Thursday, 30 July 2020

Qurbani 3 din / mayyat ki taraf se qurbaani karna jayaz.

QURBAANI SIRF 3 DIN HAIN

Bhot saare wahabi ahle hadees ye aitraj karte hai ki qurbani 4 din ki hoti hai aayiye unko 3 din ki qurbani ki dalil unhi ke ghar se dete hai.

Zubair Ali Ka Iqraar Ke Qurbani Ke Teen Din Hain

Mash’hoor Fitnah Parast Ghair-Muqallid (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees Zubair Ali Zai ne Qurbani ke aayaam ke baare me likha hai: “Qoul-e-RAAJEH me Qurbāni ke 3 Din hain.” 

[Tahqeeqi, Islaahi aur Ilmi Maqaalaat, Jild: 2/ Safhah: 219]

Scan:👇🏻




Marhum ke naam se qurbani Dena Wahabio Ke najdik Jayaz.

marhumeen ke tarafse qurbani dena jaez. khud wahabio ki zubani.👇🏻

Aihle hadis k peshwa. Ghairmuqallid Hafeez Sanaullah Madani Sahab ek sawal ke jawab mai likhte hai:

“Maiyet ke liye Dua Istagfaar Karna, Qur’bani dena aur bila Ta’een ke Sadqah Khairat karna waghera Sab Masr’ooh Amoor hai.” 

[Fataawa-Sanaiyya-Madniyya p.624/1]

Scan 👇🏼






Saturday, 11 July 2020

Qabar par phool rakhna kaisa,kabr

Qabr pe Phool rakhne karne ka masla:
.
‎باب من الكبائر أن لا يستتر من بوله 

‎213 حدثنا عثمان قال حدثنا جرير عن منصور عن مجاهد عن ابن عباس قال مر النبي صلى الله عليه وسلم بحائط من حيطان المدينة أو مكة فسمع صوت إنسانين يعذبان في قبورهما فقال النبي صلى الله عليه وسلم يعذبان وما يعذبان في كبير ثم قال بلى كان أحدهما لا يستتر من بوله وكان الآخر يمشي بالنميمة ثم دعا بجريدة فكسرها كسرتين فوضع على كل قبر منهما كسرة فقيل له يا رسول الله لم فعلت هذا قال لعله أن يخفف عنهما ما لم تيبسا أو إلى أن ييبسا
.
Tarjama:
‎ابن عباس رضی اللہ عنہما سے روایت کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ایک دفعہ مدینہ یا مکے کے ایک باغ میں تشریف لے گئے ۔ ( وہاں ) آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے دو شخصوں کی آواز سنی جنھیں ان کی قبروں میں عذاب کیا جا رہا تھا ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ان پر عذاب ہو رہا ہے اور کسی بہت بڑے گناہ کی وجہ سے نہیں پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بات یہ ہے کہ ایک شخص ان میں سے پیشاب کے چھینٹوں سے بچنے کا اہتمام نہیں کرتا تھا اور دوسرا شخص چغل خوری کیا کرتا تھا ۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے ( کھجور کی ) ایک ڈالی منگوائی اور اس کو توڑ کر دو ٹکڑے کیا اور ان میں سے ( ایک ایک ٹکڑا ) ہر ایک کی قبر پر رکھ دیا ۔ لوگوں نے آپ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا کہ یا رسول اللہ ! یہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے کیوں کیا ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اس لیے کہ جب تک یہ ڈالیاں خشک ہوں اس وقت تک ان پر عذاب کم ہو جائے ۔
(Sahih Bukhari, Kitabul Wuzu, Baab: Minal Kabair)
.
Isi Hadees ke tehet Mulla Ali Qari farmate hain:
.
Khitabi ne jo kuch kaha usme wazeh behes hai. Isliye ki Hadees Qabro par hari shaakh wagaira rakhne ki asal banneki salahiyat rakhti hy. Jaisa ki Imam Ibn Hajar Asqalani ne farmaya ki Khitabi ka ye kehna ki uski koi asal nahi. Mamnu hy. 
Ye Hadees uski asal hy. Isi waja se hamare baaz aimma mutakhherin ne ye fatwa diya- Ki Qabro par Phool aur shaakhen rakhne ki jo adat hy wo is Hadees ki roshni me sunnat hy.
(Mirqaat, J-1, Baab-Adaabul Khala Fasle Awwal)
.
Isi Hadees ke bare me Ahlehadees Kehte hain ki ye Azab metakhfif Shaakho ki tasbeeh ki barkat se nahi balki Huzur ne apne hatho se rakha to unke hatho ki barkat se azab me kami hui thi. Isliye Qabro par shakhen ya phool rakhne ki dalil nahi aa sakti..
.
To janab, jab masla Huzur ke hatho ki barkat ka hi tha to Huzur ne ye kyu farmaya ki jab tak ye shakhen Hari rahengi tab tak azab me kami rahegi?Huzur ki barkat to hamesha rehna chahiye na?.
.
Aur Hatho ki barkat zahir karna hota to Huzur Shakh manwa kar kyu rakhte?Khud apna hath qabr per rakhkar dua farma sakte the na?.
.
Sirf Nabi alaihis salam ke hatho ki barkat ka masla tha to dusre Sahabi H.Bareedah r.a ne kyu wasiyat kiya tha ki meri Qabr par Khajuro ki 2 Shakhen rakhna?
?Jabki wo shakhen to dusre Sahaba ne rakhi thi na??
In sawalo ka jawab kaun dega??.
.
2nd Aitraz:
Huzur ko un qabr walo ke azab ka ilm ho gaya tha to isliye unpar Shakh rakhna jaez tha, hume ilm nahi hai kisi ki qabr ka to hume kaise jaez hoga?
.
.Jawab: Waah, iska matlab jab tak kisi Musalman par azab hona pata na chal jaye, tab tak uske liye dua karna bhi fizul hai?? Matlab kisi musalman ke liye dua karna bekar hai kyunki hume pata hi nai wo nek hy ya gunahgar??.
.
Kashmiri Sahab likhte hain:
.
Qabro par tehniyan wagaira rakhna bidat hai, isey Bakasrat Ulama wa Salaf ne bidat kaha hai.(Anwarul Bari, J-6, Pg.51)
.
.Jawab: Zara 10-20 ke naam gina dijiye jisne bidat kaha ho??
.
Is amal ko humne Rasoolullah alaihis salam se bhi sabit kiya,Sahabi H.Bareedah r.a se bhi Sabit kiya,aur agar Nabi alaihis salam aur Sahaba ke amal ko bhi Bidat kehte hain to zara tum hume batao ki Bidat ki definition kya hai??

Scan Page Of Saheeh Bukhari 👇🏻


Radde Wahabiat Images | post