Sab Se Pahle To Ye Janna Jaroori Hai Ke Gyarahvi (11 vi ) Ho Ya Niyaaz Ho Iska Asal Maqsad Isaale Sawaab Hota Hai.Ham Sunnio Ka Yahi Aqeeda Hai.
Post # 1
*11wi Ki Sharah Hesiyat*
Hazrat Gaus e Paak, Gaus Ul Azam Sheyckh Sayed Abdul Qadir Jeelani Mehbub e Subhani Qutb e Rabbani Shayanlillah Rehmatulillah K baare pehle jaane
Hazrat Gaus E Paak
Hazrat Gaus E Paak Ki Wiladat Ba Sa’adat Ramzan 1078 Esvi Yaani 470 Hijri Me Iran K Shaher Gilan Me Hui , Aapne Paida Hote Hi Karamat Dikhai Aur Basti Me Mashur Hogaya Tha K Saada’at K Ghar Aisa Baccha Paida Hua Hai Jo Ramzan Shareef Me Dhoodh Nahi Peeta.Hazrat Gaus E Paak Hasani Aur Hussaini Hai ,Yaani Aapke Walid Ka Nasab Hazrat Imam Hasan Radiallataala Anhu Ko Jakar Milta Hai Aur Aapke Walida Ka Nasab Hazrat Imam Hussain Radiallataala Anhu Ko Jakar Milta Hai.
Hazrat Gaus E Paak Ka Nasab Mubarak
Walid Ki Taraf Se,
Son Of Syed Abu Saleh Moosa Jangi Dos,
Son Of Syed Abdullah Al-Jeeli,
Son Of Syed Yahya Al-Zahid, Son Of Syed Muhammad, Son Of Syed Dawood,
Son Of Syed Moosa,
Son Of Syed Abdullah,
Son Of Syed Moosa-Ul-Jown,
Son Of Syed Abdullah Al-Hehadh,
Son Of HAZRAT IMAM HASAN MUJTABA (RADIALLATAALA ANHU) Son Of HAZRAT SYEDNA ALI IBN ABI TALIB KarramALLAHu Wajhahu
*VILADAT KE WAQT KI KARAMAAT*
1.Aap Ke Walid E Maajid Hazrat Abu Saleh Musa Jangi Dost Rehmatullahi Ta'ala Alaihi Ko Huzoor Nabi Karim SwallALLAHu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Ziyarat Hui Aur Aap Ne Farmaya Aye Mere Bete Abu Saleh Tujhe ALLAH Ta'ala Ne Wo Farzand Diya Hai Jo Mera Beta Aur Mehboob Aur Khuda Ka Bhi Mehboob Hai Aur Us Ka Martaba Auliya Mein Aisa Hoga Jaisa Mera Martaba Ambiya Mein Hai.
2.Tamam Ambiya Wa Rasul Ne Aap Ke Walid-E-Majid Ko Khwab Mein Basharat Di Ki Siwaye Sahaba Aur Ambiya E Kiram Ke Tamam Auliya Awwalin Wa Aakhirin Aap Ke Farzand Ke Farma Bardaar Honge Aur Us Ki Ita'at Un Ke Darjaat Ki Bulandi Ka Baais Hogi.
3.Viladat Ki Shab Baghdad Mein Sab Ladke Paida Huwe Jin Ki Tadaad Gyara Sau (1100) Thi Aur Wo Sab Auliya E Kamileen Huwe Hain.
4.Aap Ne Tamaam Ramzan Saher Se Lekar Iftar Tak Walida Majida Ka Doodh Nahi Piya.
5.Huzoor Nabi Karim SallALLAHo Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Me'araj Ki Raat Jo Aap Ki Gardan E Mubarak Par Qadam Rakha Tha Us Ka Nishan Aap Ki Gardan Mubarak Par Maujood Tha.
6.Aap Ki Wiladat Ke Waqt Aap Ki Walida Majida Ki Umar Saath(60) Saal Ki Thi.Is Umar Mein Aap Ki Paidaish Bhi Ek Karamat Hai.Paidaish Ke Waqt Aap Ki Shakl E Mubarak Itni Ba Roab Tha Ke Koi Shakhs Aap Ko Gaur Se Dekh Na Sakta Tha Aur Aap Ko ALLAH Ta'ala Ne MAZHAR E JAMAAL E MUSTAFAAI Bana Kar Rawana Farmaya.
Subhan ALLAH.
Jaari h inshaALLAH...
Post # 2
*11wi ki Sharah Hesiyat*
Shariat k mutaliq 11wi ko janne K liye Hukm e Sharia ko janna zaruri hai
*Awwal Toh Yeh Samjha Jaye Ki Hukum E Shari’aa Kya Hai*
*Do’s (Karna Hai)*
1) Farz
2) Wajib
3) Sunnat E Muakidah
4) Sunnat E Gair Muakidah
5) Mustahab
*Don’ts (Nahi Karna Hai)*
6) Haram
7) Makruh E Tehrimi
8) Isaah
9) Makruh E Tanzih
10) Khilaf Aula
11) Mubaah
*Farz Kya Hai?*
Farz Maane Obligatory, Zaruri Hai, Jo Allah Taala Ka Bahukum Hai Quran Me Nazil Hua Jo Crystal Se Bhi Zyada Clear Hai Jaise “Akimus Salat” Namaz Qayam Karo, Istarah K Jo Bhi Allah Taala Ka Hukum Hai Woh Farz Hai Yaani Woh Jo Nass E Qatai Se Saabit Hai.
Farz Per Amal Na Karne Wala Gunahgaar Hai Aur Use Uski Saza Milegi.
Ab Koi Farz Ka Inkar Karde Toh Woh Shaks Kaafir Hai.
*Wajib Kya Hai?*
Wajib Maane Zaruri, Imperative Hai , Khabr E Wahid ,Ahadees Me Nabi Sallallahualaihiwasallam Jo Hukum Diya Use Karna Wajib Hai,Is Per Amal Karna Zaruri Hai Aur Amal Na Karna Gunahgaar Hai,Wajib Bhi Zaruri Hai Farz Ki Tarah Lekin Farz Se Zara Niche Wajib Hai.
Ab Koi Wajib Ka Inkar Kare Woh Gumrah Hai Lekin Kafir Nahi. E.G Isha Ki Namaz Me 3 Witr Wajib Hai, Juma Ka Khutba Wajib Hai.
Jari hai inshaALLAH...
Post # 3
*11wi Ki Sharah Hesiyat*
*Sunnat E Muakidah Kya Hai?*
Sunnat E Muakidah Woh Hai Jo Nabi Sallallahualaihiwasallam Ne Apni Zahiri Zindagi Me Amal Kiya,Nabi Sallallahualaihiwasallam Ki Adaigi Ko Adaa Karne Ka Naam Sunnat Hai.Iska Karna Zaruri Hai Aur Sawaab Hai Aur Jisne Ise Choda Usne Isaah Kiya.Ise Chodne Wala Gunahgaar Nahi Lekin Musalsal Ya Adaat Banalena Ki Sunnat E Muakidah Ko Choddena Gunah Hai Aur Iski Saza Milegi.
E.G: Fajr Ki 2 Rakaat And Zohar Ki Shuru 4 Rakat Sunnat, Sunnat E Muakidah Hai
*Sunnat E Ghair Muakidah Kya Hai?*
Sunnat E Ghair Muakidah Woh Hai Jo Nabi Sallallahualaihiwasallam Ne Amal Kiya Lekin Musalsal Amal Nahi Kiya Aur Naahi Yeh Bataya Ki Yeh Zaruri Hai Yaani Jo Amal Nabi Sallallahualaihwasallam Ne Kiya Aur Yeh Na Bataya Ki Yeh Zaruri Hai Toh Yeh Sunnat E Ghair Muakidah, Isper Amal Karne Wale Ko Sawaab Hai Aur Is Per Na Amal Karne Wala Makruh E Tanzih Yaani Disliked Na Pasandida Amal Kaha Jayega. Aur Ise Chodne Ki Aadat Banalena Ya Kabhi Amal Na Karna Use Koi Gunah Nahi Lekin Woh Shari’at Me Napasandida Amal Kaha Jayega.
E.G: Asar Ki 4 Rakaat Sunnat, Sunnat E Ghair Muakidah
*Mustahab Kya Hai?*
Mustahab Woh Hai Jise Karne Per Sawaab Hai Aur Na Karne Per Koi Gunah Nahi Aur Naahi Yeh Na Pasandida Amal Kaha Jayega.Agar Koi Mustahab Amal Ko Chodde Toh Us Per Koi Hukum Na Hoga Hatta Ki Makruh E Tanzih Yaani Napasandid Amal Ka Bhi Hukum Nahi Lagega.
Mustahab Kis Tarah Hai Yeh Pata Kaise Chale?
Jawab: Jo Kaam Nabi Sallallahualaihiwasallam Ne Na Kiya Lekin Shari’at Ki Roshni Me Ullema Kay Nazdeek Jayaz Hai Ya Ullema Ne Us Amal Ko Accha Samaj Kar Kiya Woh Mustahab Hai.
Iski Daleel Hadees Se Milti Hai.
“Hazrat Abdullah Bin Mas’ood Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Farmaya : Jis (Amal) Ko Koi (Aik) Momin Achchha Jaane Woh (Amal) Allah Ta’ala K Nazdeek Bhi Achchha Hai Aur Jis Amal Ko Momineen Bura Jaane Woh Khuda K Nazdeek Bhi Bura Hai.”
References:
Bazzar Al-Musnad, 05/212, Hadees-1816,
Tibarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 09/112, Hadees-8583,
Imam Ahmad Bin Hanbal Ki Al-Musnad, 01/379, Hadees-3600,
Imam Hakim Ki Al-Mustadrak, 03/83, Hadees-4465,
Imam Aboo Nu'aym Ki Hilyat-Ul-Awliya', 01/375,
Imam Bayhaqi Ki Al-Mudkhal Ila As-Sunan-Ul-Kubra, 01/114, & Al-I'tiqad, 01/322,
Tayalisi Al-Musnad, 01/33, Hadees-246,
Ibn Rajab Jami'-Ul-Uloom Wal-Hikam, 01/254.
Jaisa Ki Hum Juloos Nikalte Hai Eid E Milad Ya 11vi Me Toh Yeh Amal Mustahab Hai.
Jari hai inshaALLAH...
Post # 4
*11wi ki Sharah Hesiyat*
*Haram Kya Hai?*
Jo Islam Me Qatan Jayaz Nahi,Forbidden Jis Kaam Ko Allah Taala Ne Quran Me Mana Farmadiya Woh Haram Hai , Haram Kaam Karne Wala Sakht Gunahgaar Hai.Farz O Haram Ek Dusre Se Connected Hai Jaise Ki Jo Shaks Farz Adaa Na Kare Usne Haram Kaam Kiya Aur Jo Haram Karne Se Ruke Usne Farz Per Amal Kiya.
Note: Kisi Per Hukum E Haram Lagana Uska Nass E Qatai Se Saabit Hona Zaruri Hai.
*Makruh E Tehrimi Kya Hai?*
Jis Kaam Ko Nabi Sallallahualaihiwasallam Ne Mana Farmadiya Ahadees, Khabr E Wahid Me Woh Makruh E Tehrimi Hai. Makruh E Tehrimi Aur Wajib Bhi Ek Dusre Se Connected Hai, Wajib Ko Neglect, Choddena Makruh E Tehrimi Hai Aur Jo Makruh E Tehrimi Hai Use Choddena Wajib Hai.
*Isaah Kya Hai?*
Agar Koi Shaks Sunnat E Muakidah Choddeta Hai Toh Usne Isaah Kiya,Agar Ek Se Do Dafa Hua Toh Gunah Nahi Lekin Iski Aadat Banali Toh Gunahgaar Hoga Aur Uski Saza Milegi.
*Makruh E Tanzih Kya Hai?*
Makruh E Tanzih Ek Napasandida Amal Hai.
*Khilaf Aula Kya Hai?*
Jisne Mustahab Per Amal Na Kiya Usne Khilaf Aula Per Amal Kiya, Yaani Burai Per Amal Kiya.
*Mubah Kya Hai?*
Jo Amal Karo Us Per Koi Sawab Nahi Aur Na Karo Toh Koi Gunah Nahi Aur Naahi Koi Saza Milegi.
E.G: Me Computer Used Karraha Hu; Lekin Ise Istemal Karne Se Na Koi Sawab Na Koi Gunah Hai.
*Har Musalman Ko Zaruri Hai Ki Inka Maana Zarur Maalum Ho.*
Toh Alhamdulillah Humne Hukum E Shari’aa Padha Aur Yeh Jaana Ki Halal Kya Hai Haram Kya Hai,Ab Aaye Quran Shareef Me Padhte Hai Ki Koi Agar Kahe Ki Fula Ki Daleel Nahi Toh Woh Haram Hai,Kya Woh Waqai Haram Hai Ya Mubah ??
Jari hai inshaALLAH...
Post # 5
*11wi Ki Sharah Hesiyat*
Toh Alhamdulillah Humne Hukum E Shari’aa Padha Aur Yeh Jaana Ki Halal Kya Hai Haram Kya Hai,Ab Aaye Quran Shareef Me Padhte Hai Ki Koi Agar Kahe Ki Fula Ki Daleel Nahi Toh Woh Haram Hai,Kya Woh Waqai Haram Hai Ya Mubah ??
*Surah Anam, Aayat # 150*
Tarjuma:
“
تم فرماؤ لاؤ اپنے وہ گواہ جو گواہی دیں کہ اللّٰہ نے اسے حرام کیا (ف۳۱۰) پھر اگر وہ گواہی دے بیٹھیں (ف۳۱۱) تو تُو اے سننے والے ان کے ساتھ گواہی نہ دینا اور ان کی خواہشوںکے پیچھے نہ چلنا جو ہماری آیتیں جھٹلاتے ہیں اور جو آخرت پر ایمان نہیں لاتے اور اپنے رب کا برابر والا ٹھہراتے ہیں (ف۳۱۲)
Roman: “Tum Farmao Lao Apne Gawah Jo Gawahi De K Allah Ne Ise Haram Kiya”
Is Aayat Se Maalum Hua Ki Agar Koi Kahe Eid E Milad Haram, Toh Jo Haram Keh Raha Hai Us Per Zimmedari Hai Ki Daleel Dikhaye Ki Allah Taala Ne Haram Farma Diya, Jo Kahe 11vi Yaani Hazrat Gaus E Paak Ki Niyaz Fatiha Eesaal E Sawab Haram Toh Kehne Walo Ko Chahiye Ki Eesal E Sawab Haram Hai Is Per Koi Daleel Dikhaye
Toh Pata Chala Ki Jo Haram Shirk O Biddat Ki Ratt Lagate Hai Un K Zimme Dalil Hai,Humare Nahi,Kyu K Hum Karte Hai 11vi Mustahab Samajkar Aur Kuch Chizen Aisi Karte Hai Jo Mubah Hai,Isliye Jo Aitraaz Kare Unse Daleel Mange.
Saabit Hua Ki 11vi Jo Eesaal E Sawab Hum Karte Hai Woh Jayaz Hai, Haram Nahi
*Surah Anam, Aayat # 145*
Tarjuma:
تم فرماؤ (ف۲۹۶) میں نہیں پاتا اس میں جو میری طرف وحی ہوئی کسی کھانے والے پر کوئی کھانا حرام (ف۲۹۷) مگر یہ کہ مرُدار ہو یا رگوں کا بہتا خون (ف۲۹۸) یا بد جانور کا گوشت کہ وہ نجاست ہے یا وہ بے حکمی کا جانور جس کے ذبح میں غیر خدا کا نام پکارا گیا تو جو ناچار ہوا (ف۲۹۹) نہ یوں کہ آپ خواہش کرے اور نہ یوں کہ ضرورت سے بڑھے تو بے شک اللّٰہ بخشنے والا مہربان ہے
Roman: “Tum Farmao, Me Nahi Paata Isme Jo Meri Taraf Wahi Hui Kisi Khanewale Per Koi Khata Haram, Magar Yeh K Murdaar Ho Ya Rago (Nafs) Ka Behta Khoon,Ya Badd Janwar Ka Ghosht K Woh Najasat Hai Ya Woh Be Hukme Ya Janwar Jiske Zabah Me Gair Khuda Ka Naam Pukara Gaya Toh Jo Naachar Hua,Na Yun K Aap Khwaish Kare Aur Na Yun K Zarurat Se Badhe Toh Beshak Allah Bakashne Wala Maherbaan Hai.”
Yaani Jahil Mushrik Jo Halal Chizo Ko Apni Taraf Se Haram Karlete Hai.
Deobandi Wahbi Ka Aitraaz Bhi Is Aayat Se Radd Hojaata Hai Ki Hum Sunni Hazrat Gaus E Pak K Naam Se Janwar Zabah Karte Hai Isliye Woh Haram Hai,
Toh Mera Sawal Hai Kaun Sa Sunni Hai Jo Zabah Karte Waqt Yeh Dua Padhta
*“Bismi Abdul Qadir”????* Beshak Koi Nahi Padhta Balke Padhte Hai “Bismillah Allah Hu Akbar” Toh Niyaz O Fatiha Ka Janwar Kaise Haram Hogaya???
Aur Aayat Me Saaf Likha Hai Jo Gair E Khuda Kay Naam Per Janwar Zabah Hota Hai,Lekin Hum Mese Koi Gairullah K Naam Per Zabah Nahi Karta.
Saabit Hua Ki 11vi Jo Eesaal E Sawab Hum Karte Hai Woh Jayaz Hai, Haram Nahi Aur Naahi Iske Haram Hone Ki Dalil Maujud Hai.
**Note: Ab Agar Humse Koi Puche Ki 11vi Haram Hai Toh Usse Kahe Ki Agar Haram Hai Toh Daleel Dikhaye, Fir Woh Kahega Agar Halal Ya Jaiz Hai Toh Daleel Dikhaye, Toh Aap Kehna Hum Daleel Dikha Sakte Hai Lekin Aapka Dawah Haram O Najaiz Ka Galat Hai Isliye Aapne Dalil Deni Hai Aur Woh Na Mane Toh Usey Yeh 2 Aayat Dikhana Aur Kehna Quran Kay Mutabik Tumhe Daleel Deni Hai Ki Allah Taala Ne 11vi Kab Haram Kaha Hai?? Aur Agar Woh Daleel Na De Paaye Toh Kehna Fir Tujhe Haq Nahi Kay Kisi Chiz Ko Haram Kahe.
Jaari hai inshaALLAH...
Post # 6
*11wi ki Sharah Hesiyat*
Sawal:
11vi Kya Hai?
Jawaab:
11vi English Me Eleven
11vi Arbi Me Idaa Ash
11vi Farsi Me Yazdaham
Hazrat Gaus E Paak Radiallataala Anhu Ki Wafat Ka Din Hai 11vi Rabius Saani, Isliye Is Din Hazrat Gaus E Paak Radiallataala Anhu Ki Yaad Me Eesaal E Sawab Kiya Jaata Hai.Hazrat Gaus E Paak Allah Taala K Wali Hai Peero K Sardar Hai Aur Duniya Me Is Per Sabka Ittefak Hai.Hazrat Gaus E Paak Ki Fatiha Khwani 11vi K Naam Se Mashur Hai Isliye Zyadatar Log 11vi Kehkar Bulate Hai.
Sawal:
Kya 11vi Ya Fir Kisi Wali Ka Zikr Karna Kahi Se Saabit Hai ?
Jawab:
Beshak Allah Taala K Waliyoka Paigambaro Ka Zikr Karna Chahiye Aur Iska Suboot Hum Quran Se Milta Hai Jaha Per Quran Ne Khud Zikr Kiya Hai Aur Woh Surah And Aayat Hai Surah Maryam Aayat No.41 ,51,54,56 Aur Padhiye Surah Kahf Jaha Per Waliyo Ka Zikr Kiya Gaya Hai.
Sawal:
Kya Eesaal E Sawab Kahi Se Saabit Ya Jayaz Hai?
Jawab:
Bilkul Saabit Hai Padho Quran
Surah Al Hashr Aayat # 10
Tarjuma: “Aur Jo Unkay Baad Aaye,Arz Karte Hai A Humare Rab Hume Bakshde Aur Humare Bhaiyo Ko Jo Hum Se Pehle Imaan Laaye Aur Humare Dil Me Imaan Walo Ki Taraf Se Kina Na Rakh,A Rab Humare Beshak Tu Hi Nihayat Maherbaan Rahem Wala Hai.”
Is Aayat Me Allah Taala Musalmano K Is Duwa Ko Bataur E Tareef Bayan Farma Raha Hai,Jo Musalman Apne Guzre Huway Musalman Bhaiyo K Liye Duway Bakshish O Magfirat Mang Rahe Hai Aur Duwa Ibadat Hai Jaisa Ki Abu Dawud Wagaira Ahadees Me Hai,Agar Murdo Ko Uska Sawab Na Pahunchta Toh Quran Hargiz Usko Bataur Tareef O Istehsan Bayan Na Karta.
Hadees:
Hazrat Abu Hurairah Radiallataala Anhu Se Marvi Hai Ki Jab Allah Taala Jannat Me Apne Nek Bando Ka Martaba Buland Karega,Toh Banda Arz Karega A Mere Rab Mere Darjat Kyunkar Buland Hua ? Irshad Hua Ki Tera Beta Jo Tere Liye Duwayein Bakshish O Magfirat Mangta Tha, Usi K Sabab Se Hai.
Mishkat Safa 356.
Is Hadees Se Saabit Hua Ki Kisi Nek Banday Ya Kisi Buzurg K Liye Eesaal E Sawaab Aur Duwayein Bakshish O Magfirat Ki Jaye Toh Uske Darje Buland Hote Hai Aur Agar Gunahgaar K Liye Ho Toh Use Sakhti Aur Azab Door Hota Hai.
Alhamdulillah 1 Aayat Aur 1 Hadees Kaafi Hai Haq Walo Ko Samajne K Liye Ki Eessal E Sawab Jayaz Hai,Aur Koi Chahe Toh Imam Jalaluddin Suyuti Rahimahullah Ki Kitaab Sharah Us Sudoor Zarur Padhe Isme Tafseel Se Ilm Haasil Hoga Aur Yeh Aqeedah Imam Suyuti Rahimahullah Ka Bhi Tha.
Saabit Hua Eesaal E Sawaab Jayaz Hai.
Post End.
[post by_ hanfi sunni org]
...
Dalil Ahle hadees [wahabi] ke ghar se:
Jamiat E Ahle Hadees K bahot Bade Aalim maane jaane wale Shyakh Sanaullah Amritsari Sahab jinko ye log Sher E Punjab, Munazir E Aazam kahte Hai Wo unke rasail ko jama kiya gaya usme wo farmate hai unse sawal huwa
*Sawal :*
Gyarvi Barwi Karna Kaisa ?
*Jawab :*
“Dar Asal Isme Do Giroh Hai Jo Gyarwi Manane Waale hai Kayleen hai Aur Jo Inkaar Karne waale hai Manay’en Hai (mana Karne Waale) hai.
Jo Manayeen hai Wo Isko usme Shamil karte hai aur kahte hai nazr o niyaz sirf ALLAH k liye tumne Gairullah ko Khuda Bana Diya
Aur jo Kayleen Hai wo kahte hai humne Khuda Nahi Banaya unko sawab pahuchane k liye banaya hai.
Agar Baat Sirf itni ho K Sawab Buzurgo ko pahuche Khana Naa Pahuche Khana Hum Khai to ittefak hosakta hai Lekin Ye Gyarvi Aur Barwi Naam Quran Aur Sunnat Me Nahi Likha”
*(Fatawa Sanaya Vol :02, Pg : 71 )*
Ab yaha Sanaullah Sahab ne bhi iska jawaz likha yaha tak hum muttafik hai lekin unhone fitrat k mutabik ek teer choda k naam Quran Aur Sunnat me nahi aaya lihaja 11vi Kahna Jaiz Nahi ?
Hamara Ek Chota Sa Sawal hai khud in logo se Kya Bukhari Muslim Ye hadees ki kitab Jo padte ho Naam QURAN AUR SUNNAT me aaya hai ?
Fatawa Sanaiya Ye Naam Khud Quran Sunnat me aaya hai ?
Apni jamaat ka naam Ahle Hadees rakhna ye naam Quran Sunnat me aaya hai ?
To Jawab denge ye to tarruf hai to janab e Wahabiya 11vi Gaus E Aaazam رحمة الله عليه Ka Tarruf hai Chatti Sharif Khwaja Moinudin Chisti رحمة الله عليه ka tarruf hai.
*Scan Page
📕📄👇🏻
DALIL DEOBAND (TABLIGIO) KE GHAR SE:
#Topic : 11 Vi Shareef Aur Wahabi Deobandi
👉🏻Rasheed Gangohi Ka Fatawa
🔸Esaal E Sawab Ki Niyat Se 11ween Karna Jayez
🔸Balki Sheikh Abdul Haq Ka Tosha Bhi Jayez
Is Post se 2 Tarah Ke Deobandiyo Ko Naseehat Hasil Karni Chahiye
Pehla Woh Jo Sunni Barelvi Ko Bid'at Kehte Hain Unhe Chahiye Apne Molvi Ko Bhi Bid'ati Kahe'n
Dusre Woh Jo Inke Jhanse me'n Phase Hain woh Dekh Lein Niyaz Ka Saboot khud Inki Kitab se Diya Gaya Hai Aur ye Log Niyaz Karne Wale Ghulaman e Rasool ﷺ ko Bid'ati Kehte Hai'n
إن شاء الله
Aage Aur bhi Saboot Pesh Kiye Jaenge
_________________________________________
SCAN: