Monday, 29 April 2019

Ramzan mubaraq.special post.

*Ramzan Special Part-1*

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم.
الحمد للہ رب العالمین والعاقبة للمتقين، والصلوة والسلام على خاتم الأنبياء والمرسلين سيدنا ومولانا محمد، وعلى آله وصحبه اجمعين بارك وسلم تسليماً كثيراً كثيرا.... اما بعد

"Chand Dekhne Ka Bayan"

*Quran* 📚
Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain, Tum Farma Do Wo Logon Ke Kamo Aur Haj Ke Liye Awqaat Hain.
{القرآن، الجزء-2، سورة البقرة-189}

*Hadees* 📚
Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo Aur Chand Dekh Kar Aftar Karo, Aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo.
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، الحديث-1909}

*Hadees* 📚

Ummul Momineen Hazrat Aisha رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Rasool صلى الله عليه وسلم Shaban Ke Mahine Ki Is Qadar Hifazat Karte Ki Itni Kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte, Phir Chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru Karte, Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte.
{ سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب إذا أغمي الشهر، الحديث-2325}

To Be Continued=>

Kaleem Hanfi Razvi
0091-9820672770




*Ramzan Special Part-2*

Chaand Ke Hawale Se Masayel Fiqhe Hanafi Ki Roshni Me,

Mas'ala: ✍

5 Mahino Ka Chand Dekhna Wajibe Kifayah Hai.

1> Shaban
2> Ramzan
3> Shawwal
4> Zee Qadah
5> Zil Hijjah

Shaban Ka Is Liye Ki Agar Ramzan Ka Chand Dekhte Waqt Abar Ya Gubaar Ho To Ye 30 Ki Ginti Puri Kar Ke Ramzan Shuru Kare, Aur Ramzan Ka Is Liye Ki Roza Rakhna Hai, Shawwal Ka Is Liye Ki Roza Khatm Karna Hai, Aur Zee Qadah Ka Is Liye Ki Zil Hajja Me Chand Dekhna Hai Aur Zil Hajja Ka Is Liye Ki Baqra Eid Karni Hai.
{الفتاوى الرضوية، جلد-10، صفحہ-451}

Mas'ala: ✍

Kisi Ne Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Magar Uski Gawahi Qubool Na Hui Fasiq (Dadhi Katta, Ya Khule Aam Gunahe Kabira Karne Wala Fasiq Hai) Hone Ki Wajah Se, Ya Kisi Eik Hi Admi Ne Chand Dekha Aur Uski Gawahi Maani Nahi Gai To Ab Ye Bhi Roza Rakhe Agarche Isne Chand Dekha Ho, Isko Roza Todna Jayez Nahi, Aur Todega To Kaffara Lazim Nahi.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-975}

To Be Continued=>

Kaleem Hanfi Razvi
📱0091-9820672770





*Ramzan Special Part-3*

_Roze Ka Bayan_

يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ كُتِبَ عَلَيْكُمُ ٱلصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ أَيَّامًا مَّعْدُودَٰتٍ ۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ أَيَّامٍ أُخَرَ ۚ وَعَلَى ٱلَّذِينَ يُطِيقُونَهُۥ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ ۖ فَمَن تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَّهُۥ ۚ وَأَن تَصُومُوا۟ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ.....

Aye Imam Walon Tum Par Roza Farz Kiya Gaya, Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye,Taki Tum Gunaho Se Bacho, Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Baad Roza Rakhe), Aur Jo Taqat Nahi Rakhte (Boodha Admi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone Ki Ummid Na Ho) Wo Fidya Den, Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187, ترجمہ، کنزالایمان، از-اعلی حضرت علیہ الرحمہ}

Roze Ki Fazilat Me Ba-Kasrat Hadeesen Aai Hain, Huzoor Sarkare Do Aalam Janabe Muhammadur Rasulullah صلی اللہ علیہ والہ وسلم Ke Muqaddas Irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain,

*Hadees* ✍
Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain, Aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain.
{صحيح مسلم، كتاب الصيام، باب فضل شهر رمضان، الحديث-1079}

*Hadees* ✍
Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Se Riwayat Hai Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate.
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}

To Be Continued=>

Kaleem Hanfi Razvi
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-4*

*Hadees* ✍
Hazrat Salman Farsi رضی اللہ تعالٰی عنہ Kehte Hain Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Shaban Ke Akhri Din Bayan Farmaya, Farmaya Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme Eik Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai, Iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye, Aur Iski Raton Me Qayam (Namaz Padhna) Aur Jo Isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai Jaise Kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya, Aur Isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye, Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai, Aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, Is Mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya Jata Hai, Aur Jo Isme Roza Dar Ko Aftar Karaye Uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai, Aur Uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi, Aur Aftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega, Hum Ne (Sahaba Ne) Pucha Ya Rasulullah صلى الله عليه وسلم Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Nahi Paata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Allah Pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo Eik Ghunt Doodh Ya Eik Khajoor Ya Eik Ghunt Pani Se Roza Aftar Karwaye, Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Haoz (Haoze Kausar) Se Pilayega Aisa Ki Kabhi Piyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga, Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 Din) Rehmat, Jiska Awsat (11 Se 20 Din) Magfirat, Jiska Aakhir {21 Se Akhri Tak) Jahannam Se Azadi Hai, Jo Is Mahine Me Apne Gulam (Kaam Karne Wale Nokar Chakar Mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (Kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahannam Se Azad Farmayega.
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}

Allahu Akbar Kabeera, Is Mahine Ki Ahmiyat Ka Andaza Lagaye Ki Iske Aane Se Qabal Hi Huzoor Iski Barkato Aur Rehmaton Ko Zikr Farma Rahe Hain Aur Isme Kiye Jane Wale Sawab Ke Kaam Irshad Farma Rahe Hain.

Subhan'allah Isse Badh Kar Ramzan Ki Azmat Aur Kya Hogi Ki Iske Ahtemam Ko Allah Ke Mehboob Paigambar Hamare Aaqa O Maola صلى الله عليه وسلم Bayan Farma Rahe Hain.

To Be Continued=>

Kaleem Hanfi Razvi
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-5*

*Hadees* ✍
Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, Us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain

📚 _صحيح البخارى، كتاب بدء الخلق، باب صفةابواب الجنة، ج-1، ص-394، الحديث-3257_

*Hadees* ✍
Roza Aur Quran Bande Ki Shafa'at Karenge, Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se Ise Din Me Rok Diya, Meri Shafa'at Iske Haq Me Qubool Farma, Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz Rakha Meri Shafa'at Iske Haq Me Qubool Farma Dono Ki Shafa'aten Qubool Hogi

📚 _المسند، للإمام أحمد بن حنبل، ج-2، ص-586_

*Hadees* ✍
Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai, Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Uski Jaza Dunga, Banda Apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai, Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik Iftar Ke Waqt Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke Waqt Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo Allah Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai, Aur Roza Dhaal Hai (Admi Ke Liye Bachao Ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-Hudah Na Bake Na Chillaye, Aur Jab Koi Rozadar Se Gali Galoch Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun

📚 _مشكاة المصابيح، كتاب الصوم، الفصل الأول، جلد-1، صفحہ-541، الحديث-1959_

To Be Continued=>

Kaleem Hanfi Razvi
📱0091-9820672770






*Ramzan Special Part-6*

*Hadees* ✍
Jisne Allah Ki Riza (Khushi) Ke Liye Eik Din Ka Roza Rakha Allah Paak Use Jahannam Se Itna Door Kar Dega Jaise Kawwa Jab Bachcha Tha Us Waqt Se Udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara.
📚 _المسند، للإمام أحمد بن حنبل، الحديث-619_

Kawwa Bahot Lambi Umr Paata Hai 100 Saal Tak Ya Usse Ziyadah, To Wo Apni Umr Me Jitna Udta Hai Bachpan Se Budhape Tak Utne Fasle Par Allah Pak Rozedar Se Jhannam Ko Door Farma Dega.

*Hadees* ✍
Agar Kisi Ne Eik Din Ka Nafli Roza (Ramzan Ke Ilawa) Rakha Aur Zameen Bhar Use Sona (Gold) Diya Jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hua, Uska Sawab (Sahi Badla) To Qayamat Ke Din Hi Milega.

📚 _مسند أبي يعلي. الحديث-6104_

Subhan'allah Hum Gunehgaron Ki Bakhshish Ke Kaise Kaise Saman Diye Gaye Aur Ab Bhi Hum Ise Pura Na Karen To Kaisi Mehroomi Hogi, Ye Sab Farman Allah Ke Mehboob Malike Kaunain Sultane Darain صلى الله عليه وسلم Ki Zubane Aqdas Se Jaari Huye Hain, Inki Sachchai Pe Musalman Ko Pura Yaqeen Rakhte Huye Ramzane Kareem Me Apne Rozon Ko Pura Karna Hai,,,,

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-7*

*Hadees* ✍
Ibne Khuzaimah Ne Abu Masood Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain,
Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Cheez Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho.

📚 _صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان......إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886_

*Roze Ki Tareef*

Shariat Ki Istelah Me Roza Kehte Hain Musalman Ka Ibadat Ki Niyyat Se Subhe Sadiq Se Suraj Doobne Tak Apne Aapko Qasdan (Jante Huye) Khane Peene Aur Jima (Sohbat) Se Baaz Rakhna, Aurat Ko Roze Ke Liye Haiz O Nifas (M.C & Bachcha Paida Hone Ke Baad Jo Khoon 40 Din Tak Ata Hai) Se Pak Hona Shart Hai.

*Mas'ala* ✍
Roze Ke 3 Darje Hain,
1- Aam Logo Ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur Jima Se Rokna.

2- Khas Logo Ka Roza Kaan Aankh Zuban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna.

3- Khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa Apne Ko Sab Se Juda Karna Aur Apni Tamam Tawajjoh Ko Sirf Allah Ki Taraf Lagana

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-966_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770




*Ramzan Special Part-8*

*Mas'ala*
Aurat Haiz O Nifas Wali Thi Usne Raat Me Niyyat Ki Aur Subhe Sadiq Se Pehle Haiz O Nifas Se Paak Ho Gai To Roza Sahi Ho Gaya

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-969_

*Mas'ala* ✍
Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe Kubra (Suraj Jab Theek Sar Pe Aajaye Aur Admi Ka Saya Uske Pairon Me Aajaye Use Zawal Ya Zahwe Kubra Aur Nisfun"Nahare Shari Kehte Hain) Se Pehle Niyyat Kar Le, Zahwe Kubra Niyyat Ka Waqt Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke Waqt Niyyat Ki To Roza Na Hua.

📚 _Durre Mukhtar, Volume-3, Page-394_

*Mas'ala* ✍
Jis Tarah Aur Jagah Bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zuban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai, Magar Zaban Se Keh Lena Mustahab (Achcha) Hai, Agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe "Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye Is Ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga" Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe "Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga" Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe.

📚 _Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-968_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
📱0091-9820672770

Radde Wahabiat Images | post