Mard Ko Anguthi Pahanne Ke Mutalliq Mas'ala
SUWAL
Assalamu Alaikum Hazrat
Kiya Anguthi (Ring) Pahan Sakte Hai?
Agar Ha To Anguthi Kaisi Honi Chahiye (weight Size etc)
Aur Usme Pathhar Lagana Jayaz Hai?
Hazrat Rehnumayi Farmaye,
JazakAllah
JAWAB
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمدلله والصلوة والسلام على رسول الله ﷺ
Mard ko Ek Chandi Ki Anguthi Wo Bhi Saadhe Char (4.5) Masha Se Kam Aur Ek Nag Ke Saath Jayaz Hai, Iske Siwa Na Bagair Nag Ki Jayaz Aur Na Ek Nag Se Zyada Ki Jayaz,
Aur Wazan Mai Chandi Ka Halqa Dekha Jayega Nag Ka Wazan Shumar Nahi Hoga, Nag Koi Sa Bhi Ho Aur Kitne Hi Wazan Ka Ho,
Jaisa Ke Sadrus Shariyah Allama Amjad Ali Azami Farmate Hai,
Mard Ko Zewar Pahanna Mutlaqan Haram Hai, Sirf Chandi Ki Ek Anguthi Jayaz Hai, Jo Wazan Mai Ek Mishkal Yani Saadhey Char (4.5) Masha Se Kam Ho, Aur Sone Ki Anguthi Bhi Haram Hai,
Aage Tahreer Farmate Hai Ke,
Baaz Ulama Ne Yashab Aur Aqeeq Ki Anguthi Jayaz Batai, Aur Baaz Ne Har Qism Ke Pathar Ki Anguthi Ki Ijazat Di, Aur Baaz In Sab Ki Mumaniyat Karte Hai,
Aage Farmate Hai,
Anguthi Se Murad Halqa Hai, Nageena Nahi, Nageena Har Qism Ke Pat’thar Ka Ho Sakta Hai,
Aur Farmate Hai Ke,
Anguthi Ek Nageene Ki Ho Aur Agar Usme Kai Nageene Ho Chahe Chandi Ki Ho, Mard Ke Liye Najayaz, Isi Tarah Mard Ke Liye Ek Se Zyada Anguthi Pahanna Ya Chhalle
Pahanna Bhi Najayaz Hai,
▪️(Bahar e Shariat, J-3, P-426/427/428)
واللہ تعالی اعلم باالصواب
انگوٹھی اُنھیں کے لیے مسنون ہے جن کو مہر کرنے کی حاجت ہوتی ہے، جیسے سلطان و قاضی اور علما جو فتوی پر مہر کرتے ہیں ، ان کے سوا دوسروں کے لیے جن کو مہر کرنے کی حاجت نہ ہو مسنون نہیں مگر پہننا جائز ہے۔ (6) (عالمگیری)
بہار شریعت حصہ ۱۶
__Irshad Quadri Amjadi
Mufti Aarif Raza Amjadi