Saturday 18 June 2022

Hadees shareef with scan

 HADEES NO:1


Jannat me Aurton ki Tadad kam hogi


Hadees: Nabi Kareem ﷺ ne bahot sare Kawwon me ek Kawwe ko dekha jiski chonch aur paaon surkh the, use dekh kar Aap ﷺ ne farmaya: Jannat me Aurton ka Tanasub itna hi hoga jitna in Kawwon me Surkh chonch aur paaon wala.

(Mustadrak lil Hakim H.no.8781)


Aur Dusri Hadeeson se pata chalta hai ki Aurten Sabse zyada sirf is wajah se Jahannam me Jayengi kyunki wo apne Shauharon ki na-shukri aur na-farmani karti hain.

Khudara Islami behne khud ko Jahhannam se bachayen, apne nafs ke dhoke me na aayen. Apne Shauharon ke Maqam ko samjhen unki Izzat karen sirf ye sochkar ki Apko ALLAH ne ye hukm diya hai.

Agar Shauhar apke Haq me koi kami karta hai to wo bhi gunahgar hai lekin aap apni Janib se aisa koi kaam na karen jisse ALLAH naraz ho jaye.






HADEES SHAREEF:2


*Gumrah Karne Wale Mulla Ka Fitna Dajjal Se Bada Hai* Farman e Mustafa ﷺ


*Hazrat Abu Zar Ghifari رضي الله عنه Se Riwayat Ki Ek Martaba Me Nabi Kareem ﷺ Ke Hamra Tha Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Farmaya Dajjal Ke Alawa Ek Aur Chiz Hai Jisse Mujhe Apni Ummat Par Sabse Zyada Khatra Mehsos Hota Hai Ye Jumle Huzoor ﷺ Ne 3 Martaba Repeat Kiye To Mene Arz Kiya Ya Rasool ﷺ Wo Kaun Si Chiz Hai Jisse Aapko Apni Ummat Par Sabse Zyada Khatra Mehsos Hota Hai Aur Wo Dajjal Ke Alawa Hai? To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Gumrah Kun Mulla Molvi*


Reference

(Musnad Ahmad, Vol -15, Hadees *21193-&-94)





HADEES NO :3



"Jannati" Aur "Dozakhi" Log


Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya,

"Kya Mai Tumhe Ahle Jannat Ki Khabar Na Du.?

Har Kamzor Aur Tawazo Karne Wala Agar Wo Kasam Khale Allah عزوجل Ke Naam Ki...Toh Allah عزوجل Ki Kasam Ko Puri Karde,

Kya Mai Tumhe Jahannami Logo Ki Khabar Na Du.?

"Sakht Mijaz, Bad Akhlaaq Aur Takabbur (Ghamand) Karne Wala Jahannami Hai.


(Sahi Bukhari Sharif, Hadis 6071)





HADEES NO:4


Surah Baqrah Ki Aakhri Do Aayate Raat Ko Padhne Ki Fazilat


Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya...


Jisne Surah Baqrah Ki Aakhri Do Aayate Raat Ko Padhli Wo Uske Liye Kaafi Hogi.

(Yani Ke Har Aafat Balao Se Shaitan Ke Sar Se Kaafi Hogi.


(Sunan Tirmizi Sharif, Volume 5, Hadis 2881 Sahi Sanad)





No comments:

Post a Comment

मिलादुन्नबी दलिल हिंदी |Eid e Milaad Dalil Hindi

 पोस्ट-1 #मिलाद_और_अबू_लहब_के_आज़ाब_में_कमी. हदीस शरीफ: हज़रत ईब्ने अब्बास रदीअल्लाहु तअ़ाला अन्हु का बयान है कि__ जब अबू लहब मर गया तो एक स...