Saturday, 24 November 2018

IMAM (Imamo ke sath bulaya jayega) wazahat.

Firqa Ahl-e-Hadees ke Juhala’ Ye keh kar Logo’n ko Gumraah karne me lage hue hain ke Imaam-e-Ahle Hadees sirf Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) hain aur inke alaawah Unka Koi bhi Imaam nahi hai aur unke alaawah kisi ko bhi Imaam nahi kaha ja sakta.

Lekin Ye saraasar Jhoot aur Ghalat Bayaani hai.

(1):.. Ghair-Muqallid Aalim Ra’ees Nadwi likhte hain: “Imaam-e-Ahle Hadees Nawaab Waheeduz Zamaa’n……” [Majmua Maqaalaat Per SALAFI Tahqeeqi Jaayezah, Safhah: 635]


Is se ma’loom hua ke Imaam-e-Ahle Hadees Waheeduz Zamaa’n hai na ke Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam)..
In ke alaawah Firqa Ahl-e-Hadees ke aur bhi Imaam guzre hain..

(2):.. Ghair-Muqallid Mohammad Joonagarhi ko “Imaam Al-Asr” [Tarjuma’h Tafseer Ibn Kaseer] aur “Imaam Al-Hind” [Shama’ Muhammadi] kitaabo’n ke Cover Pages per likha gaya hai

Pas in 4 Hawaalo’n se saaf Zaahir hai ke Firqa Ahl-e-Hadees ka da’wa mehaz Dhoka wa Fareib hai.
Mazeid Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ne Namaaz Parhaane waale Shakhs ke liye lafz “Imaam” ka iste’maal kiya hai.

DALEEL bhi mulaahizah farmaayei’n..

ﺃﺧﺒﺮﻧﺎ ﺃﺑﻮ ﺣﻨﻴﻔﺔ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺃﺑﻮ ﺍﻟﺤﺴﻦ ﻣﻮﺳﻰ ﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﻋﺎﺋﺸﺔ ﻋﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﺷﺪﺍﺩ ﻋﻦ ﺟﺎﺑﺮ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ﻋﻦ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ : ﻣﻦ ﺻﻠﻰ ﺧﻠﻒ ﺇﻣﺎﻡ ﻓﺈﻥ ﻗﺮﺍﺀﺓ ﺍﻹﻣﺎﻡ ﻟﻪ ﻗﺮﺍﺀﺓ .

Imaam Muhammad (rahimahullah) ko Imaam Abu Hanifa (rahimahullah) se Ye Khabar pohnchi hai ke………… Jaabir bin Abdullah (raziallahu anhu) rivaayaat karte hain ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “Jis ke liye Imaam ho Us ke liye Qira’t Imaam ki Qira’t hai (Ya’ni Us Muqtadi ke liye Imaam ki Qira’t kaafi hai).” [Mu’atta Imaam Muhammad (rahimahullah)]

Is tarah ki bohat si Ahaadees Kutab Ahaadees me mil jaayengi Jin se Ghair-Nabi ke liye Lafz “Imaam” ke iste’maal ke Jawaaz ka Saboot milta hai. Pas (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ka Is lafz ko Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ke saath Khaas karna mehaz Dhoka wa Fareib hai.

Allah se dua hai ke Humei’n DEEN ki SAHIH Samajh ata farmaaye. (Aameen

SCANS 👇👇👇👇👇




Next post.

أخرج ابن مردويه عن علي رضي الله عنه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: {يوم ندعوا كل أناس بإمامهم} قال: يدعى كل قوم بإمام زمانهم وكتاب ربهم وسنة نبيهم. (الدر المنثور، ٣١٧/٥؛ تفسیر القرطبی، ٢٩٧/١٠ا تفسیر ثعلبی، ١١٥/٦؛ جامع الاحادیث للسیوطی، رقم: ٨١٦٢؛ مسند الفرد للدیلمی، رقم: ٨٩٨٢
ابن مردویہ نے علی رضی الله تعالى عنه سے روایت کیا کہ رسول الله ﷺ نے فرمایا  ”یوم ندعوا کل اناس بامامهم“ سے مراد ہے ہر قوم کو اپنے زمانے کے امام کے ساتھ پکارا جائے گا اور ان کے رب کی کتاب اور ان کے نبی کی سنت کے ساتھ (پکارا جائے گا)
Ibn e mardawiya ne hazrat e ali raziallahu anh se riwayat kiya ke rasool allah ﷺ ne Irshad farmaya is aayat [ یوم ندعوا کل اناس بامامہم] ke baare mein ke har qom ko apne zamane ke imam ke sath pukara jaye ga aur unke rab ki kitab aur unke nabi ki sunnat ke sath.

وقاله قتادة. وقال علي رضي الله عنه: بإمام عصرهم. (تفسیر القرطبی، ٢٩٧/١٠)
قتادہ فرماتے ہیں کہ حضرت علی رضی الله تعالى عنه نے فرمایا: یعنی اپنے زمانے کے امام کے ساتھ پکارا جائے گا.
Qatadah farmate hain ke hazrat ali raziallahu anh ne farmaya: yaani apne zamane ke imam ke sath pukara jayega

وعن سعيد بن جبير عن ابن عباس رضي الله عنهما: بإمام زمانهم الذي دعاهم في الدنيا إلى ضلالة أو هدى. (تفسیر بغوی، ١٤٥/٣)
ابن عباس رضی الله تعالى عنه فرماتے ہیں: یعنی امام زمانے کے امام کے ساتھ پکارا جائے گا جس نے اسے ہدایت یا گمراہی کی طرف دعوت دی.
Ibne abbas raziallahu anh farmate hain: apne zamane ke imam ke sath pukara jayega jis ne use hidayat ya gumrahi ki taraf bulaya.
.

No comments:

Post a Comment

Radde Wahabiat Images | post