Wednesday, 24 July 2019

Shaan e habiburrahman/shan e mustafaﷺ

POST:1

💢Huzoor صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Duniya Ko Apni Hatheli Ki Tarh Dekhte Hai.💢

🌹Hazrate Sauban رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ne Irshad farmaya ki Allah عزوجل ne mere liye saari roo e zameen ko ikattha farma diya to maine zameen ke saare purab aur saare paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata farmaye gaye ek surkh aur dusra safed.

📒Sahih Muslim Jild 2 Safa 390

📒MirQaat Sharah Mishkaat aur...📒sharah Shifa Ul Mulla Qaari رحمة الله عليه Aur...📒Zarqaani Sharah Muwaahib,...📒Naseem Ur Riyaaz, ...📒Sharah Shifa main Hadees . 4 main hai...✍🏻...Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam cheezon ko jo Zameen main hain".


📑Look Scan👇🏻


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.

Ishraq ki namaaz | इशराक की नमाज़

 इशराक की नमाज़ यह भी सुन्नत है। फज्र पढ़कर दुरूद शरीफ वगैरह पढ़ता रहे। जब सूरज ज़रा ऊंचा हो जाये यानी कम से कम निकलने के बाद बीस मिनट गुज़र...