Tuesday, 23 March 2021

Ambiya ke mazarat ki barkat/Nek bando ke mazaro ki barkat

 Post :1



*🔮Ambiya عليھم الصلوۃ والسلام Ki Mazaro Me Barkat Hai* By 📚✒️Qur'an


📘Sureh Al Isra Ayat *1*


*سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِ لَيْلًا مِّنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الْأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ*


*✍🏻Tarjuma Translate*


Paaki Hai Use' Jo Apne Bande Ko (Muhammad ﷺ)' Ko Raato Raat Le Gaya Masjid e Haram (Makkah) Se Masjid e Aqsa (Palestine) Tak *Jiske Ird Gird Hamne Barkat Rakh' khi* 'Ki Hum  Usay Apni Azeem Nishaniya Dikhaye Beshaq Wo Sunta Aur Dekhta Hai.


*📝Tafseer Explains*


Hazrat Imam Fakhruddin *Raazi* Al Mutawaffah *606* Hijri رحمۃ اللہ علیہ Is Ayat Ki Tafsir Me Likhte Hai..✒️

*Masjid e Aqsa Ke Ird Gird Barkat Hai Iska Matlab (Meaning) Ye Ki Waha Par Ambiya عليھم الصلوۃ والسلام Ke Qabre (Mazaraat)* Hai Jinko Allah ﷻ Barkat Keh Raha Hai.


*Conclusion* Khulasa

Jab Ambiya Rasoolo عليھم الصلوۃ والسلام Ke Mazaaraat Ka Aalam Ye He *To Roza e Rasool ﷺ Ka Aalam Kya Hoga.*





*📚Reference Book📚*


📔Tafsir e Kabir *[Arabic to Turkish]*

📖Vol *14* Page *389*


📑Scan Page👇🏻

Radde Wahabiat Images | post