Wo Madina Jo Muhajireen O Ansar Ka Maskan Tha, us madine Me imam Malik Rahe unke Samne Rafa Yadain Wali Hadeesen Thi Magar Use Wo Ya Za'eef Samajhte The Ya Mansookh, Wo Khud Farmate Hain.
قال مالک لا اعرف رفع الیدین فی شئ من تکبیر الصلوة لا فى خفض ولا فى رفع الا فى افتتاح الصلوة قال ابن قاسم وكان يرفع اليدين عند مالك ضعيفا
Tarjamah-
Mai Pehli Takbeer Ke Siwa Rafa Yadain Kisi Chiz Me Nahi Janta Na Jhuke Me Na Uthne Me, Abdur Rehman Bin Alqasim (imam Malik Ke Shagird) Kehte Hain Rafa Yadain imam Malik Ke Nazeek Za'eef Maslak Tha
{مدونہ کبری، جلد-1، صفحہ-68}
Sharahe Muslim imam Nowi Shafai رحمہ اللہ Farmate Hain.👇
وهو أشهر الروايات عن مالك
Rafa Yadain Na Karna imam Malik Ki Sab Se Mash'hoor Riwayat Hai
{نووی علی المسلم، جلد-1، صفحہ168}
Mash'hoor Muhaddis Aur Hazrat Sufyan Saori Abdullah Bin Mubarak Aur imame Ahmad Bin Hambal Ke Shaikh Jinki Riwayat Bukhari Sharif Me Hai Hazrat Abu Bakar Bin Ayyash رحمہ اللہ jinke Bare Me Hazrat Abdullah Bin Mubarak Kehte Hain, Mai Ne Abu Bakar Bin Ayyash Se Zada Sunnat Par Chalne Wala Kisi Ko Nahi Paya Yahi Hazrat Abu Bakar Bin Ayyash Farmate Hain.
ما رأيت فقيها قط يفعله ويرفع يديه فى غير التكبيرة الاولى
Tarjamah-
Mai Ne Koi FAQEEH (Quran O Hadees Ki Zyada samajh Rakhne Wala) Aisa Nahi Dekha Jo Pehli Takbeer Ke Bad Rafa Yadain Karta Ho
{طحاوی شریف، جلد-1، صفحہ نمبر-112)
Gair Muqallideen Kehte Hain Sirf imam Abu Hanifah Ke Nazdeek Rafa Yadain Mansookh Hai, Jabki imam Shafai Ke Ustaz imame Malik Ke Nazeek Bhi Mansookh Hai, Aap Ne Rasool e Khuda Ka irshad Bhi Padha Sahaba Ka Amal Bhi Mulahazah Farmaya Taba'een Aur Aimmahe Hadees O Fiqh Ke AQWAL Bhi Padhe, Ab iske Bad Bhi Koi Na Maane To us Ka Kya Ilaj??
"Ab Jiske Dil Me Aaye Wahi Paaye Roshni....
Hum Ne To Dil Jala Ke Sare Aam Rakh Diya!!!!!!
(Mazmoon Jari Hai)
______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Muhammad Kaleem Hanfi Razvi, Qasre Abu Hanifah رضى الله عنه Kurla (w) Mumbai-72 india.
+919146122911
_______________________
Qist-11
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Tarke Rafa Yadain Par Hum Ne Huzoor E Pak صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Se Sahaba Wa Taba'een Ke Amal Tak Bahot See Hadeese'n Pesh Ki,,,
Hatta Ki Eik Hadise Qauli Bhi (Haidse Qauli Wo Hai, Jo Huzoor Ne Zabane Pak Se Hukm Farmaya) Pesh Ki, Sahi Muslim Me Hazrat Jabir Bin Samurah Ki Riwayat (Qist-6 Me) Gair Muqallideen Maslaye Rafa Yadain Me Ahnaaf Ke Samne Chand Bhi Mint Thaher Nahi Sakte (in Sha Allah) Halaki Yeh Angrezi Mujtahideen Rafa Yadain Ko Sunnate Moakkedah Balki Wajib Tak Kehte Hain, Mai Kehta Hun Aap Mustahab Hi Batla Do Aur Mujh Se Muh Manga inaam Lete Jao......
"Nizame Maikadh is Andaz Se Badla Saaqi.......
Unhi Ko Jaam Milte Hain Jinhe Pina Nahi Aata.!!!!
Ye Dawa Karte Hain Ki Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ki Aakhri Namaz Bhi Rafa Yadain Wali Thi, Jab Ki Hadeese Pak inki is Bakwas Ke Khilaf Hai...👇
🌱Hadees🌱
عن على بن الحسين قال كان النبى صلى الله عليه وسلم يكبر فى الصلوة كلما خفض ورفع فلم تزل تلك صلوته حتى لقى الله تعالى
Tarjamah-
imam Zainul Abideen Se Riwayat Hai Ki Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Namaz Me Ruku Me Jate Aur Sajde Me Jate Aur Uthte Sirf Allahu Akbar Kehte (Rafa Yadain Nahi Karte) Aap Aisi Hi Namaz Padhte Rahe (Bina Rafa Yadain wali) Yahan Tak Ki Apne Rab Se Ja Mile
{موطا امام مالک، صفحہ نمبر-73}
is Hadees Se Khoob Wazeh Hua Ki Sarkar 2 Alam صلی اللہ علیہ وسلم Ki Aakhri Namaz Bhi Bagair Rafa Yadain Wali Hi Thi..
(Mazmoon Jari Hai)
_______________________
Khadime Fiqhe Hanfi-
Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Barelvi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (w) Mumbai-72
0091-9146122911
_______________________
Qist-12
Aakhri Dhamakedar Qist.
Qist-12
"TEHQIQE RAFA YADAIN"
Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ka Eik Aadh Baar Taliman Rafa Yadain Karna Use MUSTAQIL Sunnat Sabit Nahi Kar Sakta, Yaad Rakhiye Jis Hadees Se Aap (Gair Muqallideen) Rafa Yadain Sabit Karenge Wo Hadise Qauli (zaban Se Kahi Baat) Honi chahiye Hadise Feli Nahi.....
Is Liye Ki Qaul (Baat) Se Dawam Sabit Hota Hai, Jaise insan islam Aur Nikah Zaban Se Qubool Karta Hai, Aur Banda Tab Tak Momin Hai Jab Tak Zaban Se Kalima E Kufr Na Kahe Aur Tab Tak Nikah Me Hai Jab Tak TALAQ Na De, Agar Rafa Yadain Qaule Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Se Sabit Hota To Use Dawam Hasil Hota Magar in Becharon Ke Pas Hadise Qauli Hai Hi Nahi, Jisse Rafa Yadain Ko Mustaqil Sunnat Sabit Kar Sake,,,,,,,,,,
Hadise Feli Ki Kuch Mislaen Pesh Karun Taki Aapko Maloom Ho Ki Wo Kaam Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ne Kiya To Hai, Par Usse Wo Kaam Na Sunnat Hai Na Mustahab Jaise.👇
Sahi Bukhari Ki Hadees Me Hai Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Khade Ho Kar Peshab Farmaya, Jote Pahen Kar Namaz Ada Ki, Janabat Ki Halat Me Aran Farmaya, Roze Ki Halat Me Apni Azwaje Pak Ke Bose Liye, Qible Ki Taraf Muh Kar Ke Qazaye Hajat (pakhana peshab) Kee, Namaz Me Tirchi Nazron Se Dayen Bayen Dekha, Namaz Ki Halat Me Darwaza Khola, Apni Nawasi Umamah Ko Utha Kar Namaz Ada Farmai......
Kya in Sab Hadison Par Gair Muqallideen Ka Amal Hai?
Nahi To Kyun Aap To Ahlehadees Hai Hadees Par Chalne Wale Ab Ye Khud Kahege Ye Hadees To Hai Par Sunnat Nahi Aur Ye Huzoor Ka Amal To Hai Eik Aadh Baar Ka Par Farman Nahi..............
Ye Saare Kaam Aur is Jaise Bahot Se Kaam Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Se Sabit Hai Magar Kya Aaj Tak Kisi Ne ise Sunnat Samjha?
Aur Agar Kisi Musalman Ne Puri Zindagi inme Se Koi Ek Kaam Bhi Nahi Kiya To Uske Liye Gair Muqallideen Ne use Munazre Ka Challenge Diya Uske Khilaf Kitaben Likhi ????
Aur Kya Gair Muqallideen Khud Ye Sab Karte Hain ? Agar Nahi Aur Yaqinan Nahi To Phir Rafa Yadain Ke Hadise Feli Hone Se Wo Sunnate Moakkedah Kaisa Hua Jab Ki Ye Sab Bhi Hadise Feli Hai, To in Sab Ko Bhi Sunnate Moakkedah Balki Wajib Ho Jana Chahiye......
Yahi Haal Rafa Yadain Ka Hai Wo Hazrat Wa'il Bin Hujr Eik Dihati Sahabi Se Sabit hai Ki Unho Ne Eik Bar Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ko Rafa Yadain Karte Dekha us Par Bhi Hazrat ibraheem Nakh'ie رحمہ اللہ Farmate Hain......
فان وائل راه مرة يفل ذلك فقد راه عبدالله خمسين مرة لا يفعل ذلك
Tarjamah-
Hazrat Wa'il Bin Hujr Ne Eik Martaba Rafa Yadain Karte Dekha To Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Ne 50 Martaba Huzoor Ko Rafa Yadain Nahi Karte Dekha
{طحاوی، جلد-1، صفحہ نمبر-316}
Hazrat Abdullah Bin Mas'ood رضی اللہ تعالٰی عنہ Ka Shumar Faqeeh Sahaba Me Hota Hai, Aur Wo Aksar Huzoor Ki Bargah Me Raha Karte The Sahaba Ki Jamat Me Uncha Maqam Rakhte Hain, Hazrat Ibraheem Nakh'ie Ne Faisla Farma Diya Ki Eik Faqeeh Sahabi Ke Qaul Ke Aage eik Dihati Sahabi Jinho Ne Huzoor Ko eik Hi Baar Aisa Karte Dekha unki Riwayat Se Rafa Yadain Hargiz Sunnat Sabit Nahi Hoga....
Challenge-
Meri is Kitab "TEHQIQE RAFA YADAIN" Ka Koi Gair Muqallid Molvi Harf Ba Harf Rad Likhega Aur Rafa Yadain Ke Sunnate Moakkedah Hone Par Sahi Sareeh Gair Mo'Aariz Hadeese Qauli Pesh Karega To in'sha Allah Ye Faqire Hanfi Kaleem Razvi Use Uske Wazan Barabar Paiso Me Tol Dega....
"Mujh Se Na Ho Sakega Batil Ka Ehteram....
Meri Zaba'n Ke Waste Taale Kharid Lo.!!!!!!!
وما علینا الالبلاغ
______________________
Sa'ile imame Azam"🌸
Kaleem Razvi, Qasre Abu Hanifah رضی اللہ تعالٰی عنہ Kurla (w) Mumbai-72 india.
0091-9146122911
______________________
Topic End.