Quran ke alawa bhi Dam Karna Jaiz hai Hadees#2:
Hadees: Hazrat Jabir RadiALLAHO Anhu bayan karte hain ki Ansar k Amr bin Hazm naami Shakhs Saanp ke kaate ka dam kiya karta tha. Usne kaha: Ya RasoolALLAH ﷺ Aap ne to dam karne se mana farmaya hai, Jabki main Saanp ke kaate ka dam karta hun. Ispar Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
Tum wo dam mujhe sunao. Usne Huzur ﷺ ko sunaya. Huzur ﷺ ne farmaya: Ye dam karne me koi Harj nahi, ye to Ahad hai.
Ansar me mere Maamu aaye, wo bicchu ke kaate ka dam kiya karte the, Unhone kaha: Ya RasoolALLAH ﷺ ! Aap ne dam karne se mana farmaya hai jabki main bicchu ke kaate ka dam karta hun. Huzur ﷺ ne farmaya: Jo Shakhs apne Musalman bhai ko jis Qadr bhi faida pahuncha sakta ho wo pahunchaye.
(Mustadrak lil Hakim H.no.8277)
Yahan Mukhalifeen ko tawizat ko bhi shirk kehne par lage hain Jabki Nabi Kareem ﷺ ne us dam ki bhi Ijazat rakhi hai jo Quran/Hadees se bahar ka ho. Kyunki wo log jo Dam karte the wo Islam lane se pehle karte the, aur zahir hai Islam qubul karne se pehle wo Quran/Hadees ki duayen to nahi dam karte honge, Aur isiliye Nabi ﷺ ne sunkar usko approve bhi kiya, agar wo duayen Quran/Hadees ki hoti to approval ki zarurat kyun hoti balki khud Nabi ﷺ ne sabko sikhayi hoti
No comments:
Post a Comment