Thursday, 13 April 2023

Shafa'at /shafaat /शफाअत /shafat

 POST:1


Hazrat e Anas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se Rivayat Hai kiHuzoor Nabi e Akram ﷺ Ne Farmaya:-

"Meri Shafa'at Meri Ummat Ke Un Afrad Ke Liye Hai Jinhone Kabeera (Bade) Gunaah Kiye."


(Sunan Abu Dawood Sharif, Vol 5, Page 233, Hadis 4739)

Scan:



POST:2


Shahid Ki shafa'at. 



Friday, 7 April 2023

Imaam ke Pichhe Qiraat Na Kare. / Hanfi Namaz

 *Imam Ki Qirat Hi Muqtadi Ki Qirat Hai*



POST:1


Hadees:


Hazrat Abu Hurairah Radiallahu tala Anhu 

 se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne Farmaaya ke Imam Isliye Muqarrar kiya Jaata hai ke Uski Iqtedaa ki Jaaye, So Jab wo Takbeer yani Allahu Akbar Kahe Toh tum bhi Takbeer yani Allahu akbar Kaho aur Jab Imam Qirat kare, Toh Tum Khamosh Raho  aur jab wo غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ

Kahe, Toh Tum Aameen Kaho.……


(Sunan ibne majah : Hadees 846)


Scan Page :






POST:1


*Hadees*


*Hazrat Jabir رضي الله عنه Se Riwayat Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jis Shakhs Ka Imam Ho Wo Jaan Le Ke Imam Ki Qirat Hi Uski Qirat Hai*


*Conclusion*


_To Pta Chala Ki Jab Imam Qirat Kare To Muqtadi Khamosh Rahe Sirf Sune Kyunke Imam Ki Qirat Hi Uski Qirat Hai_


Reference Book

*Musnad Ahmad* (Published *Saudi Najdi)*

Hadees *14643*


Mautta imam Mohammad hadees 117


*Scan Page*

📗📗👇🏼






POST:2



*RUKOO MILNE PAR RAKAAT MIL JAATI HAI*


 ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ ، ﺃَﻥَّ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺃَﺩْﺭَﻙَ ﺭَﻛْﻌَﺔً ﻣِﻦَ ﺍﻟﺼَّﻼﺓِ ، ﻓَﻘَﺪْ ﺃَﺩْﺭَﻛَﻬَﺎ ﻗَﺒْﻞَ ﺃَﻥْ ﻳُﻘِﻴﻢَ ﺍﻹِﻣَﺎﻡُ ﺻُﻠْﺒَﻪُ ”


Tarjumah-”Abu Hurairah(raziallahu ta’ala anhu) se rivaayat hai ke, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “Jisne Namaz mese Rukoo’ Paa liya Tehqeeq Usne (Namaaz) Paa li isse pehle ke Imaam Apni Peeth Theek kar le”

[Sahih Ibn Khuzaymah; Kitaab: Al-

Imaamah Fis-Salaah


) ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﺑَﻜْﺮَﺓَ ، ﺃَﻧَّﻪُ ﺍﻧْﺘَﻬَﻰ ﺇِﻟَﻰ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﻭَﻫُﻮَ ﺭَﺍﻛِﻊٌ ، ﻓَﺮَﻛَﻊَ ﻗَﺒْﻞَ ﺃَﻥْ ﻳَﺼِﻞَ ﺇِﻟَﻰ ﺍﻟﺼَّﻒِّ ، ﻓَﺬَﻛَﺮَ ﺫَﻟِﻚَ ﻟِﻠﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻓَﻘَﺎﻝَ : ”ﺯَﺍﺩَﻙَ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺣِﺮْﺻًﺎ ﻭَﻟَﺎ ﺗَﻌُﺪْ ”


Tarjumah-”Abu Bakrah (raziallahu

ta’ala anhu) (Masjid me pohnche) Jab ke Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) Rukoo’ me the, Ye dekh kar

Unhoney Saff se Qabl (pehle) hi Rukoo’ kar liya, Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ko (ba’d Namaaz) Ye baat batlaayi gayi to Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ne

farmaaya: Allah Tumhaari Neiki ki Hirs barhaaye magar phir aisa na karna (Ya’ni Saff me peeche na reh jaana balke Saff me aa kar shaamil hona)


Sahih Al-Bukhaari, Kitaab:Al Azaan

Agar Muqtadi per Surah Faatihah WAAJIB hoti to Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) Abu Bakrah(raziallahu ta’ala anhu) ko

Namaaz ke Lautaane ka hukm dete magar aisa koi hukm nahi diya balke Saff se pehle hi Rukoo’ karne se mana’ farmaaya…










Radde Wahabiat Images | post